Instagram Pe Followers Aur Photos Pe Bohot Jyada Likes Kaise Badhaye

How to get more likes on instagram photos | इंस्टाग्राम फोटो पे ज्यादा लाइक कैसे बढ़ाए:




Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham janenge ki kaise ham apne instagram photos aur videos par jyada se jyada like badhakar popular bane. Aajkal har koi photos videos instagram par share karte hai. Kyunki photos sharing ke liye instagram bohot hi badhiya platform hai.
Aapke instagram photos , videos pe jitna jyada like rahega aap popular bhi utna hi jyada hone lagenge. Aapka photos , videos famous hojayega. Aapko pata hi hoga aise bohot se log hai jo photos , videos ko lekar world famous hogaya hai.

Instagram Pe Followers Aur Photos Pe Bohot Jyada Likes Kaise Badhaye


Agar aap instagram pe bohot jyada photos videos share karte hai aur agar aapke photos videos pe jyada like nahi aata hai to aapko kafi nirasa feel hota hai. Agar wohi par bohot jyada jyada likes aane lagta hai to logo ke najar me aapka impressions bhi kafi achha banta hai. Aur aapka followers bhi badhta hai.

Yaha par aapko mai kuchh methods batane bala hu jissko follow karke aap apne photos, videos pe bohot jyada likes badhasakte hai wo bhi genuine tarike se. To chaliye jante hai, isske liye aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Tips 1:

Instagram Hashtags use kare:



> Photo related categorize hashtags use kare.

    • Aapko apne photo se related category ka hashtags use karna hai. Isse kya hoga agar koi uss hashtags ko search karega to aapka wo image search me aayega jisse aapke photos ya videos par kafi jyada likes badhne ki chances rahega.

    • Agar aap koi animal ka image ya videos share kar rahe hai to aap kuchh istarha ka hashtags use kar sakte hai jaise ki, #pet, #petlover, #animal, #cat #cutecat etc. Aise hi kuchh achhe achhe popular hashtags use karna hai.

Instagram Pe Followers Aur Photos Pe Bohot Jyada Likes Kaise Badhaye


> Jitna jyada possible hosake utna jyada hashtags use kare.

    • bohot jyada instagram hashtags use kare jitna ki possible hai ya fir instagram jitna jyada hashtags allow karta hai.

     • Agar aap ekbar me 2 ya 2 se jyada photos videos share karte hai to aap harek image ya videos par jitna jyada hosake hashtags lagaye taki wo sabhi ya unmese koi search results me aaye.

> Sabhi images ya videos par alag alag hashtags use kare.

    • agar aap 2 ya 2 se jyada photos, videos share kar rahe hai to aap sabhi images aur videos pe alag alag hashtags lagaye taki koi bhi ek search me aagaya to ho sakta hai wo aapke profile visit kare aur fir aur bhi photos videos ko like kare. Isse aapka instagram followers bhi badhega.

> Most popular instagram hashtags use kare.

   • jitna jyada hosake aap utna jyada popular hashtags use kare taki jyada log aapke photos, videos ko dekh sake.

  • Aur fir usse pasand aaya to wo aapke photos, videos ko share bhi kar sakte hai. Aapko instagram hashtags ke sath number bhi dijhayega ki iss hashtags ko kitne log search karte hai.

> Trending hashtags search karke use kare.

    • Aap kuchh trending hashtags ko search kare aur usse use kare. Aapko ye pata karna hai ki konse hashtags abhi jyada trending pe hai. Kaunsa hashtags log jyada search kar raha hai. Aap kuchh aise hi trending hashtags pata karke apne instagram photos me lagaye.

    • Trending hashtags use karne se aapka images bohot jald viral hojayega. Kyunki trending hashtag me itne power hota hai ki kisiko rato rat popular bana dete hai. Aapko bas pata karna hai ki avi kya chij trending pe chal raha hai.

Tips 2:

Filter apply ya edit karke:

> Photos / videos me achhe filters apply karke.

    • Aapne dekha hoga ki kafi normal image ko filter ekdam attractive image bana deta hai. To aapko apne image me koi achhe se filters use karna hai images attractive dikhe.



> Instagram filter use kare.

    • Agar aapko nahi pata hai photo editing application ke bareme to aap simply instagram ka hi filter use kare kyunki instagram bhi bohot achhe achhe filters hamko free me provide karta hai. Jisse apply karke ham apne images ya fir video ko kafi attractive bana sakte hai.

> Photo editing apps use kare.

     • aise to bohot se application hai jisse aap apne image kafi badhiya badhiya filters apply kar sakte hai. Jaise ki Snapseed hogaya, PicsArt hogaya, photo lab etc. Aise kafi apps hai jinse aap photo me achhe se achhe filters use kar sakte hai.

Tips 3:

Logon ko pasand ke images share kare:

> Sahi photos share kare.

    • kafi log kya karta hai ki koi images share kar dete hai. Jaise ki khate wakta , ghumte wakt , kuchh karte wakt ka jaisa bhi photos kyun na ho wo upload kardeta hai. Isse kya hota hai ki logon ko aapke images aur videos boring lagne lagta hai aur fir iska nuksan hame ye hota hai ki wo hame unfollow karke chale jate hai.

   • To ghumte wakt, ya khate wakt ka images share karte hai to yaad rahe ki aapka images attractive aur awesome ho.

> high quality ka attractive images post kare.

   • agar aap sachme jyada likes pana chahte hai to aap high quality ka jyada attractive images post kare, jisse logo par kafi achha asar padega aur wo aapke instagram photos videos ko like karega.

> Dslr ya fir achhe camera ka image share kare.

   • Dslr ka image share karenge to yakin maniye aapke photos ya videoa par kafi jyada like aane lagega kyunki DSLR ki image quality kafi high hoti hai aur issme blur texture wagera bhi kafi achha hota hai.

     • agar aapke pass DSLR nahi hai to koi achhe mobile phone ka image dale jaise ki iphone ka ya fir kisi aur phone ka jo ki ek achha image deta ho. Iphone ka bhi inages kafi badhiya hota hai. To aap wo bhi dal sakte hai. iPhone ke images pe bhi kafi jyada likes aate hai.

> Apna pic bold pic share kare.

    • agar aap apna khudka image share kar rahe hai to bold image post kare. Kyunki bold image ka look kafi badhiya hota hai jisse logoke like karne ka chances kafi jayada hota hai.

> Achhe dressup ya get up bale image share kare.

     • Aap ek achha dress laga kar image click kare. Achhw dress me photos bhi kafi achhe aate hai. Aur jitna hosake utna achhe getup me photos click kare.




> Unique views ya background bale photos share kare.

     • agar aapke pass koi unique images hai to aap wo share ya fir aap ke pass kisi aise background ya kisi aise chij ki images hai jo ki unique aur attractive hai to aap aise image jarur share kare. Logon ko unique chije kafi pasand hota hai. Aur isse aapke photos like badhne ke chances kafi jyada hota hai.

> Pet animal ka ya nature ka images share kare.

   • aap koi cute sa puppy yani dog ya fir cat ka image dale. Koi bhi cute oet animal ka achhe photos share kare jisse logoko jyada pasand aaye waise bhi pet animal logoko kafi jyada pasand aata hai. Agar aapka animal kuchh unique kar raha hai to jarur share kijiye images isse aapke image me char chand lagjayga.

     • Logon ko awesome nature ka bhi images kafi pasand aata hai jaise ki natural beauty , snow falling iss type ka koi achha sa image hai to jarur share kare. Yakin kijiye iss type ke instagram iamges par kafi jyada likes aata hai aur isse aapka instagram followers bhi kafi jyada badh jayega.

> Khaane ka photos bohot jayada post na kare.

   • khaane pine ka photos kafi jyada post na kare kyunki har koi aajkal iss type ka image share kar raha hota hai to jahir si baat hai log isse dekh dekh kar bore ho chuke honge.

    • Khaneka wohi image share jo ki kuchh special ho aur image bhi kafi badhiya attractive ho.

> Jayada photos ko eksath combine ya stich karke post kare.

   • Agar aapke pass ekhi chij ka kafi jayada image hai to aap koi achhe frame combined karke ya fir stich karke share kare, taki unmese koi bhi image kisiko pasand aageya to aapke uss image ko like karke jayega.

Tips 4:

Logon ke sath communicate karke.

> Instagram par active rahe.

    • aapko instagram par active rehna hai aur aapka koi friend , family ya relative koi image ya videos share karta hai to aapko usnke photos par like comments kardena hai. Jisse wo bhi aapke photos videos par like comment karega.

  • agar aap kisike photos pe like comments nahi karenge to jahir si baat hai wi bhi aapke photos ya fir videos par like comments nahi karega.

> Logon ke photos par like jarur kare.

   • agar aapke pasa randomly koi inage ya videos aata hai to aap like comments kar dijiye taki wo bhi next time aapke images par like comment kare.

> Kisike profile open karke kuchh photos like kare.

   • Kisi jyada followers bale ya fir kisi person ka profile open kare aur kse kam 10, 15 photos par like aur ek achha sa comment kardijiye. Isse hosakta hai wo aapke profile kholkar dekhe aur aapke insta profile ko follow kare aur like.

Tips 5:

Sahi time pe photos share kare.

> Photo ekdam sahi time pe post kare.

    • agar aapko apne photos ya fir videos bohot jyada likes chahiye to aap photos jab man kare tab share na kare. Ek sahi time dekhkar hi photos ko post kare jiss time par log jyada online hota haj ussi time par post kare.

    • aap kitne bhi achha image kyun na post karle , agar aap sahi time pe post nahi karenge to aapke photo me bohot hi kam like aane bale bale hai. Kyunki log har time online nahi hota hai.

    • Mid night me photos post na kare kyuni uss time par sab so raha hota hai jisske wajah se aapke photos par like nahi aayenge jyada. Aap photos ko morning me bhi post na kare kyunki morning ke time par sab college, school ya fir office jane ke liye late ho raha hota hai to jahir si baat hai jyada log nahi dekhega image ko. Jinke wajah se like bhi aapke photos pe jayada nahi aayega.

   • photos ko sham ko ya fir rat ko dinner ke badh upload kare taki iss time sab log apne office, school , college se bore hochuke hote hai aur fir fresh feel karne ke liye wo social media open karta hai. Agar aise me aap apna ek attractive unique image use dikhate hai share karke to kafi khush aur fresh feel karega jisse wo aapke image par like comment karega hi agar usse jyada pasand aaye to wo share bhi karega.

> Festival ke dino me photos jarur post kare.

    • agar koi festivals aata hai to usse related images jarur share kare kyunki undino me sabhiko chhuti hota hai aur sab facebook , instagram , whatsapp jaise social media par busy hota hai. Log festival ke din usse related achhe image ke talash me bhi hote aur uss time usse dekhna bhi pasand karte hai. To jahir si baat aapke photos pe jarur bohot jayada likes badhega.

> chhutike dinome raatko photos share na kare.

    • man lijiye ki kal sunday hai aur chhuti hai to aap kal raat ko photo post nahi karenge. Warna parso fir sabka office , school , college rahega to jyada log online nahi rahega.

   • Chhuti ke dino me aap morning me 10, 11 baje kare jisse saara din wo image trending pe rahega. Aur log dinvar me ek na ekbar online jarur aayega.

> Photos post karne se pehle friends ya family ke photos par jarur like comment kare.

   • agar aap photo post karne bale hai to aap apne friends ke photos pe like aur comments jarur kare. Isse kya hoga ek achha sa impression banega aur wo wait karega ki jab aap photos post karenge to wo aapke photos pe bhi like comments karega.

Tips 6:

Instagram ko facebook ya others social network ke sath linked kare:

Instagram Pe Followers Aur Photos Pe Bohot Jyada Likes Kaise Badhaye



> Instagram ko facebook, twitter, tumblr etc wagera se linked kare.

    • agar aap koi image share karte hai to usse facebook, twitter , tumblr aur kisi others social network ke sath jarur linked kare taki aapka image facebook pe bhi dikhega , twitter pe bhi aur tumblr pe bhi isse facebook, twitter pe aapke jitne friends honge wo sab dekhega aur aapke instagram image pe kafi jyada like badhega.

7. Koi third party application use karke.

   • internet par aise kafi application hai maujud hai jo hamare instagram ka followers , like , comments kafi had tak badhane me madat karta hai. Aapko playstore ya fir applle ke istore  par bhi aise kafi sare application dekhne ko miljayega jissme likha hoga get instagram unlimited follower, get instagram unlimited likes aise kuchh. Inmese kafi sare application secure nahi hota hai wo chij aapko dekhna kyunki isse hamare instagram ka account hack aur band bhi hosakta hai.

   • Jaise hi instagram baleko lagega ki aap koi farji method apna rahe hai to wo ho sakta hai aapko ekber notification dede ki ye jo aap kar rahe hai ye sahi nahi hai. Ya fir bina koi notifications ke bhi aapk instagram account terminate yani band kar sakta hai.

   • Aapko inchijo ka dhyan rakhna hai ki kaunsa sahi hai aur kaunsa galat. Aapko playstore par aise kafi sara application mil jayega jisse aapke photos videos bahut jyada likes badhadega.

Par mai recommend karunga ki aap genuine methods apnaye upar tips batayi thi un sabhiko follow kijiye jarur aapke instagram ke image par like badhega aur followers bhi.



Ye bhi jarur dekhiye:







Instagram Password Bhul Jane Par Pata Kaise Kare - 4 Tarike Se Reset Kare

How to reset instagram forgotten password - 4 ways:





Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham instagram ke password bhool jane par reset kaise karte hai usske tariko ke bareme sikhenge jiske help se aap easily apne instagram account ka password reset kar payenge.

Instagram Password Bhul Jane Par Pata Kaise Kare - 4 Tarike Se Reset Kare


Instagram reset ke bareme maine aage bhi ek post likhi hai aapko uska link yaha par mai dedunga aap hamara wo bhi post dekh sakte hai.

Previous article:
instagram ka password bhul jane par reset | recover kaise kare full details

To chaliye ham jan late hai ki instagram password bhul jane par reset karne ka 4 tarike kya hai.

Method 1: 

     Iss method me ham username name use karke instagram ka password reset karne bale hai. To aap post ko achhe se padhiye aur samajhiye.

Username use karke instagram ka password reset kaise kare:

> Open Instagram.
         Sabse pehle aap instagram ke icon ke par click karke login page open kijiye.

Instagram Password Bhul Jane Par Pata Kaise Kare - 4 Tarike Se Reset Kare


> Get help signing in ya forgot password par tap kijiye.

         • Aapko login button ke niche ek Get help signing in ka option dekhega aapko uspar tap karna hai.

       • Agar aapko aapko Get help signing in ka option na dikhe to pahile koi bhi wrong yani galat password dalkar usse sign in karne ki kosis kare.

     • Aisa karne se aapka account login to nahi hoga par Get help signing in ka option aajayega.

> Instagram ka username type kare.



       • Aapko access your account ya fir find your account ke niche aapka uss account ka username dalne ko bolega jisska aap password reset karna chahte hai.

     • To yaha par aapko apne uss instagram account ke username ya fir wo email address dalna hai jo aapne instagram account banate wakt dala tha.

      • Ek baat yaad rahe aapke pass wo email address hona chahiye jisse aapne apne instagram account se link ki hai. Agar aap apna wo email address bhul gaye hai to instagram aapko ek chhota sa hint dega, jisme aapko aapke uss email ka first aur last ka 1,2 letter dikhayega. Isse dekhakar aapko confirm karna hai ki ye aapka email address hai ya fir nahi.

How to reset instagram forgotten password - 4 ways:


> Send an email par click kijiye.

     • Fir aapko waha par ek send an email ka option dikhega aapko usspar tap yani click karna hai.

> OK button ko tap kijiye.

    • Ab aapko instagram bolega ki hame aapko ek email vejiye jissme ek link hai aur uss link ke help se aap apne instagram account me login ho sakte hai.

    • Aapko aapke email ka first aur last ka 1,2 letter dikhayega aur bolega ki hamne iss email address pe link vejihai. Eg. We sent an email to A*****y@gmail.com with a link to get back into your account.

> Apna Gmail open kijiye.

    • Ab aapko gmail ko open karna hai ussme instagram ke taraf se ek email aaya hoga.

Yaad rahi apne gmail me aapko wohi email address bala account login karna hai jo ki instagram ne aapko dikhaya tha ki hame iss email address par email ki hai.

   • Agar aapke pass wo email address pa password nahi hai ya fir kisi wajah se aap apne uss email me login nahi kar parahe hai to instagram ka password reset karte wakt jaha par aapne username ya email dala tha waha par phone number de.

> Instagram ka email open kijiye.


How to reset instagram forgotten password - 4 ways:


    • Ab aapko instagram se jo email aaya hai usse open kijiye. Waha par aapko instagram kuchh bola hoga aur login ka page hoga aur reset your instagram password ka.

> Reset your instagram password par click kijiye.

     • Log in as ke just niche aapko ek reset your instagram password ka option dikhega aapko usspar click yani tap karna hai.

     • Aapko password reset link par tap karna hai jisse aapko password ko reset ke page lejayega.

> New password type kijiye.


How to reset instagram forgotten password - 4 ways:


     • Aapko naya password dalna hai waha yaha par. Password kuchh aisa dale taki koi guess na kar paye.

     • Aapko firse wohi same password dalkar confirm karna hai ki ha ye password bilkul sahi hai.

> Finally reset password par click kijiye.

     • Ab aapko finally reset instagram password par click yani tap karna hai. Agara aapka dono password sahi match kar jata hai to aapke instagram account ka password reset hojayega.

     •  Aur aap instagram ke homepage par pahuch jayenge. Yani instagram ka home page open hojayega. Hosakta hai kabhi kabhi instagram aapko login karne ke liye bhi bol sakta hai. To aap apna wohi username and password dalkar login kar lijiye.

अगर आप इंस्टाग्राम एकाउंट का पासवर्ड भूल जाते है तो इस तरीके से अपने इंस्टाग्राम एकाउंट को फिरसे रिकवर करसकते है।

Method 2:

To chaliye ab ham sikhte hai ki instagram ka password reset kaise karte hai facebook ko use karke. To aap post ko achhe se  padhiye aur samajhiye.

> Instagram Open kijiye.

         Sabse pehle aap instagram ke icon ke par click karke login page open kijiye.

> Get help signing in ya forgot password par tap kijiye.

         • Aapko login button ke niche ek Get help signing in ka option dekhega aapko uspar tap karna hai.

       • Agar aapko aapko Get help signing in ka option na dikhe to pahile koi bhi wrong yani galat password dalkar usse sign in karne ki kosis kare.

     • Aisa karne se aapka account login to nahi hoga par Get help signing in ka option aajayega.

> Login with facebook par click kijiye.


How to reset instagram forgotten password - 4 ways:


    • Wahapar aapkk username or email address ke niche ek login with facebook ka option dikhega aapko usspar click karna hai.

> OK or Continue as with your name Ke button par click kijiye.




   • Wo automatically aapke facebook account se aapka username uar password detect karlega, bas aapko iss Ok ke button par click karna hai. Hosakta hai aapko Continue as with your name ka option dikhaye aapko in dono me se koi bhi ok dikhaye to continue karke login karlena hai.

     • Aapko ye aapka profile ka naam dikhayega aur bola ki issko aap login kijiye continue par click karke to aapko login karlena hai.

    • Aap ko mai ek baat bata di ki ye option aapko tabhi dikhega jab aap apne account ko pehle facebook account se linked kiye honge aur aapke pass wo facebook account bhi hona jaruri hai.

Aur aise karke aapka instagram account ka password reset hojayega.

Method 3:

To chaliye ab ham jante hai third method ke bareme, ye method same upar ki tarha hi hai issme ham username ki jagah par Email address dalenge baki sab wohi process hai.

Instagram account ka password reset kaise kare email address ko use karke.


> Instagram Open kijiye.

         Sabse pehle aap instagram ke icon ke par click karke login page open kijiye.

> Get help signing in ya forgot par tap kijiye.

         • Aapko login button ke niche ek Get help signing in ka option dekhega aapko uspar tap karna hai.

       • Agar aapko aapko Get help signing in ka option na dikhe to pahile koi bhi wrong yani galat password dalkar usse sign in karne ki kosis kare.

     • Aisa karne se aapka account login to nahi hoga par Get help signing in ka option aajayega.

> Instagram ka email address type kare.

       • Aapko access your account ya fir find your account ke niche aapka uss account ka email address dalna hai jisska aap password reset karna chahte hai.

      • Ek baat yaad rahe aapke pass wo email address hona chahiye jisse aapne apne instagram account se link ki hai. Agar aap apna wo email address bhul gaye hai to instagram aapko ek chhota sa hint dega, jisme aapko aapke uss email ka first aur last ka 1,2 letter dikhayega. Isse dekhakar aapko confirm karna hai ki ye aapka email address hai ya fir nahi.

> Send an email par click kijiye.

     • Fir aapko waha par ek send an email ka option dikhega aapko usspar tap yani click karna hai.

> OK button ko tap kijiye.

    • Ab aapko instagram bolega ki hame aapko ek email vejiye jissme ek link hai aur uss link ke help se aap apne instagram account me login ho sakte hai.

    • Aapko aapke email ka first aur last ka 1,2 letter dikhayega aur bolega ki hamne iss email address pe link vejihai. Eg. We sent an email to A*****y@gmail.com with a link to get back into your account.

> Apna Gmail open kijiye.

    • Ab aapko gmail ko open karna hai ussme instagram ke taraf se ek email aaya hoga.

Yaad rahe apne gmail me aapko wohi email address bala account login karna hai jo ki instagram ne aapko dikhaya tha ki hame iss email address par email ki hai.

   • Agar aapke pass wo email address pa password nahi hai ya fir kisi wajah se aap apne uss email me login nahi kar parahe hai to instagram ka password reset karte wakt jaha par aapne username ya email dala tha waha par phone number de.

> Instagram ka email open kijiye.

    • Ab aapko instagram se jo email aaya hai usse open kijiye. Waha par aapko instagram kuchh bola hoga aur login ka page hoga aur reset your instagram password ka.

> Reset your instagram password par click kijiye.

     • Log in as ke just niche aapko ek reset your instagram password ka option dikhega aapko usspar click yani tap karna hai.

     • Aapko password reset link par tap karna hai jisse aapko password ko reset ke page lejayega.

> New password type kijiye.

     • Aapko naya password dalna hai waha yaha par. Password kuchh aisa dale taki koi guess na kar paye.

     • Aapko firse wohi same password dalkar confirm karna hai ki ha ye password bilkul sahi hai.

> Finally reset password par click kijiye.

     • Ab aapko finally reset instagram password par click yani tap karna hai. Agara aapka dono password sahi match kar jata hai to aapke instagram account ka password reset hojayega.

Method 4:

Instagram ka password reset kare mobile number ko use karke:


> Instagram Open kijiye.

         Sabse pehle aap instagram ke icon ke par click karke login page open kijiye.

> Get help signing in ya forgot password par tap kijiye.

         • Aapko login button ke niche ek Get help signing in ka option dekhega aapko uspar tap karna hai.

       • Agar aapko aapko Get help signing in ka option na dikhe to pahile koi bhi wrong yani galat password dalkar usse sign in karne ki kosis kare.

     • Aisa karne se aapka account login to nahi hoga par Get help signing in ka option aajayega.

> Phone ya send an sms ke option par click kare.


How to reset instagram forgotten password - 4 ways:


   • Yaha par aapko phone ya send an sms ka option dikhega aapko usspar click yani tap karna hai.

> Send login link ke option par click kijiye.

      • Waha par aapko aapka number show hoga jo ki aapne instagram account banate wakt dala tha. To aapko send login link ke option par tap yani click karna hai.

    • ab instagram aapko aapke phone ke message box me ek email vejega jisske instagram account ka login link hoga.

> Phone ke message box open kijiye.

How to reset instagram forgotten password - 4 ways:


    • Ab aap apne phone ka message box open kijiye waha par instagram ka ek message hoga. Aapko uss message ko open karna hai. Fir aapko uss message me ek instagram login ka link dikhega.

> Instagram link par click kare.

     • Aapko uss instagram link par click karna hai. Fir aapko instagram password reset page pe redirect kardega.

> Instagram password reset kijiye.

    • ab aapko yaha par ek naya password dalna hai. Pass thoda strong dale taki koi dusra aadmi usse access na karpaye.

    • Aapko firse wohi same password dalkar confirm karna hai ki ha upar jo hame password di hai wo bilkul sahi hai.

> Finally, Ok ya done ke button par click kijiye.

  • Ab aapko finally ok ya fir done ke button par click karna hai. Ab aapka instagram account ke password firse reset hojayega.

Ye bhi padhiye:

◆  Instagram account ka username aur profile name kaise change ya edit kare

◆  Microsoft account ka password bhul jane par reset yani recover kaise kare

◆ Deleted ya Disabled Instagram account ko reactivate or recover kaise kare

Thanks for visit Howtohelpinhindi.blogspot.com