HDR camera: Photo | video | high dynamic range kya hai ise kaise use kare




Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki hdr kya hota hai. HDR video kya hota hai. Hdr camera kya hota hai. Technology ki duniya kafi tej badalta jaraha hai. Aajkal hamare pass technology ke itne sare facilities hai ki hame lagta hai hame jo sab chahiye wo sab duniya me available hai, par aisa nahi hai kyunki jabtak naya ya advance nahi dekhneko hame milta hai to ham samajhte hai ki sab simit hai. Par duniya naye naye chij ko lane me aur purani chij ko bohote achhe se improve karne me lage hai. Aur jab kuchh naya improve hojata hai ya fir kuchh advance dekhneko milta hai tab jake hame lagta hai ki, haa bhai ye kami thi.

HDR camera: Photo | video | high dynamic range kya hai ise kaise use kare


Agar aap ek smart phone ya digital technology ko use karte hai to sayad aap jante bhi honge HDR ke bareme ya fir aapne kabhi hdr ka naam jarur sune honge. Aise camera me to bahut sare functions dekhe honge ab ek HDR ka bhi setting dekhneko milta hai. . Issko details me jane se pehle ham samajh lete hai ki HDR aakhir hai kya.

Also Read

HDR KYA HAI | WHAT IS HDR:


Hdr High Dynamic Range ka short name hai. High dynamic range ko samajhne se pehle chaliye ham dynamic range ko samajhte hai. Pehle ham hdr camera photo ke bareme jante hai fir aage ham HDR video bareme bhi janenge.



HDR camera | HDR Photo :


Hdr camera aajkal ke sabhi naye smart me aapko lagbhag dekhne ko miljata hai. Agar aapke camera me hdr ka option nahi to jab aap koi photo khichte ho aur waha par sahi se sahi mil raha ho photo me, jaise ki kahi par photo me jyada light aaraha hota hai to kahi par kam.

Jiss side jyada light aaraha hota hai uss side photo kabhi kabhi achhe aajate to kabhi kabhi bohot brightness aajata hai. Jisse aapki image dhundhle yani blur dikhne lagte hai. To kabhi kabhi jahapar light kam hota hai wohi side achha image aajata hai. To kabhi kabhi kam light me ek side dark aur dusre side bohot brightness bala photo aajata hai jiss wajah se ham apne photo ko ek professional look nahi de pate hai.


HDR kya kaam karta hai:


Ab dekhiye aise situation agar aap photo click karte hai aur agar aapke camera me hdr ka settings hai to hdr eksath 3 photo click karega automatic. Aapto ekhi photo click karenge par hdr apne system ke andar yani vitar 3 photo click karega ussme hdr ek photo lega bilkul Normal jo ki pehle aapka phone leta tha bina hdr ke. Dusra photo leta hai apne exposure ko bohot jayada high karke. Exposure ka matlab hai ki wo uss photo me jaha par dark tha waha par bohot sara bright ko increase karke photo lega. 

To aap yahapar exposure ka matlab brightness increase samajhsakte hai.
Aur tisara jo photo wo leta hai hdr wo apne exposure yani brightness ko kam karke isske kya hota hai. Photo me jo bohot light yani jo chamak jyada aaraha tha usse ye Kardeta hai. Aur fir ye software ke help se un tino photo ko eksath combine kardeta hai. Isse aapke ekdam proper lightme dekhne ko milta hai. Aur aapka photo kafi achha dikhta hai. Aisa nahi hai ki hdr pura darness ko bright kardega par isse jitna hosakta hai ye kosis karta hai. Aapne internet par bohot sare hdr effect bale photos dekhe honge.


Hdr me aisa nahi hota hai ki wo bohot jyada ya bohot kam brightness lelega photo me wo apni taraf se ekdam perfect leneki kosis karta hai.

Also Read


HDR photo me kab use kare:

Hdr use ham tab kare to better rahega jab aap kisi chijka photo lerahe hote hai aur pichhe se bohot light honeke wajah se aage kuchh dikh nahi raha hota hai. Aise me aap hdr ka istemal karte hai. Yani camera me hdr enable karke photo click karte hai to ekdam sahi light maintain hoga aur aapke photo ke charo wor sab dikhne lagega.

Kabhi kabhi ham photo lete hai to sun light wajah se bhi hamare aage ka part back yani dark hojata hai aise me ham HDR enable karke photo le sakte hai.
  

 Agar aap koi landscape photo lena chahte hai to aise me aap hdr ko use karke kafi achha photo le skate hai. Aapne bohot sare ped yan tree ke ya fir ghar building etc wagera ka photo hdr use karke bohot achhi tarike se photo liya hota hai. To aise me aap bhi hdr ko use karke apna professional photo click kar sakte hai.

HDR KA USE KAB NA KARE:

     - moving objects :

 Agara aap moving object ke photo le rahe hai to aise me hdr ka use na kare, isse kya hoga hdr jo hai wo ekbar me 3 photo click karta hai aise me hdr ek exposure ko down karke image lega dusra exposure ko increase karke image lega to same image move kar jayega dono jagah pe.

Aur fir jab hdr isse software se combine karega to wo photo bohot kharab dikhega, pura blur blur sa dikhega. So aise condition me hdr ka use na kare. Do not use hdr in this condition.

     - Low light:
             Aap hdr ka use light me mat kijiye. Aap chahe to kar sakte hai par agar aap ek achha photo click karna chahte hai to low light me hdr ka use na kare. Kyunki issme bhi same problem aageyi jaha par bohot kam light rahega yani dark jaisa rahega, wahapar ye dull yani vadda dikhega. Aise me aap night mode ko apne phone me enable karke photo click kariye.


Note : HDR mode use karte wakt ek baat ka dhyan rakhiyega agar aap koi photo par click karte ho to aap apne phone ko kuchh der tak constant rakhe yani haliye ya hataye nahi. Kyuki hdr ka kuchh der processing hoga 1,2 ya 3 second tak to aapko processing hone tak phone ko hilana nahi hai.


HDR video:


Aap hdr camera setting ke bareme pa hdr image ke bareme to jangaye hai. To chaliye ab ham jan lete hai ki hdr video kya hai. What is hdr video? Jaise ki hdr photo ka matlab jaise ham aakhon se dekhte hai lagbhag same waisa hi image ko hdr image kehte hai. HDR video bhi same ussi tarha hai jaise ham aakhon se dekhte hai waise hi video me bhi dekhneko milta hai bilkul real usiko hdr video bolte hai.

Hdr video ke liye aapko kisi hdr bale camera se video ko full hd me record karke fir usse YouTube wagera par distribute karke agar kisi HDR bale tv ya compatible tv, compatible phone, compatible device me dekhkar hdr video ka full majja utha sakte hai.

Agar aap HDR video dekhna chahte hai to youtube pe search kijiye hdr video aur fir aapko wahapar kafi sare hdr video dekhneko miljayega. Par aapke phone me hdr video support hona chahiye warna aapko hdr video ka option nahi dikhega.

Aapke phone me hdr videp support nahi hai to bhi YouTube uss hdr video ko 1080p ya 720p ya 420p etc. Wagera bale sabhi quality me convert karke dekhayega.

YouTube iss types ke phone ke liye hi hdr video ko in quality me convert karta hai. Aise dekhne se bhi video dekhne me natural lagta hai par utna jyada natural nahi lagta hai.

Agar aap bina hdr video support bale kisi normal phone me video dekhenge to aapko hdr support bale phone ke compare me bina hdr support bala phone me video ke colors aapko thoda unnatural lagega.

Aapne dekha hoga ki normal phone me video dekhte honge to kuchh par dark hone ke wajah se achhe nahi lagte to kuchh bright hone ke wajah se. To aap hdr video me wo sab achhe se dekh sakte hai.

Ekbar aur hai issme wo hai colors kyun ki video me colors bohot hote hai par hamko utne sare colors dekhne ko nahi milta hai normal videos me. Kyun ki Normal camera sirf kuchh hi colors ko record kar pata hai.

SDR( Standard dynamic Range):

  • Normal SDR sirf 8 bit colors pe chalta hai. Ye lagbhag 256 shades ko dikhata hai aur ye sirf lagbhag 1crod 60 lakh different colors ko show kar payega.

HDR

  • Hdr ki agar baat kijaye to ye isske 2 standard hote hai jo ki ek hota hai HDR 10 aur dusra hota hai Dolby vision.

HDR10:

  • Jo hdr 10 hote hai to 10 color bit pe chalta hai. Aur ye 1026shades colors ko dikhata hai. Hdr 10 bohot jyade color support karte hai lagbhag 100 crore.



Dolby vision: 

DOLBY Vision 12 bits pe chalta hai. Aur issme lagbhag 4026 shades dekhneko milte hai. Aur 68 billions colors support karta hai.
Dolby vision aapko sabhi tv wagera me dekhne ko nahi milega ye sirf aapko mehenge tv par hi dekhne ko milega. Hdr open aur free ya fir saste hone ke wajah se lagbhag sabhi smart tv me 4k HDR dekhne ko milta hai.

Hdr video matlab jitna jyada video clear aur color dekhne ko milega ham usse hdr video kehsakte hai. Hdr 10 lagbhag bohot se device me dekhne ko milte hai. Aapko ek baat batadu ki avi hindi video hdr me khas kar nahi dekhneko milta hai. Youtube par sayad avi hdr hindi video dekhneko na bhi mile.

Kyunki hdr video banane bala camera bohot hi mehenga milta hai aur uss video support karne bale devices bhi bohot kam hai. So hdr video avi jyada dekhneko nahi milta hai. Hosakta hai future me ye kafi sare available ho.

To ab aapko pata chal gaya haoga ki hdr video kya hai. hDR camera kya hai. Hdr camera ko kaise use karte, Hdr camera ko fayada kya hai. How to use HDR.A gar mujhse kuchhh galati hogaya ho to iam sorry mujhe jitne knowledge tha maine aap sabke sath share karne ki kosis ki hai.