Android phone par install apps and games ka backup kaise le ya extract kare

How to extract or backup install app in hindi



Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne android phone par kisi bhi app ko extract kaise kare ya fir backup kaise le. Bahut si logo ke man me ye bhi sabal aata hoga ki ham apne phone par install app ka backup kyun le. Iske to bahut se karan hota hai.


Installed app ko extract kyun kare


Aap sab jante hai ki jab ham apne phone reset karte hai to hamare phone par installed aise bahut se  aaps hote hai jo uninstall hojata hai aur wo phone me ya fir SD carde me nahi hota matlab delete hojata hai. Khaskar play store se download kiyegaye application to uninstalled hohijata hai. Aise me hame firse wo application ko download karne me kitne problem hota hai. Jaruri nahi ki hamko har application ka naam yad rahe jo hamare phone par installed tha aur ab uninstall hogaya hai.
Agar hame kuchh popular application ka naam yad bhi rahega to hame download karne me bahut sare data kharch karna padega aapke bahut sare kimti time waste hoga. Kai apps to 50mb ya fir 100Mb ya fir usse jyada bhi hota hai. Aise me itne bade size bale apps ko jinke pass wifi hai ho to jaise bhi karke download karlega. Aur jo mobile data pe chala rahe hai usse itne bade bade size bale apps ko download karne me bahut paise aur data kharch karne padte hai. Aur apps bahut jyada kam ka ho to download karna hi padega.

Aise me ham sab sochte rahte hai ki kash koi aisa tarika ya fir application hoga jiske help se ham apne phone par install apps ko apne SD card ya fir apne kisi folder me extract karke rakh pate to kitna achha hota. Fir ham apne phone ko reset kar sakte the.

To dosto ab aapko ye sare problems nahi jhelna padega ham aapke liye lekar aaye hai in sabhi problems ka solutions. Ab aap apne phone  par install apps ko apne sd card ya fir kisi vi folder me extract karke rakh sakte. Isske liye aapko internet se ek application download karna hoga jiska naam hai Apk extractor ji haan ham iss app ke help se apne phone par install app ka backup le sakte hai. Aap is app ko play store se download karlijiye apk extractor search karne par number 1 par aayega aur niche likha rahega meher  aap niche icon dekh kar download karlijiye ya fir niche digayi download link par click kijiye. Play store par aise bahut se apps mil jayega jinke help se aap apne phone par install apps ka backup le sakte hai. Appko jo achha lage aap wo app use kare.




Apne phone par install apps ko  extract or Sd card me transfer Kaise kare ya fir backup kaise le



1. Sabse pehle aap apne android phone par apk extractor app ko install karlijiye. Fir iss appko open kijiye.

2. Apk extractor app ko open karte hi aapke samne aapke phone par install sabhi apps dikhne lagega. Waha par search ka bhi ek option hoga aapke phone par bahut apps hai to aap jis app ka backup lena chahte hai usse search karlijiye. Aap niche picture me dekh sakte hai.



3. Aab jis app ka backup lena chahte hai ya fir extract karna chahte hai uss par click kar dijiye.

4. Ab aapka app extract hogaya hai. Aur aapke phone par ek extract folder banchuka hoga ussme jakar dekhlijiye. Fir aap kabhi bhi apne app ko install kar sakte hai.

5. Apk extractor ko open karenge to aapke app ke side me ek drop down ka button hoga uspar click karke aap chahe to apne app ko kahi par share bhi kar sakte hai ya fir uska information bhi lesakte hai.

Apk extractor app ka  setting kaise set kare


Kai bar aisa hota ki hamse anjane me kisi appka setting bigad jate hai aise me ham wo kam sahi se nahi kar pate jo karna chahte hai. To agar apk extractor app ka setting bigad jaye to kaise set kare.

1. Sabse pehle aap apk extractor app ko open karlijiye. Open karne ke badh apps ke side me 3 dots ka ek bar hoga uspar click kijiye fir setting ka option hoga uspar click kijiye. Aap upar picture me dekh sakte hai.

2. Fir aapke samne apk extractor app ka setting khul jayega. Setting set karne ka option kuchh istarha hoga.

# Save path:-

Iss option me aap click karke folder choose karsakte hai ki aap apne extract kiye app ko kis folder me rakhna chahte hai.


#Apk file name saving format:-

Iss option par click karenge to aapke samne kuchh options show hoga jisme apk name ka option hoga uspar check yani tick kardijiye fir hoga pkg name iss option par bhi tick kardijiye. Baki ke options ko khali chhod dijiye. Fir Ok ke button par click kardijiye.


# Show all applications:-

Isme Off aur On ka button hoga to aap On kar dijiye taki extract karte wakt aapke share file show ho.


# Auto Backup:-

Issme bhi Off aur On ka button hoga aap agar apne application ko automatic extract karna chahte hai to On kar dijiye nahi to aise hi rehne dijiye.

Baki ke sabhi options ko aise hi chhod dijiye aap chahe to apne tarike se bhi setting set kar sakte hai.








To dosto hamne sikhlihai ki apne file ko extract kaise kare ya fir backup kaise le ya fir SD card me kaise transfer kare. Ab aapko app uninstall hone ke badh bhi koi problem nahi hoga aap usse firse reinstall kar sakte hai.

To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

                      Thank you












HOME jarur dekhiye

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »