Youtube par bina internet ke offline video kaise dekhte hai - howtohelpinhindi

How to watch youtube videos offline in hindi- howtohelpinhindi





Namaskar dosto aapsabhiko mere Howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki youtube par bina internet ke offline video kaise dekhte hai. Aajkal youtube kaun nahi use karta hai. Aajkal youtube par lagbhag hamare sabhi kaam ke videos miljate hai. Aur yahi wajah hai jisse karan aajkal youtube par itna log ghumrahe hai. Dekhiye ham kaibar apne Mobile phone ya computer pe youtube chalakar video dekhrahe hote hai. Hamare pass 3G ya 4G mobile phone hone par bhi internet connection kharab hone ki wajah se ham videos achhi tarha se time pe nahi dekh pate hai. 

Low internet connection hone ke wajah se 1 video ko dekhne me buffering hone ke wajah se shaam hojate hai. Fir bhi ham kabhi kabhi uss video ko nahi dekhpate hai. Ya kabhi kabhi aisa bhi hota hai hamare pass ek achha internet connection to hota hai par time na hone ke karan ham videos ko nahi dekhpate hai. Kavi kavi Ham office me hote hai ya fir kisi cafe restaurant ya kisi public place  waha par ek achha internet connection bhi hamare pass hote huwe bhi time ke kami hone ke karan ya bhir dosto ya family ke sath busy hone karan uswakt videos nahi dekh pate hai. Fir hamare man me ye sawal aata hai ki kash koi aisa tarika hota jise ham iss video ko mobile me rakhkar fir kabhi badhme fursad ke samay me dekhpate. Wo bhi bina internet connection ke to kitna achha hota. Inhi sabhi problem ko dekhte huye aapke liye youtube lekar aaya hai offline ka sewa.

To chaliye ham jante hai ki bina internet ke youtube par offline videos kaise dekhte hai. Aap iss post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye. Mai suggest karunga ki Aap niche view web version par click karke post ko read kijiye.

Youtube par bina internet ke offline videos kaise dekhe :-


1. Sabse pehle aap apne Mobile phone me youtube ko update karlijiye. Kyunki kai mobile phone me puarana version bala youtube install hota hai.

2. Ab aap apne updated youtube app ko open karlijiye. Usske aap koi bhi ek video search karlijiye jisse aapko offline dekhna hai.

3. Ab aap video open karne ke badh dekhenge to like aur dislike button ke sath me aapko ek down arrow ka sign dikhega aapko uss sign par click kardena hai.





4. Usske badh aapko kuchh option dikhega jissme Normal aur Hd video ka option hoga. Aap uss video ko Normal mode me rakhna chahte hai to Normal select kijiye. Ya fir agar aap HD me dekhna chahte hai to aap HD bala option select kijiye.

Ye aap pe depend karega ki aap kaunsa size rakhenge aap hd me rakhte hai to kafi clear video dikhega. Hd mode me video ka size kafi bada hota hai. Normal mode me hd se bahut kam rahega. Ye aap par depend karta hai ki aap kitne size ka video apne phone memory me offline save karna chahte hai.

5. Aapko ek aur option dikhega remember my setting. Aapko mere khayal se usse khali xod dena hai.  
 Agar aapne ekbar normal mode par rakhke remember my setting me tick kardiya to youtube agle bar apne aap normal mode me offline save karne lagega. Hd mode ka option nahi aayega so isse aise hi xod dijiye.

6. Fir aap Ok ke button par click kardijiye. Ab aapke video offline mode me save hone lagega. Save hojane ke badh aapko bolega video added to offline. Aur arrow ke jagah par tick mark aajayega.

7. Ab aap upar menu me jaiye aur waha par aap profile me jayenge to aapko ek offline ka option dikhega. aap uss offline bale option par click karenge to aapke sare offline videos show hoga jo aapne ne offline mode me save kiye honge.




Ab aap iss video ko kabhi bhi bina internet ke offline dekh payenge.

Note :-


1. Youtube aapke offline video automatically 2-3 din me link expire kardega. Usske badh aapka wo video nahi chalega firse offline save karna padega dekhne ke liye.

2. Ya feature youtube ne filhal kuchh hi country ke liye available karaya hai. Ye sabhi country me nahi chalta hai.


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.



Facebook page -Howtohelpinhindi


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »