Mobile phone se Youtube par video quality full hd yani high karke kaise dekhe

How to watch youtube videos in full hd or high quality full details in hindi






Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham sikhenge ki mobile phone se youtube videos ki quality ko low aur high kaise karte hai. Aajkal to youtube kaun nahi us  kar raha hai. Lagbhag bahut se log aajkal youtube ko use karta hai. Youtube ek kafi popular social media ban chuka hai. Yaha par lagbhag har wo videos hame miljata hai jiska hame jarurat hota hai.

Sabhilogo ki hobbies sabhi type ke hai. Aur log duniya ki hobbies ko dhyan rakhke videos banakar youtube par dalta hai. Aur phir wo youtube par apna ek bada channel khuchh dinme khada kardeta hai. To ham sabse pehle ye janlete hai ki ham  youtube videos ko hd kyun kare ya fir videos quality low kyun kare. Ham aaj khas kar ye sikhenge ki youtube ki videos quality ko high ya low karke kaise dekhte hai bhi apne android mobile phone me.


Youtube videos quality ko High ya Low quality me kyun dekhe isska kya fayada hai:-


Dekhiye jab ham youtube par videos dekh rahe hote hai. Youtube automatically hamare net ki speed ke anusar low ya high quality ki videos apne aap chalte hai.

 Hamara internet achchha hota hai to youtube hame videos qu high yani hd me dikhata hai. Aur agar hamara internet speed slow hota hai to  youtube videos low quality me play hota hai. Lagbhag 140P ya 260P jo ki jo ki clear nahi dikhta hai. Agar aise hame koi text ya document ya fir study related videos dekhna ho youtube par to ham low quality me achhi tarha se nahi dekhpayenge. Kyunki videos low chane ke wajah se videos me likhe text ko aap achhi tarha se read nahi kar payenge.

Aise kaamko ke liye hame high quality me hi videos ko dekhna padta hai. Issiliye ham videos quality ko youtube par videos quality ko manually high karke dekhte hai. 

Ab baat aati hai fir videos quality ko low kyun kare. Dekhiye bahut se aise videos hote hai jissme hame bas sound jyada important hota hai videos quality nahi. Aur aapko ek baat bata du aap jitne high quality me videos dekhenge aapka data utna hi jyada katega. Aur aap jitne low quality me videos ko youtube par dekhenge aap data utna hi kam katega. To hame jab high quality videos ka kaam hi nahi to ham apna jyada data barbad kyun kare. 

Agar aapka internet speed slow hai to aap youtube videos quality ko low karke dekhenge to aapa videos lagbhag continue chalta rahega. Jaise hi aap slow internet me youtube videos quality high karke dekhte hai to aapka videos ruk ruk kar chalega. Aise aur bhi bahut reason hai jinke wajah se aap apna videos quality ko youtube par high ya low karke dekhsakte hai.


Mobile se Youtube Par Videos quality manually high ya low me karke kaise dekhe :-




Dekhiye ye bahut easy hai app. Jinte bar chahe isse high ya low karke dekhsakte hai. To aap post achhi tarha se padhiye aur samajhiye.

1. Sabse pehle aap apne mobile phone me youtube application ko open karlijiye.

2. Ab aap koi bhi youtube videos ko play kijiye. 

3. Jab aapka videos chalne lage to aap ekbar videos par tao karenge to aapko upar 3 dotted line dikhega aapko usspar click karna hai.

4. Usskebadh aapke samne setting ke icon ke sath videos quality ka option aayega aapko usspar click karna hai.

5. Usske badh aap apne videos quality kitna rakhna chahte hai wo select karna hoga. 

Ab aap jitna jyada jaise 480 P ka videos select karenge videos utnahi achhe quality me dikhega. Agar aap 120p select karte hai to aapka videos quality low dikhega. Agar aap auto select karte hai to youtube automatically aapke internet speed ke hisab se videos quality change kar karke dikhayega. To hogaya aap jiss quality ko select karenge videos uss quality me chalne lagega.


To dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye ye post aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padhrahe the aise aur bhi bahut sare post padhne ke liye hamare iss blog ko visit karte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi posts dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mera help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga usspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wo bhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse post likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Ye post sirf knowledge ke liye ke liye share kiya gaya hai. Aap isse kis roopse lenge ya kaise upyog karenge ye aap janiye. Agar aap kisi post ka galat istemal karte hai to uska jimmedar aap khud honge ye site nahi. Kyunki iss blog par sikhaye gaye sabhi post sirf knowledge ke liye hai. Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.


Related Search :- 


Youtube videos quality full hd yani high kaise kare , youtube par high quality me videos kaise dekhe, how to watch youtube videos in High quality in hindi. Etc.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments