How to do 5000 times missed call to our friends at one call amazing tricks in hindi
Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me ekbar firse bahut bahut swagat hai aaj ham sikhenge ki ham ekbar me kaise 200,400, 999 ya 2000 ya fir 5000 aap jitna chahe missed call karsakte hai. To aajka ye jo post hai kafi majedar hai. Main hamesha aapke liye aise naye naye tips and tricks sab lekar aata rehta hu to aap hamare sabhi post ko sase pehle pane ke liye hamare blog howtohelpinhindi.blogspot.com blog ko visit karte rahiye. Aur hamare blog ko subscribe karna na bhule subscribe karlenge to sabse pehle aapko hamara post mil jayega. Aaj ke iss post se apne dosto hairani me par denge fir wo bhi sochega ki aapne usse itni bar missed call kaise kardi. Aur aap smart bankar maje lesakte hai. Par dosto aapse ummid karta hu ki aap iss post ka galat istemaal na kare ye jo post hai sirf knowledge ke liye hai.
Ham dosto ko ekbar me 5000 bar ya isse jayada missed call kyun kare :-
Dekhiye ye to aap oar depend karta hai ki aap apne dosto 5000 bar ya isse jyada missed call kyun karna chahte hai. Kabhi hamara koi code language bhi hota hai hamne apni gf bf ya fir dosto se bola hota hai ki jab maii 10 bar missed xall karunga to online aana. Ya fir ham apne dosto ko bahut jyada missed call karke usske sath prank karna chahte hai. Ab kisiko 1000 bar ya 5000 bar missed call karoge to koi bhi full ban jayega ki aakhir issne itne sare missed call kaise kardi. Par ekbar fir kehn chahta hu ki aap please isska koi galat use na kare ye post sirf knowledge ke liye hai. Par ekhibar kisiko itna bhi missed call mat kijiyega taki wo aapse paresan hojaye. Warna aap dono me thoda duri badh sakta hai.
Ekbar me kisiko kaise 5000 bar ya unlimited missed call kare full details - How to help in hindi :-
Isske liye aapko ek application download karna hoga jiska naam hai "Talk Zang missed call Bomber ". Ye application aapko play store par sayad nahi milega aap issko niche diye gaye link se download karsakte hai. To chaliye ab jante hai isska istemal kaise karte haii 999 bar ya unlimited missed call karne ke liye.
1. "Talk zang Miss call Bomber" application ko apne phone me install karne ke badh usse open kijiye.
2. Talk Zang application ko open karne ke badh aapko Continue in English ke option par click karna hai.
3. Usske badh aapko kuchh options dikhega kuchh istraha,
# Start :-
Isspar click karke aap start karsakte hai.
# Call catcher :-
Iss option par click karke aap koi call receive karsakte hai agar koi aapko call karta hai to.
# Language :-
Yaha se aap apna language yani bhasa select karsakte hai. Ki aap kiss language me iss application ko use karna chahte hai. Hosakta issme wo sabhi language na bhi ho jo aab chahte hai. Par lagbhag bahut se language hota hi hai.
# Tutorial :-
Iss option par click karke aap tutorial bhi dekhsakte hai ki iss application ko kaise use karte hai.
# About :-
Iss option par click karenge to aapko iss apps ke bareme details me jankari milega. Agar aap cgahte hai to isska details bhi check kar sakte hai.
# Exit :-
Iss option par click karenge to aapka application band hojaye. Yani aap iss option par click karke aap jab chahe iss application ko band karsakte hai.
4. Agar aap 200 ya isse jyada missed call karna chahte hai to aap start ke option par click kardijiye.
5. Fir aapko Choose a victim ka option dikhega yani issme aapko bolega ki aap kisko apne itne sare missed call ka sikar banana chahte hai. Jisse bhi aap unlimited missed call karna chahte Usska contact number daliye.
Note :- contact number aapko usske country code ke sath dalna hoga warna ye call nahi jayega.
6. Contact number dalne ke badh aapko next ke button par click kardena hai. Fir aapko Step 2 me missed call Number select karne ko bolega ki aap kitne sare missed call karna chahte hai. To aap missed call Number select karlijiye agar aap 200 bar missed call karna chahte hai to 200 likhdijiye. Fir aap next ie button par click kardijiye.
7. Step 3 me aapko Missed call duration set karne ko bolega to aapko Missed call duration set karna hai matlab aap kitne der tak ring bajbana chahte hai.
Agar aap 10 sec tak ring bajbana chahte hai to 10 second likhdijiye. Mai to kahunga kam hi rakhiye lagbhag 5 second jitna. Kyunki jyada dertak ring bajega to hosakta hai wo call receive karle issiliye kam hi rakhiye.
8. Fir aapko Start ke button par click kardena hai. Fir kuchhder process hoga aur Call chala jayega. Fir apne aap 5 second badh ya fir aapne jitna duration time rakhe hai utne der badh call disconnect hojayega. Aise hi automatically ye bar bar call lagega jitne bar aapne select kiye honge.
Aap iss application je madat se jitna chahe kisiko bhi Missed call karsakte hai. Ummid karta hu aapko post achha laga hoga.
To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.
2 comments
commentsHello
Reply81306 18681
Reply