How to enable Developer option in our android phone without any software
Namaskar dosto aap sabhi ko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki android phone me developer options kya hai aur developer options ko enable kaise karte hai wo bhi bina kisi software ke.
Developer option kya hai | what is developer option?
Developer option ek android phone ka hidden feature hai. Ye option pehle se android phone par visible hokar nahi aata hai. Developer options ko use karke ham apne mobile me kuchh changes yani badlab kar sakte hai. Ye developer option ka subidha android phone par pehle se to hote hai lekin ye enable nahi hota hai.
Developer option enable kyu kare?
Dekhiye waise to ham bahut se kam ke liye apne android phone par Developer option ko enable karte hai. Developer option ko use karke ham apne android phone me kuchh changes yani badlab karte hai. Aise bahut si sabke apne apne reason hosakta hai.
Android mobiles me Developer option ko enable kaise kare bina kisi software ke
Apne android phone par Developer option enable karne ka tarika ham points me samajhte hai.
1. Sabse pehle aap apne android phone ki settings me jaye.
2. Settings me jane ke badh aap about phone/device par click kijiye.
3. About phone par click karne ke badh aapke samne kuchh optios aayega jisme ek device information ka option hoga uspar click kijiye.
4. Device information par Click karne ke badh aapke samne firse kuchh options show hoga jisme ek build number ka option hoga aap uspar 7 bar continuously yani lagatar click kijiye.
5. Build number par 7 bar click karenge to ye likha huwa aayega you are now a developer matlab aapke phone me developer option enable hogaya. Aap picture me dekh sakte hai.
Developer option ko use kaise kare?
Ab hamne apne android phone par Developer option to enable kar li hai magar isska use yani istemal kaise kare. Developer options ko use karne ka tarika ham kisi dusre article me sikhenge.
1. Email kisiko kaise aur kyun vejte hai gmail or google account ko use karke
2. Mobile se blogger template ko zip file se xml me kaise badle puri jankari hindi me
3. Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai
Apne android phone par enable Developer options ko disable ya firse hide kaise kare
Dekhiye kabhi kabhi kya hota hai ki ham Developer option ko use nahi karne lagte usse jaise ki taise chhod dete hai. Aise me koi hamare friends Developer options me jakar hamare phone ke sath chhed chhad karne lagte hai aur Developer options ki settings ko kharab kardeta hai. Fir hame setting milane me bahut dikat hota hai ya fir setting kharab hone ke wajah se hamare mobile phone me koi problems bhi aaraha hota hai. To aise me ham chahte hai ki apne Developer options ko kyun na ham band karle par kaise chaliye details me sikhte hai.
1. Sabse pehle aap apne phone ke setting ko open kijiye.
2. Setting open karne ke badh aap application manager par click kijiye. Fir aapko kuchh options dikhega aap right side ki aur scroll karenge to All ka option hoga.
3. Aap All bale option me jakar niche scroll karke setting ko khoj lijiye fir setting bale option par Click kijiye.
4. Setting par Click karenge to firse kuchh options dikhega jisme ek option hoga clear data aap usspar click kijiye. Aap picture me dekh sakte hai. Par yad rahe clear data samajh ke clear case par mat click kijiyega warna Developer option disable nahi hoga tab aapko firse clear data par click karke disable larna hoga. Aap niche picture me dekh sakte hai.
Ab aapka Developer option disable hochuka hai. Aap apne phone ke setting me jakar check kar sakte hai.
To hamne bahut hi aasani se sikhlihai ki android phone par Developer options enable aur disable kaise aur kyu karte hai.
To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Thank you
2 comments
commentsMere phon me devloper option Eneble dikhata he bulid nbr pn 7 bar click kr ne k baad bhi Devloper option has been Enbled aisa dikhata h thik krne kaa koi idea he too batav plz
ReplyVery useful Post. I found so many interesting stuff in your Blog especially its discussion. Hire Android developer to build a robust and scalable app suited to your business requirements at the best price.
Replyhire android developer