Google or gmail email ka profile name kaise change kare full details hindi me

How to change google or gmail frofile name in hindi


Google or gmail email ka profile name kaise change kare full details hindi me


Namaskar dosto aap sabhiko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apna gmail name kaise change karte hai yani badalte hai. Dekhiye kaibar ham jald baji me koi bhi apna gamil name filhal rakhlete hai. Ya fir kisiko bolte hai ki yar ek mera bhi gmail ka account banado to wo bana to dete hai magar koi bhi naam rakh dete hai. Fir badhme kya hota hai ki kisi karan hame apne gmail ka name karna hota hai. Hosakta hai hame wo purane bale gmail name utna achha nahi lagta aise koi bhi wajah hosakta hai gmail name badalne ka.


Gmail name change kyun kare yani kyun badle


Dekhiye gmail name change karne ke sabke apne apne karan hosakta hai. Par yaha mai niche kuchh reason yani karan batane jaraha hu jiske wajah se ham gmail name change karte hai.

1. Jab ham apne kisi friend ya relation ko koi apne gmail ke through yani duwara email vejte hai aur unhe hamara gmail name ajib sa lagta hai. Fir wo ham ko apna gmail name change karne ke liye suggest karta hai.

2. Hame khud apna gmail name pasand nahi aata hai. Wo sunne thoda ajib lagta hai.

3. Hamara gmail name thoda lamba hota hai jisse hame sunne me aur padhne me thoda dikat hota hai.

4. Hamara gmail name me koi spelling mistake hota hota hai.

5. Apna gmail name ham personal se kisi business ke naame pe rakhna chahte hai.

6. Hamare gmail name me koi aisa character hota hai jo hame pasand nahi aata ya fir mistake hota hai.

7. Apna ek badhiya aur suitable gmail name rakhne ke liye. Etc.

Aise bahut si reasons yani karan ho sakta hai gmail name change karne ka. Sabke apne apne reason hota hai.

Gmail ka profile name change kaise karte hai


1. Sabse pehle aap gmail.com par jakar apne gmail yani google ke account se login karlijiye. Agar aapke pass gmail ka account nahi hai to aap hamare ye niche bale post padhke apna gmail par ek account bana sakte hai.






2. Fir upar side me dekhenge to aapne apne gmail ke profile me jo photo upload kiye honge wo photo aapko bahut chhote size me ek dabba ki tarha dekhega. Aap uspar click kijiye. Aap niche picture me bhi dekhsakte hai.


Google or gmail email ka profile name kaise change kare full details hindi me



3. Uske badh aapko apna gmail ka ka profile aur photo dikhega. Aap niche dekhenge to ek my account ka bhi option hoga aap uspar click kijiye.

4. Fir google ka setting khuljayega aur aapko waha par ek option dikhega personal info and privacy ka. Iss option niche dekhenge to ek aur option hoga your personal info ka aapko uspar click karna hai.

















Fir first name last name ka option aaye aap first name aur last name fill up kardijiye yani likhdijiye. Agar first name aur last dalne ka option nahi aaya to aapke gmail profile name side me ek pencil ka icon hoga aap uspar click kijiye. Fir Save ya Ok ke button par click kijiye  aap niche picture me dekh sakte hai. Hosakta hai aapka gmail name yahi se change hojaye ya fir aapko ye niche bala process me jana hoga.

Google or gmail email ka profile name kaise change kare full details hindi me


Aapko wahapar privacy bhi dikhega aap privacy select karsakte hai. Learn more ka bhi option hoga aap uspar click karle isske bareme jyada learn kar sakte hai.

5. Fir save ke button par click kardijiye. Fir aapke samne ek pop-up aayega jisme likha hoga,

# Ki dekho pure world me bahut si kam log apna gmail name change karta hai. Kya aap sure apna gmail name change karna chahte hai.

# aapko ye bhi bola jayega ki ye jo gmail name aap change karenge to google ke sabhi service jaise gmail, google plus, youtube, google drive, etc. ka name change hojayega. Aur name change hokar google ke sabhi service me wahi name aajayega jo aap gmail ka name rakhenge.

5. Hame to name change karna hai to ham change name par click karenge.

6. Fir se ek pop-up khulega jisme sayad ye bhi bol sakta hai ki aapne jo gmail name rakha hai wo google me achha experience yani best result nahi hai.


7. Aap niche dekhenge to ek Goback ka option hoga aap uspar click karke apna naam duwara rakh sakte hai. Agar aap wahi name rakhna chahte hai to waha par ek aur button hoga proceed anyway aap uspar click kijiye.

Hosakta aapko ye kuchh process nahi bhi puchha jayega sidhe first name aur last name dalkar save ya Ok ke button par click karenge to aapka gmail profile name change hojayega. Agar ye sab process bhi puchhega to bhi koi problems nahi kyuki maine ye sab details me batadi hai.

8. Fir aapko likha huwa dikhega profile saved successfully ya fir your name has been updated successfully. Matlab aapka gmail ka profile name change hogaya hai.

Aap refresh karke dekhsakte hai ho sakta hai kabhi kabhi profile name update hone me thoda time lag jata hai. Chinta karne ki koi jarut nahi kuchh derme ye apne aap usname me change hojayega ya update hojayega jo naam aapne rakhatha.


To ab hamne sikhlihai ki google yani gmail profile ka name kaise badle. Aap iss post ko apne browser me save aur bookmark karlijiye.




















To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. Ekbar niche HOME par jarur click karke dekhlijiye.

                        Thank you

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

7 comments

comments
August 19, 2017 at 10:46 AM delete This comment has been removed by a blog administrator.
avatar
May 10, 2018 at 10:41 AM delete

Sir aapne is site per kon sa template use kiya hai.

Reply
avatar
July 21, 2018 at 10:12 PM delete

Hello sir hamara na
me chenj he bo sahi karna he bato sir

Reply
avatar
January 12, 2019 at 9:45 PM delete

Hi dost
Bhahut hi accha post hai yrr

Reply
avatar
Anonymous
March 12, 2022 at 8:01 PM delete

Google Or Gmail Email Ka Profile Name Kaise Change Kare Full Details Hindi Me - How To Help In Hindi >>>>> Download Now

>>>>> Download Full

Google Or Gmail Email Ka Profile Name Kaise Change Kare Full Details Hindi Me - How To Help In Hindi >>>>> Download LINK

>>>>> Download Now

Google Or Gmail Email Ka Profile Name Kaise Change Kare Full Details Hindi Me - How To Help In Hindi >>>>> Download Full

>>>>> Download LINK

Reply
avatar