Live video stream kya hai facebook par live video kaise share kare

What is facebook live stream


Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki Facebook par live streaming kya hai aur iska use ya fir istemal kaise karte hai. 

To chaliye ham jan lete hai ki Facebook live stream Facebook company ka ek service yani ke sewa hai. Jaha ham facebook par live broadcast ya prasaran kar sakte hai aur dekh vi sakte hai. Jaise ki man lijiye kisi famous yani prasidh byakti ki interview ya fir charcha chalraha hai ya fir koi ghatna ghata ho ya fir kisi kisi manoranjnatmak programme hota hai ya fir koi utsab hota hai to aise me ham Facebook live stream ke help se uss time ka video live broadcast karke dusro ko dikha sakte hai aur khud bhi dekh sakte hai. Fir video dekhte dekhte ham kisi subject par comment ya fir sabal vi kar sakte hai.

Agar aap apne kisi friends ke liye koi message chhodna chahte hai ya fir direct live dikhana chahte hai to ye facebook live streaming ka feature aapke liye bahut hi badhiya hai. Ye hamare bahut kam aasakta hai.


Facebook live streaming ka use ya fir upyog kaise kare?


Facebook live stream sewa use karne ke liye aap apne android mobile phone par playstore se Facebook ka official app download karlijiye. Agar aapne pehle hi app ko download kar rakhe hai to usse update karlijiye kyunki ho sakta hai purane bale app me avi ye feature available na ho.

1. Facebook official application ko download ya fir update karne ke badh usme logged in hojaye.
2. Logged in hone ke badh aap Newsfeed me jaye. Niche whats on your mind? likha hoga ya fir aap post ke button par click kijiye. Agar aap apne facebook page par vi live streaming videos dikhana chahte hai to aap apne page ko open karlijiye jis par aap live video dikhana chahte hai. Fir post bale button par click kijiye. Post bale button par click karne ke badh aapke samne kuchh options show hoga. Options kuchh istarha hoga camera,emotions or sticker,location aur live streaming ka vi ek icon yani ke option hoga.

3. Hame live bale option par click karna hai. Jaise hi aap live streaming bale option par click karenge to aapke samne aapke mobile ka font matlab agadi ka camera open hojayega. Aap upar switch bale button par click karke pichhe ki camera ko vi open kar sakte hai. Aap picture me number 1 bale arrow ko dekh sakte hai.


4. Uske badh aap Describe a live video par click karke aapko kis bareme live video broadcast karna hai wo likh dijiye. Aap chahe to isse khali vi chhod sakte hai. Par behtar yahi hoga ki live video ke descriptions dalde. Aap picture me number 2 bale arrow ko dekh sakte hai.

5. Uske badh aapko privacy chhose karna hota hai ki aap ye live video kise dikhana chahte hai. Privacy me aap public choose karte hai to koi vi dekh sakta hai agar friends choose karte hai to sirf aapke friends hi dekhsakta hai. To aap apne hisab se chhose karle ki kisko live streaming video dikhana hai. Aap picture me number 3 bale arrow ko dekh sakte hai.

6. Aap ko ek aur button dikhega geo control off ka aap picture me number 4 bale arrow ko dekh sakte hai. Aap uspar click karenge to kuchh options dikhega. Sabse pehle Geo control on kar lijiye. Fir limit choose karne ka option hoga isme aap age limit choose kar sakte hai. Age ki 13-65 tak hoga aap jis age ke person ko live dikhana chahte wo select kare.

Uske badh gender select kare male ko dikhana chahte to male select kijiye aur female ko dikhana chahte hai to female select kijiye. Ya fir aap male-female dono ko dikhana chahte to both bale option select kijiye. Fir location set karke save kardijiye. Agar aap chahe geo control bale button ko bina edit kiye bhi chhod sakte hai.



7. Fir aap go live ke button par click karlijiye. Aap picture me number 5 bale arrow ko dekh sakte hai. Fir 3 bar ulti count down hoga jaise ki 3,2,1 fir aap ka live video start hojayega matlab logo ko live dikhne lagega.

8. Video me kisi kone par live likha rahega. Ek aur option hoga live notification ka uspar jaise hi koi tick karta hai to viewers ko ek notification aajata hai ki avi ye page jo hai live chal raha hai.

9. Viewers live video par comment vi kar sakta hai apna sabal ya bichar vi rakhsakta hai. Wo jaise hi koi comment karega fir aap ko vi uska comment dikh jayega fir aap chahe to uska reply vi de sakte hai.

10. Viewers comment to karte hai par jaruri nahi ki har comments jo hai wo achha hi hoga negative comments vi hosakta hai. Agar aapko comment achha lage to like kare agar achha na lage to waha par usaka name hoga jo aapko comment ki hai uske name par click kijiye.

11. Fir aapke samne kuchh options show hoga delete comment ka agar aap chahe to uss comment ko dele vi kar sakte hai. Fir hoga block ka agar wo bar bar negative comments kar raha hai to aap usse block vi kar sakte hai. Uske badh last option hoga Cancel ka aap chahe to usse aise hi chhod sakte hai.

12. Agar aap chahenge ki ab iss live video ko itna hi rehne de  to aap finish ke button par click kar sakte hai.

13. Live video Finished karne ke badh aapko wo video apne page par rakhna hai to done kardijiye agar nahi rakhna ho to delete kardijiye.

To hamne sikhli hai ki facebook par live broadcast kaise karte hai. Facebook ne ye bahut hi badhiya feature launch ki hai. Kyun na ham sab iske sahi fayade uthaye koi vi features achhe kam ke liye hote hai please usska galat fayada mat uthaye. To aapsab ko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye. Maine aapko itna time dekar itna help ki hai to thoda aap bhi mere post ko social media jaise ki facebook,twitter,google plus etc. Par share kijiye. Aur iss howtohelpinhindi.blogspot.com site ke bareme apne dosto ko bataye taki wo vi kuchh sikhle.

Mobile se blogger template ko zip file se xml me kaise badle puri jankari hindi me


Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai

Free me dinosaur offline game chrome browser me kaise khele

Facebook friends list hide kaise kare aur kyun full details hindi me

Email kya hai?/what is emai? Email ki puri jankari hindi me

Email account kaise banate hai gmail par/how to create gmail account

HOME JARUR DEKHE

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

2 comments

comments
July 28, 2018 at 7:22 AM delete

Are bhai do live video Mere I'd par thi aur Kuch din baad apne aap delete ho gayi recover kaise hogi email us

Reply
avatar