How to create or generate wifi QR code full details in hindi
Namaskar dosto aapsabhiko mere
howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki ham kaise apne mobile ya computer se QR code bana sakte hai aur bina password ke wifi connect ya share kar sakte hai. Dekhiye dosto agar aap internet use karte hone to QR code ke bareme jarur sune honge ya fir QR code ko dekhe bhi honge. Aajkal badalti duniya har chij moder hota jaraha hai. Log short me har chij karna chahta hai. Jaha par dekho aajkal sabhi bade bade companiya ya fir office me QR code ka istemal kiya jaraha hai. Yaha par mai aapko QR code ke bareme thodi jankari dunga kisi aur post me iski puri details bataunga. Yaha par aaj mai aapko QR code se wifi kaise connect karte bina password dale. Aur wifi password ke liye QR code kaise banate hai wo ham sikhenge.
QR code kya hai | what is QR code in hindi Short information :
QR code kya hai isska istemal kaise karte kaha par karte hai aur bhi QR code ke bareme ham kisi aur post me puri details ke sath janenge. Yaha par short me bata raha hu.
QR code ka full form kya hai | Full form of QR code :
QR code ka full form yani pura naam Quick Response code hai. QR code ek image ke jaisa hi hita hai par ye thoda alag sa image hota hai. Pehle to jyada tar QR code ke image ka color black me aata tha ab to badlti duniya me QR code bhi alag alag color ka category hisab se bhi aane lage hai.
QR code ke bareme jyada janne ke liye hamara ye post dekhe.
∆ QR Code Kya Hai Ise Kaise Banaye Aur Scan Ya Use Kare Puri Jankari Hindi me
QR code ka istemal kaha kaha par karsakte :
QR code ka istemal ham bahut je jagah par kar sakte hai. Aapne Tv par advertisement me QR code dekha hoga. So Isske bareme ham agle post me puri details bataunga QR code ko ham kaha par use karte hai. Yaha par mai aapko wifi ke liye QR code kaise banate aur Bina password dale wifi kaise connect kar sakte hai QR code scan karke se.
Ham wifi ke liye QR code kyu banaye :
Sabse pehle hamare manme ye sabal jarur aata hai ki ham wifi ke liye QR code kyun create kare. Dekhiye hamare ghar me ya office me wifi to hote hai par wifi hackers ki to aajkal kami nahi hai. Sab password hack karne ko sochte rehte hai isiliye ham apne wifi ka password aise rakhdete hai taki koi guess na kar paye. Ham apne wifi ka password change to karlete hai par kabhi kabhi hame khud apna password yaad nahi rehta hai.
Agar ham apne office ka password badalte hai to hame apne sabhi worker ko ek ke karke password dene me kafi paresani hota hai. Aise me agar ham wifi ke password ke liye ek Qr code bana lete hai aur kisi aise jagah par print karke laga dete hai jaha par aapke office ke sabhi worker aasani se dekhsakte hai.
Kabhi hamare ghar par hi kisi party function jaise ki shadi aur puja me kafi ristedar aur friends aate hai. Aise me ham kaam se busy hote hai aise me ham kis kisko ek ek karke password dene baithe. Agar aise me ham apne WiFi password ke liye ek QR code bana lete hai aur usse print karke kahi par laga detw hai jaha par sabhi log usse dekhsakte hai to fir hame paresan hona hi nahi padega. Bade aasani sab log uss qr code Scan karke apne mobile phone me wifi connect karskate hai.
Wifi ke liye QR code banane ke liye kya kya chahiye :
Aapko wifi ke liye qr code banana hai to jyada kuchh nahi chahiye. Aapke pass computer ya laptop hai to aap usse banasakte hai. Agar aapke pass computer ya laptop nahi hai to aap apne mobile phone se bhi qr code create kar sakte hai. Wifi ke liye qr code create karna chahte hai to aapko qr code create karne liye usswak internet connection chahiye hota hai. Agar aap uss qr code ko print karna chahte hai to aapko ek Printer ki jarurat padegi ki. Agar aapke pass printer nahi hai to aap qr code bale Image ko lekar kisi printer shop e jaiye aur print karbala lijiye. To chaliye jan lete hai ki wifi ke liye QR code kaise banaye.
Wifi password ke liye qr code kaise banaye :
Aap mobile aur computer dono me wifi ke liye qr code bana sakte hai. Dono me lagbhag same hi method hai. Agar aap mobile se wifi ke liye qr code bana rahe hai to crome browser ka use kijiye ye aap koi bhi achhe browser ko use kar sakte hai.
To aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye. Yaha par mai aapko do website ke bareme batane bala hu.
Website no. 1 :
qifi.org - Pure JS wifi QR code Generator :
1. Sabse pehle aap apne browser me qifi.org site ko open karlijiye. Open karne par aapko kuchh istarha ka options dikhega.
# SSID :
Yaha par aap apne wifi ka name dal dijiye jo bhi aapke wifi ka naam hai aap dekhkar sahi se dal dijiye. Uske niche ek hidden ka option dikhega aapko usee uncheck kardena hai. Warna aapke wifi ka name hide hojayega. Wifi ke QR code ko koi scan karega to ussme aapke network ka naam nahi dikhega.
# Encryption :
Encryption me aapko apne wifi ka security type kaunsa hai wo dalna hai. Aap apne wifi ka security type dekh kijiye kausa hai aur daldijiye. Agar aapko wifi la security type nahi aata hai check karna to aapko mai bata de raha hu kaise wifi ka security type check kar sakte hai.
Wifi ka Security Type encryption ke liye kaise check kare :
• Sabse pehle aap apne connected wifi ke name par chale jaiye. Wifi ke name par kuchh der pointer rakhenge to aapko aapke wifi ka name security type aur bhi information dikhega.
Ya fir wifi settings me jaiye aur advance par click karenge to aapko aapke wifi security ka type dikhjayega.
• Agar aap mobile se check kar rahe hai to apne connected wifi ke name par kuchh der long press kijiye. Fir modify network par click kijiye waha par aako kuchh options dikhega jinme se ek security ka bhi option dikhea.
• Aap apne wifi ke router me bhi dekhsakte hai.
To aap encryption me aapke wifi ka security type dekhkar jo hai wo daldijiye. Mere wifi ka security type WPA2-PSK to mai yahi dalunga.
# Key :
Yaha par hame apne wifi ka password key dalna. Jo bhi aapke wifi password hai wo aap daldijiye.
2. Usske badh sab sahi hojane par ekbar check karke usse Generate par click kardena hai. Usske badh aapko 2 option aur dikhega ek save ka to aap usse save kar sakte hai. Aur ek export ka to aapko expert par click karna hai fir aapko ek .png me qr code generate karke dedega. Aapko usse print karba lena hai.
Website no. 2 :
1. Sabse pehle aap browser me upar tpye kijiye
unitag.io/qrcode
Ab aab qr code generator ke page par aajayenge. Fir aapko waha par ek QR code type ka option dikhega aapko usspar click karna hai.
2. Aapko wahapar others Type click karna hai. Fir aapko kuchh icons dikhega to aapko unmese aapko wireless network ke icon par click karna hai.
Fir aapko upar no.1 bale site me jo options dikhatha name , password , network type, Generate wahi sab yaha par bhi dikhega. Aapko upar ki tarha hi ye sab fill karke qr code generate karlena hai.
Ab aapka wifi ke qr code generate hojayega. Iss site ke khasiyat ye bhi hai aap issko apne hisab se customize bhi kar sakte hai.
Customize kaise kare :
Aap iss site par qr code generate kar lete hai to aapko niche ek customize ka option dikhega. Aapko ussme kafi sare chij customize karne dikhjayega jaise ki,
# Template :
Yaha par aap apne qr code ke template select kar sakte hai. Agar aap wifi ke liye qr code bana rahe hai to aap wifi bale qr code template select karlijiye.
# Colors :
Aap apne QR code ke color ko change kar sakte hai apne hisab custom color laga sakte hai.
# Look :
Aap isske look ko bhi apne tarike se customize kar sakte hai.
# Logo :
Issme aap apna koi logo laga sakte hai.
# ETC :
Aise kuchh aur options aapko customize karneko milega.
Fir aapko upar ek download ka option dikhega aap usspar click karke download kar sakte hai.
Android mobile application se wifi ke liye QR code kaise banaye :
1. Sabse pehle aap apne android mobile phone me Wifi QR code Generator application ko download karlijiye.
Aap iss application ko playstore se download kar sakte hai ya fir niche digayi download link se bhi.
Download QR code generator
2. Tarika same hai name, password , network type sab fill karna hai aur fir niche aapko save ka icon dikhega aap usse save kar sakte. Ek share ka bhi option dikhega aap share bhi kar sakte hai.
Istarha se app apne wifi ke liye QR code bana sakte hai.
Wifi password ka QR code scan karke connect kaise kare :
Aap ko apne mobile ya computer se QR code scanner se uss wifi ke password bale QR code ko scan karna hai. Qr code scan karenge to aapko uss wifi ka password dikhhjayega aur fir ye automatic connect hojayega. Agar aapko Qr code scan karna nahi aate hai to aap hamara ye post padhiye
QR code kya hai QR code scan ya read kaise kare.
∆
QR Code Kya Hai Ise Kaise Banaye Aur Scan Ya Use Kare Puri Jankari Hindi me
To dosto aap hamare post ko share jarur kijiye aur niche apna Email id dalkar subscribe jarur karlijiye taki hamara sabhi post aapko sabse pehle mile.
Maine niche puchhe gaye lagbhag sabhi sabal yani questions ka jabab iss post me dene ki kosis ki hai.
QR code kya hai , Wifi ke liye QR code kaise banaye , mobile se QR code kaise banaye , QR code banane ka app , QR code ki puri jankari hindi me , QR code se wifi kaise connect kare , Bina password dale qr code se wifi kaise connect kare QR code bananeka website , wifi ke liye QR code kaise create yani generate kare , what is qr code in hindi , how to generate or create wifi QR code in hindi , wifi kaise connect kare bina password ke , QR code kya hota hai ,QR code kaise banate hai , wifi ke liye QR code kaise banaye , bina password ke wifi connect kaise kare qr code madat se etc.
Wifi ke QR code bana ho to aapko password dalne ki koi jarurat nahi bina password dale hi bas QR code ko sCan karke wifi connect karsakte hai. Niche catagory me jakar aur bhi aise post dekh sakte hai.
Thanks for visit
howtohelpinhindi.blogspot.com