Android mobile me display lock screen owner information kaise show kare

How to set up Display lock screen owner's information on your android mobile phone full details in hindi






Namaskar dosto aap sabhiko  mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me ekbar firse swagat hai. Aaj ham janenge ki android mobile me Lock screen owner information kya hai. Owner information kyun set karni chahiye. Owner information kaise Lock screen par show kare. Aaj ham inhi ke upar baat karne bale hai.  Aajkal mobile phone kiske hath me nahi hai. Lagbhag sabhike hathome aajkal smart phone aagaya hai. Kyunki jamana hi aajakl technology ka hogaya hai. Har kam log mobile se hi lagbhag karte hai. Aur hame karna bhi chahiye kyunki isse use karne me easy hota hai. Mobile ek mini computer hogaya hai jisse ham kahi bhi lejakar ham apna kaam karsakte hai. Sabhi kaam to ham mobile par nahi kar sakte hai par aise bahut se kam kar bhi sakte hai. To chaliye ham jante hai ki android phone me Lock screen owner Kya hai. Aap isse achhi tarha se padhiye samajhiye.


Android mobile phone me display Lock screen owner information kya hai :-


What is lock screen owner information on Android mobile in phone in hindi :-



Dekhiye aajkal android phone lock karne ke bareme kisse nahi pata hoga. Ham kisika mobile dekhenge bhi to pattern ya fir security lock lagbhag sabhike mobile phone par laga hota hai. Aapne kabhi Android me Lock screen owner information ke bareme jarur suna ya fir dekha hoga. Agar aapko android lock screen owner information ke bareme nahi pata to koi baat nahi aaj ham aapko yahi batane bala hai. 

Dekhiye Android lock screen owner information android ka hi ek feature hai. Ye pehle se hi android phone par hota hai. Company bale pehle se hi Lock screen ke sath mobile owner information ka bhi feature diya hota hai. Hosakta hai ki ye sabhi mobile phone me na bhi ho par Samsung ke sabhi new phone me lagbhag ye feature hota hi hai.

Apne mobile phone me ham Lock screen owner's information kyun show kare isska kya fayada hai ?



Kaibar kya hota hai. Hamare mobile phone me kuchh bahut hi important data hota hai jaise ki bank ka koi jaruri documents , call details , messages , contacts , photos , videos , music etc. Aise bahut se jaruri chije hamare pHone me hote hai aur fir hamara phone kahi khojate ya gir jate hai. Phir wo phone kisiko milta hai to kuchh log aise hote jo kisika chij vete to usse lautana chahte hai. Aise agar aapka phone lock hai to wo aapko kaise lautayega. Agar aap lock screen par apna contact aur adress rakhdete hai to wo aapko contact kar aapka phone lauta deta hai.


Inhi kuchh wajah se hame apne android phone par lock screen owner's information show kardena chahiye taki aapko aapka khoya huwa mobile firse wapis mil sake.


Lock screen owner information sabhi android phone par hota hai kya ?


Dekhiye ab ye jaruri nahi ki har phone par feature ho. Ye mobile phone company ke upar depend karta hai. Kuchh companies Lock screen owner information pehle se hi phone me uplabdh kara chuka hota hai to kuchh companies nahi bhi dete hai. Jinke phone me nahi hote hai wo third party apps ko use karte hai. Par lagbhag aajkal bahut se phone me ye feature pehle se hota hi hai. Maine aajkal ke lagbhag sabhi Samsung phone me ye feature dekha hai. Par haan kuchh phone me nahi bhi hosakta hai.



Kya lock screen owner's information feature hamare android phone me hidden hota hai ?


Ye sabal bhi hamare manme aasakte hai. Aur jinke phone me Lock screen owner information ka feature nahi hai usske manme to ye sawal jarur aayega. Dekhiye ab ye to Mobile company par depend karta hai. Par jahatak maine dekha hai lock screen owner information android phone me hidden feature nahi hai. Khaskar samsung me ye feature hota hi hai.


Kya Lock screen owner information hamare liye harmful yani nuksan janak hai ?


Ab dekhiye ye to koi nahi kehsakta hai ab duniya me bahut se log hai jo kuchh achhe hai to kuchh bure. Ab kaun aapke information kistarha use karta hai ye unpar hi depend karta hai. Par ye feature hamare phone ke liye koi harmful nahi hai. Agar aapka man kare to owner's information apne lock screen par show kijiye. 




Agar aap apna information show nahi karna chahte hai to mat kijiye. Ye aap aapar depend karta hai. Ye post to sirf knowledge ke liye hai.


Lock screen owner information limited time ke liye hota hai kya ?


Ji nahi ye limited nahi hota hai. Ye tab tak rahega jabtak aapka phone reset na ho. Aap chahe to isse band bhi kar sakte hai. Aap apne tarike se information ko edit bhi karsakte hai. Aisa nahi hai ki ekbar jo kardiya so hogaya ab nahi karpaunga.


Apne android mobile me Lock screen owner information kaise show kare full details hindi me  :-



1. Sabse pehle aap apne android phone ke settings me jaiye.

2. Fir aapko kuchh options dikhega to aap Lock screen ke option me jaiye.

3. Aapko firse kuchh options dikhega jinme se ek owner information ka option hoga aapko usspar click karna hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.


4. Owner information par click karke aapko kuchh likhna hoga wo bhi maximum lagbhag 65 characters me. Jaise ki "plz agar kisiko ye mobile vete to mujhe iss number 98******64 par call kijiye ". Aise aap kuchh bhi likhsakte hai.


# Show owner on lock screen :-

Issme aapko check box par tick kardena tab jake ye lock screen display par show hoga.

5. Ab aapKo Ok ke button par click kar save kardena hai. Aap picture me bhi dekhsakte hai.

Ab aapke android mobile phone par display lock screen owner information show hone lagega.



Related Search :-

Android mobile phone me display lock screen owner's information kya hai , what is owner's information on android phone in hindi, Display lock screen owner's information kaise show kare etc.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »