Android mobile ki brightness ko limit se jyada kam karke - eyes protect kaise kare

How to decrease brightness at very low than android limit in your android mobile phone full details in Hindi





Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me ekbar firse swagat hai. Aaj ham sikhen bale hai ki android mobile phone ki brightness ko limit se jyada kam kaise karte hai. Mere kehne ka matlab hai ki android mobile phone me company ne pehle se jo minimum brightness karneka limit derakha hai usse bhi kai guna kam kaise kare. Kam brightness me mobile kyun use kare isse hame kya fayada hoga. Aapko to android mobile phone me pehle se jo brightness kam ya jyada karne ka feature derakha hai wo to karna aata hi hoga. Agar nahi aata hai to aap apne phone setting me jaiye fir display setting me jaiye. Usske badh aapko kuchh options me se ek brightness ka option dikhega aap usspar click karke apne mobile phone ki brightness ko apni jarurat ke hisab se badha ya ghata sakte hai. 

Apne mobile phone ki brightness ko jyada kam kare karne se kya fayada hoga :-


Dekhiye Mobile addicted to aajkal bahut se log hogaya hai. Khaskar yuba log to aur bhi. Kai log apne mobile phone me dinbhar game khelte rehte hai, to kuchh dinbhar videos , photos , movies , comedy dekhte rehte hai. Bahut se log dinrat internet me lage hote hai kuchh log facebook , whatsapp , twitter , instagram par to kuchh log youtube par. Ye jaruri nahi har koi yahi sab din rat internet par karta ho kuchh log apna kaam karte rehte hai. Aap apne phone me inme se koi bhi kaam ke liye mobile ko use kijiye aapke aankho (eyes) me to mobile ka light to padega hi. Agar aap jyada light me Mobile use karenge to jahir si baat hai ki aapke eyes kharab hosakta hai. Hamare android mobile phone me pehle se jo brightness ki limit de rakha hai wo din ke liye to thik hai. Par agar der raat tak  ham utne brightness me mobile chalayenge to hamare aankhon par bura asar padega. Fir hamare aakhon me pain hone lagega. Isse mobile ki Battery bhi kafi der tak chalega.

Issiliye hame apne android mobile phone ki brightness ko raatko jyada se jyada kam karke mobile chalana hota hai. Aap soch rahe honge ki ham to apne mobile phone ki brightness ko puri kam karke chalate hai fir hame kaisa dar. Ji nahi hamare phone me jo brightness ki limit hai wo aur kam honi chahiye. Mere sath bhi ekbar aisa huwa tha mai sari sari raat mobile chalata rehta tha par ekdin mera eyes pura red sa hogaya aur aansu bahut aaraha tha. Pain bhi kar raha tha. Tabse mai apne mobile phone ki brightness ko raat ko bahut kam karke chahata hu. Raat ko mai lagbhag 40-50 ya 60 % par hi brightness karke chalata hu. Par itna kam light yani brightness karneka subidha hamare phone me pehle se nahi hota hai. Aapko chinta karne ki koi jarurat nahi mai aapko aaj issike bareme batane bala hu ki hamare android mobile phone ki brightness ko limit se jyada kam kaise karsakte hai. Yo chaliye ab ham janlete hai ki android mobile ki brightness ko limit se jyada kam kaise karsakte hai jisse hamara eyes protect ho yani hamare eyes par koi bura asar na pade.


Android mobile phone ki brightness ko limit se jyada kam kaise kare full details hindi me :-



Yaha par mai aapko 2 aise apps ke bareme batane bala hu jisse ham apne android mobile phone ki brightness ko limit se bahut jyada tak kam karsakte hai. Aap post ko achhi tarha se padhiye aur samajhiye.

Android mobile phone ki brightness ko sabse jyada kam karne ki 2 apps


1. Night Mode  :-

Aap apne phone me night mode application ko playstore se download kar install karke apne android mobile phone ki brightness ko kafi hadtak kam karsakte hai. Aur apne eyes ko protect karsakte hai. Aap niche digayi  download link se bhi night mode application ko download karsakte hai.




Night Mode application ko use kaise kare eyes protect ke liye :-



1. Apne mobile phone me Night mode application ko install karne ke badh aapko open karna hai. 

2. Usske badh aapko brightness level  choose karna hai ki aap kitna brightness rakhna chahte hai. Brightness level aap apne hisab sd choose karsakte hai. Brightness leVel Lagbhag 50 % -60 %ya fir 70 % ke bichme hi rakhe. Aapko jitne pe achha aap utna pe rakhiye ye aapki marji hai.

3. Usske badh aap start par click kardijiye. 


Ab aapka phone night mode me aagaya hai. Aap minimize karke apne phone me jo chahe chalasakte hai.


Night mode band kaise kare :-


Aap night mode band karna chahte hai to koi baat nahi aap ye bhi karsakte hai. Isske liye aap  fir night mode application ko open kijiye aur fir stop par click kardijiye. Ab aapke phone me night mode band hojayega.


2. Mid Night :-


Ye jo dusra application hai Mid night ye mujhe kafi achha lagta hai. Aur mai avi bhi yahi use kar raha hu apne eye ko brightness se bachane ke liye. Aap iss Mid Night application ko bhi playstore se download kar sakte hai ya fir niche digayi download link se bhi download karsakte hai.




Mid Night application ko use kaise kare :-



1. Mid Night application ko apne mobile phone me install karne ke badh aap usse open kijiye.

2. Mid Night apk open karne par aap filter mode me dekhenge to aapko filter color choose karne ko bolega. Aap waha se filter color choose karlijiye jo color aapko fayademand lage.

3. Usske badh aap ek niche icon dekhenge star jaisa waha se brightness ki ( % ) percent select karlijiye jitna aap rakhna chahte hai.

4. Ab niche dekhenge to red color me aapko ek play button ka icon dikhega aap usspar click karenge to Mid Night active hojayega matlab start hojayega aur aapke mobile phone ka brightness kam hojayega.


Aap filter ke side me dekhenge to aapko ek Working Mode ka option dikhega. Working mode par click karenge to aapko firse kuchh options dikhega options kuchh istarha hoga,

# Manual :-
Iss option ko select karke aap apne hisab isse setup karsakte hai.

# scheduled :-
Iss option me aap Mod Night mode ki star time aur end time select kar sakte hai.

# Automatic iss option ko select karenge to wo Automatic detect karlega ki kab on karna hai aur kab off.



Aap Mid Night application ko open karne ke badh upar dekhenge to aapko ek 3 dotted line dikhega. Aap usspar click karenge to aap Mid Night application ka setting ko apne tarike se setup kar sakte hai. Jaiseki minimum brightness kitna rakhna chahte hai. Notification setup bhi karsakte hai. Etc.



To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.


Related Search :-

Android mobile ki brightness se apne aakho ko kaise bachaye, android mobile ki brightness kaise kam kare, android mobile phone brightness bahut jyada kam kaise kare, android mobile ki brightness kam karneka tarika , android mobile ki brightness kam karneka apps

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments