How to make a double role videos or photos from Android in hindi
Namaskar dosto aap sabhi ko mere blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki apne android phone se double role bale video kaise banate hai. Iss post ko last tak achhi tarah se puri padhiyega aur samajhiyega.
Aap hamne bahut si filme dekhe hai jisme kisi hero, heroin, villain ya fir joker ka double role hata hai. Fir hamare man me kuchh sabal aane lagte hai ki aakhir ye double role karte kaise hai. Jab mai bahut chhota tha tab mai koi film dekhta tha to usme kisi actor ka double role hota tha mai sochne lagta tha ki aare yar same same do insan kaha se dhund kar late hai kya koi mera bhi hamsakal hoga kya. Maine bahut si filmo me dekha double hota tha fir mai sochta tha itne sare log same to nahi hosakte fir jab thoda knowledge badh to pata chala ki yesab to computer se ho rahota hai.
Aise sabal aapke man me aata hoga ki yar kisi video me khudka double role kaise karte hai. Agar man lo hamara koi dost ne khudka double role bale video banalete hai to hame kaisa feel hota hai ki yar ek mera bhi double role bale video banadona. Agar wo hamare double role bale banaane se inkar kardete hai ya fir bolte hai ki bhai iske bahut paisa lagega to ham kitne niras hojate hai na. Aise ham sochne lagte hai ki kash mere pass bhi computer ya laptop hota aur mujhe bhi banane aata to khud apna double role vodeo bana pata. Fir kisiko double role vodeo bananeka mujhe koi paisa nahi dena padta balke khud bhi kuchh kama leta.
To disto aapko ab aise niras hone ki koi jarurat nahi kyuki agar aapke pass computer ya laptop nahi hai to bhi aap apne android phone se hi apne double role bale video bana sakte hai wo free me isme aapko kisi ko paise bhi nahi dena padega. Ab aap soch rahehonge ki wo kaise yar apne android phone se double role banasakta hu mujhe to yakin hi nahi aaraha hai. Jab first time maine apna double role bale video banaya to mujhe uswakt ka feelings kuchh aur aaraha tha aur maine apne friends ko dikhakar unsabko bhi bahut exciting kardiya tha. Fir wo sab mujhse puchhne laga aare ye tumne kaise kiya aur maine apne sabhi dosto ko ye batadiya aur sikha diya tha.
Apne android phone se Double role videos aur phots kaise banate hai
Dekhiye aajka ye jamana jo hai wo technology ka jamana hai aur technology din parti din badhte hi ja rahe hai. Aajkal bahut si aise kam hai jo computer ke sath sath mobile par bhi hone laga hai. To chaliye ham points me pure details ke sath samajhte hai ki apne android phone se double role bale video aur picture kaise banate hai. Isske liye pehle aapko apne phone par ek software download karna hoga jiska naam hai Split Video and Camera aap playstore se download karlijiye ya fir niche digayi link par click karke download karlijiye aap niche software ka icon dekh sakte hai aap.
Aapko internet par aise bahut si software miljayega jisse aap apna double videos aur pictures bana sakte hai. Par mai aaj aap sabko yaha Split video and Camera ke help se Double role video banana sikhaunga. Ye android mobile se double role vodeo bananeka kafi badhiya software hai.
1. Sabse pehle apne android phone par Split Video and Camera install karke open karlijiye.
2. Jab aap Split video and Camera software ko open karenge to aapko 2 option dikhega ek video ka dusra picture ka agar aap double role bale video banana chahte hai to video bale option par clic kijiye. Agar aap double role bale picture banana chahte to picture bale option par Click kijiye dono method same hai.
3. Fir aapke samne camera start hojayega agar aap sidhe video banana chahte hai ya picture lena chahte hai to niche picture m diyagi no. 1 bale option par Click kijiye.
4. Agar aap chahte hai ki mai video ya picture font camera ko use karke banau to aap upar picture me digayi no. 2 bale option par click kijiye back camera ke liye firse no. 2 bale option par click kijiye.
#Agar aap flashlight light use karna chahte hai to aap no. 3 bale option par click kijiye.
# Agar aap video joint ki tarha nahi dikhana chate hai to no. 4 me digayi line ko reft-right scroll karke achhi tarha se video ko milalale.
# Agar aap timing set karna chahte hai to no. 5 bale option par click karke time set kar sakte hai.
# Agar aap photo ya video ka frame change karna chahte hai to no. 6 bale option par click karke apni pasand ka frame use kar sakte hai.
# Agar photo ya video me koi effect karna chahte hai to no. 7 bale option par Click karke effect dalsakte hai.
5. Sabhi chij set karne ke bad aap firse no.1 bale option par click kijiye. Fir aapka photo or video left side me capture hojayega aap jitne time ka video banana chahte hai utne time ke badh firse no. 1 bale option par click kijiye. Aap upar picture me dekhsakte hai.
6. Ab aapko wahi sabhi chij right side photos or videos ke liye set karna hai fir aako no. 1 bale button par click karna hai agar video hoga to jitna time left side me shoot ki hai utna hi time right side me bhi lagega.
7. Ab aapke samne kuchh options dikhega play ka aap chahe to double role video play karke wahi par dekh bhi sakte. Uske badh hoga save ka button aap chahe to double role video aur photos ko save karke badh me bhi dekhsakte hai. Fir ho share aap usse share bhi kar sakte hai. Uske badh hoga delete ka aap chahe to usse delete bhi kar sakte hai.
8. Aap save bale option par click kardijiye ab aapka double role video aur photo ban chuka hai aap apne phone jakar Split Video&camera bale folder dekhsakte hai.
To dosto hamne sikhlihai ki double role video aur photos kaise banate hai. Ye software use karne me bahut hi easy yani aasan hai.
To dosto aapko hamara ye post kaisa laga aap hame comment karke jarur bataiye aur dosto ke sath share karna mat bhuliye. Agar article likhne me mujhse koi galtiya hogaya ho to please aap mujhe maaf kardijiyega. Hamare blog howtohelpinhindi.blogspot.com aane ke liye aap sabko bahut bahut dhanyabad. Ekbar niche Home par click kijiye.