How to control | access your android mobile phone with your face full details in hindi
Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki kaisd ham apne face se apne mobile ko control karsakte hai yani isse face se kaise use kar sakte hai bina touch kiye. Dosto android ki duniya me lagbhag aise sabhi apps available hai jo ham sochte hai bas hamko uss application ka naam nahi pata hota hai. Aur hamko wo use nahi karna aata hai. Ham sirf sochte the ki kaise ham bina touch kiye apne android phone ko kaise chalasakte hai. Par dekho android ki duniya me isska bhi solution aachuka hai. Yai ab ham apne mobile phone ko bina touch kiye apne face se control kar payenge yani apne face se hi ham apne android mobile phone ko use kar sakte hai. Agar aapka hath nahi hai ya fir hat kat gayi ho tut gayi ho to ham face se hi apne mobile ko control kar sakte hai. Agar aap ladies hai to kya hota hai kabhi kabhi aap kisi ke shadi me jate hai to aapke hatho me mehandi laga hota hai. Jiske wajah se ham apne mobile ko chala nahi pate aise me ham apne android mobile phone ko face se hi control kar sakte hai yani face se apne mobile ko chala sakte hai. Mobile addicted to aajkal lagbhag bohot se log hai aur hame aise koi na koi kaam padta hi hai jiske wajah se hame mobile chalana hi padta hai. Agar aapke hatho me mehandi laga ho to aap kaise chalayenge apna mobile aise ham apne face se apne mobile ko chala sakte hai.
Kabhi kabhi ham ladke bhi aise kaam me lage hote jisme hamara hath free nahi hota hai. Par hame apne mobile me kuchh karna hota hai. kisi jaruri me bhi hame mobile use karna hota hai par hamare hatho me kuchh hone ke wajah se ham nahi nahi chala pate hai. Aise me ham apne mobile ko face ke jariye use karsakte hai. Face se mobile control karne ke liye yani chalane ke liye aapko koi extra chijo ki jarurat nahi padega.
Face se mobile ko control ya access karne ke liye kya kya chahiye :-
Dekhiye waise to kuchh khas nahi chahiye. Bas aapke pass el achha sa android phone hona chahiye lollypop ya ise upar ho to aur achha hosakta hai. Lollypop nahi hai to bhi koi bat nahi aap kitkat mobile ko bhi apne face se control karsakte. Hosakta hai thoda low version me ye app kaam na kare par lagbhag sabhi me karega. Aapke pass internet hona chahiye kyunki hame ek application download karna hoga aap chahe ro uss application ko kisi ke mobile se bhi download karke apne mobile dalkar install kar sakte hai. Face se mobile ko control karne ke liye aapke mobile me Dual yani front camera to hona ho chahiye. Hamare phone me front camera hoga tabhi ham apne face ko ussme ditect karake apne face se mobile ko chala sakte hai. To chaliye ham janlete hai ki ham kaise apne android mobile phone ko apne Face se control | access ya chala sakte hai wo bhi bina phone ko touch kiye hi.
Apne face se kaise apne android mobile ko control kare yani chalaye :-
1. Sabse pehle aapko apne android mobile phone me EVA Facial Mouse naam ke application ko install karna hoga.
Aap iss Eva Facial Mouse application ko playstore se bhi download karsakte hai. Aap niche digayi link se bhi iss application ko download kar sakte hai. Aaj ham issi application ke through apne mobile face se control karna sikhenge.
2. EVA Facial Mouse application ko install karne ke badh aapko apne mobile phone ke settings me jakar Accessibility me jana hai.
Waha par aapko sabse niche aapko EVA Facial Mouse ka option dikhega aapko usspar click yani tap karna hai.
4. Fir aapko wo apna terms and conditions aise kuchh instructions dikhayega aap chahe to usee padh sakte hai usske badh aapko Ok par click yani tap kardena hai.
Fir aapko EVA Facial Mouse ko allow karne ko bo to aapko allow ke button par click yani tap kardena hai.
5. Fir aapko simply next karte jana hai. Agar bich bich e ads show kare to aapko usse Skip kardena hai. Aap next karte jayenge to aapko Keyboard settings dikhega aapko usko dhyan se dekhna hai. Settings kuchh istarha hoga,
# 1. Open: 'settings > Language & input > current keyboard > Choose keyboards'
Issme aapko 1 number me ❌ ka sign dikhega yani 1number bale setting aapko nahi karna hai.
2. Enable 'EVA keyboard'
3. Go Back
4. Tap 'current keyboard'
5. Choose 'Key board'
# Settings
Ab aap samajh chuke honge aapko kya karna hai. Agar nahi samjhe hai to koi baat nahi mai samjha raha hu.
5. Ye sab achhe se dekhlene ke badh aapko settings par click yani tap karna hai.
6. Settings me jane ke badh aapko jana hai language and input me. Waha par apko kafi sare options dikhega to aapko Default keyboard ke option par click yani tap karna hai.
Usske badh aapko wo sare keyboards dikhega jo aapke phone par install hai. Unmese aapko EVA keyboard ko select karna hai agar aapke phone EVA keyboard ka option select karne ka option nahi dikh raha hai to aap SET UP INPUT METHODS par click kare.
Usske badh aap EVA Keyboard ko On kardijiye.
7. EVA keyboard ko on karne ke badh aap firse default me jakar EVA keyboard ko select kardijiye.
8. Fir aapko next par click karna hai fir upar aapka front camera open hojayega ussme aapko apne face ko bichme rakhkar usse detect karwana hai.
Face sahise camera me aajayega to wo apne aap boldega face detected aur fir next par click karenge to ek pointer vi aajayega.
9. Usske badh aap pointer speed set kar sakate hai. Horizontal me aap 11 ya 12 kardijiye jisse aapka pointer full screen move karega. Vertical me 12-13 aap apne hisab jisse aapka pointer full screen move karsake kyunki sabhi kaam pointer se hi hoga.
Sab set karne ke badh aapko next ke button par click kardena hai. Fir aapko next next next ke button par click karte rehna hai.
10. Usske badh aapko Button ka option dikhega usspar click kardijiye. Usske badh Firse aapko next next next par click karn hai. Fir aapko last me finish par click kardena hai.
Ab hogaya hai ab aap apne faceko jidhar jidhar ghumayenge pointer udhar udhar jayega. Kisi option par click karna ho to aapko uss option par apne face ko constant karke pointer ko ussi option par kuchh second roke rakhna hai. Fir aapko 2 options dikhega ek click ka aur dusra long click ka. Agar aap click yani tap karna chahte hai to click par pointer par rokhe rakhe. Agar aap long press karna chahte hai to aap long click par pointer ko roke rakhe.
Aapke mobile ke sideme kuchh options aajayega jaise ki Homekey back etc.
Istarha se aap apne android mobile phone ko apne face se hi control kar sakte hai yani apne face se hi apne mobile ko chalasakte hai.
To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.
1 comments:
commentsThis information you provided in the blog that is really unique I love it!! Thanks for sharing such a great blog Keep posting..
ReplyAndroid training in Gurgaon