Free me sabhi text ko 3 second me kaise count kare bina internet ke

How to count all text at 3 seconds


Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai aaj ham sikhenge ki sare ke sare text ko kuchh hi second me kaise count kare.

Ham text ko kyun count kare isse kya fayada hosakta hai


Bahut bar aisa hota hai ki jab ham kahi par jate hai ya fir koi kam karte hai to hame bola jata hai ki kisi topic ke bareme 200 ya fir 500 words me likho. Aise me ham ginti yani count karte karte thak jate hai. Aur hame aise count karne me paresani bhi jyada hota hai fir bhi ham kabhi kabhi usse sahi se count nahi kar pate. Agar hame bolde ki character,word,sentence,paragraph ko count karke likho to kitna paresani hoga jara aap hi sochiye. Jaise ki hame internet par hi kisi jagaha text or character ki limit diyagaya hota hai to hame ek ek karke count karne me kitne problem uthana padta hai.

Agar aap blogger hai ya fir teacher hai ya fir student hai ya fir news reporter hai ya fir aapko kuchh likhne ka hobby (saukh) hai ya fir etc. Bahut se log apne phone ke note book par bhi bahut kuchh likhte rehte hai. Aise me wo lamba se lamba notes to likh lete hai magar jab wo sare text ko count karne ko sochte hai dekhkar hi sar ghumne lagta hai. Aur fir itne sare text count karne ka man hi nahi karta hai. Aise me aap chahenge ki kash koi aisa bhi software hota jisse ham kuchh hi second me sare text,word,sentece aur paragraph ko count karsakte. To dosto ab chinta karne ki aur itne paresani uthane ki koi jaruri nahi. Ab internet par aise kuchh software aagaya hai jisse ham sare text ko free me offline bhi count kar sakte hai. Aap text counter app ke madat se apne text ko bahut aasani se count kar sakte hai.

Aap text counter application ko internet par se download kar sakte hai. Mai to kahunga playstore se download karlijiye. Text counter ke icon aap niche picture me dekh sakte hai.


Text counter download


Text counter ka upyog karne se kya fayada


1. Aap ko kisi article, letter, post,news,notes etc. Insab me likhe gaye text ko ek ek karke count nahi karna padega.

2. Text counting bar bar nahi karna padega.

3. Text counting result accurate aageya.

4. Aapko jyada time nahi waste karna padega.

5. Paise nahi waste yani ke kharch karna padega ye bilkul free hai.

6. Sabse badi bat ye application Offline hai isse chalane ke liye net ki jarurat nahi padega.

4. Isme aap sirf text hi nahi balke bites,words,characters,sentences,paragraph etc. Check kar sakte hai wo vi kuchh hi seconds me.

5. Aap apne text result ko share vi kar sakte hai issme share ki vi options hai etc. Aise bahut sare fayade hai.

Aap soch rahe honge ki text counter hi kyun koi aur application kyun nahi use kare. Agar aap chahe to koi vi application use karsakte hai jisme text count hota ho. Internet par aise bahut si application uplabdh yani ke maujud hai. Aapko jo achha lage wo use kare par mai yaha par text counter ke bareme batane bala hu. Text counter ke fayade vi maine upar batadi hai.

Text counter ka use ya fir prayog kaise kare full details ke sath


1. Sabse pehle aap apne android phone par text counter install karle.

2. Text counter istall karlene ke badh usse open kijiye. text counter open hote hi aapko kuchh likhne ko bolega.


3. Aap text counter ki uss khali box ya dabbe me kuchh likh de jo text aap count karna chahte hai. Agar aap pehle se hi likhar kahi par rakhe hai to usse copy karke uss khali box me paste kardijiye. Aap picture me dekh sakte hai.

4. Ab aap apna wo text likhli hai ya fir paste kardi hai jo aap count karna chahte hai to fir count ke button par click kare.

5. Count ke button par click karte hi aapke duwara likha huwa text count hojayega. Jisme text ke sath sath words, characters,bites,sentences, aur paragraphs bhi count hojayega. Aap picture me dekh sakte hai.

6. Fir aap chahe to apne count result ko Facebook,twitter,google plus,email,bluetooth,notes ya fir kahi par share bhi kar sakte hai.

To hamne sikhli hai ki apne sare text ko kuchh hi seconds me kaise count kare. Tittle me maine 3 second me di hai iska matlab ye nahi har text 3 second me count hojayega. Kuchh text 3 second se kam me bhi count hosakta hai aur kuchh text ko count karne me 3 second se jyada time bhi lagsakta hai. Wo to aap par depend karta hai ki aap text counter ki help se kitne time me count karlete hai.

Kabhi kabhi hosakta hai ki text counter ki setting kharab hone se aapka result sahi se na aata ho. Aise me aap apne application ka setting mila lijiye.

Text counter application ka setting kaise set kare


1. Setting milane ke liye sabse pehle aap text counter ko open kijiye. Open karne ke bat setting bale icon par click kare.

2. Fir aapke samne setting ke sare options aajayega. Options kuchh istarha hoga. Aap picture me bhi dekhsakte hai.



#Count mode:-
 Count mode me aap language choose karsakte hai. English language choose karlijiye. Fir details me (En) dikhne lagega.

#Count bites:-
Aap count bites bale option pe check yani tick kardijiye.

#Share(send):-
Iss option par click karenge to aapke samne firse kuchh options show hoga usme options hoga result,result and text aur text to aap text bale option select kardijiye.

#Share(receive):-
Issme aap click karenge to aapko 2 options dikhega ek direct count  ka aur dusra launch this app and put received text in an input field. To aap direct count bale option ko select kardijiye.

# Type of count form:-
Iss option pe click karenge to firse aap ke samne do options show hoga ek classical(share and count button) aur dusra Real-time counter to aap pehle bala matlab classical bale option ko select kardijiye.

# Set CB's text:-
 Iss option ko aap khali chhod dijiye.
#Count word of CB:-
Isse bhi khali chhod dijiye.

# Open IME:-
Isse bhi khali chhod dijiye.

# Theme (Restart is required):-
Iss option pe aap click karenge to aapke samne do options show hoga ek default ka aur dusra light ka to aap default bale option ko select kardijiye.

# Use auto save features:-
Iss option par click kare aur check matlab tick kardijiye.

#Show exit dialogue:-
Iss option par bhi click karke check matlab tick kardijiye.

Sabhi setting karne ke badh fir aap save kardijiye ya fir back kardijiye. Aap chahe to apne tarike se bhi setting mila sakte hai. Agar mujhse koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiye. To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar
Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye.
Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

                 Thank you

Ye bhi jarur dekhiye


Live video stream kya hai facebook par live video kaise share kare

Mobile se blogger template ko zip file se xml me kaise badle puri jankari hindi me

Facebook friends list hide kaise kare aur kyun full details hindi me

Email kya hai?/what is emai? Email ki puri jankari hindi me

Facebook account free me kaise create kare

Email account kaise banate hai gmail par/how to create gmail account

Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai


Home Jarur dekhiye

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »