How to blur photo | image background in hd full details in hindi
Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki kisi bhi photo ki background ko hd blur yani dhundla kaise karsakte hai. Ji haan dosto aap kafi sare pictures me dekhte honge jisme photo ki background ko hd blur kiye hote hai. Khaskar aap kisi celebrity jaise ki hero, heroin, Singer aise logo ko photos ke background blur hote hai wo bhi hd me. Jab ham kisi actor ta actress ke photos hd blur dekhte hai to hame kuchh photos kafi pasand aate hai. Aur ham chahte ki ham kaise apne photo ke bhi background ko hd blur kar sakte hai. Ham sochte hai ye bade bade log isiliye unlogo ka photo photography bale itne achhe se blur kar dete hai. Par aisa si baat nahi hai aajkal badhti technology ke wajah se ab ham wo bahut se chij kam kharch me kar sakte hai apne ghar baithe. Basko aapke pass usska knowledge hona chahiye. Android ki duniya itne aage chalagaya hai ki ham apna bahut se wo kaam bina computer ke android se hi kar sakte hai bas hame pata hona chahiye.
Photos ko hd blur yani dhundla ham kyun karte hai :-
Dekhiye dosto aajkal har koi selfie ya photos ke shokin hai. Lagbhag ham jaha kahi baye ya interesting jagah par jate hai to ham waha par selfie ya photos to click karte hi hai. Par kabhi kabhi kya hota hai hamare photos ka background jo hota hai wo utna achha nahi hota hai par photo kafi achhe hote hai. Aise ham uss photo Delete bhi nahi karna chahte hai aur photo ki background achhi nahone ke wajah se ham social media jaise facebook , twitter aur instagram par share nahi karna chahte. Aise ham apne photo ke background ko change karna chahte hai ya blur karna chahte hai.
Hd blur hi kyu kare :-
Ji haan aajkal internet par aise bahut application maujud hai jinke wajah se ham apne kisi bhi photos ke background Image ko blur kar sakte hai. Par agar aap aise kisi bhi app se Image yani photo ke bacl ko blur karenge to usska quality yani size kafi jyada kam hojata hai. Jisse hamara photo low size me blur hojata hai aur usse zoom karne par achhe se nahi dikhte hai.
Agar hamara photo quality hi low hojaye to hame image yani photos ke background blur karne ka fayada hi kya hoga. Agar aap apne photo ya image ke background ko hd me blur karte hai to hamara photo kafi aakarshak dikhega. Hd blur karke ham apne photo ko social media par bhi share karte hai to uska quality jo hai wo jyada low nahi dikhega aur badhiya aarakhak means attractive dikhega. Aise photo ya image ke hame kafi like aur comments milta hai.
Jamana digital hai to aajkal ke log bhi sabhi chij digital me dekhna pasand karte hai. Issiliye ham apne photo yani Image ke background ko hd me blur karna chahte hai. Agar aapko nahi pata hai ki ham kaise apne photo yani Image ke background ko hd me blur kar sakte hai.
Photo ya Image ke background ko hd blur yani dhundla karne ke liye kya kya chahiye :-
Image ya photo ki background ko hd blur karne ke liye aapko jyada kuchh nahi chahiye bas aapke pass ek android mobile hona chahiye. Waise to aap computer se bhi apn photo ya image ke background ko hd blur karskate hai. Agar aapke pass computer nahi hai to bhi koi baat nahi aap apne android mobile se photo ya Image ke background ko hd me blur kar sakte hai. Agar aap kahi bahar hai aur aapke pass computer nahi hai aur aap apne photo hd blur karna chahte hai to aap apne android mobile se hi kisi bhi photo ya image ko hd me blur yani dhundla kar sakte hai.
Aapke pass internet nahi bhi hai to bhi koi baat nahi par aapke mobile me ek application install karna hoga. Agar aapke pass wo application nahi hai hoga to aapko download karne ke liye internet ka jarurat padega.
Photo ya image ki background ko hd blur yani dhundla karne ka fayada :-
Agar aap photo image ko hd me badhiya se blur karte hai to jahir si baat hai aapka photo kafi sundar aur attractive lagega dikhne me. Usse aap social media par share karte hai to aapke photos ka likes aur comments jyada achhe aane ke sath sath aapki ek alag pehchan bhi banega.
Agar aap ek photo grapher hai to aap kisi badhiya iamge ya photo ki background ko hd me badhiya se attractive blur karke usse sell karke paise bhi kama sakte hai.
Aap dusre logo ke picture ko apne android se hi android mobile se hi badhiya hd me blur kare usse kuchh paise apne hisab se le sakte hai. Aur iss tarha se bhi paise kama sakte hai.
To chaliye ham janlete hai ki ham apne photo ya image ke background ko full hd me blur kaise kare. Aap post ko achhi tarha se padhiye aur samjhiye.
Android mobile se kisi bhi photo ya image ki background ko hd blur kaise kare :-
1. Sabse pehle aap apne mobile me hd blur editor application ko install .
Aap isse playstore se download kar sakte hai. Ya fir niche digayi download link se bhi hd blur editor application ko download karsakte hai.
2. Install karne ke badh Hd blur editor application ko open kijiye. Open karenge to aapko kuchh istarha ka interface dikhega.
# Camera :
Agar aapke pass photos nahi hai ya fir aap abhi click karke photo ya image ki background ko hd blur karna chahte hai to aap camera ke option par click karke photo click kar sakte hai.
# Gallery :
Agar aapke phone me pehle se koi photo ya image hai jisse aap hd me blur karna chahte hai to aap gallery ke pp Par click karke photo yani Image select karskate hai.
# Rate Us :
Agar aapko ye application achha lagta hai to aap uss application ki rating de sakte hai. Isske liye aapko internet ki jarurat padega.
# More :
Aap hd blur application ke aur bhi Features use karna chahte hai to aap more ke option par jasakte hai. Isske liye aapko internet ki jarurat padega.
3. Aap camera ya fir gallery se photo select karlenge to aapko kuchh istarha ka options dikhega.
# Zoom :
Iss Zoom ke option par click karke apne photo ya image ko zoom karsakte hai. Kahi par background blur karne me dikkat ho to aap iss Zoom ke option par click ke photo ki background ko jyada se jyada zoom karke achhe se blur kar sakte hai.
# Blur yani Dhunla :
Iss option par click karke aap apne photo ki background ko blur kar sakte hai. Iss option par click karenge to aapko ek density ka option dikhega waha par aapko apne hisab se density select karna hai. Aap picture me bhi dekhsakte hai. Aap density jitna jyada badhayenge aapke photo utne jyada gadh se blur hoga. To aap density ko apne hisab se set karskate hai jisse aapke photo ki background blur achha dikhega. Blur karne ke liye aapke photo ke background par apne finger se screen yani sliding means gharsan kar sakte hai.
# Undo :
Photo ki background ko blur karte wakt aapse galati se aapke photo ki wo part blur hojata hai jo aap nahi jahte hai. To aap usse remove karne ke liye undo ke option par click karke waha se usse unblur kar sakte hai.
# Brush :
Iss option par click karke aap brush ke size ko badha ya ghata sakte hai. Agar aap photo ki background ko jaldi blur karna chahte to aap isske size ko badha sakte hai. Aap iss option par click karke brush ke size ko apne hisab se set kar sakte hai.
4. Photo ya image ki background achhe se blur hojane ke badh aapko upar ek Next ka option dikhega aap ko usspar click karna hai.
Ab aapka photo blur hokar aapke phone me hd blur folder me save hogaya hai. Aapko waha par share ka bhi options dikhega aap chahe to apne photo ko sidhe wahi se facebook , whatsapp, pinterest jaise social Media par share kar sakte hai. Aap iss tarha se apne sabhi photo ko hd me blur yanj dhundla kar sakte wo bhi apne mobile phone se.
Hamare manme kuchh iss type ka related sabal aata hai jo ham internet par khojte hai par maine aapke insabhi questions ka jabab dene ki kosis ki hai.
Android mobile se photo ke background ko hd blur yani dhundhla kaise kare, how to blur photo background from android mobile in hindi, how to edit or change or blur photo background , how to edit awesome photo background , mobile photo ya image ka backgroun blur kaise kare puri jankari , mobile se photo ya image ko blur yani dhundla karne ka tarika , mobile me photo ya image ko blur kaise kare, मोबाइल से फोटो के background को blur यानी धुंधला कैसे करे पुरी जानकारी , Android mobile phone se photo ke backround blur yani dhundhla karne ka app kaise download kare , mobile se photo blur karne ka app download , mobile se photo ke background blur edit kaise karte hai sikhna hai, Android mobile phone se kisi bhi photo ya image ko hd blur DSLR camera jaisa kaise kare , DSLR jaisa photo ki background ko blur karne ka app download etc.
To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Note : Hamare site par sabhi post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post dekh sakte hai.