Desktop template | theme ko mobile device par kaise show kare - mobile friendly

How to show desktop template on mobile devices on blogger in hindi



Desktop template | theme ko mobile device par kaise show kare - mobile friendly

Blogger blog me Desktop theme ko mobile devices par kaise show kare :-


Namaskar dosto aapsabhiko mere blog howtohelpinhindi.blogspot.com blog me swagat hai. Aaj ham janenge ki desktop ki theme ko yani template ko mobile devices par kaise show karte hai. Dekhiye blog banane badh blog me ek achha sa template lagakar usse ek better design karna hota hai. Kyuni pehle se jo template hote hai wo kafi simple sa hota hai to hame alag se ek naya template hamare blog me lagana padta hai. Agar aapko achhi tarha se coding aata hai to aap apne purane bala template ko hi edit karke ussme coding karke ek better look desakte hai.  Dekhiye google jo hai wo aajkal mobile responsive blog ko kafi mayane deta hai. Issiliye hame mobile responsive aur fully seo ki gayi template apne blog par lagana hota hai. Par kuchh aise bhi template hote hai jiski sari features Mobile pe to nahi dikhta hai par computer pe dikhta hai. Par jyada tar log mobile hi use karte hai. Har kisi ke pass laptop to hai nahi so agar mobile me hi sabhi option nahi dikhega to aapka blog utna achha nahi lagega aur page views bhi kam hoga. Aapko to pata hi hoga lagbhag 60% jitna traffic mobile se aata hai. Agar aapka template mobile friendly hai to aap ka seo bhi better rahega.


Blogger ke desktop template yani theme ko mobile friendly banane ka fayada :-


Dekhiye avi hamare blog ya website par jyada traffic mobile se hi aata hai. Agar aapke blog ya website ka template mobile friendly nahi hai to jahir si baat hai ki wo sare option reader ke mobile me nahi dikhega jo computer pe dikhta hai. Agar reader ko sare option nahi dikha to aapke blog ya site ka galat impression padega. Google bhi jhayada unhi blog ya website ko crawl kar top late hai jo mobile friendly ho. Agar aapka template mobile friendly hai to aapke site sabhi images dikhega. Ads bhi sabhi dikhega. Mobile friendly template me post catagory lagbhag sabhi chij dikhega. Nahi to desktop theme me sabhi chij desktop par hi dikhega agar mobile friendly nahi banaye hai to.

Mobile friendly site par sabhi ads mobile par show hone ke wajah se ads click bhi kafi jyada milega so aapke earning bhi kafi jayada hoga.


Blogger ke desktop template yani theme ko mobile friendly na banane se nuksan :-


Agar aapka template mobile friendly nahi hai to aapke blog ke Seo achha nahi manajayega. Blog traffic kam hoga. Traffic kam hone ke wajah se ads click aur page views kam milega jinke wajah se aapka earning ekdam se low hoga. Ya fir mobile par sabhi post aur ads show na hone ke wajah se ads click kam hoga jisse aapke earning kafi kam hojayega.Aapke blog post ka picture bhi miss hosakta hai. Ya aapne videos upload ki hai to kuchh videos bhi nahi dekhpayega reader. So aapke blog ka reader ko galat impression padega. So mai kahunga ki har koi apne blogger desktop template yani theme ko mobile friendly bana lijiye.


Aapka blogger template yani theme mobile friendly hai ki nahi kaise check kare full details :-


1. Sabse pehle aap iss mobile friendly test karne ke liye yaha iss link par click kijiye.



2.  Ab aap apne blog ka url daldijiye. Aap picture me bhi dekhsakte hai.




3. Usske badh Run and Test par click kardijiye. Fir analyze hokar aapke blog ka template mobile friendly hai ya nahi bata dega.

Ab jan chuke hai ki aapke blog ka template mobile friendly hai ya nahi check karne ka tarika. Agar aapka blog mobile friendly nahi hai to aap banalijiye. Kyun ki google unhi website ko top par show karta hai jo mobile friendly hota hai.


Blogger blog ke Desktop template | theme ko mobile friendly kaise banaye :-


1. Sabse pehle aap blogger.com par jakar apne site ko login kar lijiye.


2.  Blog ke dashboard me jaiye fir template pe click kardijiye. Aap picture me bhi dekhsakte hai.




3. Ab  2 version me aapka blog dikhega ek desktop version me aur dusra mobile version me. Aap picture me bhi dekhsakte hai.


4. Aap mobile version ke niche dekhenge to aapko ek setting ka icon dikhega aapko usspar click karna hai.



5. Ab aapko choose mobile template me 2 option dikhega,

● yes, show mobile template on mobile devices

● No, show desktop template on mobile devices

To aapko niche bala No , show desktop template on mobile devices ko select karna hai.





Ab aapka blogger blog ke template yani theme ab mibi device par bhi show hoga. Ab aapka desktop template mobile friendly banjayega aur sare chij ab mobile oar bhi dijhega jo aapko desktop par dikhta tha.


To dosto aapko ye article kaisa laga comment karke jarur bataiye ye article aap howtohelpinhindi.blogspot.com par padh rahe the aise aur bhi article padhne ke liye hamare iss blog ko dekhte rahiye. Aur ekbar Home jarur check kare sabhi article dekhne ke liye. Ab maine aap ke liye itna time dekar itna help ki hai to thoda time dekar aap bhi mere help kijiye. Aapko kuchh jyada nahi karna hai sirf iss article ko aapko apne dosto ke sath Facebook,twitter aur google plus par share karna hai niche share ka button hoga uspar click kardijiye aur hamare site howtohelpinhindi.blogspot.com ke bareme apne dosto ko bhi jarur bataiye taki wobhi kuchh sikhle. Dusro ko kuchh achhe sikhakar ya batakar aap bhi logoki help karke social work karsakte hai. Agar mujhse article likhne me koi galati hogaya ho to please mujhe maaf kar dijiyega.

Note : Hamare blog ko subscribe jarur kare taki sabhi naya naya post sidha aapke email par vej diyajayega. Aap niche view web version par click kijiye fir Email subscribe ke button par click karke subscribe jarur kijiye.





Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

4 comments

comments
March 20, 2018 at 4:26 AM delete This comment has been removed by the author.
avatar
Anonymous
July 28, 2020 at 10:44 PM delete

Badhiya jankari share ki hai aapne

Reply
avatar
December 27, 2021 at 9:22 PM delete

aapka blog mujhe bahut accha lga aap aise hi apne blog par kaam krte raho , aap hmara hindi blog Technicalsamaj jarur check kren

Reply
avatar