Email kya hai?/what is email? Email ki puri jankari hindi me



        What is email??

Email kya hai?/what is email? Email ki puri jankari hindi me


Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj mai aapsab ko batane ja rahahu ki email kya hai. Kya aap jante hai ha sayad aap jante bhi honhge agar jante nahi hai to kam se kam naam to jarur sune honge. Agar naam bhi nahi sune hai to bhi aapko chinta karne ki koi jarurat nahi kyuki aaj mai aap ko emails ke bareme details me bataunga. Bahut log email ko use karte hai lekin unmese kuchh logo  ko yeh pata nahi hota hai ki aakhir email address hai kya to aap janna chahte hai ki email kya hai to yeh article aapke liye hai.


Email kya hai???


Electronic mail ko short me email kehte hai. Koi vi patra ya sandesh aapko electronic madhyam duwara vejagaya ho usse email kaha jata hai. Aapko to pata hi hoga jab pehle internet aur email ka subhidha nahi tha. Ek patra matlab letter vejne ke liye pehle aap kahi se lifafa ya fir ticket bala patra lijiye fir usse dak khane me daldijiye aur fir dak bibhag usse iski pate matlab address par pahucha deta tha. Aise me kya hota tha ki ticket ka kharcha to lagta hi tha sath hi sath achha khasa time vi barbad hota tha.  Itne karne ke bad bhi kabhi kabhi aisa hota tha ki wo patra gum hojata tha. Aise me hame patra khone ka bahut hi dar hota tha. Agar manlo wo letter sahi pate par pahuch bhi jata tha to fir naye letter ko return pane me dikat hota tha. Par ab badalti duniya ke sath email enternet ka subhidha uplabdh hai. Email me nahi ticket ka kharcha lagta hai aur nahi jyada samay ki barbadi hota hai aur sabse badi bat aapko patra yani letter khone ka koi dar nahi hota hai. Pehle to patra sahi address par pahuchne me kai din kya mahino bhi lagjate the par ab wohi kam email second me kar raha hai. Aap email se duniya me kahi bhi aapne sandesh yani message kuchh hi second me vej sakte hai. Aur usse kuchh hi second me prapt bhi karsakte aur sabse badi bat ye bilkul free bhi hai.



Email ki aabsakta kya hai??

Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai

Aaj kal email ki aabsakta kise nahi hai lagbhag sabhi ko hai kyu ki aajkal lagbhag har jagah emai address manga jata hai. Agar aap kisi school me admission lene jate hai to forum me email mangta hai. Aap bank me account banana chah te hai ya fir mobile ka connection lena chahte hai ya fir train aur plane ka ticket lena  chahte hai ya fir school aur college me admission lete hai ya fir kahi job ke liye apply karte hai ya fir apne dost ya pariwar se jude rehne ke liye bhi email address ki jarurat padti hai. Internet par to bagair emai address ke account banana bahut hi muskil kam hai. Kuchh aise bhi site internet par hote hai jinme aap sayad bina email address ke account nahi bana payenge. Internet par to kai email sebaye uplabdh hai. Kuchh popular hai jaise ki,

1. Gmail

2. Yahoo mail

3. Hot mail

Aaj kal jyadatar log inhi tino me se kisi par apna email account banate hai. Aap chahe to kisi aur par bhi apna email account banasakte hai. Kyuki internet par aise bahut hi free service uplabdh hai. Par mai suggest karunga ki inhi 3 me se kisi ek par apna email account banaye. Khaskar google mail matlab Gmail par mai bhi isi par account banaya hu.

Email Address kya hai?

Facebook account free me kaise create kare

Jistarha se hame mobile par message karne ke liye mobile number ki jarurat padta hai usi tarhase mail ya email vejne ke liye email adress ka jarurat padta hai. Email ka 3 hissa yani ke 3 bhag hote hai.

Examples ke liye ham ek email lelete hai
abcdef@wxyz.com

Ye jo pehla bala hissa hai abc isse ham user name kehte hai. Aur @ iss sign ko ham at ya at the rate kehte hai. aur last bala jo xyz.com hai usse domain name kehte hai.

Chalo mai aapsab ko ek aur example dekar samjhate hai.

somethinglearn9999@gmail.com

Yaha par ye jo hai somethinglearn9999 ye user name hai. Aur @ ye hai at ya at the rate aur jo last me hai gmail.com ye hai domain name. Agar aap hame email karna chahte hai to upar di gayi email address par vejsakte hai to dosto aaj hamne achhi tarha se janli hai ki email adress kya hai.


Email adress me kya likhte hai :


Aapke man me ya sabal jarur aaya hoga ki haan mai email ke bareme jaan to gaya par mujhe pata nahi hai ki mai email adress me kya likhu. Ya fir email address me log kya likhte hai. Jab aap kisiko email bhejna chahte hai to write your message ya write your email bale forum me aap apna wo sare baaten ya message likhiye jo aap kisiko vejna chahte hai. Agar waha par to ya fir receiver email address mange to aap uss byakti ka email address daliye jisko aap apna email ya message vejna chahte hai. Agar aap email kaise vejte hai ya fir email address me kya likhte hai insab ke bareme details me janna chahte hai to aap niche digayi link par click karke dekh sakte hai.






Email adress ke bareme aur jyada janne ke liye aap niche digayi link par jarur click kijiye.

Free me email account kaise banate hai :

Dosto agar aap apna ek email address banana chahte hai to aap niche digayi link par click karke dekh sakte hai. Aur aap bohot aasani se sikh sakte hai ki free me email account kaise banate hai. Aur aap apna ek free ka email address yani email account bana sakte hai aur ye bohot jaruri bhi hai aajke iss technology ke duniya me. Bina email adress ke aap bohot se chij nahi kar sakte hai internet aur technology ke duniya me. Agar aap apna gmail ka email adress banana chahte hai ya fir Microsoft yani outlook ya Hotmail ka email address banana chahte hai. To aap niche digayi link par click karke apna ek khudka email address bana sakte hai.





Maine iss post me email adress se related in sabhi sabalon ka jabab dene ki kosis ki hai agar aapke man me koi aur bhi aisa sabal hai to aap hame comment karke puchh sakte hai.

>email address me kya likhte hai
>email address me kya likha jata hai
>email address me kya likhe
>email ko hindi me kya kehte hai
> email address kya hota hai hindi
>email address me kya dala jata hai
>mera email id kya hai
>email address kaise banaye
email account kaise banaye
email account kaise khole
email account kaise banate hai
email acount kaise banay
email acount kaise banate hain

Also Read :







Agar aapko ye article achha lageho to comment jarur kare aur dosto ke sath share karna mat bhuliyega aapke liye ham issi tarha new new article lekar isi howtohelpinhindi.blogspot.com par aata rahunga  aap hamare site ko apne browser me bookmark karlijiye ya fir save karlijiye.
           Thank You

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

4 comments

comments