Android mobile se contacts ka backup SD | memory card aur gmail me kaise lete hai



How to create a contacts backup in Sd card and gmail email full details in hindi :-



Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com bolg me swagat hai. Aap sabne hame itna pyar di hai isske liye bahut bahut dhanyabad. Aap aise hi hamare blog ko visit karte rahiye. Ham aapke liye roj roj aise naya articles lekar aate rehte hai. Aap hamare blog ko subscribe karlijiye taki hamare sabhi post aapke pass sabse pehle  pahuche aur hame bhi post likhne me motivation milega. To aaj ham  sikhne bale hai apne android phone me se kaise ham apne sare contacts ko kaise sd card aur apne gmail me backup le sakte hai. Contacts kaise transfer kar sakte hai. Yahapar mai aapko sd card me kaise backup banate hai aur gmail me kaise backup banate hai indono ke bare me batane bala hu. Sd card me backup kyun banaye aur gmail me kyun backup banaye indono ke bareme mai aapko details ke sath bataunga.

Android mobile phone me contacts ka backup kyun le | backup ka fayada kya hai :-



Dekhiye hamare phone me kafi sare contacts save hote hai hai. Hamare phone me hamare family , ristedar ke sath sath Bahut se  important office , person ya kisi aise chijoka contacts save hote hai jo hamare kafi kaam ke hote hai. Aiseme agar hamare phone se sabhi contacts delete hojate hai ya hamara format hojate hai. Kisi karan hamara phone kharab hojata hai ya chori hojata hai kahi par harajata hai to hame kitna tension hota hai aur ham chahte hai ki kash wo hame kam se kam hamara contacts lauta de. Agar apne phone ke contacts ka backup banalete hai to hame fir contacts ki koi dar nahi fir badhme hamara phone chori hojaye , kharab hojaye hame contacts ki koi tension nahi hoga kyunki hamare pass wo sabhi contacts backup ke sath rahega jisse ham kabhi bhi kisi bhi phone me firse wapis lasakte hai ussi backup ke help se. To chaliye ab ham jante hai ki sd card aur gmail email me backup kyun lete hai isska kya fayada hai. 


Sd card me backup kyun le isska fayada kya hai :-


Dekhiye hame hamare contacts ko sd card me bhi backup lena chahiye. Kyunki agar ham email me contacts ka backup lete hai to hame open karne ke liye internet ki jarurat padta hai. Jab bhi open karenge to hame internet ki jarurat padega par hame bar bar internet kholne me utna achha bhi nahi lagta hai. Ya fir hamare pass kabhi kabhi internet connection hi available nahi hota hai to ham aise me kaise apne contacts ko dekhsakte hai. Issiliye hame sd card me backup bana leni chahiye taki hame jab man kare ham bina internet ke use karsakte hai. Aur fir jab chahe jiss phone me chahe sd card lagakar contacts ko istemal karsakte hai. Aur apne contacts  ko ek phone se dusre phone me bhi send yani transfer karsakte hai.





Gmail email me contacts ki backup kyun le isska kya fayada hai :-


Dekhiye gmail ka account to aajkal har kisike pass hote hi hai. Aisa lagbhag sayad hi koi hoga jo ki apne android phone me gmail account use nahi karta hoga. Aur ab baat aata hai ki ham apne mobile ki contacts ka backup gmail me kyun banaye. Man lijiye aapne sd cardme contacts ka backup banalihai agar kisi bhi wajahse aapka memory currupt hojata hai to ya fir aapka memory chori hojata hai ya kahi harajata hai to hamare wo sare contacts bhi ussi ke sath chalajata hai. Fir ham kaha se layenge wo sare contacts isiliye agar hamne apne memory card ke sath sath email me bhi contacts ka backup banate hai. To hamara phone ya memory card hara bhi jayega to hame contacts ko khone ka koi dar nahi hoga. Kyunki ham hamara contacts ka backup gmail account me rahega jisse ham jab chahe kahi se bhi kisi phone me bhi apne gmail account ko login karke apna contacts backup open karsakte hai. To chaliye ham janlete hai ki contacts ka backup pehle sd card me kaise lete hai. To aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.


Android mobile se contacts ka backup Sd card | memory card me kaise le :-




1. Sabse pehle aap android phone ke contacts application ko open kijiye joki pehle se hi har phone par install hota hai.


2. Usske badh Menu yani 3 dotted line ke option par click kijiye. Fir aapko setting ka option dikhega aapko usspar click karna hai. Fir aapko contact ke option par click karna hai.


3. Usske badh aapko kuchh options dikhega jinmese ek import | export ka option hoga aapko usspar click karna hai.

4. Fir aapko export to SD card ke option ko select karna hai. Ab aapke contacts ka backup Vcard file ke roopme sd card me save hojayega.




Agar aap device me karna chahte hai to export to decide bale option select kijiye. Agar aap sim 1 ya sim 2 me karna chahte hai to export to sim1 ya export to sim 2 select kijiye.


Gmail email me contacts ka backup kaise banaye :-





1. Sabse pehle aap android phone ke contacts application ko open kijiye joki pehle se hi har phone par install hota hai.


2. Usske badh Menu yani 3 dotted line ke option par click kijiye. Fir aapko setting ka option dikhega aapko usspar click karna hai. Fir aapko contacts ke option par click karna hai.


3. Uske badh aapko niche kuchh options dikhega jinmese sabse niche ek Accounts and sync ka option dikhega aapko usspar click karna hai. 

4. Fir aapko wo sare gmail accounts dikhega jo aapke phone me login hai. To aap wo gmail select karlijiye jissme aap contacts ka backup lena chahte hai. 

Agar gmail account nahi dikhraha hai to add account  par click karke apne gmail account se login karlijiye.


5. Gmail select karne ke badh Sync contacts ke option par click kijiye. Ab aap pc ya kisi aur phone me gmail account ko login karlijiye aur contact ko select karlijiye fir More ke button par click kardijiye.


6. Ab export ke button par click karke apna contacts ka backup banalijiye.


Isstarha se aap apne android phone ke sare contacts ki backup bana sakte hai. Aur agar aapko jarurat padta hai to aap isse yaha se firse Recover bhi karsakte hai. Contacts ka backup banalene ke badh aapke phone se contacts delete bhi hojaye to koi baat nahi aap firse isse yaha se recover kar payenge.



To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.


Related Search :-

Android mobile phone me contacts ka backup kaise lete hai , Android mobile phone se contacts ka backup sd card yani memory card me kaise lete hai , Android mobile phone ka contacts delete hojane par wapis kaose late hai , Android mobile phone me contacts ko gmail email me kaise backup lete hai , Android mobile phone se contacts ko share yani send kaise karte hai dusre phone me , How to create contacts backup in Sd card and gmail email from Android phone full details in hindi. Etc.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments
May 26, 2018 at 5:52 PM delete

The Android Device ID may be needed in order for Customer Support to assist you with certain issues. Amazing Android Apps for Advanced Users Blackview BV9500 Pro

Reply
avatar