Apne facebook timeline me logo ko post ya tag karne se kaise roke full deatails

How to stop people from posting and tagging on my facebook timeline in hindi






Namaskar dosto aapsabhiko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne facebook ki timeline ya profile me kisiko kuchh post karne se kaise rokte hai. Aap achhi tarha se  post ko padhiye aur samajhiye. Aaj din log subha hote hi ya fir din suru bhi nahi huwa hota hai ki log apne facebook par photos, videos ya fir post dalte rehte hai. Aaj kal logko facebook me itna interest badhgaya hai ki wo din bhar kuchh na kuchh post karta rehta hai jaise ki aaj maIne ye khaya wo khaya, yaha gaya waha gaya iss hotel me gaya uss mall me gaya, aaj mai bahut khus hu ya fir bahut dukh hu, aaja mai kahi se aa raha hu ya fir kahi jaraha hu, feeling cool, happy, sad, boring, traveling to a to b to c ya returning to c to b to a celebrating with abc, good morning, good afternoon, good evening, good night etc likh kar apna satus ya photos videos dalte rehte hai. Kai log to apne apne family, girlfriend, boyfriend ke sath love ka ijhar bhi facebook par karte hai. Fir bhi hame isse kya problem sabke apne apne pasand hote hai apne timeline me wo kuchh bhi kare hame usse kya lenadena facebook par sabhi ko freedom hai jisse jo achha lagta hai wo karta hai. Par problem to hame tab hota jab log ye sab dinbhar hamare timeline me tag karte rehte hai. Dekhiye aajkal harkoi facebook par apne kisi status, photos, videos ya fir apne kisi post par like, comment badhbane ke liye apne bahut sare friends me tag kardete hai. Aise me jaruri nahi ki har wo post achha hi ho jo aapke timeline me tag kiya gaya hai. Kaibar to hame bahut ghusse bhi aate hai jab koi hamare timeline me kuchh aisa chij rag kardete hai jo hame pasand nahi aata hai. Hamare facebook me hamare friends ke sath sath family bhi hamse jude hote hai aise koi dirty status, photos, videos ya fir koi bhi aisa post dal dete hai jo hame bahut bura lagta hai aur jahir si bat hai jab koi hamare facebook timeline me kuchh tag karega to wo hamare sabhi facebook friends ko dikhega chahe wo hamare family ho ya fir koi aur. Aise hame un taggers ke upar itna ghussa aata hai ki baat hi chhodiye ham soch rehte hai ki kash aise tagging ki musibat se bach pate to kitn achha hota.


Ham sab facebook use to karte hai par ye jaruri nahi ki ham harwakt online hi baithe rahe. Jab ham online hote hai uswakt koi hamare timeline me kuchh aisa status yani post dalta hai jo gande hote hau ya fir hame pasand aate hai wo ti ham apne timeline me uswakt delete karlete hai. Magar jab online nahi hote hai uswakt jab joi hamare facebook timeline me kuchh gand ya fir koi aisa photos, videos ya post tag kardete hai jo hame pasand nahi aate hai isstype ka kuchh tag kardete hai to jahir si bat hai jab tak ham online aakar usse dekhenge tab tak na jane hamare kitne friends ya relations ko wo tag dikh chuka hota hai. Aur fir jab ham badhme dekhte hai to hame kitna sharm feel hota hai. Pehle mere timeline me bhi koi aisa kardeta tha to mujhe bhi kuchh isitarha feel hota tha.


Kail log ya fir hamare friends bhi aise hote hai jo apne photos, videos ya fir post par like comment badhane ke liye hame bar bar tag kar raha hota hai aise ham ek ek karke delete kar kar ke thak jate hai. Fir ham sochte hai ki yaar ham iss tagger ko apne timeline me tag karne  se roknahi sakte hai kya. Kai log ham jin photos me nahi hote hai wo photos bhi hamare timeline me tag kardete hai par ye hame pasand nahi aate hai. Aise bahut se problem aata hai.



Facebook par ham kisike timeline me kab aur kisse tag kare-



Dekhiye aap sabhise request karta hu ki kisiko bhi koi aise chij na tag kare jinse unhe koi fayada na ho. Tag aise hi chij kijiye jisse unhe kuchh sikhne ko mile ya fir fayada ho ya fir ussme uska interest ho. Jiss chij me jisko interest na ho uske timeline me wo chij tag na kare. Agar aap apne kisi friends ke timeline me koi photos ya videos ya fir koi post tag kar chahte hai to issbat ka khayal rakhiyega ki uss photos, videos ya fir post se uska kuchh juda hai ki nahi agar usse kuchh juda hai yani usse related hai to hi unhe tag kijiye.








Agar koi achhi news hai ya fir koi bada ghatna ghatgaya hai to hi kisike timeline me tag kijiye.


Note - ham aapko suggest karenge kisike timeline me kuchh tag karne se pehle usse ekbar puchh lijiye ya anumati lelijiye jisske timeline me aap tag karna chahte hai.



Apne facebook timeline me kisiko tag karne se kyun roke-



Dekhiye log aajkal apne dinbhar ka activity apne facebook par logo ke sath share karte hai. Koi apne pyar ka ijhar ko bhi facebook par share kar dete hai. Kail log aise bhi hote hai jo gande gande status, photos ya fir videos dalte rehte hai. Kai log apbe business ko promote karte rehte hai aur ye sab wo log sirf apbe timeline me nahi karte hai balke hamare timeline me bhi usse tag kardete hai jinke karan hame bahut ghussa aata hai kyuki wo post hamare kaamke nahi hote hai. Aise bahut wajah hai jinke karan ham apne facebook timeline me tag karne se rokte hai. Sab ke apne apne wajah hota hai Facebook par kisi ko apne timeline me tag karne se rokne ke.



Apne facebook timeline me kisi logo ko kuchh tag karne se kaise roke -


To chaliye ham details me sikhte hai ki apne facebook timeline me kisi ko kuchh tag karne se kaise kaise rokte hai.


1. Sabse pehle aap facebook.com par jakar apne uss id se login karlijiye jissme aap logo tag karne se rokna chahte hai.


2. Ab aap settings ke option par click kijiye fir waha par ek general account settings khuljayeya.


3. Aapko waha par kuchh options dikhega jisme ek timeline and tagging ka bhi option hoga aap uspar click kijiye. Ab aap timeline and tagging settings me aajayenge.




4. Waha par aapko kuchh options dikhega. options kuchh istarha hoga,

# Who can add things to my timeline?


Issme aapko 2 option dikhega aur dono me edit ka button hoga aap picture me bhi dekhsakte hai. Options kuchh istarha hoga,




◆ who can post on your timeline?


Issme aapko ek edit ka button dikhega waise to ye pehle se public me set hoga. Aapko waha par kuchh options dikhega,

• Only me


Agar aap chahte hai ki aapke facebook ke timeline me koi kuchh post na kare sirf aap hi kare sake to aap only me bale option ko select karlijiye.


• friends


Agar aap chahte hai ki aapke facebook timeline me aapka friends post kare to aap friends bale option ko select karlijiye.


Par hamko to apne facebook timeline me logo ko post karne se rokna hai to ham only me bale option ko select karenge.




# Preview post that friends tag your in before they appear on your timeline?



Iss option me bhi aapko ek edit ka button dikhega. Issme ham decide karte hai ki ham apne post me kisi ko kaun se post tag karne ke liye permission ya nahi. Matlab jab koi hamare timeline me kuchh post karta hai to facebook pehle hame inform karega ki ham usske iss post ko apne timeline me show karne ke liye permission de ya nahi.

Aap edit ke button par click karke isse enable kardijiye aur isse on karlijiye.


# Who see things on my timeline?


Issme bhi aapko kuchh options dikhega aur sabhime edit ka button hoga.


◆ who can see posts you've been tagged in on your timeline?


Issme agar aapko koi kisi photos, videos ya kisi post me tag karte hai to aap privacy change ya Preview karsakte hai ki aap wo kisse dikhana chahte hai. Issme aapko ek edit ka button dikhega aap uspar click karke aap apne hisab se privacy set kar sakte hai. Mai to kahunga ki aap isse Only me kardijiye taki koi na dekh paye.



◆ Who can see what others Post on your timeline?


Issme aap ke timeline me jobhi post huwa hai usse kaun dekh sakta hai wo aap apne hisab se select karlijiye par mai to kahunga ki aap only me select kijiye.










# How can i manage tags people add and tagging suggestions?


Issme bhi aapko kuchh options show hoga kuchh istarha,


◆ Review tags people to your own post before the tags appear on Facebook?



Issme aapko ek edit ka button hoga aap mere khyal se isse bhi On karlijiye.


◆ when you're tagged in a post, who do you want to add the audience if they are not already in it?


Iss option me bhi aapko ek edit ka button hoga aap edit ke button par click karke only me kardijiye.




◆ who sees tag suggestions when photos that look like you are uploaded?


Issme aap edit ke button par click karke no one kar dijiye.
















Ab aapke facebook timeline ya fir profile par koi bhi bina aapke permission ke bagair kuchh post nahi karsakta hai yani kuchh tag nahi kar payega jaise ki photos, videos, status etc. Kuchh aapko bina permission ke tag nahi karsakata hai. Waise ye post kafi lamba ho chuka hai kisi aur articles me ham sikhenge ki hamse kissne hamre timeline par tag karne ke liye permission manga hai aur ham kaise usse permission de ya nahi de.



To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

             Thank you