How to change facebook profile name from mobile aur computer full details in hindi
Namaskar dosto aap sabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagata hai. Aaj sikhenge ki facebook ki profile name kaise change karte hai. Dekhiye aajkal facebook account kiska nahi hai. Har kisike pass agar dekhenge to aur kuchh ka account ho ya na ho par ek facebook account jarur hota hai. Kyunki facebook duniya ka sabse bade social media me se ek hai. Aur facebook kafi romanchak aur fayade mand bhi hai sayad yahi reason hai ki aaj itne log facebook se jude hai. Aajkal logo ke pass to facebook ka kafi sare account hote hai. Agar jyada account na bhi ho to kam se kam ek account to hota hai hai. Agar aapke pass avi bhi facebook ka account nahi hai ya fir aap facebook account banana nahi jante hai to koi baat nahi aap hamare ye niche digayi link par click karke facebook account kaise banate hai isske bareme jan sakte hai.
See Also :-
Facebook account free me kaise create kare
Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai
facebook page Catagory kaise change kare ? | how to change page catagory in hindi
Facebook friends list hide kaise kare aur kyun full details hindi me
Biography Of Facebook Ceo Or owner Mark Zuckerberg Success story in hindi
Gmail account me auto reply setup kaise kare | gmail vacation responder kya hai
Apna koi bhi personal calls kaise hide aur lock kare dusre se ya chat me badle
Live video stream kya hai facebook par live video kaise share kare
Free me offline translation kaise kare google translate ko use karke
Android phone me Developer options enable aur disable kaise kare
Facebook account free me kaise create kare
Facebook reactions or facebook new like features or emojis kya hai
facebook page Catagory kaise change kare ? | how to change page catagory in hindi
Facebook friends list hide kaise kare aur kyun full details hindi me
Biography Of Facebook Ceo Or owner Mark Zuckerberg Success story in hindi
Gmail account me auto reply setup kaise kare | gmail vacation responder kya hai
Apna koi bhi personal calls kaise hide aur lock kare dusre se ya chat me badle
Live video stream kya hai facebook par live video kaise share kare
Free me offline translation kaise kare google translate ko use karke
Android phone me Developer options enable aur disable kaise kare
Facebook ka profile name change kyun kare | facebook profile name change karne ka fayada :-
Dekhiye kai bar kya hota hai ki jab hame facebook account banana nahi aata hai to ham apne kisi dost ko bolte hai ki yaar mera bhi ek facebook par account banado. Ya fir ham kisi cyber me hote hai to facebook account banate hai. Aise ham jald baji me filhal koi bhi facebook name rakhkar account create karlete hai. Ya fir ham apne dost ko bolte hai account create kardene ke liye to wo bhi koi naam se banadete hai. Fir badhme hame lagta hai ki yaar hame ye facebook profile name jyada achha nahi lagraha hai. To ham aise me facebook profile name change karne ko sochte hai.
Aajkal jamana modern hogaya hai to jahir si baat hai log apna name bhi modern rakhte hai. Aapne facebook par kafi sare stylish facebook profile name dekhehonge. Agar aapka facebook profile name jyada achha nahi hai to aapka bhi man hoga facebook ka name Change karne ko. Agar aapka facebook name thoda stylish aur modern hai to aapko friend request bhi kafi jyada aane lagega jisse aapke status , photos aur videos like jyada milega. Aapka facebook profile name achha rahega to dikhne aur sunne me kafi achha lagega.
Ab dekhiye ye to sab apne apne reason ke hisab se apna facebook profile name change karna chahta hai. Kuchh logo ka facebook name lamba hojata hai issliye bhi apna facebook name change karte hai to kuchh logo ka first name last name dono same hojata hai. Aise kuchh reasons ke wajah se log apna facebook profile name change karna chahte hai. Khair reason koi bhi ho ye aap par depend karta hai.
See Also :-
◆ Google or gmail email ka profile name kaise change kare full details hindi me
◆ Google par photo upload kaise karte hai | how to upload photos on google in hindi
◆ Android mobile me 100 GB free online storage kaise paye | how to get 100 GB drive
◆Gmail email aur google plus ka profile picture kaise change kare full details
◆safe mode kya hai ? Safe mode enable ya disable yani turn On | turn Off kaise kare
Facebook profile name change karne ke liye kitne friends hona jaruri hai :-
Dekhiye facebook ne avi profile id me to aisa koi rule avi naya lagay hai. Haan facebook page me fir aisa niyam hai par profile id me nahi. Aap ke pass kitne bhi friends kyun na ho aap apne facebook profile name change kar payenge. Ye pata nahi ki future me facebook sayad iss par bhi kuchh niyam lagade par avi tak aisa koi rule nahi lagaya hai. Aapke pass jitne bhi friends ho aap apna facebook profile name change kar payenge.
Facebook profile name change karne par sabhi data like status , photos , videos etc. delete hojayega kya :-
Dekhiye ye bhi ek dar ka baat hai. Ki kahi maine facebook name change ki aur mere important photos , videos ya fir status kahi delete na hojaye. Kyunki jo pehli baar kuchh kar raha hota hai usske manme aise bahut se sawal aata hai. To ghabrane ki koi baat nahi facebook ke profile name change karne par aapka data delete nahi hoga sab kuchh bilkul waisa hi hoga. Bas aapka facebook profile name change hojayega.
See Also :-
Desktop template | theme ko mobile device par kaise show kare - mobile friendly
Adfly kya hai | adfly par account kaise banate hai - adf.ly se kitne kama sakte hai
Youtube 1000 views aur 1ads click ke kitne paisa dete hai puri jankari hindi me
Kisi bhi youtube channel ki earning aur analytics kaise check kare full details
Facebook profile name change karne par sabhi friends ko firse request vejna padega :-
Ji nahi aisa bilkul nahi hota hai. Aapka ek bhi friend aapke facebook id me se nahi hatega. Sab bilkul pehle jaisa hi rahega. Aapko koi tension lene ki jarurat nahi.
Facebook profile name kaise change kare computer aur mobile dono se :-
Dekhiye facebook ka profile name change karna lagbhag mobile aur computer dono me same hi hai. Same me sab same process hai. To chaliye ham details me jante hai.
1. Sabse pehle aap browser me facebook.com par jakar apne uss id login karlijiye jisska aap profile name change karna chahte hai.
2. Usske badh aap settings me jaiye.
3. Aapko General setting ke option par click karna hai.
4. Usske badh aapko kuchh option dikhega aap name ke side me dekhenge to ek edit ka option dikhega aapko usspar click karna hai.
5. Usske badh aapko kuchh options dikhega istarha,
# First name :-
Yaha par aapko apna pehla naam dalna hai. Jaise ki maine dala hai DaZzling to aap bhi apna first name dal dijiye jo aap rakhna chahte hai.
# Middle name :-
Yaha par aap apna Middle name dal sakte hai. Jaise ki maine dala Boy aap agar apna Middle name nahi rakhna chahte hai to usse khali bhhi chhod sakte hai.
# Last name :-
Yaha par aap apna last name dal sakte hai jaise maine dala hai prashant. Mujhe thoda stylish name rakhna tha issiliye maine aisa ki hai. Aap apna caste bhi dal sakte hai.
Note :- Aap character aise daliye jo facebook support kare. Kabhi kabhi facebook kuchh characters bale name ko support naho karta hai. So dhyan se sahi characters hi daliye warna thoda paresani hogi. Ek baat aur aap facebook id ka name change karne ke badh aap 60 din ke vitar me legally firse name nahi change kar payenge. So spelling correct dale.
6. Ab aapko Review Change par click karna hai. Usske badh aapko apna name review karna hai ki aap last name ko first me lana chahte hai ya first ko first aur last ko last hi rakhna chahte hai.
7. Usske badh aapko apna facebook password dalna hai. Fir aapko finally save change ke option par click kardena hai.
Congratulations Ab aapka facebook profile name change hogaya hai. Aap apne browser ko refresh karke dekhsakte hai aapka facebook name change hogaya hoga.
Facebook name ham firse kitne din badh change kar payenge :-
Dekhiye ye ek bahut hi important sawal hai. Facebook ne name change ka option to hi hai par issme kuchh rule hai ki aap facebook id ka name change karne ke badh 60 din ke vitar me firse legally tarika se name nahi change kar payenge. Jab aapka name change 60 din se upar hojayega to aap firse apna name change karpayenge. So aap facebook profile name change karte wakt soch samajhkar spelling correct karke change kijiye.
To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.
Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye. Aap niche Catagory me hamare aise aur bhi bahut se post padh sakte hai.
Tags :-
How to change facebook id name in hindi , how to change facebook name in hindi full details, how to change facebook stylish name in hindi, facebook profile name kaise change karte hai , Facebook id ka name kaise change kare, facebook me stylish name kaise chan kare, facebook ke bareme full details hindi me , facebook id ka naam kaise badalte hai.
2 comments
commentsNice post. I would like to help you rank 1st page on google.
ReplyCheck Our Service Below. Hope it will you too. Thanks
SEO Services
Local SEO Services
Link Building Services
Web Development Services
WordPress Development Services
nice blog, keep blogging
Reply