How to convert image | photos to pdf file in mobile full details in hindi
Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki ham kisi bhi image ya photo ko pdf file me kaise convert karte hai. Agar aap ek student ya teacher hai ya fir internet ke through documents ke karobar karte hai to aapko to pata hi hoga ki pdf kya hai. Kyuni ham koi result ya online documents dekhte hai to lagbhag sab pdf format me hi hota hai. Ham kisi kisi entrance exam ya kisi chij ka result net oar dekhte hai to wo pdf format me hi hota hai. Image aur text ki quality kafi achha hota hai pdf file me. Pdf file banane se hamko kafi fayada hota hai. Hame kabhi kabhi kafi sare photos ko eksath kisiko send karna hota hai to ham photo ko pdf format me convert karke eksath vej sakate hai wo bhi high quality me. Pdf format me photo ko bahut zoom karne ke badh bhi aapke photo ka text quality achha hi rahega. Photo me to jyada zoom karne par photo me likha huwa text achhe se nahi dikhta hai par pdf format me kafi badhiya quality me dikhta hai. Pdf format me photo ke text ko jitne bhi zoom kyun na karle par quality achha hi dikhta hai.
Pdf file ka use kaha kaha par hota hai :-
Dekhiye pdf file jo hai kafi badhiya hai. Pdf file ka use ham bahut sare jagah par hote hai. Issme ham apne jitne bhi text hai sabko ek sath pdf me hd quality me rakhsakte hai. Pdf file khaskar notes , documents ya result publish ke liye kafi behtar hai.
For students | Teachers :-
Agar aap ek student hai ya teacher hai to aapko kafi hadtak notes banana hota hai. Kabhi kabhi kya hota hai ham class ya tution nahi ja pate hai to hame kafi sare notes copy karna hota hai. Aise me hamare pass time nahi hota hai to ham usse photo khich lete hai.
Ya fir hame kisiko apna notes pathana hota hai to ham sabhike photos lekar pathate hai. Par kya hota hai ki bahot sare photos hone ke wajah se ham usse order wise nahi kar ke nahi pathapate hai. Order milakar bhi pathate hai to net slow ke wajah se photos kabhi kabhi aage piche hokar jate hai. Aise me dusro insan ko kafi problem hoti hai notes ko copy karne me. Aur quality bhi achhi nahi dikhti hai. Agar ham unsabhi photos ko ek sath pdf format me rakhke vejdete hai to unhe koi problem nahi hogi. Kyunki ham pdf format me images yani photos ka order mila sakte hai aur phir ham usse send kar sakte hai.
Ham students kabhi kabhi kahi jate hai jaise ki kisi relations ke ghar ya kahi bahar aur hame kafi der wait karna padta hai ya fir kuchh din waha par rehna padta hai to aise me ham apne notes ya book ko lekar har jagah par nahi jate hai. Aise me ham apne mobile me unsabhi notes ko photo khich kar pdf file me eksath achhe quality me convert karke rakhlete hai to ham apne mobile se bhi kahi par bhi uss pdf bale file ko open kar padh sakte hai.
Kabhi ham bus me hote hai lambe safar par ya kisi public places par aise ham book kholkar padhte hai to hame apne aapme ek ajib sa feeling aata hai. Utna achha feel nahi hota hai kuchh log haste bhi rehte hai. Aise ham apne mobile me padhe to kisiko pata bhi nahi chalega aur aap padh bhi payenge issiliye hame apne sabhi images ya photos ko pdf file me convert karna hota hai. Taki hame ek ek karke order milakar photos dekhne ki jarurat na pade.
School | college | Office :-
Dekhiye School ya college me to isska aur bhi jyada use hota hai. Jab hame exam ke liye ya kisi chij ke liye koi notice publish karna hota hai to ham jitne bhi images yani photos hota hai sabko pdf file me convert karke aasani publish kardete hai. Agar hame koi office ke vacancy nikalna hota hai to bhi ham sabhi images yani photos aur text ko eksath rakhke pdf format me convert karke publish karskate hai.
Internet :-
Sabse jyada internet ke duniya me kuchh bhi vejna ho to lagbhag aajkal log pdf format ka hi istemal karta hai. Jaise ki hamara business ya work interm se hota hai aur hame kahi par kuchh kagjat vejna hota hai to ham unsabhi ke ek achhi si photos lekar usse pdf file me eksath convert karke kisi vejte hai.
Halhi me mujhe kisi aur country me schlorship ke liye apply karna tha aur mera documents mang raha tha to mai waha jata aur deta kafi problem hota. Agar mai photo pathata to kitne sare photos hojata aur dono side ka page kis documents ka kaun hai wo confused hojata to maine sabhi images aur photosko ek sath order milakar pdf file me achhe se convert karke pathadi. Fir koi problem nahi huwa aur scanning ki paisa bhi bach gaya. Agar mai yahi kaam kisi cyber me karane jata to wo scanning ka hi kafi paise leleta.
Mobile se kaise images | photo ko scan karke pdf file me convert kare full details :-
Dekhiye agar aap kisi cyber me jate hai apne documents ko scan karbane ke liye to aapse usska kuchh charge mangta hai. Agar aapke pass computer nahi hai ya scanner nahi hai to bhi koi baat nahi aap apne mobile se badhiya quality me scan karke sabhi photos ko pdf file me convert karke usse kahi par bhi share kar sakte hai. To chaliye ham jan lete hai ki mobile se kaise photos ya images ko scan karke pdf file me badle. To aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.
1. Sabse pehle aap apne mobile me Camscanner application ko install karlijiye.
Aap playstore se bhi Camscanner application ko download karsakte hai. Aap chahe to niche digayi link se bhi Camscanner application ko download kar skate hai.
Download CamScanner -phone PDF Creator
Download CamScanner -phone PDF Creator
2. Camscanner application ko install karne ke badh aapko Camscanner ko open karna hai. Aapko usska instructions follow karke start karna hai.
3. Camscanner open karenge to wahapar aapko ek camera ka icon dikhega aap uss camera ke icon par click karke apne documents ka photos khich sakte hai.
Camscanner me aap camera me kuchh istype ke chijo ko scan karsakte hai.
# Documents :-
Issme aap koi bhi documents ka photos click karsakte hai. Documents ke image ko aap pdf me banana chahte hai to yahi option ko select karke photo click kijiye.
# ID Card :-
Agar aap apne id card ke photos ko pdf me badalna chahte hai to iss option ko select karke photos click kare. Agar aap passport ke photos ko pdf me convert karna chahte hai to aapko waha par ek passport ka bhi option dikhega aap uss option ko select karke photos click kar sakte hai.
# QR code :-
Agar aap QR code bale photos ko pdf file me convert karna chahte hai to aap iss QR code bale option ko select karke photos click kare. Ye application QR code ko scan bhi kar dega.
Agar aap apne mobile ke photos ko pdf banana chahte hai to aapko upar 3 dotted line dikhega. Aap uss 3 dotted line par click karenge to aapko kuchh options dikhega jinme se aapko ek important from gallery ka option dikhega.
4. Aap uss important from gallery ke option par click karke aap apne mobile se unsabhi photos ko select karlijiye jissko aap scan karke pdf banana chahte hai.
5. Photos select karne ke badh aapko import ke option par click karna hai.
Import karne ke badh aapko wo sabhi photos dikhega jo aapne select kiya hai. Aap chahe to aap aur bhi photos add kar sakte hai.
6. Photos import kar lene ke badh aap firse uss first bale photos par click karenge to aapko wahapar kuchh istarha ka options dikhega.
# Crop icon :-
Aapko crop ka icon dikhega upar aapko usspar click karke photos ko apne hisab se crop karlena hai. Waise bhi ye app auto Crop select kardega aap chahe to khud customize kar sakte hai.
Crop ke option me aapko rotate ka bhi options dikhega aap usse rotate bhi karsakte hai. Fir aapko tick ke sign par click karna hai. Fi aapko kuchh effects dikhega aap apne pasand se effect select karskate hai. Ya fir auto hi rehne de sakte hai. Aapko firse tick ke option par click kardena hai.
# Rotate :-
Iss option par click karke aap apne photos ko rotate bhi karsate hai.
# Mark :-
Iss option par click karke aap apne photos me ek achha sa colorfull watermark laga sakte hai.
# Recognize :-
Iss option me aap apne photos kko resize karsakte hai aur area bhi select kar sakte hai.
# Notes :-
Iss option par click karke aap apne photos me kuchh notes bhi likhsakte hai. Waise agar aap chahe to ye sab nahi karenge to bhi hoga. Par Crop jarur karlijiye.
7. Istarha se aap apne sabhi photos ko ek ek karke crop karlijiye aur effect bhi. Ye sab karlene ke badh aapko upar ek side ki aur ek arrow dikhega aapki usspar click karna hai.
8. Aapka documents upar New Doc aur date ke naam se aapka photos scan hojayega. Aapchahe to usspar click karke name ko change bhi karsakte hai. Usske side aapko ek PDF file option dikhega aapko usspar click karenge to aapka photos ya documents pdf file me taiyar hojayega. Aapko share ka bhi options dikhega aap share bhi karsakte hai.
To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.
2 comments
commentsA very awesome blog post. We are really grateful for your blog post. You will find a lot of approaches after visiting your post. convert money calculator
ReplyThanks for the blog post buddy! Keep them coming... money converter
Reply