Mobile se paytm KYC kaise complete kare - how to help in hindi



Paytm KYC kaise kare

     Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai aaj ham sikhenge ki mobile se paytm KYC karte hai.
Paytm ke topic par maine aur bhi aise post likhe hai aap usse bhi ekbar jarur padhiye. Aapko uss article ke paytm ke bareme kafi kuchh janeko milega.

Mobile se paytm KYC kaise complete kare - how to help in hindi

Pytm kya hai paytm par account kaise banate aise aur bhi kafo sare paytm se related post aapko hamare blog par dekhne ko mijayega.

Related: Paytm account ko permanently delete ya deactivate ya fir block kaise kare

Paytm kyc karne se pehle chaliye ham kuchh iske bareme jaan lete hai ki paytm KYC kya hai.

Paytm KYC kya hai:

     KYC ka matlab yani full form hota hai Know your Customer.



KYC ek form hota hai jisske madat se aap apne customer ko jan sakte hai. Aap koi bank account kholte hai, ya fix deposit karbate hai ya fir insurance policy lenge aise koi financial kaam karenge to aapse ek KYC form varbaya jayega. Sathi hi sath aapse ek id proof bhi leta hai jaise Aadhar card, pan card, driving license etc.

Reserve Bank of India ne insab chijo ko lene ke liye sabhi financial company me anibarya kardiya gaya hai.

Jisse aapke puri details wo apne pass rakhte hai. Taki kalke din me aap agar koi scam ya illegal kaam karte hai to aapko pakad liya jayega.

To chaliye dosto ab ham jan lete hai ki Paytm KYC kaise karte hai. First method me ham simple method ke bareme me sikhenge jo ki ham easily kar sakte hai.

To aap post ko achhe se padhiye aur samajhne ki kosis kijiye.

Method 1 : Simple method



> Sabse pehle aap Paytm ke official application ko open karlijiye.

> Aap paytm application ko open karenege to aapko interface me kafi sara options dikhega, jinmese ek Passbook ka option hoga.

> To aapko uss passbook ke option par Tap karna hai.

> Usske badh aapko kuchh important documents select ka option dikhega.

• Agar aap paytm wallet use karna chahte hai to aapko niche digayi documents ke options me se kisi ek options ko select karna hoga.

• Aur fir apna wo uss documents ka details dena hoga aur documents ko upload karna hoga. Options kuchh iss tarha hoga,

         PAN Card
         Passport
         Voter ID
         Driving License
         NREGA JOB Card

Aapke pass inmese koi documents hai to aap wo dal sakte hai. Aap jis document ko dalna chahte hai aap uss option ko select kijiye.

• Agar aap pancard ke option par Tap karte hai to aapko waha par apna pan number aur naam etc. Wagera dalna hoga.

• Yahi same process other documents select karne par bhi dekhne ko milega.

> Usske badh aapko Confirm ke box me check mark yani tick lagake confirm karna hai ki, aapne jo documents selec ki hai wo original hai.

> To aap apne document ke details ko sahi se dekhle aur agar sab sahi hai to fir confirm ke box me check karke Submit ke button par tap kijiye.

> fir paytm aapko account secure yani lock karne ko bolega.

Paytm aapko account secure karne ke liye ek pattern screen lock ka option dega.

• Agar aap lock karna chahte hai to aap apna pattern select karke karke enable pattern lock ke option par tap kijiye.

• Agar aap avi pattern nahi kagana chahte hai to wahapar niche ek i will do it later ke option par tap kijiye. Fir '×' sign par tap karke screen lock ko skip kardijiye.

Fir aapko paytm kyc ka option dikhega aap waha se paytm kyc kar sakte hai. Par ab aapko yaha oar paytm KYC ka option dekhne ko nahi milega.

To aapko kisi Paytm center me jakar apna paytm KYC karbana hoga. Chaliye ham jan lete hai ki kaha kaha par paytm kyc hai. Ham kaha jaye paytm KYC karbane.

To ab kya kare to isske liye chaliye jante hai dusre method ko.

Paytm KYC: 2nd method:

> Aap firse Paytm application ke home page par jaiye.
   Wahapar aapko upar left side 3 line bar dikhega. Aapko usspar tap karna hai.

> Fir aapko kafi sara options dikhega unmese niche ek Profile Settings ka option dikhega.

> Aapko uss Profile settings bale option par tap karna hai.

> Usske badh KYC details ke niche dekhege to aapko ek complete Your KYC ka option dikhega aapko uss par tap karna hai.

> Usske badh KYC Points me aapko pan details varna hoga.

Details kuchh istaraha ka varna hoga.

State: Aapko wahapar apna state select karna hai.

District: usske badh aapko apna district select karna hai.

> Jaise hi aap Apna district dalenge aapko uss district ka ek pincode dekhne ko milega.

Uss pincode ke help se apne location ke aaspas ke sabhi paytm kyc ka center dikhjayega jaha se aap apna pura documents upload yani submit kar sakte hai.

• Agar aapko koi paytm karne bala center na dikhe to thoda location badhkar city bala location dekar dekhiye aapko dikhjayega.

Agar aap kisiko jante hai jo patm KYC karta ho to aap usske pass jakar bhi apna paytm kyc karba sakte hai. Jaise hi aap apna full documents upload karte hai to aapko paytm kuch cash back dega.

Ab paytm kitna cash deta hai 200, 400 ye paytm ke upar depend karta hai. Par aapko ussi complete your KYC ke option me dekhne ko miljayega.



paytm kyc kaise kare 2019
paytm kyc kaise kare online
paytm kyc kaise kare 2020
paytm kyc kaise kare in hindi
paytm kyc kaise complete kare
paytm kyc kaise banaye
kyc complete kaise kare
paytm kyc kaise kare in hindi youtube

Thanks to Visit Howtohelpinhindi.blogspot.com

Tik Tok video me slow motion Ya reverse effect kaise dale - android | iPhone se


Tik Tok Slow motion video: Namaskar Dosto aap Sabhi Ko Mere Hotohelpinhindi.blogspot.com  blog Mein Swagat hai. aaj ham sikhenge ki Android mobile me tik tok par kaise slow motion video banate hai.

Tik Tok video me slow motion Ya reverse effect kaise dale - android | iPhone se

Tik Tok se related maine aage bhi kai post likha hai. Aap niche digayai link par click karke hamara wo bhi post padh sakte hai. Aajkal to sabhi tik tok pe video dal raha hai. Apna apna ek achhe se acting karke tik tok pe video ko upload kar raha hai.

Par aapne dekha hoga ki tik tok pe kafi kafi achhe se achhe videos dekhne ko mil jata hai jin me se aajkal slow motion videos bhi kafi popular hai. Log achhe se achhe slow motion video dalkar upload kar rahe hai.

Kuchh log to videoe me aisa slow motion effect dalta hai ki lagta hai koi professional video hai. Jaise ki filmo me hote hai.

Agar aap bhi tik tok use karte hai aur aap apne video me slow motion effect dalna chahte aur aapke pass ek android phone hai. To aap slow motion video easily bana sakte hai. Halaki ye trick dono me kaam karta hai chahe wo android ho ya fir iPhone.

Ye video slow motion bala feature tik tok ne hi provide ki hai so aap android phone se tik tok pe video bana rahe hai ya fir iPhone se to bhi iss slow motion bale effects ko use kar sakte hai.

Reverse video on tik tok:
                Yaha par mai aapko reverse video ke bareme bhi batane bala hu. Slow motion ke sath sath reverse video bhi kafi popular ho raha hai aapne to dekha hi hoga.

Agar aapko reverse video nahi pata hai to mai aapko bata du ki reverse video ka matalab hota hai ki agar aap aage badh rahe hai. Ya fir aap bike se aage ja rahe hai air aapko wohi scene pichhe ki taraf dikhayega. Matlab aap bike ko pichhe chala rahe hai. Ya fir aap pichhe ja rahe hai. Issiko kehte hai reverse video.

Aapne tik tok ya fir youtube par dekhe honge kafi sare reverse video dale hote hai. Jo kuchh kafi achha hota hai. Waise hi aap bhi slow motion aur reverse bale video bana skate hai.
Ye reverse ka bhi feature tik tok ne hi provide ki hai so aap iss reverse feature ko bhi apne android Mobile me ya fir iPhone me bhi use kar sakte hai.

Slow motion aur Reverse feature ko video me karte time ye chij yaad rakhe:




Agar aap apne video me slow motion ya fir reverse effects dal rahe hai video ko achhe banane ke liye, to aap uss slow motion aur reverse ke effect ko jyada use na kare. Warna aapka video kharab hojayega. Bas aap iss slow motion aur reverse ke effect ko sahi jagah par sahi se use kare. Har jagah par isska istemaal karenge to aapka video jyada achha nahi lagega.

Kuchh log alag se bhi video ko kisi achhe video editor software se edit karke slow motion aur reverse ka effect dalta hai video me aur fir wo uss video ko tik tok par upload kar sakte hai. Aap bhi aisa kar sakte hai. Par yaha par mai aaj sirf tik tok ke feature ke bareme baat karne bale hai.

To chaliye ham sikh lete hai ki kaise ham tik tok video me slow motion effect or reverse effect dal sakte hai. To aap post ko achhe padhiye aur samajhiye.

Android mobile ya iPhone me tik tok video me slow motion ya reverse effect kaise dale:




> Sabse pehle aap tik tok musically application ko open kar lijiye. Aur ussme sign in kar lijiye.

> Usske badh aap create video par click kijiye.
• Agar aapko nahi pata hai ki tik tok ko kaise use karte hai to aap hamara ye post padhiye.


> Jaise hi aap video ko record karlete hai tik tok me to video finish karne se pehle niche aapko Next button ke Left side ek timer ka icon or option dikhega.

> Aapko uss timer ke option par click karna hai.

> Usske badh aapko ek time effect ka option dikhega. Aapko uss time effects ke option par click karna hai.

> Fir aapko apne video me pehle cursor ko set karna hai ki aap kaha se apne video ko slow motion effect dena chahte hai.

> Video set karne ke badh agar aap slow motion dena chahte hai to slow motion bale option par click kijiye. Agar aap Reverse effect dena chahte hai to aap reverse ke option par click kijiye.

> Waha par ab aap apne hisab se time duration set kar sakte hai ki aap kitne time tak kitna fast rakhna chahte hai aur kitne time tak kitna slow.

Aap achhe se duration milate rahiye jab aapko lagega ki joagaya fir next ke ya fir save button par click karke video ko save aur finish kardijiye.

To aap iss tarha se apne android mobile se tik tok video me slow motion effect ya fir reverse effect dal sakte hai.

Thank you for visit howtohelpinhindi.blogspot.com visit again.

Android Mobile me calculator me Apps aur photos ya videos ko kaise hide kare



Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne android phone me calculator app hider se mobile ke photos , video aur apps ko kaise hide karte hai. Ye kafi achha app hiding tarika hai. Issme aap apne app ko ya fur photos videos ko hide kardenge to koi bhi nahi soch payega ki aapne kisi photos, videos ya fir apps ko hide kiye honge.

Android Mobile me calculator me Apps aur photos ya videos ko kaise hide kare - howtohelpinhindi

App ya fir photos, videos kyun hide karte hai:

            Dekhiye kaibar kya hota hai hamare Mobile phone me kuchh important ya fir private photos , videos ya fir koi app hota hai. Jisse ham logo ke sath sare nahi karna chahte hai. Aur jab dusra koi hamara phone use karta hai to wo un sabhi photos, vides, ya fir apps ko dekh leta hai jo ki ham nahi chahte hai.

Kyunki ho sakta hai uss images, video, ya fir apps me hamara koi bank se related documents ho ya fir kuchh aise pernal chij jo hal chahte hai ki koi na dekhpaye.

Aise bohot se reasons ho sakte hai apps ya fir photos , videos ko hide karne ka, ye kuchh common reasons tha. Jinke wajah se ham apne kisi special apps aur photos , videos ko hide karna chahte hai.

Calculator bale app hider se photos , videos ya apps hide karne ka fayada :


Calculator bale apps hider se aap apne android mobile phone me apps, photos, aur videos ko hide karte hai. To kabhi kisi ko pata nahi chalega ki aapne koi apps, ya fir photos videos ko hide ki hai. Kyunki iss aap ko log jab bhi open karega usse sirf aapke Mobile phone ka calculator dikhega.

Aur ye calculator ekdam sahi kaam karta hai. Aap issme maths ke sabhi chijo ko calculate kar sakte hai. Ye bilkul aapke phone ka calculator banjayega.

To chaliye ab ham janlete hai ki android mobile phone me  calculator ke andar kisi apps ya fir kisi photos, videos ko kaise hide kar sakte hai. To aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Calculator se android me apps ya fir photos, videos ko hide kaise kare:

Calculator app hider app ko use kaise kare:

> Sabse pehle aap playstore se App hider application ko download karlijiye.
       •Aap chahe to niche digayi download link se bhi download kar sakte hai.



App Hider Icon

Android Mobile me calculator me Apps aur photos ya videos ko kaise hide kare


> Download hone ke badh aapko uss app hider application ko open karna hai.

> Fir aapko interface me kuchh iss tarha ka options dekhne ko milega.

    -3 Line: Aapko Left side me upar ek 3 Line ka options dikhega aap uss par click karenge to aapko aur bhi kafi sare options dekhne ko milega.
    • Iss options ke bareme ham aage pure details ke sath janenge.

        - Setting Icon: Right side me dekhenge to aapko ek settings ka icon dikhega. Aap settings ke icon par click karenge to aapko kuchh istarha ka options dekhne ko milega.

     - Reset Pin:
                 Iss option par click karke aap uss pin ko firse set kar sakte hai jo ki aapne aage app protection ke liye suru me lagaya tha.
   
  • Ham isske bareme bhi aage chalke details me janenge ki password yani isske pin ko kaise reset kar sakte hai.

  - Notifications:
> Usske badh aapko niche ek Notification ka icon dikhega. Aapko notification me bhi kuchh istarha ka options dikhega.

( )Total number of Notifications from hidden apps: Agar aap hidden apps ke sabhi notification ke sirf number pana chahte hai ki total notifications kitnaa huwa, to aap iss option ko select kijiye.

(•) Every notifications from hidden apps: Agar aap hidden apps ke sabhi notifications ko pana chahte hai to to aap iss option ko select kijiye.
      • By default yahi option set rahega, agar aap isse change karna chahte hai to aap isse change bhi kar sakte hai.

( ) None: Agar aap hidden apps ka koi notifications nahi pana chahte hai to aap iss option ko select kijiye. Issko select karenge to aapko hidden apps ka koi notification nahi aayega.

- Hide from recent: Issme ek On aur OFF ka option hoga aapko usse karna hai. Fir aapko ye sabhi recent aaps dikha dega aap usse hide kar sakte hai. Ye by Default On hi rahega. Agar aap usse Off karna chahte hai to aap isse off bhi kar sakte hai.

> Usske badh jo options sab hai wo koi khas kaam ka nahi hai. Usske badh aap firse back Aayenge to aapko kuchh iss tarha ka options dikhega jo main options hai.

- Protect App Hider:
                       Iss option par aap tap karenge to aapko ek pin yani password set karne ko bolega jisse app hider application ko koi dusra insan open nahi kar payege. Isske bareme ham aage baat karenege.

     - Gallery:
              Agar aap kisi photos ya videos ko apne gallery se hide karna chahte hai to aap iss option par tap kijiye.

> Aap Gallery ke option par Tap karenge to aapko wahapar ek red color me + plus  ka option dikhega aapko usapar tap karna hai.

> Aap uss red color ke + ke sign par click karenge to aapko kuchh istarha ka options dikhega.

    - Import photo | video: Aap iss option par Tap karke apne gallery se kisi photo ya video ko select karke. Usse firse import ke button par Tap karke aap uss photo ya video ko aap iss app hider me hide kar sakte hai.

- Take photos: Iss option par click karke aap apne phone ke camera se koi photo click karke uss photo ko hide kar sakte hai.

- Take Video: Aap iss option par Tap karke apne phone ke camera se koi new video record karle usse hide kar sakte hai. Same image ki tarha.

- Add Album: Iss option par tap karke aap ek naya Album create kar sakte hai aur aap uss Album me apna photos ya fir videos ko hide karke rakh sakte hai.

Apps ko hide kaise kare:



> Aap firse Back jayenge To aapko interface me ek Add Apps ka bhi option dikhega, aap usspar click karenge to aapko waha par kafi sara apps dikhega, to aapko jis jis apps ko hide karna hai aap un sabhi apps ko select karke Import Apps ke option Tap kijiye.

> Ab aapka app hide hojayega. Aap uss app hider application se bahar aaiye aur fir aapne jin jin apps ko hide ki hai wo sab app ko apne phone se uninstall kardijiye.
  • Par yaad rahe App hider application me se aapko uninstall ya fir delete nahi karna hai.

> Usske badh aap Aap App hider application ko firse open kijiye aur Protect Appp hider ke option par Tap kijiye.

> Wahapar aapko pin yani password set up karne ke liye bolega.
  •Jisse kya hoga koi bhi aapke iss application ko khol nahi payega. Aur iss appka naam aur icon dono change hojayega.

Name App hider hatkar calculator+ plus hojayega aur green color me App ke original icon change hokar calculator ka icon aajayega.

> Set up pin par Tap karenege to aapko bolega, please enter a 4 digi number as your password.
      • Yaha par aapko koi 4 digit ka number dalna jisse aap apne password ya pin rakhna chahte hai. Yaad rahe password bhule na koi aisa password rakhiye jisse aap yaad rakh paye. Ya fir kahi par aap password ko likh lijiye.

          • Man lijiye Maine password 1111 rakha hai. Password dalne ke badh aapko ek reset aur confirm ka option dikhega agar aap ussi password ko rakhna chahte hai to aap confirm pe tap kijiye. Agar aap password ko change karna chahte hai to aap reset pe tap kijiye.

> Aap jaise hi password confirm kar denge App hider app calculator bankar open hoga. Aur wo ekadam original calculator ki tarha kaam karega. Ab aapka sara apps aur photos, videos uss calculator ke andar hide hogaya hai.

> Ab aap uss App me firse kaise enter karenge. Usske liye aapne mobile Apps manager me jaye jaha se aap sabhi apps ko chalate hai.

> Fir aap uss Calculator + ke green color bale icon par Tap kijiye. Fir calculator open hoga to aapko uss calculator me wohi pin ya ni password dalna hai jo aapne wahapar set kiya tha.

• Jaisw ki maine kiya the 1111 jaise me 1111 dalunga ki automatic wo app hider open hojayega. Fir aap un sabhi apps ya fir photos, videos ko apne hosab se waha se hide ur unhide kar sakte hai.

Pin yani Password reset kaise kare:

> Agar aap isska pin reset karna chahte hai to aapko iss app hider application ko open karenge to aapko Left side me upar 3 Line ka option dikhega aapko uss option par Tap karna hai.

> Aap 3 Line bale option par tap karenge to wahapar aapko kafi sara options dikhega jinmese ek reset pin ka option hoga.
        •Aap iss reset pin bale option par tap karenge to aapko pehle purana wo 4 digit ka pin magega jo aapne rakha tha. Fir aapko new pin reset karne ke liye bolega. To aap new pin set kar sakte hai.

> 3 Line bale Option me aapko ek Protect app hider ka bhi option dikhega aap uss par tap karenge to aapko waha par bhi Reset pin aur disable ka option dikhega.
         • Aap chahe to yaha se bhi pin ko reset kar sakte hai ya fir disable kar sakte hai.

> Agar aap pin ko disable kardete hai to firse isska naam change hokar original app name aur app ka icon aajayega.

Niche digayi sabhi topics ko maine iss post cover karne ki kosis ki hai jo chhut gaya hai usse kisi dusre post me batane ki kosis karunga.

Thanks to visit Howtohelpinhindi.blogspot.com visit Again