Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me ekbar firse swagat hai. Aaj ham sikhenge ki Microsoft yani Hotmail | outlook ka account ka password kaise reset yani recover kare. Dekhiye dosto aajkal password bhuljana koi badi baat nahi. Kyunki aaj kal hamare pass itne sare account hogaya gai ki ham kis kis ka password yaad rakhe. Jo bahut important hota haii jis account ko ham daily use kerte rehte hai uska password to hame yad rehta hai. Par jo account ham kafi dino se login nahi karte hai uska password vuljana aam baat hai. Kyunki password sirf aap hi nahi balki sabhi log bhul jate hai. Microsoft yani Hotmail | outlook ka account to hame chahiye hi hota kyunki bahut se aise chij haii jisme ham bina Microsoft account ke login kar sakte. Microsoft hi Hotmail ya outlook ka account provide karta hai. Issme aapmi confusion hone ki jarurat nahi sab ek hi hai. Dekhiye hame koi kaam padta aur Microsoft ki login se login karne ko bolta hai to ham apna ek khudka Microsoft account bana lete hai.
Kafi dino tak hame agar Microsoft yani Hotmail account ki jarurat nahi padtahai to ham usska password bhul jate haii. Jahir si baat hai koi bhi bhul jayega ham kitne password ko yaad rakh payenge. Agar aapne password ko kahi par likhraha hai to koi bat nahi par nahi likhe hote hai. Aur hame firse Microsoft account se kisi chij me login karne ko bolta hai to ham Microsoft yani Hotmail account ka password bhul jane ki wajah se login nahi kar pate hai. fir sochne lagte hai ab kaise login kare. Aaj ham wahi janenge ki apne bhul gaye Microsoft yani Hotmail ya outlook account ka password firse recover yani reset kaise kare. Microsoft account ka password reset karna bilkul dusre jaisa hi hai.
To chaliye aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye. Yaha par mai aapko email address ke through Microsoft yai Hotmail ya outlook account ka password reset yani recover karna sikhaunga. Wo yaha par uss email ki jarurat padega jo aapne Microsoft account banate samay dala tha taki badh me ham Microsoft yani Hotmail account ka password bhul jaye to usse iss email address ke through reset yani recover kar paye. To chaliye suru karte hai.
Microsoft yani hotmail | outlook ka password bhul gaya hu, kaise reset ya recover kare
1. Sabse pehle aap apne browser me login.live.com khole. Isse kholenge to aap sidha Microsoft kr login page pe chala jayenge. Aapko bas Microsoft account ke login page par aana hai.
2. Aap signin ke niche dekhenge to aapko ek option dikhega can't access your account ? Aapko usapar click karna hai.
3. Fir aapko Microsoft account ek question puchhega jinme kuchh options hoga aapko koi ek select karna hoga kuchh iss tarha.
# Why are you trouble signing in?
(●) I forgot my password
Agar aap Microsoft account ka password bhul gaye hai to aap i forgot my password ko select kijiye. Mai aapko suggest karunga yahi select kijiye.
() I know my password, but can't sign in
Agar aap apna password jante hai fir aap apne Microsoft yani Hotmail ke account me log in nahi kar parahe hai to aap iss option ko select kijiye.
() I think someone else is using my Microsoft account
Agar aapko lagta hai ki koi aur aapka Microsoft yani Hotmail account use kar raha hai to aap iss option ko select kijiye.
Par yaha par ham apne Microsoft yani Hotmail account ka password bhul chuke hai aur ham usse reset yani recover karna chahte hai to hame I forgot my password bale option ko select karna hoga. Usske badh aapko next ke button par click karna hai.
4. Fir aapko apna wo Microsoft yani Hotmail account ka email address dalne ko bolega. To aap apna wo Microsoft yani Hotmail ka email address dal dijiye jiska aap password reset yani rec karna chahte hai.
5. Fir aapko captcha code dalkar verify karne ko bolega to aap sahi se captcha code dekhkar dale.
Agar aapko captcha code samajh nahi aaraha to aapko waha par new ka option dikhega aap usspar click karke naya captcha code pasake hai.
Aapko waha par audio ka bhi option dikhega aap audio ke madhyam se bhi sunkar code dal sakte hai.
6. Fir aapko next ke button par click kardena hai.
Fir aapko Microsoft bolega aapka Microsoft account verify karne ke liye ki sachme ye aap ka hi account hai ya nahi. Aapse wo aapka recovery email address magega jo aapne Microsoft yani Hotmail account banate wakt recovery ke liye dala tha.
7. Aap apne recovery email adress dalne ke badh next ke button par click kardijiye.
Ab aapko Microsoft uss recovery bale email par ek code vejega jo aapko yaha par dalkar verify karna hai.
To aap apne uss recovery bale email se verification code dekhkar yaha par dal dijiye. Aur fir next ke button par click kardijiye.
8. Ab aapko Microsoft password reset karne ko bolega jissme aapko kuchh istra ka options dikhega,
# New password :-
Yaha par aapko ek achha secure password minimum 8 characters me daln a hoga.
# Reenter password :-
Yaha par aapko wahi password dalne ko bolega jo aapna upar dala hai bilkul same kyuni isse verify karta hai ki aapne password sahi se dala hai ya nahi.
9. Fir aapko next ke button par click karna hai.
Ab aapke Microsoft yani Hotmail account ka password change yani reset hojayega. Ab aapko Microsoft aapko bolega ki aapka Microsoft yani Hotmail account jo hai wo recover ho chuka hai.
To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.
3 comments
commentsVery good points you wrote here..Great stuff...I think you've made some truly interesting points.Keep up the good work.
Replyhotmail sign
Thanks !!
ReplyI’m really impressed with your article, such great & useful knowledge. User can Check out the blog recover outlook password. Because It's Excellent information.
Nice article. To get more details about Microsoft Customer Support, call on our helpline number 1-888-410-9071
Reply