Adfly kya hai | adfly par account kaise banate hai - adf.ly se kitne kama sakte hai

What is adfly ? - How much we earn from adfly ? - How to create an account on adfly in hindi





Namaskar dosto aapsabhiko mere howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham janenge ki adfly kya hai aur adfly par account kaise banate hai aur fir isse paise kaise kamate hai. Dekhiye dosto online earning ka madhyam din prati din badhta hi jaraha hai. Aajkal bahut sara online earning ki site sab khul gaya hai. To chaliye ham baat karte hai adfly ki. Adfly bhi ek website hai jo ki kisi link ko chhota kardeta hai fir aap uss link ko kahi par share karte hai. Aur agar koi uss link par click karta hai to wo unko ek 5 seconds ka ads dikhata hai. Usske badh skip ka option aata hai aur phir wo chahe to skip karke real link par ja sakta hai. Aise me jisne link ko shrink yani chhota karke share ki hai income ussko hogi.


Adfly kya hai ? | What is adfly in hindi :-


Adfly ek link shrinker yani link ko chhota kardene bala site hai. Jo ki 5 seconds ka skipable ads dekhakar paise paise link shrink karne bale ko dete hai. Issme aap kisi bhi link ko chhota karke kahi par share kar sakte hai. Jab koi uss link par click karega to usse 5 seconds ka ads dikhaye ga jisska income link share karne baleko hoga.

Jaise ki manlijiye aap howtohelpinhindi.blogspot.com ko short karte hai adfly se to aapko adfly kuchh istarha ka link dega http://adf.ly/vyvl issi tarha ka code dega. Ye sabko sabhi type ka link provide karte hai. Aap chahe to iss adfly ke link ko facebook , twitter ya kahi par share karke earning kar sakte hai.

Kitna kama sakte hai adfly se | How much we earn from adfly in hindi :-


Dekhiye issme koi limit nahi hai ki aap kitna kama payenge aap agar achhe se mehanat aur lagan ke sath kam karenge to aap unlimited earning kar payenge. Bas aapko achhe achhe link ko share karna hai aur achhe traffic ke sath share karna hai. Agar aapke link par USA se click aata hai to aapko 1000 views ke lagbhag 9 ya 10 dollar mil jata hai. Wohi par agar aapke link par asia se click aate hai to aapko lagbhag $5 ya $6 mil sakta hai. Par ye jaruri nahi ki bas accurate itna hi milega isse jyada ya kam bhi mil sakta hai.

Par haan agar aap mehanat nahi karenge to aapko free md koi paisa nahi dene bale hai. Kyuni free me paise batne ka kisika bhi shokh nahi hota. Sab log jyada mehanat karke hi jyada paisa kamate hai. To aap bhi agar pure mehanat ke sath kaam karte hai to aapko bhi kafi achhi khasi earning hogi. Kai log adfly se bahut dollar daily ka kama raha hai.

To chaliye ab ham jante hai ki adfly par account kaise create karte hai. Aap post ko achchi tarha padhiyega aur samajhiyega. Picture achhi tarha se na dikhe to usspar click karke clear dekh sakte hai.


Adfly par account kaise banaye | how to create adfly account in hindi :-


1. Sabse pehle aap adf.ly ke site par jaiye.

2. Fir aapko join now par click karna hai. Ab aapke samne ek forum khulega aapko ussme register karne ko bolega. Aap chahe to sidha apne facebook account se login karke adfly par account create kar sakte hai.




Forum kuchh is tarha hoga,

# Your name :-
 Yaha lar aapko apna full name dalna hai. Jaise ki maine dala hai Prashant Yadav aap bhi jiss naam se account bana. Chahte hai wo naam dale.

# Username :-
Yaha par aap apna ek user name dal sakte hai. Jaise ki maine dala hai janakpur.

#  Email :-
 yaha par aap apna email dalsakte hai. Jiss email se aap apna adfly ka account banana chahte hai.

# Re - type email :-
Yaha par aapko apna wohi email firse type karna hai jo aapne upar email me type kiya tha.

# Account Type :-
Issme aapko apne account ka type me Link shrinker : create short link ko select karna hai.

# password :-
Yaha par aap apna ek password daldijiye. Password kuchh aise Type ke character ko use karke daliye taki koi guess ya anuman na kar paye.

Hosaktre to aap apne password ko kisi diary ya notes me likh lijiye. Taki aap kisi din password bhul bhi jayenge to aap waha se dekh sakte hai.

# Retype password :-
Yaha par aap apne uss password ko firse type kijiye.

# Human check | Captcha :-
Yaha par aapko ek captcha code dikhega aapko wo Captcha code yaha par dalna hai.

# I agree to the terms and conditions :-

Isske terms and conditions ko achhi tarha se padhlijiye. Fir I agree to the terms and conditions par check yani tick kardijiye.

3. Finally ab aap join ke option par click kardijiye. Fir aapke email par ek confirmation code  ka link mail aayega aap uss mail par click karke verify kardijiye. Hosakta hai mail aane me 5 -10 minutes bhi lagsakta hai. Confirmation code mange to apne mail se confirmation code copy kar paste kar verified kar sakte hai. Aap picture me bhi dekh sakte hai.





Ab aapne janli hai ki adfly kya hai. Adfly se kaise paise kamate hai aur adfly par account kaise banate hai. Ham isske bare me aur bhi bahut details me kisi aur post batayenge ye post kafi lamba hogaya hai. Aap hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ko visit karte rahiye. Hamare aur bhi kai sare artu padhsakte hai niche Catagory me jakar sabhi post dekh sakte hai.


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.






Share this

Related Posts

Previous
Next Post »