How to Reset | Recover Forgotten Gamail password full details in hindi
Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki bhul gaye gmail ka password kaise recover karte hai. Isse pehle bhi hamne kai post gmail ke bareme likhe hai. Aap wo bhi padh sakte hai. Aap hamare blog aise visit karte rahiye ham aapke liye aise bahut se articles lekar aate rehte hai.
Gmail ka password kyun reset yani recovery kare :-
Dekhiye ye to sabke apne apne reason hote hai gmail ka password recover yani reset karne ka. Yaha par mai aapko kuchh aise common reasons bataunga jiske wajah ham gmail ka password reset yani recover karte hai. Ham apne android phone je bina gmail account ke lagbhag bahut kuchh nahi karpate hai. Android phoneme playstore se koi apps download karne ke liye hamko gmail account se login karneko bolte hai. Youtube par video upload karne ke liye gmail account se login karneko bolta hai. Gmail account ham bahut kuchh karne ke makshad se banate hai. Blogging , google plus , google map etc. Aise bahut se chijo ko chalane ke liye hame gmail account ka jarurat padta hai. Ham gmail to banate hai par bahut bar ham gmail ka password hi bhul jate hai.
Hamare gmal se koi important account bana hota hai. Ya fir koi documents hota hai. Aisa koi important mail aaya hota hai. Par ham password bhul gaye hote hai to ham wo sab nahi dekh pate. Kaibar bahut dino tak kisi gmail account ko login na karne ke wajah se ham usska password bhul chuke hote hai. Ya fir bahut se gmail ka account hone par bhi ham apne password bhuljaye hai.
Aise hi bahut se reasons hota hai jinke wajah se ham gmail ka password change karne chahete hai. Khair reason koi bhi ho ham chaliye ham sikh lete hai ki bhul gaye yani forgotten gmail ka password kaise reset yani recover karte hai. To aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.
Gmail ka password bhul gayahu kaise forgotten gmail ka password reset yani recover kare mobile aur computer dono se :-
How to recover forgotten gmail password using mob full details in hindi :-
1. Sabse pehle aap apne browser me gmail.com par jaiye. usske badh aap ko login karne ko bolega aap niche dekhenge to need hepl ka option hoga aap usspar click kardijiye. Fir aapko wahapar gmail ka email address dalneko bolega. Aap apne ussi gmail ka email address daliye jo aap bhul chuke hai.
Agar aapko login karneko nahi bole to aapke phone me koi gmail login hoga usse logout kardijiye. Aur fir wo purane bale email adress yani gmail ka adress dale jiska aap password reset yani recover karna chahte hai.
2. Fir aapko bolega enter the last password you remember. Matlab aap apna wo password daliye jo aapne last bar iss account ko login karte wakt dala tha. Agar aapko password nahi pata hai to aap niche try a different question par click kardijiye.
3. fir aapko bolega ki aap gmail ka password verification code phone call ke jariye lenge ya fir sms ke jariye. Waha par aapko aapke last 2 digit number show hoga jo phone number aapne apne gmail account banate wakt dalatha.
Agar get a verification code ka option na aakar koi dusra option aaye to aap firse try a different question par click kijiyega.
Jyada better message ke jariye hi verification code lena hota hai to aap bhi hosake to message ke jariye hi verification code le. Message se code lene ke liye aap send text message par click kardijiye.
4. Usse badh aapko verification code enter karneko bolega jo aapke message aaya hai. Code daldene ke badh aap next ke button par click kardijiye.
5. Fir aapko enter a new and strong password ka option dikhega. Yani aap apna ek strong password daldijiye jo ki koi guess ya anuman na kar paye. Fir aapko confirm password me firse wohi password dalkar confirm karna hai.
Aap password ko kisi notepad ya diary me likh lijiye taki kabhi bhul jane par bhi aap waha se dekh sakte hai. Yaad rakhiye gmail ka password hamesha strong hi rakhiyega.
6. Fir aapko change password par click kardena hai.
Congratulations ab aapnne apne bhul gaye gmail ka password reset karli hai.
Congratulations ab aapnne apne bhul gaye gmail ka password reset karli hai.
Ab aap apne account me logged in hojayenge. Matlab aapka password changed yani reset hojayega.
To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.
4 comments
commentsPaswod
ReplyIn order to turn on chat notifications in Gmail open your chat then click on “settings” in the top right corner then under web and desktop select when you want to get notifications on your system then check the box to give a sound as the notification comes in then under mobile select when to receive notifications.
ReplyGmail Support Number UK
Gmail Help Number UK
Gmail Login Issues
Very nice !!
ReplySirf 1min me jaane Gmail ka password
nice article keep sharing with us
Replyinstagram ka account permanently delete kaise kare