Bluetooth se unlimited voice aur video call kaise kare bina internet ke

How to make unlimited voice and video call from Bluetooth using - Bluetooth Walkie Talkie




Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aajka ye jo post  hai ummid karta hu ki aapko bahut hi badhiya lagega. Aap sabne hame itna pyar diya isske aapsabhiko bahut bahut suriyada karna chahunga. Aise aap hamare howtohelpinhindi.blogspot.com blog visit karte rahiye aur hamara latest post pane ke liye subscribe karna na bhule. To chaliye suru karte hai. Aapne internet pe to bahut sare aise application dekhe honge jiska istemal se ham audio video call karpate hai. Par issme kya hota tha ab man lijiye hame raatko ya kabhi ek room se dusre room me baat karna rehta hai. Aise me bhi hame internet on karna padta hai aur hamara bahut se data jata hai. Kabhi kabhi data n honeke wajah se ham raatko ek room se kisi aur room me baat nahi kar pate. Aise kuchh bahut se problem aati hai. Par ab aapko isska tension lene ki jarurat nahi ab aap bina data kharch kiye hi free unlimited audio videos call karsakte hai.


About  walkie talkie Bluetooth audio videos call in hindi:-


Dekhiye aapko Bluetooth se unlimited audio videos call karne ke liye aapko ek application download karna hoga. Jiska naam hai Bluetooth Walkie Talkie aap play store se bhi iss application ko download kar sakte hai. Black colour ka icon hoga iss app ka aapko mai niche download link aur icom dedunga. Bluetooth Walkie Talkie mai aapko isliye bolraha hu kyunki maine bhi iss application ko use hai kafi achha app hai. Aur ye aasani se play store pe bhi miljata hai. Jisse hame download karne bhi koi paresani nahi hoga. Bluetooth Walkie Talkie ka ek bahut hi badhiya feature ye hai ki aap issme unlimited audio video call karsakte hai wo bhi bina internet ke. Ab aap sochiye ki technology kitna aage badhta jaraha hai. Ab bluetooth se ye sab hone laga.





Bluetooth se unlimited audio video call kaise kare bina internet ke using Bluetooth Walkie Talkie 


Ye bahut hi aasan haii issme aapko jyada kuchh nahi karna padega. Ye bilkul ussi tarha hai jiss raha ham bluetooth paired karte hai kuchh share karne ke liye. To chaliye post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.


1. Sabse pehle aap apne mobile me Bluetooth Walkie Talkie install  karlijiye. Aur fir isse open kijiye.


Note:- Aapko uss phone ne bhi Bluetooth Walkie Talkie app ko install karna hoga jiss phone me aap call karna chahte hai.


2. Usske badh aap dono phone ne Bluetooth Walkie Talkie appko open kijiye.

3. Open karenge to aapko kuchh icon bale options dikhega istraha,

# wifi Icon :-

Wifi icon iss icon oar click karenge to aapka Bluetooth on hojayega. Issiliye aapko iss wifi ke icon par click kardena hai.




# Round arrow -Scan | Refresh :-

Aapko ek round arrow ka icon dikhega. Iss roun arrow ke icon par click karna hai aapko jisse wo sare Bluetooth scan hokar aajayega jo open hai.

Note :- Ye sabhi kaam aapko done phone me karna hai. 

4. Fir aap uss Bluetooth ke name par click karke paired karlijiye jissme aap call karna chahte hai. Aapko bas ekbar hi paired karna hoga fir aapko kabhi nahi karna padega bas aapko ekbar hi karna padega.


5. Fir aap uss Bluetooth ke name par kuchh der tak tap kardijiye jiss par aap call karna chahte hai. Jab ring janelagega to aapko kuchh options dikhega istraha,




# video call 

# voice call

# call record

Ye tin option dikhega aapko aap chahe to voice call ya video call karsakte hai. Aap call record bhi karsakte hai.

6. Aap jiss phone me call karenge ussme call receive karne ke liye accept karne ko bolega. To aapko accept kardena hai.


7. Jab aap call received karlenge to aapko kuchh option dikhega loudspeaker ka aap loudspeaker bhi on karsakte hai.

8. Jab aapko call disconnect karna ho to aap niche decline ke option par click kardijiye. 

Ab aap istarha se jitne chahe Bluetooth se unlimited  voice call ya fir video call karsakte hai.



To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »