adsense kya hai adsense account kaise banaye mobile | pc se full details hindi me

How to create an  adsense account full details in hindi






Namaskar dosto aapsabhiko mere blog howtphelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham janenge ki adsense account kaise aur kyun banate hai. Adsense account banane ke liye kya kya chahiye hota hai. Dekhiye aajkal bahut se youtube channel bangayi hai aur bahut blog ya website bhi banchuka hai. Aajke iss jamane agar ham google me ya youtube me lagbhag kuchh bhi search karte hai to hame usska result miljata hai. Issi maina wajah yahi ki jyada blog ya website banchuka hai. Jitne bhi blog ya website hai sabhi blog ya website par kuchh na kuchh dalte rehte hai. Par ye sab aakhir itne sare post apne blog ya website par kyun dalta hoga. Ya fir koi apna kimti time barbad karke itne sare videos youtube par kyun dalta hai. Kuchh log apne hobby ke liye dalte hai par bahut se log earning karne ke liye dalte hai.


Adsense account kyun banaye isse kya fayada hoga :-


Dekhiye hamare blog ya website par itne post hote hai aur ham online isse kuchh earning karna chahte hai. To earning karne ke liye aise bahut se site hai jo hame hamare  blog ya website ke jariye logoko advertisement dikhakar earning ka kuchh hissa kat kar publisher yani blog ya website owner ko deta hai. Bilkul issi tarha adsense bhi ek hai. Jo ki hame hamare blog ya website ya fir youtube par logo ko ads dikhakar publisher ko paise dete hai.

Adsense dusre online earning site ke compare me sabse jtada paisa deta hai. Adsense blog ya website ya fir youtube se jo earning huwa hota hai usska kuchh hi hissa apne pass rakhata hai baki sab publisher yani blog ya website ya fir youtuber ko de deta hai. Agar hamara hindi blog ta website hai to hamare liye adsense hi kafi earning karneka site better rahega. Kyunki dusre site comparison me adsense hame jyada paisa deta hai. Aur bahut se online earning site fake bhi maujud hai internet par. Par adsense google ka company hai aur pata hi hoga ki google itne bade company hokar kisike sath cheating yani dhoka dhadi nahi karega. Aur haan baat kare adsense ki to ye bilkul real hai. Kyunki aajkal duniya bharme adsense use karke log kafi sare paisa kama raha hai.


Google Adsense account banane ke liye kya kya chahiye -requirement :-




Google Adsense account banane ke liye kis kis chijo ka aabasakta parta hai thoda usse bareme bhi janlete hai. Dekhiye adsense dusre site ke compare me paisa to bahut dete hai par isse niyam yani rules dusre site kafi restrict yani kada hai. Agar aap adsense ke rule ko follow nahi karenge to aapka adsense account sabse pehle approved hi nahi hoga. Manlijiye adsense account approved ho bhi gaya to wo aapko adsense ke rule follow na karne wajah se jald hi block kardega. Aur adsense ne ekbar aapko block kardi to fir aap adsense nahi kama payenge. Issiliye aap adsense ke rule ko mante huwe sahi se imandari ke sath work kare.

To chaliye janlete hai adsense account banane ke liye kin kin chijo ka aabasakta parta hai to aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.

1. Email ( Gmail) account :-

Dekhiye gmail ka account hona bahut jaruri hai aap apna gmail ke account use karke issme apna account bana sakte hai. Kyunki adsense google ka hi service hai. Agar aapke pass gmail ka account nahi hai to aap pehle ek gmail ka account banalijiye. Gmail ke account banane ke liye niche digayi link par click kare.


2. Blog|website ya youtube :-

Adsense account banane ke liye aapke pass gmail account hone ke sath sath ek blog | website ya fir youtube ka account hona bahut jaruri hai. Yaha par ham adsense account blog ya website ke liye kaise banate hai usske bareme sikhenge kisi aur din youtube ke liye adse account kaise banate hai ham usske bareme sikhenge. To aap sabse pehel apna ek blog bhi banalijiye agar aapke koi blog ya website nahi hai to. Aap niche digayi link ko follow karke blog bana sakte hai.

Also Read :-



Aapka blog ya website kuchh mahine puarana hona chahiye tabhi aap adsense account approved kara payenge. Adsense account blog ya website se banana chahte hai to aap ek baat ka aur dhyan rakhliJiye aapke blog ka traffic achha hona chaihiye. Agar aapka traffic achha nahi hain to adsense account banakar bhi koi fayada nahi hone bala hai balki ulta ulta nuksan hone ka hi dar hai. Manlijiye agar aapka traffic ekdam low hai. Jahir si baat hai aapki earning low hogi ya na ke branar bhi hogi. To aap aise me kuchh illegal yani adsense rule ko follow na karke jyada earning karna chahenge iss wajah se google aapke adsense account ko block kardega. So kame sam daily aapke blog ya website pe kamse kam 400-500 jitna traffic aata ho tohi adsense account banayenge to better rahega.


Agar aapke pass sab kuchh Ready hai to chaliye ham sikhlete hai ki google adsense account kaise banate hai. Aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.


Google Adsense account kaise banaye puri jankari | how to create a Google Adsense account in hindi full details :-




1. Sabse pehle aap adsense ke site par jaiye. Aap adsense.com par click karke bhi sidha adsense ke site par jasakte hai.


2.  Fir aap sign up now par click kijiye. Fir ek new windows khulegi jissme likha hoga welcome to adsense. 

Issme aapko puchha jayega agar aapke pass pehle gmail account hai to aap yes, par click kardijiye. Aur aap ek naya gmail account create karke apna adsense account banana chate hai to aap create or use another account par click kijiye.

Aap yahapar sidha apne blog se bhi redirect kar sakte hai. Usske lu sabse pehle apne blog ke dashboard me jaiye fir earning ke option par click kijiye. Ab aapko adsense sign up bale option par click karna hai. Fir yaha par sidha redirect hokar aajayenge.


Note :- Aap mobile ya computer dono me se kisise bhi adsense account banayenge to lagbhag same hi process rahega aap chrome browser ko use karke bana sakte hai. Aap koi bhi browser use kar sakte hai jo adsense account par load leraha ho.



3. Usske badh aapko apna details varne ko bolge kuchh istarha,

# My Website :-
Yaha par aap apna website ya blog ka naam daldijiye. Jaise  maine dala howtohelpinhindi.blogspot.com


# Content Language :-
 Yaha par aap apne blog ya website ka language dal dijiye. Matlab aapka blog ya website hindi me hai ya english me. Aapka blog jiss language me hai wo language select karlijiye. Jaise ki mera blog hindi me hai ti maine hindi - हिंदी select ki hai aap picture me bhi dekhsakte hai.


4. Ab aap save and continue ke button par click kardijiye. 

5. Usske badh aapke samne ek forum ka window khulega ussme aapko apna sabhi details dhyan se bharna hai koi bhi galati na kare. Forum kuchh istarha hoga, Aap picture me bhi dekhsakte hai.






# Country or territory :- 
yaha par aap apne country ka naam daldijiye. 


# Time zone :- 
Yaha oar aap apne location ka jo time zone hai wo daldijiye. Aapko apne location ka time zone nahi pata hai to aap pata karle.


# Account Type :-
Agar aap apna khudka personal adsense account banarahe hai to aap individual select kare. Agar aap business ke liye adsense account bana rahe hai to aap business bhi select kar sakte hai.


# Payee name :-
Yaha par aapna payee name daldijiye jiss name se aapka bank account hai. Ussi name se adsense aapko payment dega.


Address :-

Yaha par adress daldijiye. Adress bikul sahi sahi daliye.

# city| Town :-
Yaha par aap apna city ka naam daldijiye bilkul sab sahi sahi daliyega.

# state:-
Ab aap apna state daldijiye.

# Pincode :-
Yaha par aap jis jagah par rehte hai uss jagah ka Pincode dal dijiye. Agar aapko nahi pata kisi jankar se puchh lijiye ya fir internet par check karlijiye.

PRIMARY CONTACT :-

Yaha par aapko kuchh isstarha ka primary contact varna hai. Aap upar pic me bhi dekhsakte hai.




◆ NAME :-
Yaha par aap apna naam daljiye. Mai suggest karunga ki aap yaha par bhi apna real name hi daliye.

◆ NUMBER :-
Yaha par aap apna contact number daldijiye. Contact bhi sahi sahi daliyega.

◆ Email address :-
Yaha par aap apna email address dal dijiye ye bhi sahi daliyega.


# How did you get to know adsense :-
Yaha par aapko adsense ke bareme kaise pata chala wo select kijiye. 

# Email preferences :-
Yaha par aap mere bichar me sabhi ko yes kardijiye. Ya fir aap isse padhlijiye aur jo jo aapko unko yes kardijiye.


6. Ab aap ekbar apne sabhi details ko achhi tarha se check karlijiye sab sahi sahi hone par aap Submit my application par click kardijiye. Usske badh aapko apna mobile number verify karna hai.

7. Verify mobile number par apna mobile number dal kar verification code text ya call ke jariye pata karke verify kar sakte hai.

8. Mobile number verify hone ke badh ek pop-up window khulega. Aapko Adsense ka terms and conditions padhke Yes, I have read and accept the agreement ke box par check yani tick kardijiye.


9.  Usske badh aapko Accept ke button par click karna hai.

Ab aapko adsense bolega Thank you for applying to adsense. Matlab ab aapne adsense ke liye apply kardi hai. Ab adsense company bale aapke blog ya website ko check karega fir sab sahi hone badh wo adsense approved karega.

Adsense ke liye apply karne ke badh kya kya hoga aur adsense approved hone me kitna time lagega :-


Dekhiye sabse pehle to aapko apne blog ya website ko achhi tarha se design karna hai. Usspar badhiya badhiya content dalna hai. Content copyright nahi honi chahiye. Agar aapke blog ya website sab badhiya hai aur adsense ke liye apply kar chuke hai to adsense company bale Apke blog ya website ko review karega. Agar aapke blog ya website me sab sahi sahi raha to adsense bale aapka adsense approved kardega. Issme aapko 3 -4 din bhi lag sakte hai ya usse kam bhi lag sakta hai. Ye adse par depend karta hai. Adsense aapke blog ya website review karne ke badh. Aapke adsense account ko approved nahi karta hai yani reject kardeta hai to wo aapko reason batayega ki blog ya website isse sudharne ki jarurat hai. Adsense apply karne me koi jaldbaji na kare. Agar aapka adsense approved hojata hai to aapko apne adsense account me login karke ads banana hoga aur fir usse apne blog ya website par lagana hoga.


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.

Facebook page -Howtohelpinhindi




Share this

Related Posts

Previous
Next Post »