Adfly kya hai | adfly par account kaise banate hai - adf.ly se kitne kama sakte hai

What is adfly ? - How much we earn from adfly ? - How to create an account on adfly in hindi

Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham janenge ki adfly kya hai aur adfly par account kaise banate hai aur fir isse paise kaise kamate hai. Dekhiye dosto online earning ka madhyam din prati din badhta hi jaraha hai. Aajkal bahut sara online earning ki site sab khul gaya hai. To chaliye ham baat karte hai adfly ki. Adfly bhi ek website hai jo ki kisi link ko chhota kardeta hai fir aap uss link ko kahi par share karte hai. Aur agar koi uss link par click karta hai to wo unko ek 5 seconds ka ads dikhata hai. Usske badh skip ka option aata hai aur phir wo chahe to skip karke real link par ja sakta hai. Aise me jisne link ko shrink yani chhota karke share ki hai income ussko hogi.

Adfly kya hai ? | What is adfly in hindi :-

Adfly ek link shrinker yani link ko chhota kardene bala site hai. Jo ki 5 seconds ka skipable ads dekhakar paise paise link shrink karne bale ko dete hai. Issme aap kisi bhi link ko chhota karke kahi par share kar sakte hai. Jab koi uss link par click karega to usse 5 seconds ka ads dikhaye ga jisska income link share karne baleko hoga.

Jaise ki manlijiye aap howtohelpinhindi.blogspot.com ko short karte hai adfly se to aapko adfly kuchh istarha ka link dega http://adf.ly/vyvl issi tarha ka code dega. Ye sabko sabhi type ka link provide karte hai. Aap chahe to iss adfly ke link ko facebook , twitter ya kahi par share karke earning kar sakte hai.

Kitna kama sakte hai adfly se | How much we earn from adfly in hindi :-

Dekhiye issme koi limit nahi hai ki aap kitna kama payenge aap agar achhe se mehanat aur lagan ke sath kam karenge to aap unlimited earning kar payenge. Bas aapko achhe achhe link ko share karna hai aur achhe traffic ke sath share karna hai. Agar aapke link par USA se click aata hai to aapko 1000 views ke lagbhag 9 ya 10 dollar mil jata hai. Wohi par agar aapke link par asia se click aate hai to aapko lagbhag $5 ya $6 mil sakta hai. Par ye jaruri nahi ki bas accurate itna hi milega isse jyada ya kam bhi mil sakta hai.

Par haan agar aap mehanat nahi karenge to aapko free md koi paisa nahi dene bale hai. Kyuni free me paise batne ka kisika bhi shokh nahi hota. Sab log jyada mehanat karke hi jyada paisa kamate hai. To aap bhi agar pure mehanat ke sath kaam karte hai to aapko bhi kafi achhi khasi earning hogi. Kai log adfly se bahut dollar daily ka kama raha hai.

To chaliye ab ham jante hai ki adfly par account kaise create karte hai. Aap post ko achchi tarha padhiyega aur samajhiyega. Picture achhi tarha se na dikhe to usspar click karke clear dekh sakte hai.

Adfly par account kaise banaye | how to create adfly account in hindi :-

1. Sabse pehle aap adf.ly ke site par jaiye.

2. Fir aapko join now par click karna hai. Ab aapke samne ek forum khulega aapko ussme register karne ko bolega. Aap chahe to sidha apne facebook account se login karke adfly par account create kar sakte hai.

Forum kuchh is tarha hoga,

# Your name :-
 Yaha lar aapko apna full name dalna hai. Jaise ki maine dala hai Prashant Yadav aap bhi jiss naam se account bana. Chahte hai wo naam dale.

# Username :-
Yaha par aap apna ek user name dal sakte hai. Jaise ki maine dala hai janakpur.

#  Email :-
 yaha par aap apna email dalsakte hai. Jiss email se aap apna adfly ka account banana chahte hai.

# Re - type email :-
Yaha par aapko apna wohi email firse type karna hai jo aapne upar email me type kiya tha.

# Account Type :-
Issme aapko apne account ka type me Link shrinker : create short link ko select karna hai.

# password :-
Yaha par aap apna ek password daldijiye. Password kuchh aise Type ke character ko use karke daliye taki koi guess ya anuman na kar paye.

Hosaktre to aap apne password ko kisi diary ya notes me likh lijiye. Taki aap kisi din password bhul bhi jayenge to aap waha se dekh sakte hai.

# Retype password :-
Yaha par aap apne uss password ko firse type kijiye.

# Human check | Captcha :-
Yaha par aapko ek captcha code dikhega aapko wo Captcha code yaha par dalna hai.

# I agree to the terms and conditions :-

Isske terms and conditions ko achhi tarha se padhlijiye. Fir I agree to the terms and conditions par check yani tick kardijiye.

3. Finally ab aap join ke option par click kardijiye. Fir aapke email par ek confirmation code  ka link mail aayega aap uss mail par click karke verify kardijiye. Hosakta hai mail aane me 5 -10 minutes bhi lagsakta hai. Confirmation code mange to apne mail se confirmation code copy kar paste kar verified kar sakte hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.

Ab aapne janli hai ki adfly kya hai. Adfly se kaise paise kamate hai aur adfly par account kaise banate hai. Ham isske bare me aur bhi bahut details me kisi aur post batayenge ye post kafi lamba hogaya hai. Aap hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ko visit karte rahiye. Hamare aur bhi kai sare artu padhsakte hai niche Catagory me jakar sabhi post dekh sakte hai.

To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.

Youtube 1000 views aur 1ads click ke kitne paisa dete hai puri jankari hindi me

How much pay youtube for 1000 views and 1 ads click in hindi

Namaskar dosto aapsabhiko mere Howtohelpinhindi.blogspot.com blog me firse swagat hai. Aaj janenge ki youtube 1000 views par kitna paisa hame deta hai. Sabhi naye youtuber ke manme ekbar to ye sabal jarura aata hoga. Jab ham youtuber banna chahte hai ya ham naye youtuber hote hai to hamare manme ye sawal bar bar aata hai ki youtube 1000 views par kitna paisa deta hai. Sabhi log lagbhag youtube se earning karne ke liye hi youtube channel banate hai. Kuchh log apne busin ko promote karne liye bhi youtube channel banata hai. To kuchh log youtube oar apna product bechne ke liye ya fir apna talent dikhane ke liye banate hai. Chaliye ye to aap par depend karta hai ki ham youtube channel kyun banaye ho. Par jahatak mera manna hai lagbhag sabhi log youtube se earning karne ke liye hi youtube channel banata hai. To chaliye ham thoda details ne jante hai ki youtube 1000 views ka kitna paisa deta hai.

Youtube 1000 views ka kitna paisa deta hai :-

Dekhiye ye to accurate koi nahi janta hai ki youtube 1000 views  ka kitna paisa deta hai. Youtube hame ads yani advertisement ka paisa deta hai. Jab koi hamare youtube videos chal rahi ads click karta hai to hame usska paisa milta hai. Par ha ham apne videos aur earning ko dekhkar ham guess yani anuman laga sakte hai. Dekhiye sabhi ke youtube channel sabhi type ke hote hai. Koi apna prank channel banate hai to koi technology , koi education , koi comedy to koi song etc. To youtube har channel ko alag alag tarha se paise deta hai. Kaunsa channel kitna important hai. Kaunse channel kitna purana hai aur kaunsi desh me hai. Channel kis topic par hai. 
Youtube ussike hisab se hamare videos par saste ya mehange ads lagate hai. Kaibar hamne ye suna hota hai ki koi kehta hai mujhe 1000 views ka $5 ya $10  mila hai. To koi kehta hai mujhe 1000 views ka $1 bhi nahi mila ji haan ye bilkul sahi hai. Kyunki sabhi ke videos sabhi type ke hote hai. Kisi ke videos par mehange ads chalta hai to kisi ke videos par saste bala ads chalta hai. Kisi ke videos par 2-3  bar bhi ads chalta hai to kisi ke videos par ads chalta hi nahi. Kisi ke ads par jyada click milta hai to kisi ke videos ads click 1 bhi nahi hota. Ab aap hi sochiye jiske videos par mehanga ads chalega ads click jyada milega to jahir si baat hai ki usske earning 1000 views par bhi kafi jyada hojayega.

Youtube channel kis language aur kaunse country me hai :-

 Dekhiye ye bhi bahut depend karta hai ki aapka jo youtube chan hai wo kiss language aur kaunse country me hai. Agar aap Nepal ya bhutan aise kuchh country se hai aur aapka channel Nepali ya Bhutani language me hai to aapke channel par bahut saste ads show hoga. Uss ads par aapke country ka log click karta hai to bahut hi kam earning hoga.

Wohi agar koi india se aapke ads par click karta hai to aapke country ke click ke compare me kuchh jyada earning hoga. Agar aapka youtube channel hindi me hai to kuchh jyada earning hoga Nepal ke comapare me. Agar aapka channel english me hai to aapke videos ke ads par foreign se bhi click melega. Agar aapke channel par USA sabse traffic aata hai aur USA ka log aapke ads par click karta hai to aapke earning kai guna jyada nepal aur India ke compare me ho sakta hai.  Nepal ya india ke compare me Agar aapke ads par USA , United kingdom ise country se ads click jyada milta hai to aapke earning me char chand lagjayega. Aap jis country se youtube videos ko views karenge youtube lagbhag aapko ussi country ka ads dikhayega.

Aapka youtube channel kis topic par hai :-

Dekhiye youtube isske hisab se bhi ads lagata hai. Youtube technology se related channel par kafi mehange ads show karta hai. Agar aapak channel comedian ya fir prank iase kuchh se related hai to aapke channel par ye thoda saste bala ads show karega. Par haan aapko jisme jyada knowledge hai aap ussi se related channel banaiye. Aajkal technology blog me itna competition badh gaya hai ki success hone ke liye kafi mehanat karna hoga. Fir aap apne hisab se aapko jo better lage wo kijiye.

Youtube 1 ads click ka kitna paisa deta hai :-

Dekhiye ye bhi koi nahi accurate jaan sakta hai. Issme bhi ham guess yani anuman hi kar sakte hai. Ye bhi upar bataye gaye tips ke hisab se hi dete hai. Par Google ki mano to wo jyada paisa paisa publisher ko hi dete hai. Manlijiye agar advertiser google ko 1 click ka dollar 3 deta hai to google lagbhag $1.2 kat kar aapko $1.8 deta hai. Kisi dusre ke compare me goog publisher ko jyada paise dete hai. Issiliye to aaj har koi apne blog par bhi adsense ka hi ads lagana chahte hai.

To ab aapko youtube 1000 views ka kitne paisa deta hai ye to jaan chuke honge. Aapko bhi isske bareme aur pata hai to aap niche comment karke hame jarur bataiye. Aap niche Catagory | Tags me jakar hamare aise aur bhi post padh sakte hai. 

To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.

Kisi bhi youtube channel ki earning aur analytics kaise check kare full details

How to Check any Youtube channel earning and analytics in hindi

Namaskar dosto aap sabhi ko mere Howtohelpinhindi.blogspot.com blog me firse swaga hai. Aaj ham sikhenge ki Kisike bhi youtube channel ki youtube earning or analytics kaise check karte hai. Aapko to youtube ke bareme kafi kuchh pata hi hoga aur aapko ye bhi pata hoga ki youtube se paise kamaye ja sakte hai. Agar aapko nahi pata hai to koi baat nahi hamare site ko visit karte rahiye ham youtube se paisa kaise aur kiten kamate unsabhi ke bareme post lekar jald hi aaraha hu. Dekhiye youtube me ham analytics ke jariye apne viewers par najar rakh sakte hai. Apne youtuu channel ki sari details bhi dekh sakte hai. Yahatak ki khudke youtube channel ka earning bhi dekhsakte hai. par kabhi kabhi kya hota hai youtube par kafi sare popular channel hota hai jinke bareme ham kuchh jankar motivate hona chahte hai. Jaise ki uss popular youtube channel ka kamai yani earning usske followers and others. Par youtube hame kisi aur ki channel ka earning aur analytics check karne ka permission diya hai. To chaliye ham jante hai ki kisike bhi youtube channel ka earning aur analytics kaise check karte hai. Aap iss pot ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.

Youtube par bina internet ke offline video kaise dekhte hai - howtohelpinhindi

Kisike bhi youtube channel ka earning aur analytics kaise dekhte hai :-

1. Sabse pehle aapko Socialblade.com naam ki website ko open karna hoga.

2. Upar right side me aapko ek searchbar dikhega aapko wahapar uss channel ka naam dalna hai aap jis channel ki income ya fir data dekhna chahte hai.

3. Fir aapko search kardena hai. Ab aapko uss naam se related kaise sare youtube channel dikhayega to aapko apne uss channel ko pehchanna hoga jiska aap information nikalna chahte hai. Channel pehchan kar usspar click kardijiye.

Ab aapke samne uss channel se related lagbhag bahut sare information aajayega. Aap uss channel ka daily , weekly , monthly aur yearly earning ke sath sath subscriber bhi dekh sakte. Aap Kis video par kitna views mila hai aur kitna kamai huwa hai ye bhi dekh sakte hai. To chaliye ham isse point ke jariye samajhte hai ki ham socialblade.com ke help se kisi bhi youtube channel ka kya kya dekh sakte hai.

Kisi bhi youtube channel ki kya kya information ham pata kar sakte hai socialblade ke help se :-

◆ kitne videos upload hai uss channel par.

◆ profile picture uss channel ka kaunsa hai.

◆  channel kis country ki hai.

◆ channel par kitne subscriber aur views hai.

◆ channel kab start kiya tha. Channel me per video par kitne views hai.

◆  Aap channel ki daily , weekly , monthly aur early views , subscribers aur income kitna huwa hai ye bhi dekhsakte hai.

◆ Views aur subscribers ka graph bhi dekhsakte hai. 

◆ channel ki rank , videos rank aur socialblade rank bhi dekh sakte hai.  Etc. Aise kai sare chijo ke bareme aap information nikal sakte hai.

To ab aap jan chuke hai ki kisi bhi youtube channel ka daily , weekly aur monthly earning kitna hota hai. Kisi bhi youtube channel ka analytics kaise change karte hai.

Note :-  Socialblade.com site par dikhayi gayi earning aur views sab estimated hota hai. Matlab sab ek anuman hota hai jaruri nahi hai ki ye sahi sahi bata ho par ye lagbhag sahi ke aas pass hi anuman karta hai. Aap khud bhi check kar sakte hai. Ek baat aur ye ek post ek knowledge ke liye hai isska galat upyog na kare.

To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.

Facebook page -Howtohelpinhindi

Gmail email aur google plus ka profile picture kaise change kare full details

How to change gmail and Google plus profile picture in hindi :-

Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki Gmail aur google plus account me profile picture kaise change karte hai. Dekhiye dosto ham jab gmail me jab apna account banate hai to kisi kaam ki jaldbaji me filhal koi bhi photo upload kar dete hai. Uswakt ham sochte hai ki kabhi bhi badhme apna ek achha sa photo choose kar gmail yani google ke profile me upload kardenge. Dekhiye aise bahut si reason hai jinke wajah se ham apne gmail yani google plus ka profile picture ko change karna chahte hai. Par gmail ka profile picture kaise change karte hai usske bareme hame pata hi nahi hota hai. To dosto ab aapko chinta karne ki koi jarurat nahi mai aaj aap sabhiko gmail aur google plus me profile picture computer aur mobile se kaise change karte hai usske bareme puri details me bataunga. To chaliye ham sabse pehle jante hai ki computer se kaise gmail aur google plus ki profile picture ko change karte hai. Aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiyega. Hamara aur bhi gmail se related kaise sare important post hai. Aap usse bhi niche gmail aur internet bale catagory me jakar padhsakte hai.

Also Read :-

Microsoft email account kya hai ? - Hotmail | Outlook ka account kaise banaye

Gmail or google account ka date of birth kaise change kare - Howtohelpinhindi

Gmail email me deleted emails aur files ko recover | restore kaise kare

Google or gmail email ka profile name kaise change kare full details hindi me

Ekbat mai aapko batadu Agar aap gmail ka profile picture change karenge to bhi automatically google plus ka profile picture change hojayega. Aur agar aap google plus ka profile change karenge to automatically google plus ka profile picture change hojayega. Kehne ka Matlab ye hai ki jo aapka gmail profile picture rahega wohi google plus ka bhi rahega. Aur jo google plus ka profile picture rahega wahi gmail ka bhi rahega. Par aap gmail ke profile picture ko gmail me direct nahi change kar payenge. Isske liye aapko google plus ka profile picture badalna hoga.

Computer se Gmail aur Google plus ka profile picture kaise change karte hai :-

1. Sabse pehle aap apne browser me gmail.com par click karke apne uss Gmail account me login karlijiye jissme aap apna gmail ka profile picture change karna chahte hai.

2. Gmail account me login karne ke badh aap upar side me dekhenge to aapko apna pahle bala gmail ka profile picture ka icon dikhega. Aapko usspar click karna hai.  Aap picture me bhi dekh sakte hai.

3. Ab aapko my account ka option dikhega left side me dekhenge to aapko aapka gmail aur google+ ka pehle bala profile picture dikhega. Ussme likha hoga change to aapko apne profile picture par click kardena hai.

4. Ab aapke samne ek popup sa khul jayega. Jissme aapko kuchh option dikhega. Options kuchh istarha hoga,

◆ Upload Photos :-
Iss option par click karke aap apne computer se ek naya photo apne gmail account me upload kar sakte hai.

◆ Your Photos :-
Iss option par click karke aap apne gmail me pehle upload pare koi ek photo ko select kar usse apna gmail ya Google+ ka profile picture bana sakte hai.

◆ Photos of You :-
Issme aap apna photos select karsakte hai.

◆ Web Camera :-
 Iss option par click karke aap apne computer se koi photos click kar upload karsakte hai. Agar aapke computer me camera hai to.

 To mai yaha par upload photos par click karke apne computer se koi ek photo choose  karleta hu. 

5. Ab aap photo choose karlete hai to aapko side me ek  Rotate ka option dikhega. Aap chahe to apne ko left rght karke rotate bhi kar sakte hai. Aapko photo ko resize karne ka bhi option dega aap chahe to use apne hisab se resize kar sakte hai. Aap chaho to ussme caption bhi add kar sakte hai.

6. Fir aapko niche Set as profile picture ka option dikhega aapko usspar click karna hai. Ab aapka gmail aur google plus ka profile picture change hojayega. Aap refresh karke dekhsakte hai.

Dekhiye har kisi ke pass computer to nahi hota hai par gmail account to lagbhag sabhi ke pass hota hai. Kyun ki wo gmail account ko apne mobile phone me bhi use karte hai. To chaliye ham janlete hai ki Mobile se kaise gmail aur google plus ka profile picture badal sakte hai. Aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.

Also Read :-

Apne android phone me wifi icon aur status bar kaise hide aur unhide kare

Mobile phone me Open aur Secured Wifi hotspot kaise create kare full details

Mobile phone se kaise kaise Gmail aur google plus ka profile picture change karte hai :-

1. Sabse pehle aap apne mobile phone me google plus application ko open karlijiye.

Google plus application ko open karne ke badh aap apne uss gmail account se login karlijiye jisska aap profile picture change karna chahte hai.

2.  Ab aapko upar aapka jo pehle bala profile picture hai usska icon dikhega. Aapko usspar click karna hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.

3. Fir aapka profile picture open hojayega aur aap upar right side me dekhenge to aapko ek 3 dotted line dikhega aapko usspar click karna hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.

4. Ab aapko kuchh options dikhega jinmese aapko ek profile picture ka bhi option hoga aapko usspar click karna hai.  Fir Aapko bolega select a profile photo uss aapko kuchh istarha ka option dekhega ,

# Take photo :- 
Iss option par click karke aap naya photo click kar upload karsakte hai.

# Your Photos :- 
Issme aapko apne mobile phone ka sabhi photos show karega aap apne mobile phone me se apna photo select kar upload karsakte hai.

# Your albums :- 
Iss option par click karke aap apne album me se photo select karsakte hai.

5. Maine your photos me se photo choose ki hai. Aap bhi karsakte hai. Fir aapko upar ek select ka aur ek crop ka option dikhega aap chahe to crop bhi kar sakte ya fir sidha select ke option par click karke Upload kar sakte hai.

Finally ab aapka gmail aur google plus ka profile picture change hojayega. Aap refresh karke check karsakte hai.

To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.

Facebook page -Howtohelpinhindi

Mobile phone me Open aur Secured Wifi hotspot kaise create kare full details

How to create open and secured wifo hotspot in your mobile phone in hindi

How to create open and secured wifo hotspot in your mobile phone in hindi

Namaskar dosto aapsabhiko mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com me fir se swagat hai. Aaj sikhenge ki wifi ke hotspot apne mobile phone me kaise create kare. Ab apna ek khudka wifi create kar sakte hai. Isske kafi sare fayade hai. Kaibar kya hota hai ki hamare pass mobile phone matlab kisi sim card me kafi sare data (MB) hota hai jisse hame limited time pe khatam karna hota hai. Ya fir ham kisi dusre phone me internet use karne chahte hai ussi data (MB) se. Ham apne computer me bhi me bhi internet use karna chahte hai par hamare pass wifi nahi hota hai. Hame kaibar aise kuchh kaam hota hai. Jo ki computer ke jariye pura hota hai. Par computer me internet nahone ke wajah se ham wo kaam pura nahi kar pate hai. Aise me aap wifi hotspot ke jariye apne computer me mobile ke internet ke through net chala sakte hai. Agar aapko wifi hotspot nahi banana aata hai to koi baat nahi aaj ka ye post aapke liye hi hai. Wifi hotspot ka kafi sare fayade hai.

Also Read :-

Apne android phone me wifi icon aur status bar kaise hide aur unhide kare

Dekhiye wifi hotspot ham do tariko ke apne Mobile phone me create kar sakte hai. Ek hota hai open wifi aur dusra hota hai Secure wifi.

Open wifi :- 

issme me kya hota hai ki koi password nahi hota hai. Wifi me password na hone ke wajah se koi bhi aapka wifi usekar sakta hai. Ya afir apne kisi bhi mobile ya computer se connect karenge to bina password ke hi connect hojayega.

Secured wifi :- 

isske bareme to aapko pata hi hoga. Aap jab bhi wifi ko connect karenge to aapko password mangega. Ya fir koi bhi aapka wifi hotspot bina password ke connect kar payega.

To chaliye ham jante hai ki wifi hotspot apne Mobile phone me kaise create karte hai. Aaj ham yahapar android phone me wifi hotspot kaise create karte hai usske bareme batane bale hai. Aap isse achhi tarha se padhiye air samajhiye.

Open Wifi hotspot apne mobile phone me kaise create kare :-

1. Sabse pehle aap apne Mobile ke settings me jaiye.

2. Fir tethering and mobile hotspot ka option dikhega aapko usspar click karna hai

3. Usske badh aapko ek wifi hotspot ka option dikhega aapko usspar click karna hai.

How to create open and secured wifo hotspot in your mobile phone in hindi

4. Ab aap side me dekhenge to aapko ek three dotted line ka option dikhega aapko usspar click karna hai.  Aap picture me bhi dekh sakte hai.

5. Fir aapko configure hotspot ka option dikhega aapko usspar click karna hai. Fir aapko apna wifi hotspot bananeka option aajayega. Kuchh istarha,

How to create open and secured wifo hotspot in your mobile phone in hindi

# Network SSID :-

Yaha par aapko apne wifi hotspot ka naam rakhna hai jo aap rakhna chahte hai. Jaise ki maine rakha hai virus apne wifi hotspot ka naam virus rakhna chahta hu isiliye maine virus naam di rakha hai. Aap bhi apne pasand se rakhliJiye.

# Security :-

Isse aapko open rakhna hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.

6. Usske badh aapko kuchh nahi karna hai. Kisi box me check yani tick nahi Karna hai.

7. Ab aapko finally save ke button par click kardena hai. Fir aapka Open wifi hotspot banjayega.

Ab aap apne wifi hotspot enable karke apne computer ya dusre mobile me bhi internet use kar sakte hai. To chaliye ab ham jante hai ki Secure wifi hotspot kaise create karte hai. Aap isse bhi achhi tarha padhiye aur samajhiye.

Secured Wifi hotspot apne Mobile phone me kaise create kare :-

1. Sabse pehle aap apne Mobile ke settings me jaiye.

2. Fir tethering and mobile hotspot ka option dikhega aapko usspar click karna hai

3. Usske badh aapko ek wifi hotspot ka option dikhega aapko usspar click karna hai.

4. Ab aap side me dekhenge to aapko ek three dotted line ka option dikhega aapko usspar click karna hai.  Aap upar picture me bhi dekh sakte hai.

5. Fir aapko configure hotspot ka option dikhega aapko usspar click karna hai. Fir aapko apna wifi hotspot bananeka option aajayega. Kuchh istarha,

How to create open and secured wifo hotspot in your mobile phone in hindi

# Network SSID :-

Yaha par aapko apne wifi hotspot ka naam rakhna hai jo aap rakhna chahte hai. Jaise ki maine rakha hai virus apne wifi hotspot ka naam virus rakhna chahta hu isiliye maine virus naam di rakha hai. Aap bhi apne pasand se rakhliJiye.

# Security :-

 Aap isspar click karenge to aapko ek Open aur ek Wpa2 PSK ka option dikhega. Aapko Wpa2 PSK bale option par click karna hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.

# Password :-

Yaha par aapko apna password dalna hai. Password minimum yani kamse kam 10 character ka honi chahiye. Hosake to aapk aise password rakhiye jisse koi guess yani anuman nahi karpaye. Aap password ko kisi note me likh lijiye nahi to aap khud bhi bhul sakte hai.

6. Ab aapko kisi options par kuchh nahi karna hai. Sidha aap save ke button par click kardijiye.

Finally ab aapka secured wifi hotspot bangaya hai. Ab aap apne wifi hotspot spot ko enable karke kisi dusre mobile phone ya computer me use karsakte hai. Par aapko wahapar password mangega to yahi password dalna hai jo aapne avi set kiya tha.

Ab koi aapka hotspot wifi use Karna chahega to usse password mangega. Mai to kahunga aap secured wifi hotspot hi banaiye taki galti se aapka wifi hotspot On bhi rahega to koi bagair password le usse use nahi karpayega. Aapko dono me se jo wifi hotspot achha lage wo create kijiye.

To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.

Facebook page -Howtohelpinhindi

Microsoft email account kya hai ? - Hotmail | Outlook ka account kaise banaye

What is Microsoft email Account ? |How to create Microsoft or Hotmail |Outlook account in hindi

Microsoft email account kya hai ?~ Hotmail | Outlook ka account kaise banaye

Namaskar dosto aapsabhiko mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki Microsoft account kya hota hai. Aur Microsoft account kaise banate hai. Microsoft account ek gmail ki tarha hi email account hai. Aapne Hotmail ya outlook ka naam to jarur suna hoga. Issi Hotmail ya outlook account ko Microsoft account bolte hai. Aajkal duniya technology me  itne aage chalagaya hai ki baat hi chhodiye. Ahr chijko modified kar karhaha hai.aur duniya ko smart banadi hai. Aajkal bahut se logo ke pass Microsoft ka account hai. Par kai logo ke pass avi bhi Microsoft ka account nahi hai. Aur unhe pata bhi nahi hai ki Microsoft ka account banate kaise hai. Aaj ham inhi sab ke bareme thoda details me baat karenge. Aur aaj aap iss post ko padhne ke badh samajh jayenge ki Microsoft account kyun jaruri hai. Aur Microsoft account banate kaise hai. To chaliye ham jante hai ki Microsoft account kyun jaruri hai hamare liye.

See More :

∆ Microsoft account ka password bhul jane par reset yani recover kaise kare

∆ Microsoft yani hotmail | outlook account ka profile name kaise change kare

∆ Youtube 1000 views aur 1ads click ke kitne paisa dete hai puri jankari hindi me

Microsoft yani Hotmail | Outlook account bana kyun jaruri hai :-

Dekhiye Microsoft ek bahut hi bada company hai. Windows ka naam to suna hi hoga ye bhi Microsoft ka hai. Agar aapke pass windows phone ya computer hai to aapko Microsoft account ki jarurat jarur padega. Ya aise bahut si internet lar chij hai jiseme Microsoft account se login karne ko bolta hai.

See More :

∆ Google gmail account ka email address | user id kaise change kare full details

∆ Android mobile se contacts ka backup SD | memory card aur gmail me kaise lete hai

∆ Gmail ka password bhul gaya hu kaise forgotten gmail ka password reset kare

∆ Gmail or google account ka date of birth kaise change kare - Howtohelpinhindi

∆ Gmail email me deleted emails aur files ko recover | restore kaise kare

Microsoft ke kai devices hai jaise ki windows pc , xbox live , windows tablet , windows phone etc. Insabhi me Microsoft yani Hotmail | outlook ka account se login karne ko bolta hai. Jaise ki aap gmail se login karke google ke sabhi service use karte hai. Biklul waise hi aap Microsoft yani Hotmail ka account use karke lagbhag Microsoft ka bahut se services use karpayenge.

To chaliye ab ham jante hai ki Microsoft yani Hotmail | Outlook ka account kaise banate hai. Aap iss post ko achhi tarha se padhiye aur samjhne ki kosis kijiye.

Microsoft Or Hotmail | Outlook ka account kaise banaye :-

1. Sabse pehle aap apne browser me type kijiye signup.live.com ya fir hotmail.com aap sidhe Microsoft ke site pe chale jayenge ab aapko waha par create an account ka option hoga aapko uss click karna hai.

Agar aap signup.live.com karke open karenge to  sidha create an account ka forum khulega.

# First Name :-

Yaha par aap apna first name dal sakte hai. Jaise ki maine dala hai Prashant aap picture me dekh sakte hai.

Microsoft email account kya hai ?~ Hotmail | Outlook ka account kaise banaye

# Last name :-

Yaha par aapko last name dalna hai . Jaise ki maine dala hai Yadav aap picture me dekhsakte hai.

# User name :-

Yaha par aapko kuchh bato ka dhyan rakhna hai. Jaise ki agar aapke pass pehle se ek gmail ya yahoo ka Email account hai to aap yaha par uss dalkar aap apne Microsoft account me wahi email rakh sakte hai. Agar aap ek naya email address pana chahte hai to aap just niche dekhenge get new Email address ka option hoga aapko usspar click karna hai.

Ab aapko apna wo user name yani email address waha par dalna hai jo aap Email rakhana chahte hai. Jaise ki maine dala hai Prashantyadav143 aap picture me dekh sakte. Fir side me dekhenge to Aapko ek drop down menu dikhega. Aap waha par click karenge to aapko ek Hotmail aur ek Outlook ka option dekhega aapko jo achha lage wo ek choose karlijiye. Jaise ki maine outlook choose ki hai. Aap picture me dekhsakte hai.
Yaha par aapko kamse kam 8 characters ka password dalna hai. Mai suggest karunga ki aap ek strong password daliye taki koi guess na kar paye. Aur fir apne password ko notepad ya kahi par likh lijiye taki aap bhul bhi jaye to waha se dekh sakte hai.

# Re-enter password :-

Yahapar aapko same wahi password dalna hai jo aapne upar dala hai.

# Country | region :-

Yaha par aap apna country select kar sakte hai. Jaise ki . maine ki hai Nepal kyun ki mai Nepal ke rehne bala hu. Aap picture me bhi dekh sakte hai.

# Date of Birth :-

 Yaha par aapko apna Date of birth dalna hai. Jaise ki maine dala hai aap picture me dekh sakte hai.

# Gender :-

Yaha par aapko Gender select karna hai agar aap purush hai to male select kijiye. Aur mahila hai to female.
Yaha par apne country ka code daliye agar aap Nepal se hai to +977 agar aap india se hai to +91 Aap apne country ke hisab se aapka country code jo hai wo daliye. Aap picture me dekhsakte hai.

# Mobile number :-

Yaha par aap apna mobile number daliye. Jiss mobile number se aap confirm karna chahte hai. Agar kisi din aap apne account ka password bhul jate hai to aapko password reset karne me mobile number help karega.

# Alternate email address :-

Yaha par aap apna ek pehle se koi email hai to wo dal dijiye. Yaha par aap G-mail ya fir yahoo kisi ka bhi Email address dal sakte hai. Mai kahunga ki dal dijiye isse aapka account band hojayega to recover karne me easy hoga.

# Captcha :-

Aapko ek Captcha code dikhega aapko wo Captcha code yaha par dalna hai. Agar aapko captcha samajh me na aaye ta side me new ka option hoga aap uspar click karke new captcha code prapt kar sakte hai. Aapko audio ka bhi option hoga aap sunkar bhi captcha code dal sakte hai.

Microsoft email account kya hai ?~ Hotmail | Outlook ka account kaise banaye

2. Ab aapko sab sahi sahi dalne ke badh finally create account par click kardijiye.

Ab aapko Microsoft  aapko kuchh istarha bolega hello prashant welcome to Microsoft. Agar aapko confirmation code mobile number pe vejta hai to aapko mobilr number dalkar confirm kardena. Ya aafir aap apne Alternate email gmail ka ya yahoo jo aapne dala hoga forum fill up karte wakt uss email me sign in karke confirm kar sakte hai.

Fir aapka Microsoft ya Hotmail | Yahoo ka account fully banjayega.
∆ Google par photo upload kaise karte hai | how to upload photos on google in hindi

∆ Android mobile me 100 GB free online storage kaise paye | how to get 100 GB drive

∆ Apna facebook post ko selected friends ya kisi personal friend se kaise hide kare

∆ Desktop template | theme ko mobile device par kaise show kare - mobile friendly

Adfly kya hai | adfly par account kaise banate hai - adf.ly se kitne kama sakte hai

∆ Kisi bhi youtube channel ki earning aur analytics kaise check kare full details

∆ Mobile phone me Open aur Secured Wifi hotspot kaise create kare full details

∆ Biography Of Facebook Ceo Or owner Mark Zuckerberg Success story in hindi

∆ Padhai karne ke liye kaunsa sa time best hai day or night study tips in hindi

 Part - 2 padhneka aur padhahuwa 100% yaad rakhne ka top 10 remembering methods

∆ Part-1 Padhne ka ya Padha huwa 100 % yad yani remember karne ka 10 tarika

Niche digayi sabhi questions ka answer maine iss pot me dene ki kosis ki hai.

Microsoft account kya hai , Hotmail account kya hai , Outlook account kya hai , Microsoft account kaise banaye, Microsoft par account kaise create kare , Microsoft account me sign up kaise kare , Microsoft par account kaise banaye , Hotmail ka account kaise banaye , hotmail account me signup kaise kare , Hotmail ka email account kaise banaye , Outlook account kaise banaye , outlook kya hai , outlook ka email account kaise banaye , Microsoft account kaise banate hai , Microsoft account banane ka tarika , Microsoft account nokia lumia me kaise banaye ,  Microsoft account mobile se kaise banaye , Microsoft account nokia lumia 520 me kaise banaye, Microsoft account computer me kaise banaye , Microsoft account ka password bhul gaya hu, Microsoft account ka password bhul jane par kya kare , Microsoft account ka password kaise reset kare , Microsoft account ka forgotten password kaise reset kare , how to create Microsoft account in hindi , what is Microsoft account , how to create Microsoft account , howt yo create Hotmail account , how to create outlook account , how to create outlook account in hindi , Microsoft account kaise banye puri jankari etc. Microsoft account ke password bhuljane ke bareme maine ek post likha hai ki kaise ham Microsoft account ke password bhul jane par reset kar sakte hai. Maine upar link di hai aap dekhsakte hai.

To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.

Youtube par bina internet ke offline video kaise dekhte hai - howtohelpinhindi

How to watch youtube videos offline in hindi- howtohelpinhindi

Namaskar dosto aapsabhiko mere Howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki youtube par bina internet ke offline video kaise dekhte hai. Aajkal youtube kaun nahi use karta hai. Aajkal youtube par lagbhag hamare sabhi kaam ke videos miljate hai. Aur yahi wajah hai jisse karan aajkal youtube par itna log ghumrahe hai. Dekhiye ham kaibar apne Mobile phone ya computer pe youtube chalakar video dekhrahe hote hai. Hamare pass 3G ya 4G mobile phone hone par bhi internet connection kharab hone ki wajah se ham videos achhi tarha se time pe nahi dekh pate hai. 

Low internet connection hone ke wajah se 1 video ko dekhne me buffering hone ke wajah se shaam hojate hai. Fir bhi ham kabhi kabhi uss video ko nahi dekhpate hai. Ya kabhi kabhi aisa bhi hota hai hamare pass ek achha internet connection to hota hai par time na hone ke karan ham videos ko nahi dekhpate hai. Kavi kavi Ham office me hote hai ya fir kisi cafe restaurant ya kisi public place  waha par ek achha internet connection bhi hamare pass hote huwe bhi time ke kami hone ke karan ya bhir dosto ya family ke sath busy hone karan uswakt videos nahi dekh pate hai. Fir hamare man me ye sawal aata hai ki kash koi aisa tarika hota jise ham iss video ko mobile me rakhkar fir kabhi badhme fursad ke samay me dekhpate. Wo bhi bina internet connection ke to kitna achha hota. Inhi sabhi problem ko dekhte huye aapke liye youtube lekar aaya hai offline ka sewa.

To chaliye ham jante hai ki bina internet ke youtube par offline videos kaise dekhte hai. Aap iss post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye. Mai suggest karunga ki Aap niche view web version par click karke post ko read kijiye.

Youtube par bina internet ke offline videos kaise dekhe :-

1. Sabse pehle aap apne Mobile phone me youtube ko update karlijiye. Kyunki kai mobile phone me puarana version bala youtube install hota hai.

2. Ab aap apne updated youtube app ko open karlijiye. Usske aap koi bhi ek video search karlijiye jisse aapko offline dekhna hai.

3. Ab aap video open karne ke badh dekhenge to like aur dislike button ke sath me aapko ek down arrow ka sign dikhega aapko uss sign par click kardena hai.

4. Usske badh aapko kuchh option dikhega jissme Normal aur Hd video ka option hoga. Aap uss video ko Normal mode me rakhna chahte hai to Normal select kijiye. Ya fir agar aap HD me dekhna chahte hai to aap HD bala option select kijiye.

Ye aap pe depend karega ki aap kaunsa size rakhenge aap hd me rakhte hai to kafi clear video dikhega. Hd mode me video ka size kafi bada hota hai. Normal mode me hd se bahut kam rahega. Ye aap par depend karta hai ki aap kitne size ka video apne phone memory me offline save karna chahte hai.

5. Aapko ek aur option dikhega remember my setting. Aapko mere khayal se usse khali xod dena hai.  
 Agar aapne ekbar normal mode par rakhke remember my setting me tick kardiya to youtube agle bar apne aap normal mode me offline save karne lagega. Hd mode ka option nahi aayega so isse aise hi xod dijiye.

6. Fir aap Ok ke button par click kardijiye. Ab aapke video offline mode me save hone lagega. Save hojane ke badh aapko bolega video added to offline. Aur arrow ke jagah par tick mark aajayega.

7. Ab aap upar menu me jaiye aur waha par aap profile me jayenge to aapko ek offline ka option dikhega. aap uss offline bale option par click karenge to aapke sare offline videos show hoga jo aapne ne offline mode me save kiye honge.

Ab aap iss video ko kabhi bhi bina internet ke offline dekh payenge.

Note :-

1. Youtube aapke offline video automatically 2-3 din me link expire kardega. Usske badh aapka wo video nahi chalega firse offline save karna padega dekhne ke liye.

2. Ya feature youtube ne filhal kuchh hi country ke liye available karaya hai. Ye sabhi country me nahi chalta hai.