Mobile mein pdf file kaise banate hain | how to create pdf in mobile

Namaskar dosto aap aabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki kaise ham apne android mobile phone se pdf bana sakte hai.



Pdf ke bareme to aapne suna hi hoga. Kafi sare documents, notice wagera aise hote hai jo pdf format hote hai. Air kafi sare jagah par hame pdf format me hi koi documents ya form ko submit karna hota hai.

Ab computer me to pdf easily ban jata hai. Jab hame phone se koi notes wagera ya fir notice wagera kisiko vejna hota hai to ham sochte hai kyun na isse ek pdf format banakar sabhiko ek file me pack karke vejdu.

Aise me ab har kisike pass computer ya laptop nahi hota hai. Aur agar aap cyber me jawoge to usske bhi kuchh paise lelega wo. Aise me aap chahte honge ki apne ghar me net hai kash me ye mobile se kar pate hai. To ji haan kar sakte hai aaj isike bareme ham yaha par charcha karne bale hai.

Pdf reading format aajkal sabhi mbl phone me support hota hai. To log pdf format me koi chij pack karke vejdena pasand karte hai.

To chaliye ab ham jan lete hai ki kaise ham apne android phone se pdf file create kar sakte hai to aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Iss post me ham android mobile phone se pdf banane ke 2 tarike ke bareme batayenge.

Method 1:

How to create pdf from mobile using Camscanner

Mobile phone se pdf kaise banaye Camscanner ka use karke:


Step1. Sabse pehle aap apne android mobile phone me Camscanner application ko playstore se install karlijiye.

Aap niche digayi link se bhi Camscanner ko download karke install kar sakte hai.


Camscanner ka icon image ye raha.




Step2. Camscanner install karne ke badh isse open kijiye.

Step3. Camscanner open karne ke badh aap thoda niche side me dekhenge to ek thoda green type ke background me white color ke camera icon bale option, sidhe sidhe bolu to camera ke option par click kare.



Step4. Ab aapka camera docs mode me khul jayega. Ab aap jis bhi books ya notes ki pdf banana chahte hai uska photo click karlijiye waha se.



  • Agar aapke pass photo pehle aapke phone me hai to aap camera open karenge to left side me ek gallery yani photo ka icon ya option dikhega aap usspar click kare. Aur apne uss image ko select kare jiska aap pdf banana chahte hai.


Step5. Photo achhe click karne ke badh, automatically aapke photo ke upar ek crop ka option aajageya. Aur niche dekhenge to aapko rotate ka bhi option dikhega aap usspar click karke pehle sahi se rotate karke photo mila le, fir achhe se crop kare.



Step6. Ab aap niche buttom me dekhenge to right side me ek tick (✔) ka option dikhega aap usspar click karde.

  • Ab aapka photo crop hojayega aur automatically camscanner aapke photo me magic color effect lagjayega jisse aapke documents kafi achhe dikhne lagega. Waha par kafi sare filters option hoga aap koi bhi apne pasand se ek choose kar lijiye. Ya fir ek None ka option hoga aap wohi rehne de.



Step7. Ab aap firse niche bale right side ke tick (✔) ke option par click kardijiye.

  • Ab aapka wo image pehla page me aajayega ab aise same method ko use  karke kafi sare pages ya images ko add kar sakte hai, firse image add karne ke liye ussi camera ke option par click kare.

  • sabhi images ko add karne badh aap kis image ko kis page par rakhna chahte uss image par long press karke drag and drop karke aap jaha rakhna chahte hai usse waha par rakhlijiye.



Step8. Ab aapko upar right side me ek 3 dot bale horizontal line dikhega aap usspar click kare.


   • Ab aap apne documents ko rename karle jiss name se usse share ya save karna chahte hai. Usske badh okay par click kare. Ab aapke documents ka name change hojayega.



Step9. Ab aap Share option ke left side me dekhenge to aapko ek pdf ka option dikhega aapko uss pdf ke option par click karna hai.



  • Pdf par click karne ke badh aapka pdf create hojayega aur aap dekh payenge ki aapne kitne page ka pdf banaya hai.

To chaliye ab ham janlete hai ki jo pdf aapne banaye hai usse apne phone save ya fir share kaise karenge.

Step10. Ab aapko upar right side corner me ek share ka option dikhega aap usspar click kare.

   • Ab aap kaha par isse share karna chahte hai jaise ki gmail, whatsapp, Bluetooth, shareit etc. Aise kahi par bhi uss pdf ko send kar payenge.



Step11. Share par click karne ke badh mobile me save karne ke liye save drive ke option ko par click kare. Isse pehle aap apne phone wifi ya fir mobile data enable kar lijiye.

    • Ab aapko aapke document ka naam rename karne ka option dega google drive aap chahe to usse rename bhi kar sakte hai ya fir aise hi rehne de.

Step12. Ab aap apna gmail email address select kar lijiye jis account me upload hoga.

   • Usske badh aapko niche ek file ka option dikhega aap file bhi select karlijiye, Ya fir usse aise hi xod dijiye.

Step13. Usske badh aapko niche ek save ka option dikhega aap usspar click kare.

• Ab aapka documents aapke google drive me upload hojayega.

Aap fir easily download kar sakte hai google drive se. Agar aap direct apne pdf document ko camscanner se apne phone me save Karna chahte hai to uske liye aapko camscanner ka premium version le sakte hai.



Chaliye ham aapko batate hai ki kaise ham ham apne pdf file ko google drive se download karte hai.

Pdf ko google drive se download karne ke liye-

-> Sabse pehle aap apne phone ke google drive ko open karle aur uss folder ko bhi open karle jisme aapne apna wo pdf save ki hai.

-> Ab aap dekhenge aapke pdf file ke right side me 3 horizontal dots dikhega aapko usspar click karna hai.

-> 3 dots par click karne ke badh aapko kafi sare options dikhega unmese ek download ka bhi option hoga, to aap uss download ke option par click kardijiye.

Jaise hi aap download ke option par click karenge aapke file manager aapka pdf file download hojayega.

Aap istarha se apne android mobile phone me pdf fule bana sakte hai.

Chaliye ab jante hai ki kaise ham bina camscanner ke apne android mobile phone se pdf file create kar sakte hai.

Second method:

Android mobile phone se kaise pdf file create kare using Google drive bina camscanner ke:

How to create pdf file in android mobile phone without camscanmer:


Aap in kuchh steps ko achhe padhe aapko samajh aajayega ki kaise ham bina camscanner ke apne android mobile phone se pdf file create kar sakte hai. Ye method bhi lagbhag camscanner ki tarha hi hai.

Steps1. Sabse pehle aap apne phone ke google drive application ko open kijiye.

Step2. Usske badh aapko niche right me ek multi color bale plus ka option dikhega aapko usspar click karna hai.

Step3. Ab aapke samne kafi sare options dikhega, jinmese ek Scan ka bhi option hoga camera ke icon hoga, to aap Uss scan ke option par click kare.

Step4. Scan ke option par click karte hi aapke phone ka camera khul jayega.

  • Wahapar aapko ek flash light ka option dikhega aap night me photo click kar rahe hai to uss flash light ka bhi istemal kar sakte hai.

Step5. Camera chalu hone ke badh aapka jo bhi document hai aap uske camera ke samne me rakhe aur uska photo click kare.

Step6. Photo click hone ke badh aapko upar ek crop ke option bake box dikhega aapko usspar click karna hai aur fir apne photo ko achhe se crop karna hai.

     • crop ke option ke side me aapko ek color ka bhi option dikhega aap usspar click karke apne pasand ka color bhi desakte hai apne documents pe. Colors me aapko kuchh istarha ka options dikhne ko milega.

None: Iss option ko check mark yani tick kardenge to aapke document original color me aajyega ussme koi effect nahi dekhne ko milega.

Black and White: iss option par check karke aap apne document ko black and white colour de sakte hai.

Colour: iss option par click karke aap apne pasand ka color select kar sakte hai.

Colour Drawing: aap iss option ko select karke apne document par koi color draw kar sakte hai.

To aapko jo axa lage wo rehne ya fir mere khayal se default hi rehne de.

Step7. Agar aap aur bhi images ko add karna chahte hai to aap niche bottom ke left side bale option par click karke camera se aur bhi photo le sakte hai. Same aage ki tarha.

Step8. Sabhi documents ki photo lekar add karne badh upar aapko right side me ek 3 dotted line dikhega aap uspar click karke rename wagera kar sakte.

Step9. Ab finally aap niche bottom me right side me digayi tick ✔ option par click kare.

   • Ab aapka document bale photo pdf format me create hokar google drive me upload hojayega.

Note: Wifi, data ya fir koi ek internet connection hona chahiye isske liye.
Google drive me aap pdf upload hone ke badh aap ussko upar batayi gayi method ko dekhar pdf file ko apne mobile ke file manager me download kar sakte hai.

Thank you for visiting howtohelpinhindi.blogspot.com blog. Aap ke liye aise aur bhi kafi sare achhe achhe Post lekar aata rahunga to aap visit kare howtohelpinhindi.blogspot.com blog.

Tik Tok account ka username aur profile name kaise change kare

Namaskar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne tik tok account ka username kaise change kare. Aajkal tik tok kaun nahi use karta hoga. Tik tok ki popularity India ke sath sath dunia me bhi itne jyada badha hai ki har ghar me koi na koi tik tok banata hi hoga. Agar kuchh log tik tok nahi bhi banate hai to wo dekhta hai jarur hai.

Mujhe nahi lagta hai ki ham mese kisiko tik tok ke bareme pata na ho, lagbhag sabhi aajkal tik tok pe apna kafi time spend karte hai agar girls hai to aur bhi jyada. Kyun ki ladkiyo ko tik tok use karne me kafi jyada achha lagta hai. Aakhir tik tok hai hi itni kamal ki chij jo hame itne kam time me itna jyada entertain karta hai.

Tik tok ko log jyada dekhne ka ye bhi reason hai ki tik tok video kafi chhote choote hote hai lagbhag 15 se 20 second ka jisse hamare kafi sara time bach jata hai aur jayada funny hone ke wajah se hame entertainment bhi varpur milta hai. Ham kabhi bhi bore feel karte hai to tik tok dekhne lagte hai aur ham kuchh had tak entertain hojate hai.

Agar aap ka tik tok pe account hai aur aap apne tik tok ka username kisi bhi wajah se change karna chahte hai to ye post aapke liye hi hai. Kyun ki post me ham aapko kafu achhe tarike se samjhane bale hai ki kaise ham pane tik tok account ka username ko change karte hai.


Apna tik tok account ka Username kyun change kare :


Tik tok account ka username chane karne ka aise kafi sare reason logo ke  pas ho sakte hai jais ki galat username, ya fir spelling me koi mistake, ya fir kuchh aise characters aur number jo ki yaad rakhne me aapke fan ko kafi problem ho.

Agar iss type ka kuchh unrememberable username hota hai to aapke fan flowers badhne ka chances kam hojata hai. Kyun ki unhe yaad nahi rehta hai ki aapka wo bechida username kya tha.

Ek suitable aur remembered username rakhne liye, ya fir uss mistake bale spelling ko correct karne ke liye. Jab ham pehli bar tik tok pe account banate hai to Kai bar jan bujhkar kuchh aise username rakhlete hai jo dusra kisine na rakhaho aur tik tok support karle, par aisa username hame yaad rakhne me kafi problem hota hai.

Khair sabke apne apne reason hota hai tik tok ke username ko change karne ka, reason jo bhi ho chaliye ham janlete hai ki kaise ham apne tik tok ke username ko change kar sakte hai. To aap post ko chhe se padhiye aur samajhiye.

How to change tik tok username | Tik tok ke username ko change kaise kare :


Step1. Sabse pehle aap apne phone me tik tok application ko open kar lijiye.



Step2. Usske badh apne profile me jaye. Wahapar aapko ek Edit Profile ka option dikhega.

Step3. Uss red color background bale Edit Profile ke option par click kijiye.

Tik Tok account ka username aur profile name kaise change kare


Step4. Usske badh aapko aapka profile name aur username dekhne ko milega.

  • Agar aap apna profile name change karna chahte hai to uss profile name ke option par click karke change kar sakte hai.

• Agar aap apne tik tok account ka username change karna chahte hao to aap aage ka steps follow kare.



Step5. Aap username ke option par click kare aur apne puarane yani old username ko edit kare.

• Jab aap username ke option par click karenge to ho sakta hai aapko ek promt show jare jissme kuchh bataya ho, waha par niche ek got it ka option hoga, to aap got it par click karde.


Tik Tok account ka username aur profile name kaise change kare


Step6. Username edit hojane ke badh upar right hand corner pe aapko ek Red background bale save ka option dikhega aapko usspar click karna hai.

Ab aapka username change jojayega aap apne profile ko firse reload karke apna naya username dekhsakte hai jo ki aapne abhi change kiya hai.

Note:
QNA:

Q. Kya ham apne tik tok username ko bar bar change kar sakte hai ?


A. Of course, aap kar sakte hai par tik tok ka kuchh policy hai jaise ki aap ekbar username change karne ke 30 din badh hi firse dubara apna tik tok account ka username change kar payenge.

Aur ho sakta hai aap koi scam karne ki kosis kare aur tik tok ko samajh aajaye to aapke account terminate bhi kar diya jayega. Isiliye koi achha sa username sahi se change kare aur bara bar na kare.


Aapke liye aise hi ham aur bhi kafi sare achhe achhe post lekar aate  rahenge to aa howtohelpinhindi.blogspot.com blog ko visit karte rahiye.


Normal aur smart led tv ko mobile phone se kaise connect kare - 3 tarika

Namaskar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai aaj ham sikhenge ki kaise ham Android mobile phone ko apne tv se connect kar sakte hai. I mean kaise ham apne apne mobile phone ke screen ko tv me cast kar sakte hai.



Iss article me ham 2 tatike dekhenge apne Android mobile phone ko Tv se connect kaise karte hai.

1. First method: Smart Led Tv ko kaise android mobile phone se connect karte hai bina wire ke.

2. Second method: Normal Led Tv ko kaise ham apne android mobile phone se connect kar sakte hai.


Aapne kisi party function kisi shaadi vivah ya fir kisi ke gharme jarur dekha hoga log apne mobile ke screen apne tv me cast kar rahe hote hai.

Yani simple language me bole to jo bhi ham apne android mobile phone me chalayenge jo bhi photos, videos wagera apne phone me dekhenge ya fir kuchh bhi apne mobile phone me karenge wo hamare tv me dekhai denge Bilkul waise hi.

To chaliye ham jan lete hai ki kaise tv ko apne smart phone se connect kar sakte hai. Sabse pehle ham smart led tv ko android mobile phone se connect karne ke bareme aapko sikhayenge uske badh normal led tv ko kaise android phone se connect karte hai uske bareme sikhayenge. To aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Method 1:

How to connect Android mobile phone to smart led tv


Step1. Sabse pehle aap apne smart led tv ko on kare.

Step2. Apne television me settings option ko open kare.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Step3. Waha par aapko ek wireless display ka ek option dikhega aap usspar tv remote ke ok button se open kar lena hai.

   • Agar aapke tv me wireless display ya connect jaisa koi option nahi hai yo aapka tv ek normal led tv hai usske liye aap aage padhe aage maine normal tv ke liye bhi bata rakha hai.

Step4. Usske badh aap aap wireless display ke On bale button par Ok press karke on karlena hai.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Step5. Usske badh aapko apne android mobile phone ke notification me jana hai, waha par aapko ek Cast ka option dikhega ya fir wireless display ya fir connect ka aapko uss par click karna hai.

   • Agar waha par aapko aisa kuchh option nahi dikhe to aap apne mobile phone ke settings me jaye fir wireless settings me jaye aur waha lar khoje ki aapko aisa kuchh options dekhne ko milta hai ya nahi.

  • Agar aapke phone me Cast, wireless display, ya fir connect jaisa option nahi dekhne ko mil raha hai to aapke phone me sayad ye feature nahi hoga screen cast karne ka, aap ek bar playstore se mira cast ko download karke try kare.



Step6. Usske badh aapko apne phone ke uss cast ya fir wireless display ke option par click karna hai.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Step7. Fir setting ka option aayega uss par click karna hai uske badh wifi hotspot jaisa khulega.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Step8. Waha par aapko apne tv ka naam dekhkar uspar click karna hai.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Usske badh aapke Television yani tv me ek text dekhne ko milega Ready to connect aur fir automatically aapke tv android phone se connect hojayega.

Ab aap kuchh bhi display kar sakte apne tv me. Mere kehne ka matlab hai ki aap jo bhi apne mobile phone me chalayenge wo sab aapke tv me bhi dikhega. Aap apne android phone ko wifi se bhi connect karke chala sakte hai. Aap apne android phone se youtube facebook bhi apne tv me chala sakte hai.

Note: Isske kuchh wifi range hote hai jaise hi aap range se jyada dur jane lagenge aapke video ruk ruk kar chalne lagega ya fir range se puri tarha se bajar chale jane ke badh screen cast hona band hojayega.

To chaliye ab ham jan lete hai ki kaise ham Normal LED Tv ko android mobile phone se connect karke screen cast kar sakte hai aur youtube  tv me chala sakte hai ya fir kuchh apne mbl ke screen ko tv me display kar sakte hai.

Normal TV ko bhi android mobile phone se connect karne ka 2 tarika mai yaha par aap sabke bataunga. Pehla Wifi dongal jaise ki AnyCast , Chromecast se connect karke aur dusra cable wire ke jariye. To aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Method 2:

How to connect normal tv to Android mobile phone


Normal Tv ko android mobile phone se kaise connect kare aur youtube chalaye.

First way (i):

Sabse pehle aapko ek wireless wifi Display dongal kharidna hai. Aap kisi shop se le sakte hai ya fir Amazon, flipkart se bhi kharid sakte hai.

Aap Wireless Display Dongal Anycast ka le kyuki jyadatar log anycast hi use kar raha hai. Aap chahe to Chromecast ya koi aur bhi le sakte hai par anycast thoda easily mil jata hai.

About Anycast: To chaliye ham kuchh baten anycast ke bareme jan lete hai. Anycast ke font par uska logo or Naam Anycast likha hua rehta hai.

Normal led tv ko Android mobile phone se kaise connect kare | How to connect android phone with LED TV


Uske pichhe bale hisse ke upar ek indicator light hota hai jisse ye pata chalta hai ki Anycast me light aa raha hai. Uske aage bale hisse me ek HDMI port hota hai.


Aur pichhe ke hisse me ek switch hota hai jisse ham mode ko change karte hai. Agar aapke mobile me anycast ka simbol nahi aaraha hai to iss switch ke madat se aap lasakte hai.

Anycast ke niche pichhle hisse me ek micro usb dia gaya hota hai jisse ham anycast ko power dete hai.

Aap anycast jab kharidenge to aapko ek wire bhi dega Anycast ke sath sath usme multiple wire connected rahega.

Uss anycast ke wire me ek micro USB port hoga aur ek wifi ka hoga aur ek hog USB jisse hame charger me lagakar uss wifi dongal me power dena hai.

To chaliye ham jante hai ki kaise ham use karte sakte hai anycast ko.

Step1. Sabse pehle aap uss anycast bale USB cable ko apne Charger se connect karke electricity se connect kare.

Agar aapke TV me USB port diya gaya hai to aap charger me na lagakar Aap direct Apne LED TV ke USB port me laga sakte hai.

Step2: micro USB cable ko Anycast ke pichhle bale hisse me connect kare taki anycast me power aayege.

Jaise hi anycast me power aayega ussme jo indicator light hai wo on hojayega aur jalne lagega.

Step3: Ab aapko uss Anycast bale wifi Dongal ko apne TV ke HDMI port me insert karna hai matlab lagana hai.

Kuchh LED TV me 2 HDMI port dia huwa rehta hai to aap kisi ek HDMI port me uss Wifi dongal ko lagade.

Wo jo wifi bale ek wire tha wo aise hi latakta rahega usse kuchh nahi karna hai. Aap usse aise hi latakte regne de. Isi wifi cable jariye hamara mobile LED TV se connect hoga.

Step4: Itna sab karne ke badh aap apne LED TV ka power on kare fir Apne LED TV ka remote le ussme aapko ek Source ke button dikhega.

Aap uss remote me gaur se dekhenge to aapko kahi par ek sources ka button jarur dikhega. Aapko uss source bale button ko press karna hai matlab dabana hai.

Step5: Jaise hi aap uss source bale button ko press karenge aapke samne ek source list khulkar aapke tv me aajayega jissme kafi sare options hoga. To aapko HDMI ke option dekhkar uss par OK dabana hai apne remote ke madat se.

HDMI pe click karne ke badh aapke LED TV ka screen change hojayega aur wifi bale screen aajayega aapke LED TV par. Jissme likha hoga Waiting for connection...

Step6. Ab aapko apne mobile phone ke settings me jana hai. Usske badh wireless display setting me jana hai.

Agar aapko Wireless Display ka option na dikhe to aap apne mobile settings me pehle jaye fir more me jaye ya fir wireless settings me jaye waha par aapko wireless Display ya fir ek connect ka option dikhega. Kuchh phones me wireless display ki jagah connect ka option hota hai.

Aap wireless display ya fir connect ke option ko apne phone ke status bar me bhi khoj sakte hai apne phone ke screen ko upar se niche slide karke.

Agar aapke phone me koi Wireless Display ya fir connect jaisa koi option nahi dikha raha hai to aap Mira cast application ka istemal karsakte hai. Aap mira cast app ko google playstore se download kar sakte hai. Agar koi application bhi support nahi kara raha hai to aapke phone me ye nahi hoga aap koi dusra phone use kar sakte hai jissme screen display ka support ho.


Step7. Jaise hi aap apne mobile phone me wireless Display par click karenge, aapke phone ka wireless display On hojayega aur aapke wifi dongal i mean anycast ka naam aajayega.

Wohi same naam aapke TV ke screen par bhi likha hoga to aapko uss wifi dongal ke naam par click karna hai.

Jaise hi aap wifi dongal ke naam par click karenge to aapka phone aapke LED TV se connect honelagega aur aapke TV me bhi Obtaining ip address.... Likhar aane lagega fir aapko kuchh nahi karna hai wo apne aap connect hojayega.



Note: Kuchh mobile phone me wifi on karne ki jarurat nahi hota hai wo automatically connect hojata hai, to kuchh pbone me wifi on karna hota hai.

Ab aap iss tarha se apne mobile phone ke screen ko TV pe display kar payenge.
Ek aur tarika hai apne mobile phone ko normal tv se connect karneka bina wifi dongal i mean bina anycast ke. Aap bina anycast ke bhi apne mobile phone ke screen ko apne normal LED TV se connect kar payenge. To chaliye jante hai kaise.

Way (ii):