Android mobile phone me wifi icon aur status bar kaise hide aur unhide kare

How to hide wifi icon and status bar on your android phone in hindi




Namaskar dosto aap sabhiko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne android phone ki wifi icon, Gprs aur status bar kaise hide kare.
Aap apne android phone me sabse upar dekhenge to battery ka icon aur percent dikharaha hota hai waha par wifi On hota hai to wifu ka icon shota hai. To aaj ham ussi wifi ka icon aur status bar hide karna sikhenge.


Ham apne wifi ka icon aur status bar kyu hide kare


Dekhiye kabhi kabhi kya hota hai ki jab kahi par jate hai jaise ki kisi office me, bank me, college me, apne kisi relation ke yaha jab jate hai to ham wifi use karte hai to aise me ham chahte ki kisiko pata na ho ki ham wifi use kar rahe hai. To ham kash mai ye wifika icon hide karpawu. Ya fir ham apnahi wifi use kar rahehote hai aur koi hamse bolta hai yar tum jara apna password dona. To  ham bolna chahrahe hote hai ki yar mai to data pe chala rahahu wifi kaha use kar raha hu par kya kare bol nahi pate kyuki hamare mobile phone pe wifi ka icon show ho raha hota hai. Aise bahut sare sabke apne apne karan hota wifi ka icon aur status bar hide karne ka.

Ab ham apne android phone me wifi ka icon aur sath sath status bar bhi hide kar sakte hai. Ab hamko ye sare paresani jhelne ki koi jarurat nahi.








Apne android phone me wifi ka icon aur status bar kaise hide kare



Apne phone me wifi ka icon aur status bar hide karne ke liye sabse pehle aap playstore se application download karlijiye. Application ka naam hai Clean Status Bar aap niche icon me dekhsakte hai. Ya fir aap isse niche digayi download link par bhi click karke download kar sakte. Waise to internet par aise kai sari application miljayega par aaj mai aap sab ko Clean status barke bareme batane bala hu kyuki ye thoda achha application hai.

To chaliye ham details me samajhte hai ki apne android phone me wifi ka icon aur status bar kaise hide karsakte hai.






Clean Status Bar download



1. Sabse pehle aap apne phone par Clean Status Bar application ko install kar lijiye. Aur fir isse open kijiye.


2. Clean Status Bar application ko open karenge to aap upar dekhenge ki Clean Status Bar off likha hoga usspar click karke aapko Clean Status Bar ko On karna hai. Aap niche picture me bhi dekhsakte hai.

























3. Clean Status Bar On karte hi aapke android phone me upar jo wifi, network Aise kisi bhi chijka icon hai to wo sab hide ho jayega. Sirf battery aur time ka icon rehjayega.

NOTE:
BATTERY AUR TIME KA ICON BHI FAKE HOGA SAHI NAHI HOGA.



4. Aap Clean Status Bar ko On karenge to options istarha ka show hoga,


# Background :


Iss option par Click karke aap apne phone ke status bar ko apne man pasand colour me badal sakte hai. Par mai to kahunga background colour white nahi kare to hi behtar hoga nahi to status bar achhi tarha se nahi dikhega.


# Wifi Icon :


Issme Off aur  On ka button hoga. Aap  Off karenge to wifi ka icon upar status barme nahi dikhega aur On karenge to dikhega.  Par mai to kahunga isse off hi rehne dijiye.

# Network Icon :


Agar aap network icon bale option par click karte hai to aapke samne aur bhi kuchh options show hoga jaise ki Off, empty, GPRS, EDGE, HSDPA(3G), HSPA+(3G), LTE(4G) aur Roaming aap insabhi option me se koi bhi option choose karsakte hai par mai to kahunga aap 3G rehne dijiye.


# GPS :


Issme Off aur On ka button hoga agar aap on karenge to upar status barme location ka icon show hoga. Aapko jo achha lage aap wo kare par mai to kahunga aap isse off hi rehne dijiye.


# Time :


Aap time bale option par click karke time set kar sakte hai ki aap apne Status barme kitna huwa hai dikha sakte hai. Par ye time fake yani galat hoga.

# use 24-hour format:


Iss option pe check yani tick karke aap time format set kar kar sakte  ki time ko 24 hour tak dikhana chahte hai ki 12 hour tak. Agar aap 12 hour tak hi dikhana chahte hai to check yani tick na kare.


Apne android me Clean Status Bar se hide kiye gaye wifi icon aur status bar kaise unhide kare



Ab hamne apne android phone ke wifi ic aur status bar Clean Status Bar ke help se hide to karli hai. Par ab ham usse unhide yani show kaise kare. Iske liye aap firse Clean Status Bar application ko open kijiye open hone ke badh aap upar dekhenge to likha hoga Clean Status Bar On aap uss On bale button par click karke usse Off kardijiye.

To dosto hamne bahut hi aasani se apne android me wifi icon aur status bar hide aur unhide karna sikhli hai.























To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. Ekbar niche HOME par click karke jarur dekhiye. 

                   Thank you

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

3 comments

comments
Anonymous
December 17, 2016 at 2:04 AM delete

sir apne adsense approve kar liya

Reply
avatar
Anonymous
December 17, 2016 at 2:04 AM delete This comment has been removed by the author.
avatar
May 11, 2017 at 10:14 PM delete

Thanks for comment visit again our blog

Reply
avatar