About Us

                  ABOUT US


              About Us in hindi


Namaskar dosto aap sabhiko howtohelpinhindi.blogspot.com me swagat hai. Howtohelpinhindi ka makshad hi logo ko hindi me help karna hai. Aapko howtohelpinhindi.blogspot.com par internet, apps, software,g ames,  social Networks,  blog, blogging, blogger, youtube, make money online, android, mobile, computer, browsers, motivation se related lagbhag wo bhi articles miljayega jo aap chahte hai. Hamara pura koshis aapko hindi me help karneka rahega.


Howtohelpinhindi ke bareme janiye



Howtohelpinhindi (हाऊ टू हेल्प इन हिंदी) iss site ka naam se hi pata chalta hai ki logo ko hindi me kaise help kare. Maine ye blog july 2016 aur nepali date 2073 me banaya tha. Yaha ham unsabhi logo ke help karte hai jo internet ke duniya me anjaan hai. Aajkal jamana bahut hi teji se aage badh raha hai. Jamane ko itna badalne me  sayad mujhe lagta hai internet ka hi bahut bada haat hai. Aaj kal dekhiye aisa koi nahi hai jo internet nahi use karta hai har koi internet ka use karta hai. Aise bahut si kam log hai jinko internet ke bareme jara sa bhi pata na ho. 

Aajkal internet inte aage badh chuka hai ki har chij log internet se karneko sochte hai. Jaise ki aap jante hi honge ki aaj kal log ghar baithe hi internet pe kam karke paisa kama raha hai, ghar baithe koi saman online kharid te hai. Par kai log insab se bejan hai howtohelpinhindi.blogspot.com ka makshad hi unlogo ka heli karna jo internet ke bareme jyada nahi janta hai. Hamare blog howtohelpinhindi par ham jitna hosake utna easily logo ki help karne ka koshis karte hai.

Ham hamesha chahte hai ki koi bhi pichhe na rahe har koi duniya se kadam me kadam milakar chale. Issiliye ab unlogo ko bhi chinta karne ki koi jarurat nahi aap hamare blog howtohelpinhindi.blogspot.com par aakar sabhi sikh sakte hai.


Ham yaha par kuchh topics aapko bata rahe hai jinke bareme hamare blog par bataya jata hai. Par ye jaruri nahi ki hamesa ham sirf itne hi topics par logo ki help karenge ham aur kai topics par aapko help karenge. Topics hoskata hai hamesha badhte hi rahega.


◆ Make money online :


 Iss topic me ham aapko internet se paise kamane ke bareme wo sabhi tarike share karenge jo hame pata hota rahega.

◆ social Networks


Issme ham wo sabhi social media ke bareme articles share karte hai jo hame pata hota hai. Jaise ki facebook,twitter,whatsaap,google plus etc. 

◆ Apps and games-


Issme ham unsabhi apps aur software ke bareme batate jinka use ham kisi article me karte hai aur jo ki ham sabhi ke bahut kam ka hota hai.

◆ Motivation and success -


Iss me wo article share karte hai jinse ham motivate hote hai aur ham apne kamyabi me success hote hai. Jaise ki kisi bade actor,actress,businessman,singer,blogger aise bade bade success logo ki story and others.


◆ Mobile and computer -


Issme ham android java aise bahut sari mobile aur computer ke bareme articles share karte hai.


◆ Browsers -


Issme ham aapko bahut sare browsers ke tricks ke bareme batate hai.


◆ Others -


Issme ham kuchh kuchh alag type ke articles share karte hai.


Note:-

Ham apne site pe ussi chijka jankari share karte hai jo legal hota hai. Hamare site par koi adult aur kisiko harm hone bale article share nahi karte.


Aap hamre site ko visit karke articles padhte rahiye aur sikhte rahiye. Wo bhi bilkul free aap sikhte rahiye ham sikhate rahenge.


Agar aapka koi sabal hai to aap hamare blog par bhi comment kar sakte hai. Ya aap hame facebook,Twiteer,googleplus, aur email subscribe karke bhi hamse catact kar sakte hai. Aur aap apna sabal puchh sakte hai.


◆ Twitter par follow kijiye-


◆ Google plus par follow kijiye-


◆ Email kijiye-


Somethinglearn9999@gmail.com



About me Ram Bihari Yadav


Namaskar dosto mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com me aapka swagat hai. Mera naam Ram Bihari Yadav hai mai Janakpur Nepal se hu. Mai ek middle family se hu. Mai koi professional blogger nahi hu. Par mera interest blogging me kafi jyada hai. Mai ek student hu maine apne gau kanakpatti ke school se hi slc yani 10 class pass ki hai. Uske badh mai Janakpur me Model Multiple college se Isc. Yani science lekar +12 ki hai ab mai engineering karna chahta hu. Mai hamesa yani bachpan se hi duniya ke liye kuchh karna chahta hu aur ek bahut bada insan banna chahta hu. Jab mai kitabo me kisi social worker ka biography padhta tha to mai bhi sochta tha ki yaar mai bhi ekdin jarur social work karunga. Mai hamesa se hi padhne me bahut tilent tha. Mere life ek bahut hi struggle se bhara huwa hai. Par abhi yaha par apna wo personal bate nahi share karna chahta hu. Mai jab class 10 me tha tab mere pass 1 Nokia C1 01 model ka mobile tha mai usi me se sabse pehle facebook chalana sikha. Fir mera interest mobile badhta gaya mai din rat ek karke mobile chalane laga sari rat mai internet chalata fir jakar mai internet ke bareme kuchh sikhgaya. Waise mujhe internet ke bareme kisine guide nahi kiya mai khud internet se hi sikhta tha aur net par hi kisise help leta tha.

Mai apne gau me mujhse jo hota tha logo ko kuchh na kuchh help karta hi tha. Fir mujhe internet par blogger ke bareme pata chala aur maine sochliya ki kyun na ham ab apne gau aur dost ke alaba sari duniya ki help kare. Mai hamesa jyada positive aur bada sochta hu jo mai sochta hu wo sayad kisiko pasand nahi bhi aata hai par mujhe isse koi farak nahi padta kyuki mai wohi karta hu jo mujhe achha lagta hai.

Mai ek professional blogger nahu mai ek student hone ke wajah se part time blogging karta hu. Aap soch rahe honge ki mai Nepal se hu fir bhi blog hindi me banaya hu English ya Nepali me kyun nahi. Maine bhi socha tha ki mai nepali language me hi blogging karu par mere manme kuchh sabal aane laga ki yaar language se kya farak padta hai. Language koi bhi ho bas aap logoko apni bat kaise samjhaye kaise batayenge wo socho.

Maine socha avi to mera english utna jyada achha nahi hai jitna hona chahiye aur agar nepali me banaya to sirf Nepal ke hi logo ka help kar paunga agar wohi par maine hindi me likhunga to pure India,Nepal,Pakistan aise bahut sare desh ke logo ko help kar sakunga isiliye maine hindi me blog banaya hai. Par dosto mera ye manna hai ki chahe koi bhi language kyu na ho bas aap logo ko sikhate rahiye aur help karte rahiye.

Mera ye blog howtohelpinhindi.blogspot.com bhale hi Nepal ka ya fir Hindi language ka hai par wo articles share karta hu jo aap sabhi country ke logo help milega. Issme nahi sirf india aur Nepal se related articles share kiye jate hai balke aise articles share kiye jate hai jo sabhi ke kaam aaye chahe wo kisi bhi country ka log kyu na ho.

Agar mai kisi din success hogaya aur ekbada insan bangaya to mai apan hole life aapsab ke sath jarur share karunga tabtak ke liye bas itna hi. Aap hamse facebook par bhi contact kar sakte hai ya fir  aap hame somethinglearn9999@gmail.com par mail karke bhi contact kar sakte hai.

Dosto agar aap hamara ye howtohelpinhindi.blogspot.com blog ke bareme aap please apne dosto ko bhi facebook ya fir Twitter ka help lekar bataiye. Dosto hamare blog ke articles padhte rahiye aur sikhte rahiye.


         THANK YOU