facebook page Catagory kaise change kare ? | how to change page catagory in hindi

How to chagnge facebook page catagory in hindi




Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki facebook page ke catagory kaise change karte hai. Dekhiye kai bar ham facebook par koi page to banalete hai par ham catagory galat dal dete hai. Ya fir hame pata hi nahi hota hai ki facebook page ki catagory kya hota hai. Aise ham page banane ke chakkar me koi bhi catagory jaldbaji me dalkar facebook par ek apna page banalete hai.

Also Read:-




Aajkal facebook par har kisi company, artist,singer, musician, blogger, youtuber etc ke facebook page bana hota hai. Par bahut si logo ka facebook page ka catagory galat rehta hai. Ya fir koi apne page ka catagory kisi karan change bhi karna chahte hai. Log aise bahut si wajah se apne facebook page ka catagory change karana chahte hai. Sabse pehle ham janlete hai ki facebook page catagory aakhir hota kya hai.

Facebook page catagory kya hota hai??


Dekhiye facebook page  catagory ka matlab ye hota hai ki aapka jo page hai wo kis topic se related hai. Means log catagory dekhkar samajh jate hai ki ye page kis topic par hai. Facebook page catagory aapke page ka profession show karega.

Isiliye aapko facebook page catagory bilkul sahi sahi dalni chahiye. Jaise agar aap blogging karte hai aur apne naam se facebook page banate hai to aap facebook page catagory me blogger select kijiye. Agar aap Actor hai to aap apne naam se facebook page banarahe hai to aap facebook page catagory me Actor ya Artist select kar sakte hai.

Also Read:-


Padhai karne ke liye kaunsa sa time best hai day or night study tips in hindi


Part - 2 padhneka aur padhahuwa 100% yaad rakhne ka top 10 remembering methods


To chaliye ham details me jante hai ki facebook page ki catagory kaise change karte hai. Aap hamare post ko achhi tarha padhiye aur samjhiye.

Facebook page catagory kaise change karte hai ??


1. Sabse pehle aap apne browser me uss facebook account me login karlijiye jis account me aapne apna facebook page banaya hai.

2. Usske badh aap apne  us facebook page ko open kijiye jiska aap catagory change karna chahte hai.

3. Page open karne ke badh aap page ke about me jaiye. Usske badh aapko general me dekhenge to aapko ek page Catagory ka option dikhega. Aap picture me dekhsakte hai.




4. Aapko page catagory ke side me ek edit ka option dikhega aapko uspar click karna hai. Aap picture me bhi dekhsakte hai.

5. Fir aapko wo purana bala catagory hata kar ek naya Catagory add karna hai.




Note:-

 aap wohi catagory add karsakte hai jo facebook ne available karaya hai.

6. Naya Catagory select karne ke badh aapko save ke button par click kardena hai.

7. Usske badh aapko add more info add karne ko bolega aapko kuchh nahi karna hai. Aap side me ya niche dekhenge to ek not now ka option hoga aapko usspar click kardena hai. Ya fir save ka button ho to usspar cli karke save kardena hai.

Ab aapka facebook page ki catagory change hogaya hoga aap refresh karke check kar sakte hai.


Also Read:-


Twitter kya hai Short history- Twitter par free account kaise banaye



To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare site ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche Email subscribe ke button par click karke subscribe karsakte hai.



Facebook page -Howtohelpinhindi

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »