Android mobile par install apps ko hide aur unhide kaise kare bina kisi apps ke

How to hide and unhide install apps on your android mobile phone without any application





Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me ekbar firse swagat hai. Aaj ham sikhenge ki android mobile phone par install apps ko hide aur unhide kaise karte hai. Dekhiye aajkal lagbhag sabhi kaam jo computer se hote the wo ab Mobile se hone laga hai. Sabhi Logo ke pass aajkal ek android phone hota hi hai. Aur aapko to pata hi hoga android mobile ke liye ek par ek application aajkal launch kiye ja raha hai. Aajkal android ke liye aise aise apps aane laga hai ki ham apne bahut se kaam mobile phone se hi use karte hai. Pehle to koi bhi apps computer ke liye bantr hai. Par duniya itne aage chalagaya hai ki  lagbhag har wo computer bale apps ko mobile ke liye bhi available kardeti hai taki ham usse kahi bhi aur kabhi bhi use kar sake. Aapne dekha hi hoga aajkal log bank ke karobar , online shopping , online ticket , online study etc. Se lekar yaha tak log online job bhi ab Mobile se hi karne lage hai. Aur karna bhi chahiye kyunki hame isse aasani hota hai ham kabhi bhi aur kahi isska use karpate hai. Mobile ek mini computer hai. Aur ham bhi chahte hai koi badhiya apps computer ke liye aate hai to kash ko mobile ke liye aaye. Taki ham bhi wo kaam mobile par use kar paye.


Android mobile phone par install apps ko hide kyun kare ?


Dekhiye to aap par depend karta hai ki aap apne mobile phone par install apps ko hide karna chahte hai. Sabke apne apne reason hote ki wo apne mobile phone par install app ko hide kyun karna chahte hai. Par mai kuchh aise reasons bataraha hu jo ki common hai jinke wajah se log apne mobile phone par install apps ko hide karna chahta hai. Dekhiye bahut se log aajkal netbanking mobile se hi karte hai. Kuchh kharid bikri karne ka kaam bhi mobile se karte hai. Insab kamo ke liye apps hota hai uss apps me hamare sari details hota hai. Kai aise bhi apps hote hai jinme apna personal details ya family videos , photos rakhe hote hai aur ham chahte hai ki wo koi na dekhe. Kuchh aise paid apps bhi hote hai jo ki kafi mehnge hote hai aur ham chahte hai ki wo koi share na karpaye. Kuchh apps me ham apne sabhi account ke email password rakhe hote hai taki bhul janepar ussme se dekhlu par. Par hamara dost ya fir koi Mobile dekhne ke liye mangta hai to ham unhe dedete hai par kuchh log sabhi chij dekhte rehte hai. Aur ham chahte hai ki wo sab hamare personal chij na dekhe. Inhi kuchh wajah se hame apne mobile phone par install appsko hide karna padta hai. Khair sab ke apne apne wajah hota hai mobile phone par install apps ko hide karneka wo bhi bina install kiye.


Android mobile phone par install apps ko hide karne se kya fayada hoga ?


Dekhiye Mobile phone par install apps ko bina uninstall kiye hi hide karne se hame kafi kuchh fayada hota hai. Jaise ki hamare private data safe rahega. Family photos, videos ya fir documents safe rahega. Paid apps share hone se bachega. Apps galati se uninstall nahi hoga jinke wajah se hame koi data khone ka dar nahi hoga. Logoke darse Bar bar apps ko install uninstall nahi karna padega. Bank details ya personal details bhi safe rahega.


Android mobile phone par install apps ko hame hide karna chahiye ya fir nahi ?


Dekhiye ye jo mai mobile phone par install apps ko hide air unhide karne ka tarika batane jaraha hu isse koi problem nahi hoga kyunki ye android ka hi feature hai. Ye lagbhag sabhi android mobile phone par hota hai khas kar Samsung ke android phone me to hota hi hai. Aap hide karsakte hai isse koi nuksan nahi hai balki hame fayada hi hoga jo ki maine upar bata di hai.



Android mobile phone par install apps ko ham fir se unhide kar payenge kya?


Ji haan android ne install apps hide ko unhide karne ka bhi feature derakha hai. Aap jab chahe tab apbe mobile phone par install apps ko hide air unhide karsak hai. Issme install apps ko hide aur unhide karne ke liye aapko koi extra third party apps download karne ki jarurat nahi padega. Kyunki ye android ka feature hai jo ki lagbhag Samsung ke sabhi android phone me hota hai. To chaliye ham janlete hai ki apne android phone par install apps ko kaise hide aur unhide karte hai wo bhi without uninstall ke.


Android mobile phone par install apps ko hide aur unhide kaise kare full details hindi me



1. Sabse pehle aap apne mobile phone ke home screen par jaiye. Fir aap application menu par click kijiye. Yani uss icon par click kijiye jisspar click karne se aapke phone par install apps dikhta ho. Aap picture me bhi dekhsakte hai.


2. Apps ka menu open hote hi aapko upar ek 3 dotted line dikhega aapko usspar click karna hai.

3. 3 dotted line par click karenge to aapko kuchh options show hoga jinme se ek hide apps ka option hoga aapko uss hide apps bale option par click karna hai.


4. Hide apps par click karte hi sabhi apps me select box lag jayega. Matlab aap apne mobile phone par install apps me se kis kis appko hide karna chahte hai wo select kijiye.

5. Apps select karne ke badh upar  ek done ka option dikhega aap usspar click kardijiye.

Ab aapka wo sabhi apps hide hogaya hai jo aap hide karna chahte the. To chaliye ab ham janlete hai ki hamne jo apps hidd ki hai ab usse firse unhide kaise kare bina kisi apps ke.


Android mobile ki installed hide apps ko unhide kaise kare :-


1. Aap apne mobile phone ke Application menu bar me jaiye.  Application menu bar open hote hi upar dekhenge to aapko 3 dotted line dekhega aapko usspar click karna hai.

2. Fir aapko kuchh options dikhega jinme se ek show hidden apps ka option hoga aapko usspar click karna hai.

3. Ab aapke samne wo sare apps dikhega jo aapne hide kar rakha hai. To aap jiss jis apps ko unhide karna chahte hai usse select kijiye.


4. Usske badh aap done ke option par click kardijiye. Ab aapka apps unhide hogaya hai.


To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

10 comments

comments
April 30, 2018 at 2:30 AM delete

Very Very Very Nice....
Bahut Acche Se Shikhaya Hai....
Isse Bahut Help Ho Jayegi....
Aapne Problem Solve Kar Di...
Uske Liye Thank You...

Reply
avatar
June 9, 2018 at 4:53 AM delete

This information you provided in the blog that is really unique I love it!! Thanks for sharing such a great blog Keep posting..
wholesale mobile phones onlines

Reply
avatar
Anonymous
July 30, 2018 at 4:47 AM delete

I am grateful for the positive learning environment you shared here and it’s been so special to tell about clean master which has been high rated as one of the best phone cleaner app by for android smart phone available for easily free download.

Reply
avatar
March 1, 2021 at 10:54 PM delete This comment has been removed by the author.
avatar
October 18, 2021 at 3:09 AM delete

Bhai mane kiya tha par ni ho rha hai
mai bahut presan ho rha hu
Plz halp me meri madat kro mai kase kru ab

Reply
avatar
Anonymous
March 14, 2022 at 5:21 PM delete

Dating for everyone is here: ❤❤❤ Link 1 ❤❤❤


Direct sexchat: ❤❤❤ Link 2 ❤❤❤

vl

Reply
avatar
March 3, 2023 at 1:36 AM delete

You have shared very good information | Thanks for sharing App Ko Hide Kaise Kare

Reply
avatar