Instagram Account Ko Temporarily Disable Yani Deactivate Kaise Kare

How to temporarily disable or deactivate instagram account in hindi




Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki instagram  account ko  kaise temporary delete yani disable karte hai. Iss howtohelpinhindi.blogspot.com blog par mai hamesha kuch kuch internet, technology, software , social network se ralated post lekar aata hi rehta hu. To aap hamare website ko subscribe jarur karlijiye jisse aapko hamara post sabse pehle mil sake.


Instagram account ko ham temporary delete kyun kare :

Ab ye to aap par depend karta hai ki ham apne instagram account ko temporary disable yani delet kyun karna chahte hai. Par yaha par kuchh common reasons hai jinke wajah se ham apne instagram account ko temporary deactivate yani disable karna chahte hai.

> Multiple instagram account hone ke wajah se :

Dekhiye dosto kabhi kabhi kya hota hai ki hamare pass multiple instagram ka account  hota hai. Matlab ek se jyada instagram ka account hota hai jisske wajah se hame sabhi account manage karne me thoda paresani hota hai. Aise ham sochte hai ki ham jiss account ko jyada use nahi kar rahe hai usse kyun na filhal temporary disable ya deactivate karle.


> Instagram account ko personal yani private rakhne ke liye :

Kabhi kabhi ham chahte hai ki hamare iss instagram account ke bareme kisiko pata na chale. Agar koi search kare to usse hamara iss account ka profile na dikhe aur nahi photos , videos dikhe. Isiliye ham apne account ko private ya safe rakhne ke liye temporary delete yani disable karna chahte hai.


> Social media par kisi wajah se kuchh na aane me liye :

Kabhi kabhi kya hota hai dosto agar ham student hote hai to hamara exam najdik aachuka hota hai. Jinke wajah se ham kuchh din social network yani instagram ka account bas kuchh dino ke liye temporary delete yani disable karna chahte hai. Fir badhme ham usse open kar paye. Kuchh istraha ka sabke apne apne reasons hote hai. Khair wajah jo bhi ho chaliye ham sikhlete hai ki kaise instagram account ko deactivate yani temporarily disable karte hai.


Instagram account ko temporarily disable yani deactivate kaise kare :



In Short :


1. Go to instagram.com

2. Click on Profile icon.

3. Click on Edit profile.

4. Click on temporary disable my account.

5. Choose a reason and enter instagram password.

6. Click on Temporarily disable my account then click on Ok button.


Full details about temporarily disabling instagram account :

1. Sabse pehle aap apne uss instagram account me login kar lijiye jis account aap temporarily disable karna chahte hai.

Aap apne browser me instagram.com kholkar bhi login kar sakte hai.


2.  Fir aap instagram ke Profile me jaiye.




3. Fir aapko ek Edit profile ka option dikhega aapko usspar click karna hai.

4. Usske badh aap niche scroll karenge to aapko ek temporarily disable my account ka option dikhega aapko usspar click karna hai.



5. Usske badh instagram aapse puchhega ki aap kyun instagram account ko temporarily disable karna chahte hai. To aapko wahapar kuchh options show hoga aapka unmese jo bhi reason hai pehle heading select kijiye usske badh reason dijiye.


6. Fir aapko continue karne ke liye apne instagram account ka password dalna hai . Usske badh firse aapko instagram ka password re inter karna hai aur fir temporarily disable  account par click kar dena hai.


7. Fir aapko instagram bolega ki mai aapke account ko temporarily si kar deraha hu. To aapko waha par OK ka button dikhega aapko OK par click kardena hai.


Hamare manme aane bale sabal

Q?
Kya Instagram account ko temporarily disable karne se hamare sare data jaise ki photos , videos delete hojayega.

Answer -> Ji nahi aisa kuchh nahi hoga aap jab usse restart karenge sab waisa ke waisa hi rahega.

Q ?

Ham instagram ko temporarily disable karne ke kitne badh firse enable kar sakte hai.

Ans-> Instagram account temporarily disable hone ke 24 hour badh aap firse usse restart yani enable kar sakte hai.

Temporarily disable instagram account ko firse reactive kaise kare :

Ham apne instagram account ko to temporarily disable kar lete hai par fir badhme ham usse restore yani firse activate karna chahte hai. To chaliye jan lete hai ki ham kaise temporarily disable instagram account ko firse activate kar sakte hai.


1. Aap instagram ke login page par bas apna wohi purana username aur password dalkar login kijiye. Login hote hi automatically firse re active yani activate hojayega.

Niche puche gaye sabhi sabal yani questions ka jabab maine iss post me dene ki kosis ki hai.

Instagram account ko temporarily disable kaise kare , Instagram account ko temporarily delete yani deactivate kaise kare , instagram account delete kaise kare , instagram account ko permanently delete kaise kare , instagram account ko deactivate kaise karte hai , instagram account ko disable kaise kare , instagram account ko band kaise kare , how to temporarily disable instagram account in hindi , how to delete instagram account , how to deactivate instagram account in hindi , instagram account को delete कैसे करे , इंस्टाग्राम खाते को डिलीट कैसे करे etc.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

5 comments

comments
August 28, 2018 at 1:31 AM delete

Instagram account fb s connect ho to uska passowrd konsa use hoga

Reply
avatar
November 18, 2018 at 6:10 PM delete

बहुत ही जबरदस्त और काम की जानकरी , जो 100% काम करती है . और अगर आप इसी जानकारी को लेके विडियो देखना पसंद करोगे तो नीचे क्लिक कीजिये .

You Can Watch This Video to Deactivate Your Instagram Account Temporarily Or You Want to Delete Your Account Permanently

https://www.youtube.com/watch?v=_sNQ78UqWcw

Reply
avatar
July 16, 2020 at 2:17 AM delete

Kitne din baad disable ho jati hai Instagram ki id

Reply
avatar
January 8, 2021 at 9:27 AM delete

Hum ek saal ke liye temprary disable accnt kr skate h uske baad hamra acnt phrse se reactivate ho jata h ja nai me janna chahti hu ke hum kitni derr tak accnt ko disable kr skte ha

Reply
avatar