Mobile Se WiFi Ka Password Aur Location Kaise Pata Kare Using WiFi Map

How to see publick wifi password , location using wifi map full details in hindi




Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog ne swagat hai. Aaj ham sikhenge ki kaise ham kahi bhi Free public wifi password aasani se pata karke wifi apne phone me use karsakte hai. Agar aap computer , internet , technology , apps & software tutorial etc. Ke bareme janna chahte hai to aap hamare sitko niche subscribe ke option me apna Email address dalkar subscribe karlijiye. Dekhiye har kisi ko aajkal internet ka kaam hota hi hai. Har koi aajkal internet se jude huwe hai.  Internet bina to hame ekdin bhi achha nahi lagta hai. Internet se jude to aajkal sabhi hai par ye jaruri nahi ki har kisike pass khudka internet connection ho. Jinke pass khudka wifi nahi hai ya fir internet ke liye data ka jyada paisa nahi hai. Wo public wifi ko use karke bhi apna internet ka kaam kar sakte hai. Hamare gharme vale hi wifi nahi hota hai par hamare pados ya kisi public place par wifi hota hai ham wo use karsakte hai. Par kuchh public place ya fir hamare pados ke me jo wifi hita hai ussme bhi password laga hota hai. Fir uss wifi ka bhi use nahi karpate hai. Par aaj mai aapko yahi batane bala hu ki aap kaise apne pados ya kisi public wifi ke password ko pata kar sakte hai. Kuchh jagah par open wifi hota hai jisme password nahi laga hota hai. Par kuchh jagah par public wifi me  bhi password lage hote hai.

Public wifi khaskar kaha kaha par hota hai :



Public wifi to hame aise bahut se public palces par miljate hai. Par bhi mai aapko yaha kuchh place ka naam bata raha hu jahapar aapko public wifi milega wo bina secure bale.


# Hotel | Restaurant :

Ji haan dosto agar aap kisi bade hotel ya restaurant me jate hai to aapko wahapar kafi sare public wifi dehne ko milega. Waise to ye hotel aur restaurant bale apne customer ke aur workers ke liye free Wi-Fi ka subidha dete hai. Par jab ussme password na laga ho to jahir si baat hai ki dusre log bhi uska use karega.


# college | university :

Aap dekhte honge sabhi clz ya university me wifi laga hota hai. Bahut se college aur university me wifi me password nahi lage hote hai wo free aur unsecure hota hai. Ye free issliye hote hai ki ab jitne bhi teachers ya students ke guardian aate hai tk sabko password dene aur magne me thoda guilty sa feel hota hai. Isiliye aise jagah par public open wifi hote hai.


# cinema hall | Movie Theatre :

Aapne bahut se cinema hall me public wifi dekhe honge ya usse use bhi kiye honge. Cinema hall me bhi isliye free Wi-Fi rakhdete hai kyunki ye jaruri nahi ki sabhi logoko hall me jo Movie chalraha hai wo achha hi lage. Kuchh logo ko bore lagne lagte hai aur wo jana chahta hai. Wahi par agar hall me free wifi hota hai to movie boring lagne par bhi ham kuchh der wifi chalane lagte hai. Isse hall bale ka impression badhata hai air movie dekhne bale public bhi uss hall se khus hojate hai.


# Bus | Train , Stations | Stop :

Aajkal technology ka jamana itne aage badhgaya hai ki bus air train me bhi free wifi ka subidha dene lage hai. Kafi sare bus stop ya fir train stations par bhi free public available hota hai. Halhi me google ne india ke kuchh Railway stations par free wifi di hai. 


# Airport | Office :

Aapko kuchh airport par bhi free public wifi dekhne ko milega. Airport par kafi sare tourist aate hai aur kuchh logo ko waiting hota hai aise me wo bore na ho isiliye waha par free public wifi available kiya gaya hota hai. Issi tarha kisi bade office me bhi free wifi service derakha hota hai.


# Hospitals ya Shopping mall :

Bahut se hospital me bhi aap dekhte honge free wifi service hota hai. Aap kisi mall me bhi jate honge to dekhte honge free wifi lage hote hai ye customer ko attract karne ke liye hote hai. Etc.


To chaliye ham sikhlete hai ki kaise ham kisi bhi wifi me connect kar sakte hai. Aur wifi kaha par hai kaise pata laga sakte hai. Yaha par public wifi ke bareme baat karenge.  To aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye. 

Mobile se Wifi ka location aur password kaise pata kare :


How to use wifi map :-



Aap isse playstore se bhi download karsakte hai. Ya fir aap niche digayi download link se bhi wifi map ko download karsakte hai.

2. Wifi map ko install karne ke aap usse open karlijiye. Aap apne mobile ka location on kar lijiye. 

Aap location on karke wifi map ko open karenge to wifi map aapke ass pass jitne bhi public wifi hai sab show kardega. Ye aapko wo wifi bhi show karega jo secured yani protected nahi hai.


3. Aapko niche sabse najik bale wifi sabse pehle dikhega. Distance ke hisab se aapko wo sabhi wifi dikhayega jo secured nahi hai. Aapko wifi ka location aur duri bhi dikhayega.




4. Fir aapko jiss wifi ka password dekhna hai usspar click kardena hai. Fir aapko ek unlock password ka option dikhega aapko usspar click karna hai. 

Usske badh aapko uss wifi ka name pehle bala password avi ka password , location , distance sab dikhayega.

Note : Aap kisike protected wifi ka password nahi dekh sakte hai. Kyun ki ye app wifi password ko hack nahi karta hai. Ye sirf free aur public aur unsecured wifi ka hi password show karta hai. This app doesn't hack wifi password all password is shared by community.


Wifi map me apna Profile kaise banaye - wifi map setting :-


1. Aap wifi map ko open karenge to upar dekhenge ek setting ka icon aapko usspar click karna hai. Fir aapko my profile ka option dikhega aapko usspar click karna hai.


2. Aapko kuchh options show hoga istarha ka,

# Login with Facebook :

Aap facebook account se bhi Login kar sakte hai yani issme Profile ban sakte hai.

# Login with google plus :

Aap apne google plus ke account se bhi login kar sakte hai yani profile bana sakte hai.

# Login with your email address :

Aap apne custom email address dalkar bhi apna Profile bana sakte hai.


Wifi hotspot ka password offline kaise dekhe use wifi map offline :


* Aap upar setting ke left side me dekhenge to aapko ek cloud ka option dikhega. ussme aap kis country me kitne sare wifi hotspot hai wo dekh sakte hai. Aap waha se kisi country ka wifi hotspot ka password ko offline dekhne ke liye usse download bhi kar sakte hai.



* Aap cloud bale option me kisi bhi country ko open karenge to waha par aapko city ka name dikhega aur kitne wifi hai wo bhi dikhega. Side me aapko ek download ka bhi option dikhega aap waha se download karke uss city ke sabhi wifi hotspot ke password ko offline kabhi bhi dekh sakte hai. Aap pure country ke Wifi hotspot ko bhi download karsakte hai.


Wifi map ka features :


- wifi se connected hojane ke badh aap free internet access kar sakte hai.

- wifi map me pure world wide me  millions wifi available hai.

- Aap ko issme wifi password aur tips milega.

- wifi map me aapko smart Search ka feature milega.

- Aapko wifi navigation ka feature milega.

- Aap apne aas pass ke wifi se filter kar sakte hai.

- Aap wifi password ko facebook , instagram aur twitter jaise social media par bhi apne friends ko share kar sakte hai.


- Kisike wifi hotspot ko wifi map me add bhi kar sakte hai.

- Aap wifi ko scan kar sakte aur uss wifi ka speed test kar sakte hai.



Important Note :

1. Ye jarui nahi ki har public palces , gau ya bus ya office me public wifi hotspot ho. Kahi par kafi jyada bhi hosakte hai to kahi par ek bhi nahi.


2. Public wifi hotspot ko use karne se pehle ye jan lijiye ki aap public Wifi hotspot par jo dekhte hai wo koi aur bhi dekh sakta hai. 


3. Public wifi hotspot par koi aise kaam kaam na kare jaise ki internet banking , online job etc. Kyunki ye protected yani safe ho ye jaruri nahi. Aur hacker isske through aapke data ya account ko hack karlega fir aapko nuksan pahuchayega.


4. Ye jaruri nahi ki public hotspot me fast browse ho. Agar hotspot se dur hai to aapka signal weak hosakta aur internet slow browse hoga.


Aise wifi map use karke aap bhi public wifi ko use kar sakte aur data ke paise bacha sakte hai. Dosto ye koi hacking nahi hai. Wifi map me wohi password show hota hai jo public hota hai aur unsecure hota hai ya fir wo wifi ka password dikhate hai jo logone wifi map me password add kardiya hota hai.


Niche digayi kuchh sabalo yani questions ka jabab lagbhag maine iss post me dene ki kosis ki hai.

Wifi hack kaise kare , wifi hack kaise kare mobile se , mobile se wifi hack kaise kare without root , mobile se bina root ke wifi kaise hack kare , wifi hack karne ka tatika , kisi ke bhi wifi ka password kaise pata kare , Dusre ka wifi kaise hack kare , mobile se kisike bhi wifi password kaise hack kare , how to know wifi password , how to hack wifi password , android mobile phone se wifi ka password kaise hack ya crack kare , how to know wifi password without root , wifi ka password dekhne ka tarika , wifi password kaise malum kare , wifi password mobile se kaise pata kare puri jankari , how to hack wifi password on Android phone , android mobile phone से बिना root के wifi का password कैसे hack करे यानी देखे , wifi password देखने का तरीका , wifi map kya hai , wifi map कैसे use या इस्तेमाल करे पूरी जानकारी , wifi hack karne ka software download , wifi hack karne ka software kya hai , wifi map kya hai , wifi map kaise use kare puri jankari hindi me, wifi map se kisike wifi password kaise hack kare, wifi map kaise download kare etc.



To dosto aapko ye post kaisa laga5 comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare site par sabhi post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post dekh sakte hai.


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

3 comments

comments
August 2, 2023 at 10:21 PM delete This comment has been removed by the author.
avatar
August 2, 2023 at 10:22 PM delete This comment has been removed by the author.
avatar
August 2, 2023 at 10:23 PM delete

Pocket WiFi, also known as a mobile hotspot, is a portable device that allows you to connect to the internet wirelessly. It functions similarly to a regular WiFi router, but it's small enough to fit in your pocket or bag, making it highly convenient for on-the-go internet access Pocket Wifi

Reply
avatar