What is facebook Save feature how to use it in hindi??
Namaskar dosto aap sabhi ko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki facebook me save feature or button kya hai aur kisi vi video, music, photos, story, files ya kisi bhi facebook post ko ham save kaise kar sakte hai.
Facebook me Save Kya hai?
Save ek facebook company ke duwara launch kiya gaya feature hai. Ab ham kisi bhi video, music, photo, text, files ya fir koi bhi facebook ka post apne id me save kar sakte hai. Aur ham jab chahe tab apne save kiye gaye post ko open karke dekhsakte hai.
Facebook me ham kisi post ko save kyu kare?
Dekhiye kabhi kabhi kya hota hai ki facebook par koi bahut hi badhiya videos, photos, text ya fir koi post karta hai ya fir share karta hai aur hame wo pasand aajate hai. Aur hamara man hota hai ki kash ham isspost ko badh me bhi kisi din dekh pate to kitna achha hota. Filhal to ham wo post ko kuchh din dekhsakte hai lekin jab jayda din hojata hai to hame uss post bale page ya fir id ka naam nahi yad rehta to aise me kya kare.
Agar ham kisi post ko save karlete hai to ham jab chahe apne save kiye gaye post ko dekh sakte hai. Aise bahut se karan hai jinke wajah se ham kisi post ko save karte hai. Par yad rahe agar aapne kisi page ya kisi ke profile se koi post save ki hai aur agar uss page aur wo profile ke owner uss post ko apne page ya fir apne timeline se delete karleta hai to aapke saved file me se bhi wo post delete hojayega.
- Kisi bhi bade or large video ya files ko online kaise send kare pure world me
Facebook par kisi vide, music, photo, text ya fir kisi bhi post ko kaise save kare
Iss feature ka use karna facebook ke official application aur browser dono me lagbhag same hi hai. To chaliye ham points me samajhte hai.
1. Sabse pehle aap apne browser me facebook.com par jaye or apne facebook account se login kare. Agar aapka Facebook account nahi hai to hamara ye post padhiye. Facebook par free me account kaise banaye.
2. Logged in hone ke badh aap uss post par jaye jisse aap save karna chahte hai. Post side me thoda upar dekhenge to ek drop down ka button hoga aapko usspar click karna hai.
3. Fir aapke samne kuchh options show hoga ussme ek Save ka bhi option hoga. Aap Save bale option par click kijiye. Aap picture me dekh sakte hai.
3. Save par click karte hi aapka
Post save hojayega.
Facebook par saved kiye gaye post ko kaise dekhte hai?
Ab hamne kisi post ko save to kar li hai. Ab ham jab chahe apne save kiye gaye post ko kabhi bhi dekh sakte hai. Facebook par save kiye gaye post dekhne ke liye aap apne facebook ke menu par jaye fir saved bale button par click kijiye issme aapko wosara post dikhega jo aapne save ki hai. Aap jis post ko dekhna chahte hi uspar click karke open kijiye aur fir dekh sakte hai.
Facebook par saved post ko kaise unsave kare?
Dekhiye kabhi kabhi kya hota hai ki jab ham bahut sare post save kar lete hai to hame apne kisi purane post ko khojne me thoda dikat hota hai. Aise ham chahte hai inmese bahut si post ab bina kam ka hai to kyun na ham isse delete karle par kare to kaise.
To chaliye ham isse bhi points me samajhte hai ki facebook ki saved post ko unsave kaise kare.
1. Sabse aap facebook menu me jakar saved files ko open kijiye.
2. Open karne ke badh aap jis post ko unsave karna chahte hai uss post ke side me dekhenge to 3 line ya dots ka option hoga aap usspar click kijiye.
3. Ab aapke samne firse kuchh options show hoga jisme ek unsave la bhi option hoga aap unsave bale option par click kijiye. Usave par Click karte hi post unsave hojayega.
Ab aapka post unsave hokar saved file se remove hogaya hai. To hamne bahut hi aasani se sikhli hai ki facebook par kisi bhi post ko save kaise karte hai kyun karte hai aur fir unsave kaise karte hai.
Ham sab ke man upar diye gaye type ke question aahi jata hai kyuki kuchh features aisa bhi hota hai jo sirf facebook ke official application me hi chalta hai. Par ye feature aisa nahi hai ye sab me chalta hai. Facebook Save feature ko aap facebook Mobile application ya kisi browser ya fir computer me bhi use karsakte hai. Actually me ye save feature bahut hi kam ka feature hai. Ham iss save feature ko bahut aasanise use bhi kar sakte hai.
To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Thank you
Facebook Save feature ko ham mobile application,browser aur computer sabhi me ise kar sakte hai kya?