Apne mobile phone ki contacts ko hide ya secure or lock kaise kare dusro se

How to hide or lock our phone contacts?



Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne mobile phone ki contacts ko dusre logo se kaise bachaye ya fir chupaye. Post thoda lamba hai par puri details ke sath hai. Jarur puri padhiye.

Apne Contacts dusro se hide kyun kare

Ab sabal uthta hai ki ham apne contacts ko logo se chhupaye kyun iske bahut sare reasons yani karan hosakta hai. Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki koi hamare mobile phone chala raha hota hai. Ya fir chalne ke liye mobile phone magte hai aur ham unhe apne phone dedete hai.

Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki jab ham kahi ghumne jate hai. To hamare kisi friends koi gana, videos, pictures ya fir moves dekhne keliye ya fir send karne ke liye hamara mobile phone magta hai aur ham unhe apna phone dedete hai. Uske badh wo kuchh der to mobile chalane lagte aur ham uspar najar andaj nahi karte. Par jaruri nahi ki har koi achha insan hi hoga.

Kai log to aise bhi hota ki wo mobile dekhte dekhte hamare contacts ko bhi dekhne lagte hai. Hamare contacts me sirf male hi nahi balke female bhi hota hai. Hamare family ka vi contacts usme hota hai. Kisi personal byakti ka bhi jisse ham nahi chahte hai ki wo contacts koi dekhe. Par kai log ki aadat bahut hi kharab hota hai wo kisike bhi contacts ko dekhne lagte hai. Jahir si bat hai jab koi contacts dekhega to wo sabhi contacts ko dekhega. Aur fir usme se wo kai contacts apne phone me save karlete hai fir wo uss contacts owner ko call ya message karke paresan karne lagte hai.

Kabhi kabhi to hamare best friends bhi aise karne lagte hai. Aise aap soch rahe honge ki kash mai apne kuchh contacts ko dusro se hide kar pata to kitna achha hota. To ab aapko aisi problem aur nahi jhelna padega ab aagaya hai iss problem ka solution. Aur ham apne contacts ko hide dusro se hide karsakte hai.

Apne Contacts ko dusro se hide karne ka fayada


1. Galat niyat bale log aapke contacts ko chori nahi kar payega.

2. Aap ke personal contacts ko koi dekh nahi payega.

3. Aapke contacts owner ko koi paresan nahi kar payega.

4. Aapke contacts puri tarha se safe rehega etc.

Apne Contacts ko hide karne ka ya dusro se chhupane ka tarika

Ham apne sare contacts ko ya fir kisi private contacts ko contacts hide application ke help se hide kar sakte hai. Aap chahe to internet par aise bahut si app uplabdh hai jisse aap apne contacts ko hide karsakte hai. Par aaj mai hide contacts ke help se kaise contacts hide kare wo batane bala hu. Aap hide contacts application ko play store se download karlijiye aap application ka icon niche dekh sakte hai. Niche digayi link se bhi  hide contacts application download kar sakte hai.


Hide Contacts Download


1. Sabse pehle aap apne android phone par hide contacts ko install karlijiye. Install karne ke badh hide contacts application ko open kijiye.

2. Open karne ke badh aapko ek password dalne ko bolega. Aap apne password daldijiye.
Yad rahe password aisa rakhe ki koi guess ya anuman na kar paye. Fir uss password ko kahi par likhle taki aap bhulne par bhi usse dekh sakte hai.

3. Password dalne ke badh aapke samne sare ke sare contacts show hoga jo ki aapke mobile phone ki contacts me save hai.

4. Aap jis contact ko hide karna chahte hai yani chhupana chahte hai uss par click kare. Fir aapke samne kuchh options show hoga.

5. Aapke samne 3 options show hoga options kuchh istarha hoga,

                     


#Call:- aap chahe to call ke option par click karke uss contact owner ko call bhi kar sakte hai.

#Sms:- Aap chahe to sms ke option par click karke uss contact owner ko messages bhej sakte hai.

#Secure it:- yahi wo option hai jisse aap apne contacts ko hide karsakte hai. Agar aap iss option par click karenge to aapke wo contact hide hojayega jispar aap click kiye hai. Fir aapke  wo contacts aapke phone ke contacts list me hide hojayega.

Ab koi nahi aapke hide contacts ko dekh sakta hai. Koi agar hide contacts application ko open karke bhi dekhna chahega to ussko password dalne ko bolega fir wo aapka contacts bina password ke dekh nahi sakta hai.


Chaliye short me jante hai kaise contacts hide kare


Aap sabse pehle hide contacts application ko open kijiye. Open karne ke badh aapke samne aapke sare ke sare contacts show hoga. Aap us contact par click kare jisse aap hide karna chahte hai. Fir secure it bale option par click kardijiye. Aapke contact hide hojayega. Aap upar picture me dekh sakte hai.

Apne hidden ya secured contacts ko kaise dekhe aur unsecured kare


1. Ab aab apne secure contacts ko dekhne ke liye hide contacts application ko open kijiye. Open karenge to aapko wo password deneko bolega jo aapne pehle dalatha. Aap apna sahi password dalkar app ko open karlijiye.

2. Fir contacts ke side me ek secured contacts ka opton hoga uspar click kijiye. Fir aapke wo sabhi contacts dikhega jisse aapne hide ki hai.

                


3. Aap jis contact ko unhidden ya unsecured karna chahte hai uspar click kijiye.

4. Fir aapke samne kuchh options show hoga aap insecure it bale option par click kijiye.

5. Ab aapka contacts unsecured hojayega aur aapke phone contacts me aajayega.

Hide contacts application ki password kaise aur kyun change kare


Ab sabal uthta hai ham password kyun change kare iski koi khas wajah to nahi hai magar kabhi kahbi aisa bhi hota hai. Hame lagta hai ki hamare password logoko pata chal chuka hai ya fir kuchh achha suitable password kyun na rakhlu. Ya fir aapka koi aur bhi wajah hosakta hai. To sikhlete hai password kaise change karte hai.

1. Sabse pehle aap hide contacts application ko open karlijiye fir upar ek lock ka icon hoga uspar click kijiye. Niche picture me dekh sakte hai.

                 


2. Fir aapko new yani naya password deneko bolega aap apne hisab se password set karlijiye. Fir confirm password me bhi wohi password dale.

3. Password set karne ke badh Ok ke button par click kardijiye. Ab aapka password change hogaya.

To dosto hamne sikhli hai ki apne contacts ko hide kaise kare.

To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar 
Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye.
Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

                 Thank you

Ye bhi jarur padhiye









Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

2 comments

comments
August 21, 2020 at 9:58 AM delete

Kya contact me number hide krne ke bad WhatsApp me number rahega

Reply
avatar