Tik Tok account ka username aur profile name kaise change kare

Namaskar dosto aap sabhiko mere iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne tik tok account ka username kaise change kare. Aajkal tik tok kaun nahi use karta hoga. Tik tok ki popularity India ke sath sath dunia me bhi itne jyada badha hai ki har ghar me koi na koi tik tok banata hi hoga. Agar kuchh log tik tok nahi bhi banate hai to wo dekhta hai jarur hai.

Mujhe nahi lagta hai ki ham mese kisiko tik tok ke bareme pata na ho, lagbhag sabhi aajkal tik tok pe apna kafi time spend karte hai agar girls hai to aur bhi jyada. Kyun ki ladkiyo ko tik tok use karne me kafi jyada achha lagta hai. Aakhir tik tok hai hi itni kamal ki chij jo hame itne kam time me itna jyada entertain karta hai.

Tik tok ko log jyada dekhne ka ye bhi reason hai ki tik tok video kafi chhote choote hote hai lagbhag 15 se 20 second ka jisse hamare kafi sara time bach jata hai aur jayada funny hone ke wajah se hame entertainment bhi varpur milta hai. Ham kabhi bhi bore feel karte hai to tik tok dekhne lagte hai aur ham kuchh had tak entertain hojate hai.

Agar aap ka tik tok pe account hai aur aap apne tik tok ka username kisi bhi wajah se change karna chahte hai to ye post aapke liye hi hai. Kyun ki post me ham aapko kafu achhe tarike se samjhane bale hai ki kaise ham pane tik tok account ka username ko change karte hai.


Apna tik tok account ka Username kyun change kare :


Tik tok account ka username chane karne ka aise kafi sare reason logo ke  pas ho sakte hai jais ki galat username, ya fir spelling me koi mistake, ya fir kuchh aise characters aur number jo ki yaad rakhne me aapke fan ko kafi problem ho.

Agar iss type ka kuchh unrememberable username hota hai to aapke fan flowers badhne ka chances kam hojata hai. Kyun ki unhe yaad nahi rehta hai ki aapka wo bechida username kya tha.

Ek suitable aur remembered username rakhne liye, ya fir uss mistake bale spelling ko correct karne ke liye. Jab ham pehli bar tik tok pe account banate hai to Kai bar jan bujhkar kuchh aise username rakhlete hai jo dusra kisine na rakhaho aur tik tok support karle, par aisa username hame yaad rakhne me kafi problem hota hai.

Khair sabke apne apne reason hota hai tik tok ke username ko change karne ka, reason jo bhi ho chaliye ham janlete hai ki kaise ham apne tik tok ke username ko change kar sakte hai. To aap post ko chhe se padhiye aur samajhiye.

How to change tik tok username | Tik tok ke username ko change kaise kare :


Step1. Sabse pehle aap apne phone me tik tok application ko open kar lijiye.



Step2. Usske badh apne profile me jaye. Wahapar aapko ek Edit Profile ka option dikhega.

Step3. Uss red color background bale Edit Profile ke option par click kijiye.

Tik Tok account ka username aur profile name kaise change kare


Step4. Usske badh aapko aapka profile name aur username dekhne ko milega.

  • Agar aap apna profile name change karna chahte hai to uss profile name ke option par click karke change kar sakte hai.

• Agar aap apne tik tok account ka username change karna chahte hao to aap aage ka steps follow kare.



Step5. Aap username ke option par click kare aur apne puarane yani old username ko edit kare.

• Jab aap username ke option par click karenge to ho sakta hai aapko ek promt show jare jissme kuchh bataya ho, waha par niche ek got it ka option hoga, to aap got it par click karde.


Tik Tok account ka username aur profile name kaise change kare


Step6. Username edit hojane ke badh upar right hand corner pe aapko ek Red background bale save ka option dikhega aapko usspar click karna hai.

Ab aapka username change jojayega aap apne profile ko firse reload karke apna naya username dekhsakte hai jo ki aapne abhi change kiya hai.

Note:
QNA:

Q. Kya ham apne tik tok username ko bar bar change kar sakte hai ?


A. Of course, aap kar sakte hai par tik tok ka kuchh policy hai jaise ki aap ekbar username change karne ke 30 din badh hi firse dubara apna tik tok account ka username change kar payenge.

Aur ho sakta hai aap koi scam karne ki kosis kare aur tik tok ko samajh aajaye to aapke account terminate bhi kar diya jayega. Isiliye koi achha sa username sahi se change kare aur bara bar na kare.


Aapke liye aise hi ham aur bhi kafi sare achhe achhe post lekar aate  rahenge to aa howtohelpinhindi.blogspot.com blog ko visit karte rahiye.


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

3 comments

comments
May 25, 2022 at 3:01 AM delete

QuickBooks customers can dial a toll-free Quickbooks Customer Service +1 855-885-5111 to get answers to their questions. The phone line is free and the live operators are trained to handle many QuickBooks-related issues.

Reply
avatar
December 27, 2022 at 9:47 PM delete

Thanks a lot for giving us such a helpful information. You can also visit our website for ignou assignment solved handwritten

Reply
avatar
January 31, 2023 at 10:31 AM delete

https://www.tiktok.com/@shehadkhan16?_t=8ZUcJTU46vy&_r=1

Reply
avatar