Deleted ya Disabled Instagram account ko reactivate or recover kaise kare



Reactivate or recover deleted | disabled instagram account:

Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki deleted ya disabled instagram account ko reactivate kaise karte hai.



Agar aapse accidentally yani galati se aapka instagram account delete ya disable hogaya hai aur aap usse recover karna chahte hai to ye post aapke liye hai.

Also Read:
• Instagram Account Ko Permanently Delete Yani Band Kaise Kare

• Deleted google gmail account ko firse recover | restore kaise kare full details

To chaliye ham janlete hai ki kaise ham apne deleted ya disabled instagram account ko recover kar sakte hai.

Deeleted | disabled instagram account ko reciver kaise kare:



> Login page par jaye.
           • sabse pehle aap instagram account ke login page par jaye.

> Username / email address daliye.

       • Waha par aap apna wo username ya email address daliye jo aap pehle Instagram account ko login karne ke liye use karte the.

     • Fir koi password dalkar instagram login ya sign in ke option par click kare. Aapka account lagin nahi hoga fir bhi login par click kare ekbar.

> Get help signing in par click kijiye.
      • username aur password dalkar login par click karne ke badh nahi hoga.

      • To niche aapko ek Get help signing in ka option dikhega aapko uss get help signing in ke option par click karna hai.

> Trouble logging in par click kijiye.

    • Get help signing in par click karne ke badh aap trouble signing in ke option par click kijiye.

> Need more help par click kijiye.

         • Kabhi kabhi kya hota hai ki kuchh deleted account cases me aapko help screen nahi bhi dikhta hai to. Aap Need more help par click kijiye proper help ke liye.

> Sign up email address daliye.

         • Ab aap apna wo email address daliye jo aapne instagram sign up karte wakt dala tha. Yani ki jiss email address ke aapne instagram account banaya tha.

> Contact email daliye.
       • Usske badh aap apna contact email address daliye. Agar aapke pass koi contact email address hai to daldijiye taki instagram aapko uss email address pe aapko instagram contact  karega.

    • Agar aapke pass contact email address nahi hai to aap xod dijiye apne pehle bala email address hi rehne dijiye jisse aapne instagram me sign up kya tha.

> Account type select kijiye.

        • Usske badh aap apne instagram account ke type select kijiye. Aapne business account banaya tha ya fir personal.

       • Aap personal account select kijiye apne photo ke sath. Ye matter nahi karta hai ki aapke account me wo photos hai ya nahi.

> My account was hacked par click kijiye.
    
       • usske badh my Account was hacked par click kijiye, taki Instagram ko lagega ki kisine hack kar li hai isska account aur ussne band kardi hai. Aur ye fir apne account ko reactivate karna chahte haai.

> Skip Additional Details.



       • My account was hacked par click karne ke badh aapko ek  Additional details ka box dikhega. Ye jaruri nahi hai.

      • Agar aap additional details dena chahte hai to de sakte hai. To aap chahte to isse na bhi to koi farak nahi padta hai. Aap bas skip kardijiye.

> Request support par click kijiye.

     • Sabhi steps ko complete karne ke badh aapko Request Support ke option par click karna hai.

    • Usske badh aapko instagram ek verification email vejega aapke additional or contact email address par jo aapne di thi.

> Verify page.
       • Usske badh aap iss verifying page me apna instagram ka username, verification code jo aapke email me aaya tha aur aapka picture sath me dena padega.

  • Ek baat ka dhyan rakhiye ki aapke uss purane bala instagram account me kamse kam ek photo hona chahiye.

  • Jisse instagram aapke photo ko scan karke match karayega ki wo photo aapse milti hai ya nahi. So aap clear photo upload kare.

Also Read :

• Microsoft - hotmail ya outlook account ko permanently delete kaise kare

• Instagram account ka username aur profile name kaise change ya edit kare

> Usske badh aap email ko read kijiye achhe se aur required information fill yani variye kijiye.

• Ab instagram aapke request ko review karega aur fir usse lagega ki haan aapse galati se ye account delete ya disable hogaya hai.

• Ya fir aapka account hack hogaya hai, aur ye account ka owner sachme aap hi hai to aise instagram account aapke account firse reactivate kardega.

Aapko reset account ka bhi option available karadega.  Jisse aap pane instagram account ko easily reset yani recover kar sakte hai.

Note: Agar instagram ne aapka account delete kardi hai to aap usse iss tarike se sayad recover na bhi kar payenge. Agar aapse aapka instagram account disabled hogaya hai ya fir galati se delete hogaya to ye method se aapka Instagram reactive or recover honeka chances hai.

Niche digayi sabhi sabalon ka jabab maine iss post me hindi me dene ki kosis ki hai. Agar koi chhut gaya ho to mai kisi agle post me usse cover karunga.

how to reactivate instagram account after permanently delete, how to reactivate instagram account after deactivating it, how to recover a deleted instagram account 2019,how long does it take to reactivate instagram after deactivating it, how to recover a deleted instagram account 2020, how can i get my instagram back after being disabled?, how to delete instagram account, can i reactivate my instagram account.

Thanks for visit howtohelpinhindi.blogspot.com
Visit Again.