Email account kaise banate hai gmail par/how to create gmail account

How to create an email account on G-mail



Email account kaise banate hai
Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai aaj mai aap sabko batane ja rahahu ki email account kaise banate hai agar aap janna chahte hai ki email kya hai to hamri pichhle post padhsakte hai jiss me maine bahut hi details me bataya hai ki emai kya hai,email ki aabsakta kyu padta hai aur address Kya hai sabhi ke bareme maine puri details ke sath bataya hai jisse padhkar aap aasani se samajh sakte hai ki email kya hai?  Isse padhe ke liye niche di gayi link par click kare

Email kya hai? What is email?

Aaj mai aap sabko batane ja rahahu ki email account kaise banate hai dosto aajkal hamare pass ek email address hona hi chahiye kyuki bagair email address ke ham aaj kal lagbhag internet me kuchh nahi karsakte to chaliye sikh lete hai ki email kaise banate hai aap chahe to email account Gmail,yahoomail ya fir hot mail par bhi bana sakte hai sab free service hai aaj ham sikhenge ki Gmail par account kaise banate hai to chaliye ham step by step karke sikhlete hai

Step1:- sabse pehle aap apne browser me type kare gmail.com fir aapke samne ek page khulega usme aapko login aur create new account ka option hoga agar aapke pass pehle se hi ek Gmail ka id hai to aap apna email aur password dalkar login karsakte hai agar nahi hai to koi bat nahi aap create new account bale button pe click kare



Step2:- Ab aapke samne ek forum aayega us forum ko fill up karna hoga matlab usme aapko ek forum bhadna hoga

Gmail ka forum kaise bhare:-


First name:-
Isme aapko apna pehla name bharna hai jiss name se aap Gmail account banana chahte hai jaise ki maine dala hai Sunil

Surname/last name:-
Issme aapko apne last name dena hota hai jaise maine di hai Yadav

Email address:-
Ab aap apna ek email address dale aap kaise email rakhna chahte hai aap apne email me numerical keypad ki help se number bhi add karsakte hai
Jaise maine dala hai sunilyadav7788@gmail.com

Password:-
Issme aapko apna ek password dalna hoga password ek chavi ki tarha hota hai to password aisa chune ki koi guess na karsake aur kisiko apna mat bataiyega

Confirm password:-
Ab aap isse wahi password who ba who matlab same password daliye jo aapne upar dala tha kyuki ye confirm karta hai password

Gender:-
Isme aap apna ling choose kare ki aap male hai ya female jaise aap dekhsakte maine chuna hai male kyuki ye purush hai agar aap mahila hai to female chune

Date of birth:- 
Aap apna date of birth chune pe pahil month ka option aayega fir din aur fir year ka jaise maine di hai month me May fir day me 08 aur year me 2000 aap apna date of birth de mere bala nahi

Mobile phone:-
Yaha par aap apna mobi number de aap chahe to isse khali bhi chhod sakte hai par behtar hoga ki de de taki badhme password bhulne par ya fir aapke email me koi problem aane par confirm karne me kam aayega

Current Email address:-
Agar aapke pass pehle se koi email account hai to dedijiye  ye bhi badh me aapko verify karne me help karegi agar nahi hai to fir isse khali chhod dijiye

Prove you're not a robot:-
Kabhi kabhi aisa hota hai ki koi hamare email me ghusne ki kosis karte rehte hai isiliye Gmail ne ek verification ka step rakha hai isme aapko captcha code dikhega usse niche dalna hota hai aur agar aapko code padhne me dikkat ho to aap usse recaptcha karde fir dusra code dikhega jab tak aapko code samajh me na aajaye aap recaptcha karte jaye fir aap koi code dekh kar waha pe dal de

Location:- 
Yaha par aap apna country ka naam choose kare agar aap India se hai to india choose kare mai Nepal se to chhose ki hai


Step3:- ab aapko google ki kuchh terms and privacy ko manna padega aap inke terms and privacy achhi tarha se padhle aur fir i agree ke button par tick karde aur fir next ke button par click kare

Step4:- Next ke button par click karne ke bad aapke samne ek page khulega jisme aapko ek profile picture upload karne ko kahega aap chahe to upload karsakte hai agar aap ke pass koi picture nahi hai to aap usse khali chhod de aur Next step ke button par click kare

Step5:- fir aapke samne ek page khulega jisme likha hoga welcome aur aapka name hoga aur niche aapka email address taiyar hoga fir aap continue to Gmail ke button par click kare


Step6:- Continue to Gmail ke button par click karte hi aapke samne ek aur page khulega jisme aapko Gmail ka inbox dikhega aur gmail ke tarafse kuchh mail aaya hoga aur welcome message bhi matlab aapka gmail account bangaya ab aap Gmail me logged in hai aap Gmail se bahar jane ke liye logout karsakte hai fir jab bhi aap login karna chahe wohi email aur password dalkar login karsakte hai ek bat yad rakhe ki apna password kisiko na de aur apne email aur password ko kahi likha kar rakhle taki usse bhuljane par ham firse dekhsake

To dosto hamne bahut hi aasani se sikhlihai ki gmail par email account kaise banate hai thoda aap bhi help kijiye aap is post ko apne dosto ke sath Facebook par Twitter par google plus par aur aise social media par share kijiye aap sab ke sath mai aise hi new new article lekar isi
 howtohelpinhindi.blogspot.com par aata rahunga aap isse subscribe karle
    
           Thank You

Ye bhi padhe:-

1. Email kya hai?/what is emai? Email ki puri jankari hindi me

2. Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai

3. Facebook account free me kaise create kare

4. Free me dinosaur offline game chrome browser me kaise khele

Home Par click kare

Home

Email kya hai?/what is email? Email ki puri jankari hindi me



        What is email??

Email kya hai?/what is email? Email ki puri jankari hindi me


Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj mai aapsab ko batane ja rahahu ki email kya hai. Kya aap jante hai ha sayad aap jante bhi honhge agar jante nahi hai to kam se kam naam to jarur sune honge. Agar naam bhi nahi sune hai to bhi aapko chinta karne ki koi jarurat nahi kyuki aaj mai aap ko emails ke bareme details me bataunga. Bahut log email ko use karte hai lekin unmese kuchh logo  ko yeh pata nahi hota hai ki aakhir email address hai kya to aap janna chahte hai ki email kya hai to yeh article aapke liye hai.


Email kya hai???


Electronic mail ko short me email kehte hai. Koi vi patra ya sandesh aapko electronic madhyam duwara vejagaya ho usse email kaha jata hai. Aapko to pata hi hoga jab pehle internet aur email ka subhidha nahi tha. Ek patra matlab letter vejne ke liye pehle aap kahi se lifafa ya fir ticket bala patra lijiye fir usse dak khane me daldijiye aur fir dak bibhag usse iski pate matlab address par pahucha deta tha. Aise me kya hota tha ki ticket ka kharcha to lagta hi tha sath hi sath achha khasa time vi barbad hota tha.  Itne karne ke bad bhi kabhi kabhi aisa hota tha ki wo patra gum hojata tha. Aise me hame patra khone ka bahut hi dar hota tha. Agar manlo wo letter sahi pate par pahuch bhi jata tha to fir naye letter ko return pane me dikat hota tha. Par ab badalti duniya ke sath email enternet ka subhidha uplabdh hai. Email me nahi ticket ka kharcha lagta hai aur nahi jyada samay ki barbadi hota hai aur sabse badi bat aapko patra yani letter khone ka koi dar nahi hota hai. Pehle to patra sahi address par pahuchne me kai din kya mahino bhi lagjate the par ab wohi kam email second me kar raha hai. Aap email se duniya me kahi bhi aapne sandesh yani message kuchh hi second me vej sakte hai. Aur usse kuchh hi second me prapt bhi karsakte aur sabse badi bat ye bilkul free bhi hai.



Email ki aabsakta kya hai??

Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai

Aaj kal email ki aabsakta kise nahi hai lagbhag sabhi ko hai kyu ki aajkal lagbhag har jagah emai address manga jata hai. Agar aap kisi school me admission lene jate hai to forum me email mangta hai. Aap bank me account banana chah te hai ya fir mobile ka connection lena chahte hai ya fir train aur plane ka ticket lena  chahte hai ya fir school aur college me admission lete hai ya fir kahi job ke liye apply karte hai ya fir apne dost ya pariwar se jude rehne ke liye bhi email address ki jarurat padti hai. Internet par to bagair emai address ke account banana bahut hi muskil kam hai. Kuchh aise bhi site internet par hote hai jinme aap sayad bina email address ke account nahi bana payenge. Internet par to kai email sebaye uplabdh hai. Kuchh popular hai jaise ki,

1. Gmail

2. Yahoo mail

3. Hot mail

Aaj kal jyadatar log inhi tino me se kisi par apna email account banate hai. Aap chahe to kisi aur par bhi apna email account banasakte hai. Kyuki internet par aise bahut hi free service uplabdh hai. Par mai suggest karunga ki inhi 3 me se kisi ek par apna email account banaye. Khaskar google mail matlab Gmail par mai bhi isi par account banaya hu.

Email Address kya hai?

Facebook account free me kaise create kare

Jistarha se hame mobile par message karne ke liye mobile number ki jarurat padta hai usi tarhase mail ya email vejne ke liye email adress ka jarurat padta hai. Email ka 3 hissa yani ke 3 bhag hote hai.

Examples ke liye ham ek email lelete hai
abcdef@wxyz.com

Ye jo pehla bala hissa hai abc isse ham user name kehte hai. Aur @ iss sign ko ham at ya at the rate kehte hai. aur last bala jo xyz.com hai usse domain name kehte hai.

Chalo mai aapsab ko ek aur example dekar samjhate hai.

somethinglearn9999@gmail.com

Yaha par ye jo hai somethinglearn9999 ye user name hai. Aur @ ye hai at ya at the rate aur jo last me hai gmail.com ye hai domain name. Agar aap hame email karna chahte hai to upar di gayi email address par vejsakte hai to dosto aaj hamne achhi tarha se janli hai ki email adress kya hai.


Email adress me kya likhte hai :


Aapke man me ya sabal jarur aaya hoga ki haan mai email ke bareme jaan to gaya par mujhe pata nahi hai ki mai email adress me kya likhu. Ya fir email address me log kya likhte hai. Jab aap kisiko email bhejna chahte hai to write your message ya write your email bale forum me aap apna wo sare baaten ya message likhiye jo aap kisiko vejna chahte hai. Agar waha par to ya fir receiver email address mange to aap uss byakti ka email address daliye jisko aap apna email ya message vejna chahte hai. Agar aap email kaise vejte hai ya fir email address me kya likhte hai insab ke bareme details me janna chahte hai to aap niche digayi link par click karke dekh sakte hai.






Email adress ke bareme aur jyada janne ke liye aap niche digayi link par jarur click kijiye.

Free me email account kaise banate hai :

Dosto agar aap apna ek email address banana chahte hai to aap niche digayi link par click karke dekh sakte hai. Aur aap bohot aasani se sikh sakte hai ki free me email account kaise banate hai. Aur aap apna ek free ka email address yani email account bana sakte hai aur ye bohot jaruri bhi hai aajke iss technology ke duniya me. Bina email adress ke aap bohot se chij nahi kar sakte hai internet aur technology ke duniya me. Agar aap apna gmail ka email adress banana chahte hai ya fir Microsoft yani outlook ya Hotmail ka email address banana chahte hai. To aap niche digayi link par click karke apna ek khudka email address bana sakte hai.





Maine iss post me email adress se related in sabhi sabalon ka jabab dene ki kosis ki hai agar aapke man me koi aur bhi aisa sabal hai to aap hame comment karke puchh sakte hai.

>email address me kya likhte hai
>email address me kya likha jata hai
>email address me kya likhe
>email ko hindi me kya kehte hai
> email address kya hota hai hindi
>email address me kya dala jata hai
>mera email id kya hai
>email address kaise banaye
email account kaise banaye
email account kaise khole
email account kaise banate hai
email acount kaise banay
email acount kaise banate hain

Also Read :







Agar aapko ye article achha lageho to comment jarur kare aur dosto ke sath share karna mat bhuliyega aapke liye ham issi tarha new new article lekar isi howtohelpinhindi.blogspot.com par aata rahunga  aap hamare site ko apne browser me bookmark karlijiye ya fir save karlijiye.
           Thank You

Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai

Facebook like features or emojis


Namaskar dosto aap saviko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai.
Aaj kal Facebook kaun nahi use karta hai agar aap avitak Facebook se jure nahi he to aap hamara facebook par free me account kaise banate hai wo post padhkar apna Facebook account banasakte he to jahir si bat hai jo log Facebook chalata hai wo Facebook par poto news ya fir koi vi post dalte rehte hai to uspost ko dekhkar hamare kai emotion ya bhab hote hai jise express karna bahut muskil hota tha kyuki pehle Facebook me sirf ek hi like ka button hota tha magar halhime Facebook ne ek naya features laya hai reactions is article me ham Facebook reactions ke bareme sikhenge Facebook par to like ka button bohot pehle se hi tha jo pasand aaye usse like karde par Facebook ke user ek dislike button ka vi mag kar rahethe avitak Facebook par dislike ka button to nahi aaya hai lekhin Facebook laye hai 1 nahi 2 nahi 3 nahi pure 5 naye emojis
1. Love
jab kuchh pyara lage ya fir behad pasand aaye kabhi kabhi aise post hote hai joki hamare heart ko touch karjate he to love emogi ka istemal kare
2. Haha
Jab aapko hasi aaraheho tab aap iska iska istemal karsakte he kisi kisi post ko dekhkar hame itni hasi aati hai aise me ham haha emoji ka use karte hai
3. Wow
Jab wahwah kehne ka man ho to aap wow emoji ka use kare
4. Sad
Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki jab ham koi status padhte hai to hamara man bahut dukhi hota hai aise me aap sad emoji ka use kar sakte ho
5. Angry
Jab kisi status ko padhkar aapko ghussa aaye to aap angry bale emoji ka use kar sakte hai.
To chaliye ham janlete hai ki ye computer ya fir mobile par kaise kamkarte hai

Computer me kaise use kare:-

Sabse pehle aap apna facebook open kare

Free me Facebook account kaise banate hai


Facebook account open karne ke bad aap jis post pe emoji use karna chahte hai us post pe jaye aur fir apne mouse se like button par habar kare fir aapke samne me sare emoji aajayega aapko jo achha lage uspar click kare bahut hi aasan hai ye bas aapko apne mouse ko like ke button par leke jana hai fir sare emoji khuljayega aap upar picture me dekhsakte hai

Mobile me kaise use kare:-

Ab mobile se kaise is features ka use kare wo sikhlete hai lagbhag same computer ki tarha hi process hai to chaliye fir vi sikh lete hai sabse pehle aap apna Facebook account me login kare agar aap pehle se hi logged in hai to aapko login karne ki jarurat nahi fir aap jis post pe emojis use karna chahte hai uspar post par jaye aur waha par ek like ka button hoga uspe apne ungli matlab finger se press kare matlab kuchh second dabaye rakhe fir aapke samne emojis ka option aajayega fir aap apne finger ko bagair uthaye lift right me chalaye aapko sare option dikhega. Ji han mobile me vi lagbhag computer ki tarha hi process hai to haina bahut hi easy aur majedar ab aap comment kiye bina bahut kuchh kehpayenge agar aapko ye article achha lage to comment karna mat bhuliyega aur ha knowledge apne dosto ke sath share jarur kare to dosto mai aap sabkeliye aise hi new new article lekar isi 

howtohelpinhindi.blogspot.com par aata rahunga.

Ye bhi padhe:-

            Thank You



Facebook account free me kaise create kare

How to create free Facebook account


Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai aaj ham batayenge facebook ke bareme facebook ek social media hai jiska CEO Mark Zuckerberg hai iske bareme mai aapko badh me details me bataunga to dosto avi ham chalte hai facebook ki taraf aajkal kaun nahi facebook istemal kar raha hai lagbhag aajkal savi log facebook ka istemal karne lage hai jo padha likha ho wo vi facebook use kar raha hai aur jo padhe likhe nahi hai uska bhi jyadatar facebook par to account bane hi hote hai. Aaj mai aap sabko facebook par free account kaise banate hai wo batane jaraha hu aapko jarur sikhna chahiye kyuki Manlijiye aapko facebook par account banane nahi aata hai agar koi aapse bole ki aap please mera facebook account bana dijiye uswakt aapko kaisa boring feel hoga na dusre ke liye na sahi kamse kam apne knowledge ke liye vi sikh lena chahiye.
To chaliye ab ham sikhte hai ki facebook account kaise kholte step by step:-
Mai aap sabko ek bat batadu ki Aapke pass ek email ya fir mobile number hona bahot jaruri hai warna aap facebook par account nahi bana sakte
Step1:- Sabse pehle aap apne browser me adress barme type kare facebook.com fir aapke samne ek popup windows khulega sign up ka option hoga agar nahi hai to create new account par click kare

Step2:- uskebad aapko ek forum fill up karna padega jaise ki aap picture me dekhsakte hai
Forum Kaise fill kare
Aapko form fill karne me koi dikat horahi hai to don't worry mai aapko forum fill kaise kare niche bata raha hu

first name:- Prashant

First name me aap apna wo naam matlab name daliye jis name se aap facebook account banana chahte hai par haan jaise taise character Facebook support nahi karta isiliye available naam de

Free me dinosaur offline game
chrome browser me kaise khele

surname:- Yadav

Aap apna surname ya fir last name dale jaise maine yadav de rakha hai

Phone number or email address:- somethinglearn9999@gmail.com

Email address me aap apna email dal sakte hai chahe wo gmail ka ho ya fir yahoo ka ya fir kuchh aur ka agar aapke pass email na ho to mobile number dale aap upar dekh sakte hi maine email dala hai

Gender:- Male

Gender me aap kya hai male ki female agar aap male hai to male dale agar aap female hai to female dale aap upar dekhsakte hai mai male hu isiliye male dala hu

Date of Birth:-
                   Day:- 12
                   Month:-06
                   Year:- 1998

date of birth me aapka janam miti kya hai wo likhd maine upar derakha hai forum ho sakta hai day ki jagah par dd ho aur month ki jagah par mm ho aur year ko jagah par yy ho par hai yahi matlab

Password:- Janakpur555

Ab aap last me apna password chune par ek batka hamesa yad rakhiye password aisa chune ki kisi pata na ho aur nahi koi guess kar sake isile alphabet ke sath sath numbers vi dalde taki guess karne bale jitne vi kosis karne ke bad vi guess na kar paye aur ha apne password kisiko bataye nahi

Step3:- Ab aap aapne jo forum fill ki hai use ek bar achhi tarha se check karle  jab aap sara forum jo aapne fill ki hai wo sahi hai to sign up ke button par click kare jaise hi aap sign up pe click karenge to aapke samne confirm email ya fir confirm phone number ka option aayega confirm karne ke liye facebook aapko confirmation code aapke email par vejdega agar aap mobile number use ki hai to confirmation code aapke mobile number pe aayega code 5 ya fir 6 digit ka hoga



Step4:- ab aapko apna email ya fir mobile me se Facebook confirmation code dekhkar confirm email ya fir confirm Facebook par dalde aap upar picture me dekhsakte hai

Step5:- Ab aapko facebook kuchh friends bananeko kahega par chahe to use skip vi kar sakte hai skip karne ke bad aapko apna profile information  dene ko kahega wo dede aap chahe to khali vi chhod sakte hai

Step6:- Last aapko ek profile picture upload karne ko kahega wo aap apne phone ya fir computer se upload kare yahi profile picture sabko dikhega jab aapko koi search karega aap baki information bad me vi fill karsakte hai
Note: ye mera banayahuwasitep hai jo ki aapko details me samjhane ke liye banaye the Facebook sirf 3 step me verification hoti hai

To chaliye aaj hamne facebook par free account kaise banate hai wo to sikhli hai haina bahut hi aasan aapsab ke liye ham aise hi new new article lekar aate rahenge isi howtohelpinhindi.blogspot.com par aapsab comment karna mat bhuliyega aur ha knowledge apne dosto ke sath jarur share kare

Free me dinosaur offline game chrome browser me kaise khele

Play Offline Game On Chrome

Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham bat karne ja rahehai Google Chrome browser ki free offline game ke bareme. To aap sabhi ko to pata hi hai ki Google Chrome browser bahut hi popular browser hai. jo ki lagbhag har computer aur smart phone par install hota hai.

Ham log Chrome browser me browse karte hai magar mai aap sab ko bata du ki ham sirf browse hi nahi balki Game vi khel sakte hai. Aap soch rahe honge ham apna khas data barbad karke game khele to ji nahi dosto mai aapko bata du ki isme aapko koi paise nahi kharch karne padenge. Aur nahi data kyuki ye bilkul free hai.

Kabhi kabhi kya hote hai ki jab ham chrome me kuchh browse matlab search kar rahe hote hai  to hamara internet connection kat jate hai matlab disconnect hojatehai. To kavi network problems ke karan se to kavi kisi aur karan se disconnect hojate hai. Aise me ham kitne bored feel karte haina. To uswakt ham kya karte hai game khelte hai ya fir koi kam karte hai ya fir kuchh aur karne ki soch te hai. Par kavi kavi aisa vi hota hai ki hamare phone ya fir computer par koi game install nahi hota hai. To aur boring lagta haina. To dosto ab hamsab ko bore hone ki jarurat nahi kyuki ab google ne Chrome browser me dinosaur ka offline game ka features de rakha hai. To aaiye ham jante hai ki offline game kaise khele pne Chrome browser me. Usse pehle mai ek bat bata du ki ye features mobile me vi available hai.
To chaliye ham aapko step by step samjhate hai ki kaise is features ka fayada uthaya jai.

Step1:- eskeliye aapke mobile ya fir computer par Chrome browser install honichahiye nahi hai to kar li jiye. Aur ekbat ka dhyan de aap apne computer ya fir mobile me internet connected nahi rakhe warna ye game nahi aayeha.

Step2:-ab aap apne chrome browser open kare.


Step3:- Chrome open karne ke badh aap browser me kuchh vi search kare jaise maine ki hai www.howtohelpinhindi.blogspot.com aap upar picture me dekhsakte hai.

Step4:- ab aapke samne ek dinosaur ka icon aayega black colour me aayega aap uspar click kare. Aap upar picture me dekh sakte hai. Maine yellow colour ke arrow me number 1 likhkar denote ki hai.

Step5:- Jab aap dinosaur bale icon pe click karenge to game start hojayega fir dinosaur daudne lagenge matlab run karenge.

Step6:- Is game me aapko bich bich me black colour ka badha vi aayega jo ki ek khamba ya pole jaise hoga. Aap upar picture me dekhsakte hai. Maine red colour ke arrow me number 2 likhkar denonte ki hai. Usme dinosaur ko touch na karne de. Touch na hone dene ke liye aap jab vi dinosaur picture ke number 2 bale icon ke najdik pahuche to aap apne mobile ke screen par touch kare fir dinosaur jump karega. Aur aap upar me apna score vi dekh sakte hai.

To ye thi Chrome ki offline game ki jankari aap game khele achha lagega. Aur ha comment aur share karna mat bhuliye aap sab ke liye mai aise hi naya naya article lekar aata rahunga isi
howtohelpinhindi.blogspot.com par.