Youtube 1000 views aur 1ads click ke kitne paisa dete hai puri jankari hindi me

How much pay youtube for 1000 views and 1 ads click in hindi





Namaskar dosto aapsabhiko mere Howtohelpinhindi.blogspot.com blog me firse swagat hai. Aaj janenge ki youtube 1000 views par kitna paisa hame deta hai. Sabhi naye youtuber ke manme ekbar to ye sabal jarura aata hoga. Jab ham youtuber banna chahte hai ya ham naye youtuber hote hai to hamare manme ye sawal bar bar aata hai ki youtube 1000 views par kitna paisa deta hai. Sabhi log lagbhag youtube se earning karne ke liye hi youtube channel banate hai. Kuchh log apne busin ko promote karne liye bhi youtube channel banata hai. To kuchh log youtube oar apna product bechne ke liye ya fir apna talent dikhane ke liye banate hai. Chaliye ye to aap par depend karta hai ki ham youtube channel kyun banaye ho. Par jahatak mera manna hai lagbhag sabhi log youtube se earning karne ke liye hi youtube channel banata hai. To chaliye ham thoda details ne jante hai ki youtube 1000 views ka kitna paisa deta hai.


Youtube 1000 views ka kitna paisa deta hai :-


Dekhiye ye to accurate koi nahi janta hai ki youtube 1000 views  ka kitna paisa deta hai. Youtube hame ads yani advertisement ka paisa deta hai. Jab koi hamare youtube videos chal rahi ads click karta hai to hame usska paisa milta hai. Par ha ham apne videos aur earning ko dekhkar ham guess yani anuman laga sakte hai. Dekhiye sabhi ke youtube channel sabhi type ke hote hai. Koi apna prank channel banate hai to koi technology , koi education , koi comedy to koi song etc. To youtube har channel ko alag alag tarha se paise deta hai. Kaunsa channel kitna important hai. Kaunse channel kitna purana hai aur kaunsi desh me hai. Channel kis topic par hai. 
Youtube ussike hisab se hamare videos par saste ya mehange ads lagate hai. Kaibar hamne ye suna hota hai ki koi kehta hai mujhe 1000 views ka $5 ya $10  mila hai. To koi kehta hai mujhe 1000 views ka $1 bhi nahi mila ji haan ye bilkul sahi hai. Kyunki sabhi ke videos sabhi type ke hote hai. Kisi ke videos par mehange ads chalta hai to kisi ke videos par saste bala ads chalta hai. Kisi ke videos par 2-3  bar bhi ads chalta hai to kisi ke videos par ads chalta hi nahi. Kisi ke ads par jyada click milta hai to kisi ke videos ads click 1 bhi nahi hota. Ab aap hi sochiye jiske videos par mehanga ads chalega ads click jyada milega to jahir si baat hai ki usske earning 1000 views par bhi kafi jyada hojayega.


Youtube channel kis language aur kaunse country me hai :-


 Dekhiye ye bhi bahut depend karta hai ki aapka jo youtube chan hai wo kiss language aur kaunse country me hai. Agar aap Nepal ya bhutan aise kuchh country se hai aur aapka channel Nepali ya Bhutani language me hai to aapke channel par bahut saste ads show hoga. Uss ads par aapke country ka log click karta hai to bahut hi kam earning hoga.

Wohi agar koi india se aapke ads par click karta hai to aapke country ke click ke compare me kuchh jyada earning hoga. Agar aapka youtube channel hindi me hai to kuchh jyada earning hoga Nepal ke comapare me. Agar aapka channel english me hai to aapke videos ke ads par foreign se bhi click melega. Agar aapke channel par USA sabse traffic aata hai aur USA ka log aapke ads par click karta hai to aapke earning kai guna jyada nepal aur India ke compare me ho sakta hai.  Nepal ya india ke compare me Agar aapke ads par USA , United kingdom ise country se ads click jyada milta hai to aapke earning me char chand lagjayega. Aap jis country se youtube videos ko views karenge youtube lagbhag aapko ussi country ka ads dikhayega.


Aapka youtube channel kis topic par hai :-


Dekhiye youtube isske hisab se bhi ads lagata hai. Youtube technology se related channel par kafi mehange ads show karta hai. Agar aapak channel comedian ya fir prank iase kuchh se related hai to aapke channel par ye thoda saste bala ads show karega. Par haan aapko jisme jyada knowledge hai aap ussi se related channel banaiye. Aajkal technology blog me itna competition badh gaya hai ki success hone ke liye kafi mehanat karna hoga. Fir aap apne hisab se aapko jo better lage wo kijiye.


Youtube 1 ads click ka kitna paisa deta hai :-

Dekhiye ye bhi koi nahi accurate jaan sakta hai. Issme bhi ham guess yani anuman hi kar sakte hai. Ye bhi upar bataye gaye tips ke hisab se hi dete hai. Par Google ki mano to wo jyada paisa paisa publisher ko hi dete hai. Manlijiye agar advertiser google ko 1 click ka dollar 3 deta hai to google lagbhag $1.2 kat kar aapko $1.8 deta hai. Kisi dusre ke compare me goog publisher ko jyada paise dete hai. Issiliye to aaj har koi apne blog par bhi adsense ka hi ads lagana chahte hai.



To ab aapko youtube 1000 views ka kitne paisa deta hai ye to jaan chuke honge. Aapko bhi isske bareme aur pata hai to aap niche comment karke hame jarur bataiye. Aap niche Catagory | Tags me jakar hamare aise aur bhi post padh sakte hai. 


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.





Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

3 comments

comments
August 7, 2019 at 5:19 AM delete

I have a youtube channel and i use social media to boost my video like Digital Marketing Modules 2019 must watch if you want your channel up.

Reply
avatar
March 2, 2022 at 3:27 AM delete

Amazing article. Thanks for sharing. I also done Youtube course in Lahore and this article is very useful for me.

Reply
avatar