Apna facebook post ko selected friends ya kisi personal friend se kaise hide kare

How to hide facebook post from selected friends in computer and mobile full details in hindi




Namaskar dosto aapsabhiko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne facebook ki post ko kisi selected yani kuchh hi friends se kaise hide karte hai. Jab ham facebook par koi photos, videos, ya fir status post karte hai to kuchh aisa bhi post hota hai jo ham apne kuchh friends ya family member ko nahi dikhana chahte hai. Ab sabal ye aata hai ki aham apne facebook par kiye pust post ko kisi ko kyun nahi dikhaye. Iska to sabke apne apne bahut si reasons hota hai. Jab ham kisi ke party functions me jate hai waha par khub masti karte hai dosto ke sath bahut sare selfie lete hai fir ham sochte hai ki ab insabhi photos ya videos ko kyun na facebook pe post karde. Agar hamne photos me kuchh aise harkat kiye hote jo kuchh friends ke liye to thik hai par kuchh friends ke liye sayad nahi bhi ya hosakta hai ham apne kisi family member ke darse koi chij upload ya fir post nahi kar pate hai.


Aise me ham sochte hai yaar agar ye photos ham apne facebook  par post karde to ye party hamsabke liye yaadgar banjayega. Par kya karu agar aisa post mere vaiya ne dekhliya to mujhe khub dat padega. Aajkal to hairstyle ka jamana hai aur har koi apna hair style change karta rehta hai. Aise me ham bhi apna hair  style kuchh new karlete hai air ham uska selfie apne facebook par upload karne ko sochte hai. Par hame dar lagta rehta hai ki aare yaar mere facebook me to mere teachers bhi add hai agar wosab mera aisa photos dekhega to mera image usske najar me sayad kharab hojayega kya karu. Ab itne se bat ke liye ham apne teachers ko to unfriend nahi karsakte hai na kyuki hame unse bahut kaam ho hai. Aise bahut si sabke apne apne reasons hota hai jinke wajah se ham apne facebook post ko kuchh hi yani selected friends se hode karna chahte hai. 


Hamare facebook me kai friends aise bhi hote hai jo hamare kisi photos, videos ya fir post pe gande comments karte rehte hai ya fir hamare post ka majak udate rehte hai. Fir ham sochte hai ki kash koi aisa tarika hota jinse ham apne post ko kuchh hi yani kuchh selected friends se hide karpate matlab chhupa pate to kitna achha hota. 


Ab aapko aisa nahi sochna padega kyuki aaj mai aapko yahi batane bala hu ki facebook par apne photos, videos ya kisi post ko kuchh hi selected friends se kaise hide kare. Apne facebook post ko selected friends se hide kyu karte hai ye maine aapko upar kuchh reasons yani karan se sath batadi hai. Par sabke apne apne reasons yani karan hota hai facebook par apne photos, videos ya fir post ko kuchh friends se hide karne ka.



Facebook par apne photos, videos, status yani kisi post ko kuchh hi yani selected friends se kaise hide kare -



To chaliye ham details me samajhte hai ki facebook par kuchh selected friends se apne kisi post kaise hide karte hai mobile aur computer dono se. Lagbhag dono me same hi process hai bas thoda sa hi change hai.


Computer se facebook par apne kisi post ko kuchh selected friends se kaise hide kare -



1. Sabse pehle aap facebook.com par jakar apne uss facebook id se login kar lijiye jisme aap apne facebook post ko selected friends se hide karna chahte hai.


2. Usske badh aap koi status likhiye ya fir koi apna photos aur videos select kijiye. Ab aap post karne se pehle side me ya niche dekhenge to ek privacy ka option dikhega ussme pehle se public hoga aapko uss option par click karna hai. Aap picture me bhi dekhsakte hai.


3. jab aap uss privacy yani public bale option par click karenge to aapko ek aur option dikhega more option ka aap uspar click kijiye. Jap aap more option par click karenge to aapko ek aur option dikhega custom ka fir aap uss custom ke option par click kardijiye.






4. Custom par click karte hi aapke samne ek custom privacy ka window khiljayega jissme aapko do options dikhega. Options kuchh istarha hoga,

# Share With -

Iss option ko aap jaise hai waise hi chhod dijiye isske bareme bhi ham aapko kisi aur articles me details me batayenge.


# Don't Share With :

Iss option me aap apne uss friends ka naam search kijiye jinhe aap apne uss post ko nahi dikhana chahte hai. Jaise ki maine dala hai aap picture me bhi dekhsakte hai.



5. Jab aap apna friends select karlete hai ki ye kis kis ko nahi dikhana hai to fir aap niche dekhenge to waha par aapko ek option dikhega Save Changes ka aap uspar click karke usse Save kardijiye.


Ab aapka privacy custom hogaya hai. Ab aapne jo photos, videos selected ki hai ya fir jo post likhi hai usse publish yani karenge to ye post aapke un friends ko nahi dikhega jo aapne select ki hai. Aap apne post ko publish karke ek bar check karlijiye.

To chaliye ab ham ab ham sikhte hai ki mobile se kaise apne facebook post ko kuchh selected friends se hide karte hai. Aap isse achho tarha se padhiye aur samajhiye. Issme bhi lagabhag same hi process hai bas thoda sa hi change hai fir bhi chaliye ham aapko bata hi dete hai.



Mobile se kaise apne facebook post ko kuchh selected friends se hide kare -


1. Sabse pehle aap facebook.com par jakar apne uss id se login karlijiye jissme aap apne post ko Kuchh selected friends se hide karna chahte hai.


2. Usske badh aap wo photos, videos select karlijiye ya wo status likhlijiye jo aap selected  friends se hide karna chahte hai. Pos ko publish karne se pehle aap side me ya niche ya upar dekhenge to aapko kahi par ek privacy ka option dikhega jissme pehle se hi public select hoga to aapko uss privacy yani public bale option par click karna hai.


3. Waha par aapko kuchh options show hoga ussme aapko ek friends except.... Ka bhi option dikhega aapko friends except bale option par click karna hai.


4. Fir aapke samne ek page khulega share with ussme aapko kuchh options dikhega sabhi ko chod dena hai ek option hoga except ka ussme aapko apne uss friends ka naam search karna hai jisse aap apna ye post nahi dikhan chahte hai. Fir aap unsabhi friends ko select karlijiye jissme aap apna ye post nahi dikhana chahte hai.



5. Friends select karne ke badh Save ka button hoga Save kardijiye. Agar facebook application se kar rahe hai aur save ka button nahi hai to friends select karne ke badh back kardijiye.


6. Aap apne uss photos, videos ya fir uss status ko publish yani post kardijiye.


Ab aapka ye post aapke unsabhi friends ko nahi dekhega jinhe aapne select ki thi.

Aap ekbar check jarur karlijiye to hamne aaj ye sikhlihai ki apne facebook post ko kisi selected friends se hide kaise karte hai. Ab bhi aapko iss post se related koi problem aaraha hai to hame comment karke jarur bataiye ham aapke problems ka jitna ho sake solve karne ki kosis karenge.



To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye sithandWritinge nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments
May 18, 2022 at 9:07 AM delete

Kia ap ka blog Adsense sa approved ha

Reply
avatar