How to know or check your mobile phone is real or fake
Namaskar dosto aap sabhiko mere blog me bahut bahut swagat hai. Aaj ham sikhenge ki hamara mobile phone original hai ya fake kaise pata kare. Dekhiye hamare manme ye sabal hamesa aate hai ki yar hamara mobile phone original hai ya fir fake. Ham sochte hai ki kaise koi pata karte hai ki hamara phone original hai ya nahi. Kash mai bhi ye pata karpata ki hamara phone original hai ya nahi. To dosto ab aap apne phone ka sari information pata kar payenge kyuki aaj mai aapke insabhi problem ka solution laya hu.
Dekhiye aaj kal bahut sare log online apna phone mangba lete hai kisi website se par unme kai aise bhi phone hote hai jo ki original nahi hota hai fake hota hai. Ab mai aapko ye nahi kehna chahta hu aap online shopping karna hi chhod dijiye. Mai bas aapko ye suggest karne ki kosis kar raha hu ki aap koi phone ya product mangbate hai to bharose mand website se mangabaye aur saman check karlijiye ki wo original hai ya nahi.
Also Read-
Dekhiye kai online shopping bale website apne customer ko original phone nahi deta hai fir bhi bahut sare customer ko pata nahi chalta hai ki ye original hai ya nahi. Fir wo uss phone ko use karte rehte hai jab badh me pata chalta hai aur ham uss phone ke bareme uss website ko batate hai jaha se hamne kharide hote hai to balta hai ki bhai aap khud hi change kiye honge phone. Ya fir wo bolta hai ki ab aapka exchange time khatam hogaya hai ab aap isse exchange nahi kar sakte hai.
To dosto online shopping karte wakt aise website se sabdhan rahiye jo duplicate product customer ko vejte hai. Mai to kahuga kisi bharose mand website se hi online shopping kijiye. Kabhi kabhi ham kisi dukan par mobile phone kharid karne ke liye to ham soch rahe hote hai ki ye phone original yani real hai ya fake.
Hamara phone original hai ya fake kaise pata kare
To chaliye ham details me samajhte hai ki apne mobile phone kaise pata kare ki ye original hai ya fir fake.
1. Sabse pehle aap apne browser me type kijiye www.imei.info fir aapke samne IMEI ka website khulega.
2. Aap niche dekhenge to bold aur black letter me Ye likha huwa dikhega BEST WAY TO GET TO KNOW YOUR PHONE BETTER. Aap isske thode niche dekhenge to likha hoga enter IMEI waha par aapko apne mobile ka IMEI number dalna hai.
Agar aap nahi jante ki IMEI kya hai. IMEI ka pura naam kya hai ya fir apne mobile phone ka IMEI number kaise check kare to hamara ye niche bala post jarur padhiye.
ALSO READ:
3. Apne mobile phone ke IMEI number dalne ke badh check ke button par click kardijiye.
4. Fir checking hone ke badh ek page khulega jisme likha hoga basic information about your phone.
5. Waha par aap dekhenge to aapke phone ka model hoga, brand hoga, device type hoga, display hoga, release hoga, simcard size hoga, weight hoga, memory card hoga, ram hoga etc aise bahut sari information aapko wahapar dekhne ko milega.
Aur sabse badi bat aap apna IMEI number search karenge to aapke phone ka photo bhi dikhega. Agar aapke phone ka photo nahi dikha to manlijiye ki ye phone fake hai.
6. Aap usske thoda niche dekhenge to ek Read More ka button hoga fir aap uss Read More ke button par click kijiye.
7. Read More ke button par click karne ke badh aapke phone lagbhag sabhi details dikhadeta hai aap picture me bhi dekhsakte hai. Agar aapke mobile phone ka picture waha par nahi dikhraha hai to samjhlijiye ki ye IMEI bale phone fake hai.
Dosto aap kabhi bhi isko use karke kisi bhi kisi bhi mobile phone ka IMEI number dalkar wo IMEI number bale phone fake hai ya real pata kar sakte hai. Ye website lagbhag sahi information dete hai. Maine kai sare mobile phone ko yaha par check kiya hai.
Aur sabse badi bat aap apna IMEI number search karenge to aapke phone ka photo bhi dikhega. Agar aapke phone ka photo nahi dikha to manlijiye ki ye phone fake hai.
6. Aap usske thoda niche dekhenge to ek Read More ka button hoga fir aap uss Read More ke button par click kijiye.
7. Read More ke button par click karne ke badh aapke phone lagbhag sabhi details dikhadeta hai aap picture me bhi dekhsakte hai. Agar aapke mobile phone ka picture waha par nahi dikhraha hai to samjhlijiye ki ye IMEI bale phone fake hai.
Dosto aap kabhi bhi isko use karke kisi bhi kisi bhi mobile phone ka IMEI number dalkar wo IMEI number bale phone fake hai ya real pata kar sakte hai. Ye website lagbhag sahi information dete hai. Maine kai sare mobile phone ko yaha par check kiya hai.
Also Read-
To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
1 comments:
commentsThe blog is well organized with content as per readers interest. This is making it to increase blog visitors. Valuable source of data. Looking for more updates.
ReplyThanks
Online affiliate programs