Free me offline translation kaise kare google translate ko use karke

How to use google translate offline in hindi




Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki offline translation kya hai aur kaise kare. Kai bar aisa hota hai ki hame kuchh translate karna hota hai. To jaruri nahi ki har jagah internet uplabdh ho. Jab ham kuchh translate karna chahte aur internet nahi hota hai to ham kitna nervous yani udas hojate hai. Aur sochne lagte hai kash ham bina internet ke bhi offline translation kar pate to kitna achha hota.



Android phone par install apps and games ka backup kaise le ya extract kare




To dosto aise sirf aap hi nahi balke wo sare log sochte hai jinhe aise problem vugatna padta hai. Sabse pehle sabal ye aata hai ki ham kisi language ko translations kyu kare. Dekhiye language translate karne ke waise to bahut wajah hosakta hai kuchh niche points me digayi hai. To chaliye ham jante hai points me.

Languages translate kyun kare?


1. Jab ham kahi par jate hai to waha par kuchh likha hota hai. Hosakta hai wo kisi aur language me ho to hame samajhne me dikat hota hai.

2. Agar aapke English thoda kamjor hai. Aur Internet par koi mail aata hai wo vi English me to hame kitna dikat hota hai samajhne me.

3. Facebook ya Twitter par kisi ke sath chat kar rahe hote hai aur wo English me kuchh vejdete hai to kitna paresani hota hai na usse samajhne me.

4. Aap kisi office me ya fir cinema gharome ya fir zoo me aise kuchh jagah par jate hai to warnings ya fir suggestions ke roop me kuchh prohibited likha gaya hot  hai. Aur agar aise me aapko wo languages nahi aati hai to aapse wo galati ho hi jati hai.

5. Aajkal to dekhiye har jagah par English ka use horaha hai aur aapko agar English achhi tarha se nahi aata to aap ko kaisa feel hota hoga.

6. Aajkal har koi Facebook,Twitter aur whatsapp use kar raha hai. Aur English me post karna to aajkal sabka shokh ban chuka hai aur agar aap nahi sanajh pa rahe hai to kitna nervous feel hota hi na.

7. Aap kisi aur country me ghumne ya fir kam karne ya fir kuchh vi wajah se jate hai aur aapko uss country ka language nahi pata hai ya fir English bhi nahi pata hai to aapko kitne problem honge waha par.

Aise bahut si problem hai jinke karan log language translate karna chahte hai. Agar aap translate vi karna chahenge to hosakta hai aapke pass uswakt internet uplabdh na ho. Aise me ham kya karenge. To inhi sabhi problem ko najar andaj karke ham aapke liye laye hai ek aise tricks jisse aapke translating problem dur hojayega.

To chaliye ham jante hai ki offline translation karne ke liye kya kare iske liye aap apne android phone par Google translate naam ki app download kar lijiye. Aap google translate app ka icon niche dekh sakte hai. Waise to internet par aise bahut si app majud hai jinke help se aap translate kar sakte hai. Magar aaj mai aap sabhiko google translate ke bareme batane bala hu to aap google translate app ko play store se download kar lijiye ya fir niche digayi download link par click karke google translate app ko download kijiye.



Google translate download


To chaliye ham jante hai ki kaise iska istemal yani upyog kare full details ke sath.








Google translate se offline translation kaise kare


1. Sabse pehle aap apne android phone par Google translate app ko install karlijiye.

2. App ko install karne ke badh open kijiye. Yad rahe avi aap apne internet se connected jarur rahe aapko avi offline nahi hona hai.

3. App open hone ke badh ek English ka option aayega aur dusra aapke country language ka.

4. Aapke country language ke side  me ek drop down ka sign yani chinh hoga uspar click kijiye. Ya fir left side aapko 3 bar dikhega uspar click karenge to aapke samne kuchh options show hoga jisme ek offline translation ka vi option hoga aap uspar click kardijiye.


5.  Fir aapke samne sabhi language ka option dikhega aur sabhi option ke side me ek download arrow hoga.

6. Aap jis language me offline translate karna chahte uss language ke side me jo download arrow hai uspar click kardijiye.



Eg. Agar aap hindi English ko hindi me translate karna chahte to hindi side bale download arrow par click kare.

Note:- Jo language pehle se hi download hoga usme tick yani check mark laga rahega.



7. Fir aapke samne ek popup sa khul jayega aur aap usme me dekhenge Hindi offline translation likha hoga. Aur niche likha rahega ki aap jab offline honge to vi aap hindi me translate kar sakte hai. Aap picture me dekh sakte hai.

8. Niche dekhenge to aap jis language ko download karna chahte uss ka translation file dikhega jisme aapke language ka size bhi hoga aur sabse niche download ka button hoga uspar click kardijiye.

9. Ab aapse puchha jayega ki aap apne language ko only wifi se download karna chahte hai ya fir mobile network ya wifi dono me  se kisi se. Agar aapke pass wifi hai to only wifi select kijiye. Niche remember this setting par check yani tick kardijiye aur fir download ke button par click kardijiye.

10. Fir aapka language download hone lagega. Aur download hojayega to aapne jis language ko download ki hai uspar check mark  yani tick lagjayega.

11. Ab aap apne internet connection ko band kardijiye. Fir aap translation bale page par jaye.

12. Ab aap kuchh bhi type kare fir wo text aapne jo language download ki hai ussme automatically translate hone lagega. Jaise maine English se hindi me translate ki hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.




Example:-

English:-  where are you?

hindi:- आप कहाँ हैं
            Aap kahaan hain










To hamne sikhli hai ki Engish se hindi ya apne country ke language me offline translation kaise karte hai. Ussme ek reverse ka bhi option hoga aap us par click karke hindi se ya aapne jo language pack download ki hai usse English me bhi translate kar sakte hai. Aap niche picture me bhi dekh sakte hai.



Example:-
Hindi:- kya kar rahe hain aap
              क्या कर रहे हैं आप

English:- What are you doing?


Itna hi nahi aap chahe to apne converted text ko Facebook, Twitter, Email, Bluetooth ya fir kahi par share bhi kar sakte hai. Aap usse copy ke button par click karke copy bhi kar sakte hai ya fir favourite ke button par click karke aap usse favourite translated word bhi bana sakte hai. Aap upar picture me bhi dekh sakte hai.









To dosto hamne sikhli hai ki Engish language ko hindi,Nepali ya fir apne kisi bhi language me offline translation kaise karte hai.  Aapko ye article kaisa laga aap hame comment karke jarur bataiye aur agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. Ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi aise article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Ekbar fir mai aap sabse kehna chahunga ki agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega. 

            Thank you

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »