Free fire game me nick name kaise change kare

Namaskar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai aaj ham sikhenge ki kaise ham free fire game me name change kar sakte hai.



Agar aap ek achhe gamer hai to aapne free fire game ke bareme jante hi honge ya fir aap free fire game khelte bhi honge. Kafi sare logon ko free fire game me apna nick name change karne me dikkat hota hai.

Sabhi gamer pro player ki tarha apna bhi ek professional name set karna chahte hai free fire me. To chaliye ham jante hai ki kaise ham pro player ki tarha free fire me apna name change kar sakte hai to aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Free fire me Name kaise change kare

Step1. Sabse pehle aap apne phone me free fire game ko open kare.


Step2. Ab aap apna ek professional look me name choose kare.

Aap nickfinder ka bhi help le sakte hai ek professional ya stylish name choose name choose karne me. Usske liye,


> Aap apne web browser me nickfinder.com open kare.

> Nickfinder.com open hone ke badh aap sabse niche scroll kare yani niche jaye. Waha par niche kuchh top nick name dekhne ko milega aa ko jo name achha lagta hai uss name ka symbols aapko chahiye hota hai, to aap uss name ke word par tap kare.

Free fire game me nick name kaise change kare


> Ab aapka wo symbol ya style copy hojayega.

Step3. Name choose karne ke badh aap firse free fire game application ko open kare.

Step4. Ab aapko apne free fire game ke account me jana hai.


Step5. Usske badh aapko apne free fire ke profile me jana hai.

How to change name in free fire game


Step6. Profile section me aapko left side upar ek edit ka option dikhega pencil ke icon me aapko usspar click karna hai.

How to change name in free fire game


Step7. Ab aapko new nickname ke option par click karna.

Free fire game me nick name kaise change kare


Pen ke icon pe jaise hi aap Click karenge aapko current Nick name ke niche ek new nickname ka option dikhega aapko uss par click karna hai aur aapne jo style copy ki thi nickfinder.com se aapko usse yaha par paste kardena hai.

Step8. Ab aapne jo style new nick name paste ki hai ussme kya name rakhna chahte hai wo edit karle aur set kare.

Step9. Ab aapko confirm ke option oar Click karna hai. New nick name set karne ke badh aapko niche right side me ek confirm ka option dikhega usspar click karna hai.

Free fire game me nick name kaise change kare


Note(i): aapko isske liye 390 Diamond💎 kharch karne honge.

Note(ii): Aap free fire me nick name change karte wakt 12 characters se jyada na dale warna error show karega aur aapka name nahi change hoga. Kafi sare log 12 characters se jyada characters dal dete hai kabhi kabhi iss liye bhi free fire me name nahi change kar pate hai. Yaad rahe agar aap name me koi symbol rahe hai to ek symbol = 2 characters hota hai aap 6 symbol lagayenge to 12 characters hoga aur total 12 characters se jyada nahi support karta hai.

Free fire game me nick name kaise change kare



Note(iii): Agar aap free me nick name change karna chahte hai to aapko kuchh Diamond collection karna hoga. Aap niche guild token me jakar add dekh dekh kar Diamond collection kar sakte hai aur fir aap required Diamond collection karne ke badh apna nick name free fire me kar sakte hai. Ya fir agar aap achhe se game khelte hai aur aap ek pro player hai to aapko nick name change karne ka option dekha free fire.


Pixelflow app kaise use kare - youtube intro video banaye


Namaskaar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai aaj ham sikhenge ki kaise ham pixelflow application ko use karke intro video create yan edit kar sakte hai.

Intro kya hai
Agar aap ek youtuber hai to aapko pata hi hoga ki intro video kya hota hai. Jab bhi youtube par ham koi video dekhte hai to video ke first aur last me ek chhota sa introduction video aate hai channel ke bareme. Ussme channel ka name likha hota hai aur channel kis bareme hai thoda wo.



To chaliye ab ham jan lete hai ki pixelflow appko use karke kaise ham channel ka intro bana sakte hai.

Pixelflow app kaise use kare / pixel flow app se youtube video kaise banaye:


How to use pixelflow app in hindi:


Step1. Sabse pehle aap pixelflow application ko install kare. Aise kafi sare application available hai jisse aap intro video bana sakte hai par mai yahapar pixelflow app use karke kaise banate hai usske bareme batane bala hu.

    • To sabse pehle aap apne android mobile phone me playstore se pixelflow application ko download karke install kare.

    • Aapko playstore ke search bar me type karna hai pixelflow. Aur fir isse install karlena hai. Aap iss app ka icon picture me bhi dekh sakte hai niche.

    Pixelflow app icon





Step2. Ab aap pixelfolw application ko open kare. Ye application internet pe yani online chalta hai to aap apna internet connection on rakhe chahe wo data ho ya wifi.

Step3. Templates ke option par click kare. Niche buttom me aapko ek templates ka option dikhega Row option ke left side me. Aapko usspar click karna hai.

Pixelflow app kaise use kare - youtube video banaye

      • Wahapar aapko general, minimal, cooking, technolog, gradient etc karke aise kafi sare category wise templates dekhneko milega.

      • Un mese kafi sare templates me lock laga hoga matlab wo premium hai. Agar aap premium template ko use karna chahte hai to aapko kuchh uske paise dene honge.

      • Aur kafi sare free templates bhi hai to aap apne hisab koi ek template chunle jo aapko achha lage.

> kisi ek intro bale template pe click kare. Jaise hi click karenge wo template kis tarha se dikhega usska video chalne lagega.

Step4. Ab aap use par click kare. Aap template pe click karenege to niche buttom me aapko ek use ka option dekhega aap usspar click kare.

Pixelflow app kaise use kare - youtube video banaye


Step5. Usske badh effect me jaye. Aap dekhenge to background ke Left side me ek effect ka option hoga aap usspar click kare. 



Fir aapko kuchh isstarha ka chije varna hoga.

      Change text: Yaha par aapko apne youtube channel ka naam dalna hai ya fir wo naam jo ki aapke video me pehle aayega intro ki taurpe.

    Change element color: yaha par click karke aap apne uss text yani channel name ka color change kar sakte hai jo aapne dala hai.
   
   Change Size and Position:
     Scale: Iss option ko use karke aap Size ko chhota ya bada karsakte hai.

Pixelflow app kaise use kare - youtube video banaye


     Position x: iss position x ke madat se aap apne text ya channel name ko x axis yani left ya right ki or move kar sakte hai.

    Position Y: Iss option ki madat se aap apne channel name ya text ko Y axis yani upar ya niche ke or move kar sakte hai.

Step6. Background ke option par click karke apna background set kar sakte hai.

Aap Upar Effect ke right side me dekhenge to aapko ek background ka option dikhega, agar aap koi dusra background lagana chahte hai ya fir apna khudka custom background lagana chahte hai to uss background ke option par click kare.

    • Background ke option par click karke aap koi dynamic, video, Image etc set kar sakte hai background me.

   • agar aap image ke option par click karenge background me image rakhne ke liye to set background image ke niche aapko do option milega. Ek form internal storage aur dusra download from library.

Pixelflow app kaise use kare - youtube video banaye


    From internal storage: Ye option aapko download from library ke left side me dekhne ko milega, iss option par click karke aap phone ke internal storage yani gallery se koi apne man pasand ka background image laga sakte hai.

   Download from Library: Iss option par click karke aap internet se koi image download kar sakte hai aur apne intro video ke background me laga sakte hai.

Dark n: Ye dark mode ka option hai agar aap apne intro video ke background ko dark karna chahte hai to iss sabse niche bale dark mode ke option par click karke intro video ke background ko dark mode me kar sakte hai.



Step7. Ab aap export ke option par click kare.
Sab set karlene ke badh aapko upar right side me ek export ka option dikhega aap usspar click karke apne video export kar sakte aur fir aapka video aapke phone me save hojayega. Usske liye aapko ek aur step follow karna hoga step8.

Pixelflow app kaise use kare - youtube video banaye


Step8.  Video Resolution ya quality ko select kare. Jaise hi aap export ke option par click karenge to aapko video resolution ya quality ko select karneko bolega to aap apne hisab quality select karle.

    • Hosake to aap high resolution hi select kare jaise ki 1080p ya 720p taki intro video ka quality ekdam clear aur hd dekhega haan ye thoda slow render hoga yani kuchh der time lega save hone me par achhe quality me hoga. To aap high resolution hi select kare.


Ab aapka Intro video aapke phone ke gallery me save hojayega. Aur aap usse youtube video ke intro me use kar sakte hai ya fir kahi aur. Iss tarha se aap pixelflow app ko use karke mobile se Intro video bana sakte ho video ko edit kar sakte ho aur use apne youtube video me use kar sakte hai.

Also see: 

•  mobile mein pdf file kaise banate hain | how to create pdf in mobile

Microsoft xbox account ke password bhul jane par reset ya recover kaise kare

Mobile phone me professional job resume CV ya biodata kaise banaye

Mobile me dark mode ya night mode kaise enable kare bina kisi app ke