On page SEO kya hai | On page seo karne ke liye kya kya use karte hai ~ howtohelpinhindi



What is On page SEO ? |What types of things use in On page of SEO in hindi-  howtohelpinhindi


On page SEO kya hai | On page seo me kya kya use karte hai? ~ howtohelpinhindi



Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Article start karne se pehle mai aapko kehna chahunga ki agar aap mobile se ye article padh rahe hai to aap iss post ko padhne se pehle niche ek view web version ka option hoga. Aap uss view web version ke option par click karke iss post ko padhiye taki aapko hamare site ke sabhi chij dikhne lagega jo pc me dikhta hai. Aaj ham sikhenge ki On page Seo kya hota hai. Dekhiye isse pehle maine aapko agle post je seo kya hota hai aur seo ke fayade kya hai in sabhi ke bareme bahut details me bataya tha. Aap hamare uss post ko padh sakte hai. Hamara agla post ye tha SEO kya hota hai? SEO ke fayade kya hai. To chaliye aai ham janenge ki On page seo kya hota hai. On page Seo ke andar kya kya aata hai. Har koi blogger ya jinke website hai wo SEO ke bareme janta hi hoga. Ya fir seo naam to jarur suna hoga. Kyun ki Seo eo aisa chij hai jo hame hamari site ko google pe mashoor karane me kafi help karta hai. Kyunki bagair seo ke hamare content ya site ko google me top 10 me lana kafi muskil hoga. Seo ke iss On page ke bareme me janne se pehle hamare agle post ekbar jarur padhlijiye. Tabhi aap Seo ke bareme achhi tarha se samajh payenge. To chaliye ham jante hai ki Aakhir ye Of page Seo kya hota kya hai.

On page SEO kya hai :-


Dekhiye seo basically 2 types ka hota hai. 
1. On page seo
2. Off page seo

To On page seo seo ka type hai. On page ka matlab hota hai Google yahoo ya search engine ke rules ke according apne site ko banana. On page seo me ham apne seo site edit yani optimize karke aisa banate hai jisse google ya kisi search engine ko read karne me easy ho. Ham apne blog ya site ko jitne jyada achhi tarha se optimize karenge hamare site ko google ya kisi search engine me top par lane me utna jyada easy hojayega. Jiss blog ya website ka optimization achhi tarha se kiya hota hai wo usse google ya koi bhi search engine jald hi crawl ya index karke top par ladete hai.

To chaliye ham jante hai ki kya kya use karke apne blog ya website ko optimize kar sakte hai.


Blog ya website ko optimize karne ke liye ham kya kya use kare :-


● website speed :-


Dekhiye hamare site ka loading speed jo hai jitna jyada fast rahega traffic aur hamare liye utna hi fayade mand hoga. Kabhi kabhi kya hota hai ki slow loading speed ke wajah se traffic hamare site pe jyada der tak nahi rukta hai aur fir wo kisi aur site pe chala jata hai.


● Title Tag :- 

Ham tittle tag ko bhi use karte hai.


● Meta Description :-


Dekhiye search engine hamare title tag aur sath sath Meta Description ko bhi use karke hamare site ko crawl yani index karte hai.

● keyword density :-

Keyword density lagbhag 2% se lekar 3.5% tak rakhiye. Aap chahe to isse 2% se 5% ke bich me bhi rakhsakte hai. Agar aap jyada keyword density use karenge to black hat me aajayega.


● Hidden content :-


Hamare website me hidden text nahi hona chahiye warna crawler usse black hat me consider karega.


● Image Alt tag :-


Image par Alt tag ka hona bahut jaruri hai kyun ki google image ko read nahi karta hai. Issiliye ham Image me Alt tag ka use karke image ko idex karate hai.

● Url Structure :-

Website ka url structure ekdam se seo friendly hona chahiye.

● Internal link :-

Internal link strong honi chahiye jiss keyword pe click karte hai ussi se related content show honi chahiye.


● Responsive website :-


Website jo hai wo responsive honi chahiye taki wo sie har device par open honi chahiye.


● Body Tag Creation (H1 H2 H3) :-

Ek H1 tag bhi honi chahiye.

● Site map :-

Site map to honihi chahiye isse crawler site ko achhi tarha se index karte hai aur fir search engine me show karane me easy hojata hai.


● Robots.text creation :-

Ye bhi hamare blog ya website me honi chahiye. Isse kya hota hai ki ham apne kis page ko crawler ko padhana chahte ya kisko nahi ussme ye kafi help karta hai.


● Html :-

HTML bhi jaruri hai.


● Google analytics :-

Google analytics issme kya hota hai. Jab koi traffic aapke site par aate hai to kya kya dekhta hai. Kitne der aapke site par rukta hai.


Aur kya kya aapke site par karta hai insabhi activity par najar rakhta hai.



● Google webmaster tool :-


Ye bahut hi kaam ka hai. issko use karke aap apne site ya content ko Google me index kara sakte hai. Aap ka site content fetch nahi horaha hai to aap google webmaster tool ko use karke google me fetch karba sakte hai.

● Etc. Aise bahut se chij hai jisse seo on page me use karna hota hai. Ye post kafi bada hogaya hai insab ke bareme aur bhi details me kisi aur post me mai aapko bataunga.


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.

Facebook page -Howtohelpinhindi

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »