Kisi bhi youtube channel ki earning aur analytics kaise check kare full details



How to Check any Youtube channel earning and analytics in hindi





Namaskar dosto aap sabhi ko mere Howtohelpinhindi.blogspot.com blog me firse swaga hai. Aaj ham sikhenge ki Kisike bhi youtube channel ki youtube earning or analytics kaise check karte hai. Aapko to youtube ke bareme kafi kuchh pata hi hoga aur aapko ye bhi pata hoga ki youtube se paise kamaye ja sakte hai. Agar aapko nahi pata hai to koi baat nahi hamare site ko visit karte rahiye ham youtube se paisa kaise aur kiten kamate unsabhi ke bareme post lekar jald hi aaraha hu. Dekhiye youtube me ham analytics ke jariye apne viewers par najar rakh sakte hai. Apne youtuu channel ki sari details bhi dekh sakte hai. Yahatak ki khudke youtube channel ka earning bhi dekhsakte hai. par kabhi kabhi kya hota hai youtube par kafi sare popular channel hota hai jinke bareme ham kuchh jankar motivate hona chahte hai. Jaise ki uss popular youtube channel ka kamai yani earning usske followers and others. Par youtube hame kisi aur ki channel ka earning aur analytics check karne ka permission diya hai. To chaliye ham jante hai ki kisike bhi youtube channel ka earning aur analytics kaise check karte hai. Aap iss pot ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.

Youtube par bina internet ke offline video kaise dekhte hai - howtohelpinhindi




Kisike bhi youtube channel ka earning aur analytics kaise dekhte hai :-


1. Sabse pehle aapko Socialblade.com naam ki website ko open karna hoga.

2. Upar right side me aapko ek searchbar dikhega aapko wahapar uss channel ka naam dalna hai aap jis channel ki income ya fir data dekhna chahte hai.



3. Fir aapko search kardena hai. Ab aapko uss naam se related kaise sare youtube channel dikhayega to aapko apne uss channel ko pehchanna hoga jiska aap information nikalna chahte hai. Channel pehchan kar usspar click kardijiye.



Ab aapke samne uss channel se related lagbhag bahut sare information aajayega. Aap uss channel ka daily , weekly , monthly aur yearly earning ke sath sath subscriber bhi dekh sakte. Aap Kis video par kitna views mila hai aur kitna kamai huwa hai ye bhi dekh sakte hai. To chaliye ham isse point ke jariye samajhte hai ki ham socialblade.com ke help se kisi bhi youtube channel ka kya kya dekh sakte hai.


Kisi bhi youtube channel ki kya kya information ham pata kar sakte hai socialblade ke help se :-



◆ kitne videos upload hai uss channel par.

◆ profile picture uss channel ka kaunsa hai.

◆  channel kis country ki hai.

◆ channel par kitne subscriber aur views hai.

◆ channel kab start kiya tha. Channel me per video par kitne views hai.

◆  Aap channel ki daily , weekly , monthly aur early views , subscribers aur income kitna huwa hai ye bhi dekhsakte hai.

◆ Views aur subscribers ka graph bhi dekhsakte hai. 

◆ channel ki rank , videos rank aur socialblade rank bhi dekh sakte hai.  Etc. Aise kai sare chijo ke bareme aap information nikal sakte hai.


To ab aap jan chuke hai ki kisi bhi youtube channel ka daily , weekly aur monthly earning kitna hota hai. Kisi bhi youtube channel ka analytics kaise change karte hai.


Note :-  Socialblade.com site par dikhayi gayi earning aur views sab estimated hota hai. Matlab sab ek anuman hota hai jaruri nahi hai ki ye sahi sahi bata ho par ye lagbhag sahi ke aas pass hi anuman karta hai. Aap khud bhi check kar sakte hai. Ek baat aur ye ek post ek knowledge ke liye hai isska galat upyog na kare.


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.

Facebook page -Howtohelpinhindi





Share this

Related Posts

Previous
Next Post »