Gmail or google account ka date of birth kaise change kare - Howtohelpinhindi

How to change date of birth in gmail or google account in hindi




Namaskar dosto aapsabhiko mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki gmail me date of birth kaise change karte karte hai. Gmail email ka use aajkal duniya bharme lagbhag sabhilog karte hai. Hamare android phone me gmail ke bagair bahut kuchh karpana possible nahi hai. Kyuki android phone me bahut si service google ka hi hota hai. Jisme gmail mangata hi hai. Aap playstore se koi app download karenge to gmail account se login karne ko bolega. Map dekhenge ya fir youtube etc in sabhime gmail ka account to mangta hi hai. To inhi sabhi service ko use karne ke liye ya fir apna khudka email use karneke liye ham jaldbajime koi bhi date of birth rakhkar gmail account banalete hai.

Google ka aise bahut si services hai jo ki 18 years se kam logo ke liye available nahi hota hai. Ab man lijye aap 18 years se upar hogaye hai. Aur aapka gmail me age 18 year hai hi nahi usse kam hai jiske wjah se aap google ke bahut si services use nahi karpate hai. Ya fir aap chahte bhi honge ham apne gmail account me kyun na sahi date of birth dale. Aise bahut se reasons hoga jiske wajah se aap gmail ka date of birth change karna chahte hai.

Also Read:-

Gmail email me deleted emails aur files ko recover | restore kaise kare


Biography Of Facebook Ceo Or owner Mark Zuckerberg Success story in hindi


Gmail account me auto reply setup kaise kare | gmail vacation responder kya hai



To chaliye ham details me jante hai ki gmail me apna date of birth kaise change karte hai. Aap iss post po puri achhi tarha se padhiye aur samajhiye.

Gmail or google account ka date of Birth kaise change kare full details-



1. Sabse pehle aap apne browser me uss gmail account me login hojaiye jis gmail account ka aap date of birth change karna chahte hai. Aap sidha gmail.com par click karke bhi login karsakte hai.

2. Gmail me login karne ke badh aap right side dekhenge to aapko apne gmail ka profile photo bala icon dikhega aapko uss par click karna hai. Aap picture me bhi dekhsakte hai.




3. Fir aapke samne ek my account ka option aayega aapko uss my account bale option par click karna hai.

Also Read:-

Apna koi bhi personal calls kaise hide aur lock kare dusre se ya chat me badle


Apne android phone me wifi icon aur status bar kaise hide aur unhide kare


4. Usskebadh aapke samne Personal info and privacy ka ek page khulega jisme aapko kafi sare options dikhega. Unmese aapko ek your personal info ka option dikhega. Aapko uss your personal info bale option par click karna hai. Aap picture me bhi dekhsakte hai.

5. Usskebadh aapke samne firse kuchh options aayega unmese ek option Date of Birth ka hoga. Aapko uss date of birth bale option par click karna. Aap picture me bhi dekhsakte hai.




6. Fir  date of birth ka option open hojayega waha par ek pen ka icon hoga aapko uss pen bale icon par click karna hai. Aap picture me bhi dekhsakte hai.

7. Usske badh aapko apna date of birth change karne ko bolega. Aap waha apna gmail ka date of birth edit yani change karke Update ke button par click kardijiye. Aap picture me bhi dekhsakte hai.



8. Ab aapko apna Date of Birth confirm karne ko bolega. Aap achhi tarha se check karlijiye ki aapne jo date of birth dala hai wo sahi hai ya nahi usskebadh confirm ke button par click kardijiye. Aap picture me bhi dekhsakte hai.

Ab aapka gmail ka Date of Birth change hogaya hai. Aap usse refresh karke dekhsakte hai. Ummid karta hu aapko iss post se jarur kuchh help mila hoga.

Note:- Aap gmail ka date of birth change karenge to aapke uss gmail se bani sabhi google services ka date of birth change hojayega. Jaise ki youtube, blog etc jo ki uss gmail se banahai.


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.


             Thank you

Facebook page -       Howtohelpinhindi

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments