Google Duo Kya Hai Google Duo Kaise Use Kare Free Video | Voice Call Ke Liye

What is google duo ? How use Google duo to make free video call in hindi




Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj janenge ki Google DUO kya hai. Google Duo se ham kaise free Audio video call karsakte hai. Ji haan dosto google ke annual developer conference ne har sal kafi sare naye announcement dekhne ko milta hai. Aise hi google io ne 2016 me google duo ka application lauch hai jisse ham free video calling wordwide karskate hai. Dekhiye aajkal video calling ke internet par to bahut se application hai ham kisi bhi video call karsakte hai. Par sabhi application ke kuch  na kuchh alag features hota hi hai. Issliye ham hamesa kuchh nayabaur interesting chije use karna chahte hai. Ab baat karte hai iss google du free video calling application ke bareme to ye google duo google ka hi free video calling application hai. Isse ham audio video call karsakte hai. Waise to abhi google ne isse kafi simple sa banaya hai taki har koi iss google duo application ka easily use kar sake aur pure world wide free video call kar sake. Iss google duo free video calling application me badhme google aur features add karte jayenge jisse user ko iss google duo ko use karne me jyada dikat na ho.


About Google Duo free video calling Application :-


Dekhiye dosto ye jo google duo free Video calling application hai ye google ka hi hai. Isse google ne 2016 me launch ki thi. Google duo kafi simple aur easy hai. Isiliye Google duo ka istemal karne me logo ko jyada paresani nahi hota hai. Aur har koi google duo application se aasani se pure world me free video call karsakte hai. Google duo whatsapp ya fir imo ke jaisa hi hai register karne me issko register karne me bhi koi dikkat nahi ham easily google duo me apna mobile number attached karke apne sabhi contacts ko add kar sakte hai. Issme ek thoda interesting feature hai knock knock. Google duo aap low internet connection me bhi baat thoda achhe se bate kar payenge.

Google ne kaha hai ki iss google duo application ko aise karke optimized kiya gaya hai ki ye low internet connection par thoda achhe se kaam karega. Aur badhme issme kafi kuchh interesting dekhne milega kyunki ye google duo free video calling application  google ka hai.


Google duo ka knock knock feature kya hai :-



Google duo application ka knock knock feature ke help se hame kaun call kar raha hai. Aur wo caller camera me kaisa dikh raha hai  aap bina call ko pic kiye hi usska preview dekhsakte hai. 

Issme kya hoga aap call pickup karenge to aapko lagega ki jaise preview dikharaha tha waise hi normal me bade easil switched kar gaya hai. Aur hame koi internet connection ke liye wait nahi karna pad raha hai. Ham thoda low internet connection me bhi thoda achhe se baat kar sakte hai. Waise to ye utna jyada bada feature to nahi hai ki wo aapko live preview dikharaha hai. Par fir bhi aajtak kisine isse pehle isse compliment nahi kya hai.


Google duo se free audio video call karne ka fayda :-


Google duo ka waise kafi jyada bada fayada to nahi hai par fir bhi issme kuchh aisa hai jo sabhike liye thoda achha hai. Google duo se koi bhi easily audio video call karsakte hai. Issme abhi utna jyada features na hone ke wajah se logo ko use karne me jyada paresani nahi hota hai. Iss google duo application ko thoda kam padhe likhe log bhi use kar sakte hai.


Google duo application me ham simply apna mobile number dalkar register kar sakte hai. Aur apne sabhi contacts ko easily add karsakte hai. Ye automatic aapke sabhi contacts ko google duo me add kadega.


Google duo application ko aap thoda low internet connection par bhi thoda achhi tarha se baate kar payenge aisa google ka kehna hai.


Issme live preview dekhneka ka bhi feature hai. Hame koi google duo application me Video call karta hai to ham uss caller ka live preview dekhsakte hai ki wo abhi camera me kaisa dikharaha hai wo bhi bina call received kiye hi.


Google duo application se free audio video Call kaise kare :-


Google Duo application ka use kaise kare :


1. Sabse pehle aap apne  mobile phone me google duo application ko install kar lijiye.

Aap good duo application ko playstore se bhi download karsakte hai. Ya fir niche digayi download link se bhi google duo application ko download karsakte hai.




2. Install karne badh aapko Google Duo application ko open karna hai. 

Aapko Google duo kuchh terms and conditions ko agree Karne ko bolega to aap google duo ke terms and conditions ko achhi tarha se padhke aap unke terms and conditions ko mante hai to follow karke I agree par click kardijiye.

Fir aap apne hisab se usske setting ko set up karlijiye.


3. Usske badh aapko aapka mobile number verify karneko bolega to aapko apna mobile number dal dena hai. Aur fir text ke button par click kardena hai.



4. Fir aapko verification code dalne ko bolega.

Agar aapka wo number bale simcard ussi phone me laga hai to wo automatically verification code detect karke verify karlega.


Ab aap google duo se connected hojayenge aur aap apne contacts ke sath free voice call ya fir video call kar sakte hai. Aap upar dekhenge to aapko voice aur video call ka option dikhega waha se aap voice call ya fir video call aap jo chahe select karskate hai.  Aapko Google duo se voice call ya fir video call karne ke liye pehlibar apne contacts ko access karna hoga.


Apne contacts ko google duo me add ya access kaise kare :


1. Aapko Google duo me ek new call ka option dikhega aap usspar click kijiye.

 Fir aapko ek Don't go it alone likha huwa page dikhega jissme niche ek give access ka option hoga aapko usspar click karna hai.




2. Ab aap apne google duo me kya kya access karna chahte hai un sabko enable kardijiye. Jaise ki contacts , microphone , camera , notifications etc. 


Agar aapke contacts bale google duo nahi use kar raha hai to waha se apne contacts ko google duo use karne ke liye invite kar sakte hai.


Google duo ka knock knock feature kaise enable kare :



1. Aap google duo application ko open karenge to aapko Home screen ke upar right side me ek 3 dotted line ka option dikhega. Aapko usspar click karna hai.


2. 3 dotted line par click karne ke badh aapko ek settings ka option dikhega aapko usspar click karna hai.



3. Fir aapko knock knock setting ka option dikhega usse enable kar dena hai.


Google duo ka features :-

Google duo me jyada to nahi hai par kuchh istarha ka features avi available hai.


# Knock Knock :

Isske bareme maine upar bata hi di hai.


# Blocked number :

Issme aap wo sabhi number yani contacc ko dekh sakte hai jisse aapne block hai. Yaha usse firse unblock bhi kar sakte hai.


# Phone number :

Yaha se aap apne registered phone number ko dekhsakte hai aur usse change ya fir delete kar sakte hai.

# Unregister phone number :

Issme aap apna koi bhi number alag se add kar sakte hai. Etc.


To lagbhag dosto maine google duo application ke bareme me  lagbhag ssbhi chij aapko bata dihai. Aap chahe to istarha se google duo application ko free voice aur video call ke liye use kar sakte hai.

Hamare manme kuchh istype ka questions aate rehte hai insabhi ka answer same hi hai aur issi post me hai.


Google DUO kya hai google ka use kaise kare, Google duo kaise chalaye , Google duo se free audio video calling kaise kare , Google duo app information in hindi , how to use google duo, what is google duo , google duo ka prayog kaise kare, google duo me id kaise banaye, google duo kaise kam karta hai, google duo ke bareme puri jankari , google duo download app for android, google duo iphone me kaise kaam karta hai, google duo kaise chalate hai etc. 

Aise type ke sabhi sabalo ka jabab maine iss post me dene ki kosis ki hai.



To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post dekh sakte hai.


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

2 comments

comments
June 2, 2018 at 12:15 AM delete

How to get call details of any number application helps the Indian prepaid telecom users to find the numbers for specific operations like Recharge, Main, Message, Net Balance enquiry, Finding own number and Customer care number. Call Details app

Reply
avatar